الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لاَ تَزَالُ طَائِفَةٌ مِنْ أُمَّتِي ظَاهِرِينَ عَلَى الْحَقِّ يُقَاتِلُونَ» . وَهُمْ أَهْلُ الْعِلْمِ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka irshaad "meri ummat ki ek jamaat haq par ghaalib rahegi aur jung karti rahegi" aur Imaam Bukhari Rahmatullah alaih ne kaha ke is giroh se deen ke ulama ka giroh muraad hai.
Show diacritics
Hadith Number: 7311
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسماعيل، عن قيس، عن المغيرة بن شعبة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يزال طائفة من امتي ظاهرين حتى ياتيهم امر الله وهم ظاهرون".
Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya, in se Ismail ne, in se Qays ne, in se Mugheera bin Shubah razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meri ummat ka ek giroh hamesha ghalib rahe ga (is mein ilmi wa deeni ghalba bhi dakhil hai) yahan tak ke Qayamat aa jaye gi aur woh ghalib hi rahein ge.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7312
حدثنا إسماعيل، حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، اخبرني حميد، قال: سمعت معاوية بن ابي سفيان يخطب قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين، وإنما انا قاسم ويعطي الله ولن يزال امر هذه الامة مستقيما حتى تقوم الساعة، او حتى ياتي امر الله".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ibn Shihab ne unhein Humayd ne khabar di, kaha ke main ne Muawiyah bin Abi Sufyan raziAllahu anhuma se suna, woh khutba de rahe thay, unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah jis ke saath khair ka irada karta hai usay deen ki samajh ata farma deta hai aur main to sirf taqseem karne wala hoon aur deta Allah hai aur is ummat ka muamla hamesha durust rahe ga, yahan tak ke Qayamat qaim ho jaye ya (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yun farmaya ke) yahan tak ke Allah ka hukm aa pahunche.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {أَوْ يَلْبِسَكُمْ شِيَعًا}:
Allah Taala ka (Surat Al-An'aam mein) yun farmana "ya woh tumhare kayi firqe kar de".
Show diacritics
Hadith Number: 7313
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال عمرو، سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول:" لما نزل على رسول الله صلى الله عليه وسلم قل هو القادر على ان يبعث عليكم عذابا من فوقكم سورة الانعام آية 65، قال: اعوذ بوجهك او من تحت ارجلكم، قال: اعوذ بوجهك، فلما نزلت او يلبسكم شيعا ويذيق بعضكم باس بعض سورة الانعام آية 65، قال: هاتان اهون او ايسر".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Amr bin Dinar ne bayan kiya ke main ne Jabir bin Abdullah raziAllahu anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam par yeh aayat nazil hui «qul huwal-qaadiru alaaa ay-yab-asa alaikum azhaabam-min fauqikum» ke ”kahye ke woh is par qadir hai ketum par tumhare oopar se azab bheije.“ To Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kaha ke main tere ba-azhmat wa buzurg munh ki panah maangta hoon. «au min tahti arjulikum» ”ya tumhare paon ke neeche se“ (azab bheije) to is par phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kaha ke main tere mubarak munh ki panah maangta hoon, phir jab yeh aayat nazil hui «au yalbisakum shiy-an-wa yuzheeqa ba-dhakum ba-sa ba-dhin» ke ”ya tumhein firqon mein taqseem kar de aur tum mein se baaz ko baaz ka khauf chakhaye“ to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh donon aasaan wa sah-hal hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ شَبَّهَ أَصْلاً مَعْلُومًا بِأَصْلٍ مُبَيَّنٍ قَدْ بَيَّنَ اللَّهُ حُكْمَهُمَا، لِيُفْهِمَ السَّائِلَ:
Ek amr maloom ko dusre amr waazeh se tashbeeh dena jis ka hukm Allah ne bayaan kar diya hai taake poochhne wala samajh jaaye.
Show diacritics
Hadith Number: 7314
حدثنا اصبغ بن الفرج، حدثني ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة،" ان اعرابيا اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: إن امراتي ولدت غلاما اسود وإني انكرته، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم: هل لك من إبل؟، قال: نعم، قال: فما الوانها؟، قال: حمر، قال: هل فيها من اورق؟، قال: إن فيها لورقا، قال: فانى ترى ذلك جاءها، قال: يا رسول الله، عرق نزعها، قال: ولعل هذا عرق نزعه ولم يرخص له في الانتفاء منه".
Hum se Asbagh bin al-Faraj ne bayan kiya, kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, in se Yunus bin Yazid ne, in se Ibn Shihab ne, in se Abu Salamah bin Abd-ul-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune ke ek aarabi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur kaha ke meri biwi ke yahan larka paida hua hai jis ko main apna nahi samajhta. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke tumhare paas oont hain? Unhon ne kaha ke hain. Daryaft kiya ke in ke rang kaise hain? Kaha ke surkh hain. Poochha ke in mein koi khaki bhi hai? Unhon ne kaha ji haan in mein khaki bhi hain. Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne poochha ke phir kis tarah tum samajhte ho ke is rang ka paida hua? Unhon ne kaha ke ya Rasool Allah! kisi rug ne yeh rang khainch liya ho ga. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mumkin hai is bache ka rang bhi kisi rug ne khainch liya ho? aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ko bache ke inkar karne ki ijazat nahi di.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7315
حدثنا مسدد، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس،" ان امراة جاءت إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: إن امي نذرت ان تحج، فماتت قبل ان تحج، افاحج عنها؟، قال: نعم حجي عنها، ارايت لو كان على امك دين اكنت قاضيته؟، قالت: نعم، فقال: اقضوا الله الذي له فإن الله احق بالوفاء".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, in se Abu Bishr ne, in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne ke ek khatoon Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas aayien aur arz kiya ke meri walda ne Hajj karne ki nazr maani thi aur woh (adayigi se pehle hi) wafat pa gayiein. kiya main in ki taraf se Hajj kar loon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan in ki taraf se Hajj kar lo. Tumhara kiya khayal hai, agar tumhari walda par qarz hota to tum usay poora kartien? Unhon ne kaha: ji haan. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir is qarz ko bhi poora kar jo Allah Ta'ala ka hai kyunke is qarz ka poora karna zyada zaroori hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا جَاءَ فِي اجْتِهَادِ الْقُضَاةِ بِمَا أَنْزَلَ اللَّهُ تَعَالَى:
Qaaziyon ko koshish kar ke Allah ki kitaab ke mutabiq hukm dena chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: Q7316
لقوله: {ومن لم يحكم بما انزل الله فاولئك هم الظالمون}. ومدح النبي صلى الله عليه وسلم صاحب الحكمة حين يقضي بها ويعلمها، لا يتكلف من قبله، ومشاورة الخلفاء وسؤالهم اهل العلم.
Allah Paak ne farmaya «wa mal-lam yah-kum bimaaa anzhala-laahu fa-oolaaa-ika hum-uzh-zhaalimoona» jo log Allahke utaare muafiq faisla na karein wahi log zhahlim hain aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ilm wale ki tareef ki jo ilm (Quran wa hadees) ke muafiq faisla karta hai aur logon ko Quran wa hadees sikhlaata hai aur apni taraf se koi baat nahi batata. Is baat mein yeh bhi bayan kiya hai ke khulafa ne ahal e ilm se mashware liye hain.


Show diacritics
Hadith Number: 7316
حدثنا شهاب بن عباد، حدثنا إبراهيم بن حميد، عن إسماعيل، عن قيس، عن عبد الله، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا حسد إلا في اثنتين: رجل آتاه الله مالا فسلط على هلكته في الحق، وآخر آتاه الله حكمة فهو يقضي بها ويعلمها".
Hum se Shihab bin Abbad ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Humaid ne bayan kiya, in se Ismail bin Abi Khalid ne, in se Qays bin Abi Hazim ne, in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhune bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”rashk do hi aadmiyon par ho sakta hai, ek woh jaise Allahne maal kiya aur usay (maal ko) raah e haq mein lutane ki poori tarah taufiq mili hoti hai aur doosra woh jise Allahne hikmat di hai aur is ke zariye faisla karta hai aur is ki taleem deta hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7317
حدثنا محمد، اخبرنا ابو معاوية، حدثنا هشام، عن ابيه، عن المغيرة بن شعبة، قال: سال عمر بن الخطاب عن إملاص المراة هي التي يضرب بطنها فتلقي جنينا؟، فقال: ايكم سمع من النبي صلى الله عليه وسلم فيه شيئا؟، فقلت: انا، فقال: ما هو؟، قلت: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول فيه:" غرة عبد او امة، فقال: لا تبرح حتى تجيئني بالمخرج فيما قلت.
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hamako Abu Muawiyah ne khabar di, kaha hum se Hisham ne, in se un ke walid ne aur in se Mugheera bin Shubah razi Allahu anhune bayan kiya ke Umar bin Khattab razi Allahu anhune aurat ke imlaas ke mutalliq (sahabah se) poochha. Yeh is aurat ko kehte hain jis ke pait par maar diya gaya (jabke woh hamila ho) ho aur is ka na-tamam (adhura) bacha gir gaya ho. Umar razi Allahu anhune poochha Aap logon mein se kisi ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ke baare mein koi hadees suni hai? Main ne kaha ke main ne suni hai. Poochha kiya hadees hai? Main ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke aaisi surat mein ek ghulam ya baandi tawan ke taur par hai. Umar razi Allahu anhune kaha ke tum ab chhoot nahi sakte yahan tak ke tum ne jo hadees bayan ki hai is silsile mein najat ka koi zariya (yani koi shahadat ke waqeyi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh hadees farmayi thi) lao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7318
فخرجت فوجدت محمد بن مسلمة، فجئت به، فشهد معي، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم يقول فيه: غرة عبد او امة"، تابعه ابن ابي الزناد، عن ابيه، عن عروة، عن المغيرة.
Phir main nikla to Muhammad bin Maslamah razi Allahu anhumil gaye aur main unhein laya aur unhon ne meere saath gawahi di ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko farmate suna hai ke is mein ek ghulam ya baandi ki tawan hai. Hisham bin Urwah ke saath is hadees ko Ibn Abi al-Zinad ne bhi apne baap se, unhon ne Urwah se, unhon ne Mugheera se riwayat kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَتَتْبَعُنَّ سَنَنَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaan "aye Musalmano! tum agle logon ki chaal par chalo ge".
Show diacritics
Hadith Number: 7319
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابن ابي ذئب، عن المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى تاخذ امتي باخذ القرون قبلها شبرا بشبر وذراعا بذراع، فقيل: يا رسول الله، كفارس، والروم، فقال: ومن الناس إلا اولئك".
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zi'b ne bayan kiya, un se Maqburi ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat is waqt tak qaim nahi ho gi jab tak meri ummat is tarah pichli ummaton ke mutabiq nahi ho jaye gi jaise balisht balisht ke aur haath haath ke barabar hota hai.“ Poocha gaya: ya Rasul Allah! agli ummaton se kaun murad hain, Parsi aur Nasrani? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Phir aur kaun.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة