الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا ذَكَرَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَحَضَّ عَلَى اتِّفَاقِ أَهْلِ الْعِلْمِ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7338
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني السائب بن يزيد، سمع عثمان بن عفان،" خطبنا على منبر النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Saib bin Yazid ne khabar di, unhon ne Usman bin Affan Radi Allahu Anhu se suna jo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar se humein khitab kar rahe thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7339
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا هشام بن حسان، ان هشام بن عروة حدثه، عن ابيه، ان عائشة قالت:" قد كان يوضع لي ولرسول الله صلى الله عليه وسلم هذا المركن، فنشرع فيه جميعا".
`Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Abdula'la ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Hassan ne bayan kiya, un se Hisham bin Urwa ne bayan kiya, un se un ke walid ne ke Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke mere aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke liye yeh lagan rakkhi jati thi aur hum donon is se ek saath nahate thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7340
حدثنا مسدد، حدثنا عباد بن عباد، حدثنا عاصم الاحول، عن انس، قال:" حالف النبي صلى الله عليه وسلم بين الانصار، وقريش في داري التي بالمدينة.
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abbad bin Abbad ne bayan kiya, kaha hum se Aasim al-Ahwal ne bayan kiya aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Ansar aur Quraish ke darmiyan mere is ghar mein bhai chara karaya jo Madinah Munawwara mein hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7341
وقنت شهرا يدعو على احياء من بني سليم".
Aur aap ne qabail Bani Sulaim ke liye ek mahine tak duaye qonoot parhi jis mein un ke liye bad-dua ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7342
حدثني ابو كريب، حدثنا ابو اسامة، حدثنا بريد، عن ابي بردة، قال: قدمت المدينة فلقيني عبد الله بن سلام، فقال لي: انطلق إلى المنزل، فاسقيك في قدح شرب فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم، وتصلي في مسجد صلى فيه النبي صلى الله عليه وسلم، فانطلقت معه فسقاني سويقا، واطعمني تمرا، وصليت في مسجده".
`Hum se Abu Kuraib ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, kaha hum se Buraid ne bayan kiya, kaha ke mein Madinah Munawwara aaya aur Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu se meri mulaqat hui to unhon ne kaha ke mere saath ghar chalo to mein tumhein is pyale mein pilaon ga jis mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne piya tha aur phir hum is namaz parhne ki jagah namaz parhein ge jahan Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne namaz parhi thi. Chunancha mein un ke saath gaya aur unhon ne mujhe sattu pilaya aur khajoor khilayi aur mein ne un ke namaz parhne ki jagah namaz parhi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7343
حدثنا سعيد بن الربيع، حدثنا علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير، حدثني عكرمة، قال: حدثني ابن عباس، ان عمر رضي الله عنه، حدثه، قال: حدثني النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اتاني الليلة آت من ربي وهو بالعقيق ان صل في هذا الوادي المبارك وقل عمرة وحجة"، وقال هارون بن إسماعيل، حدثنا علي عمرة في حجة.
`Hum se Said bin Rabee ne bayan kiya, kaha hum se Ali bin Mubarak ne bayan kiya, un se Yahya bin Kaseer ne, un se Ikrima ne bayan kiya, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne aur un se Umar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mujh se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mere paas raat ek mere Rabb ki taraf se aane wala aaya. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم is waqt Wadi-e-Aqeeq mein thay aur kaha ke is mubarak wadi mein namaz parhiye aur kahiye ke umrah aur hajj (ki niyat karta hoon) aur Haroon bin Ismail ne bayan kiya ke hum se Ali ne bayan kiya (in alfaz ke saath) «Umratun fi hajjatin.»


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7344
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر وقت النبي صلى الله عليه وسلم قرنا لاهل نجد، والجحفة، لاهل الشام وذا الحليفة لاهل المدينة، قال: سمعت هذا من النبي صلى الله عليه وسلم، وبلغني ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ولاهل اليمن يلملم وذكر العراق، فقال: لم يكن عراق يومئذ".
`Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sauri ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ahl-e-Najd ke liye maqaam-e-Qarn, Juhfa ko ahl-e-Sham ke liye aur Zul-Hulaifa ko ahl-e-Madinah ke liye miqat muqarrar kiya. Bayan kiya ke mein ne yeh Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna aur mujhe maloom hua hai ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ahl-e-Yaman ke liye Yalamlam (miqat) hai aur Iraq ka zikr hua to unhon ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke zamane mein Iraq nahi tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7345
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا الفضيل، حدثنا موسى بن عقبة، حدثني سالم بن عبد الله، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" انه اري وهو في معرسه بذي الحليفة، فقيل له: إنك ببطحاء مباركة".
`Hum se Abdur Rahman bin Mubarak ne bayan kiya, kaha hum se Fuzail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Musa bin Uqba ne bayan kiya, un se Salim bin Abdullah ne, un se un ke walid Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko jab ke aap maqaam-e-Zul-Hulaifa mein padao kiye hue thay, khwab dikhaya gaya aur kaha gaya ke aap ek mubarak wadi mein hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {لَيْسَ لَكَ مِنَ الأَمْرِ شَيْءٌ}:
Allah Taala ka (Surat Aal-e-Imran mein) farmaan "aye Paighambar! tujh ko is kaam mein koi dakhl nahin" aakhir aayat tak.
Show diacritics
Hadith Number: 7346
حدثنا احمد بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول في صلاة الفجر ورفع راسه من الركوع، قال:" اللهم ربنا ولك الحمد في الاخيرة، ثم قال: اللهم العن فلانا وفلانا، فانزل الله عز وجل ليس لك من الامر شيء او يتوب عليهم او يعذبهم فإنهم ظالمون سورة آل عمران آية 128.
`Hum se Ahmad bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Ma'mar ne, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne aur unhein Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, aap صلی اللہ علیہ وسلم fajr ki namaz mein yeh dua ruku se sar uthane ke baad parhte thay «Allahumma Rabbana wa lakal hamdu» ”Ae Allah! hamare Rabb tere hi liye tamam tareefein hain.“ Phir aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Allah! falan aur falan ko apni rehmat se door kar de.“ Is par Allah Azza wa Jalla ne yeh ayat nazil ki ke aap ko is maamle mein koi ikhtiyar nahi hai Allah! un ki tauba qabool kar le ya unhein azab de ke bilashuba wo had se tajawuz karne wale hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ تَعَالَى: {وَكَانَ الإِنْسَانُ أَكْثَرَ شَيْءٍ جَدَلاً}:
Allah Taala ka (Surat Al-Kahf mein) irshaad "aur insaan sab se zyada jhagdalu hai".
Show diacritics
Hadith Number: Q7347
وقوله تعالى: {ولا تجادلوا اهل الكتاب إلا بالتي هي احسن}.
Aur Allah Ta'ala ka irshad (Surah al-Ankabut mein) «Wala tujadiloo ahlal kitabi illa billati hiya ahsan» ”Aur tum ahl-e-kitab se bahs na karo lekin is tariqe se jo accha ho yaani narmi ke saath Allah ke paigambaron aur is ki kitabon ka adab malhooz rakh kar un se bahs karo.“