الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَتَتْبَعُنَّ سَنَنَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaan "aye Musalmano! tum agle logon ki chaal par chalo ge".
Hadith Number: 7320
حدثنا محمد بن عبد العزيز، حدثنا ابو عمر الصنعاني من اليمن، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لتتبعن سنن من كان قبلكم شبرا شبرا، وذراعا بذراع حتى لو دخلوا جحر ضب تبعتموهم، قلنا: يا رسول الله، اليهود، والنصارى، قال: فمن".
`Hum se Muhammad bin Abdul Aziz ne bayan kiya, kaha hum se Yaman ke Abu Umar San'ani bayan kiya, un se Zaid bin Aslam ne, un se Ata bin Yasar ne aur un se Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Tum apne se pehli ummaton ki ek ek balisht aur ek ek gaz mein ittiba karo ge, yahan tak ke agar wo kisi goh ke surakh mein dakhil hue hon ge to tum is mein bhi un ki ittiba karo ge.“ Hum ne poocha: ya Rasul Allah! kya Yahud o Nasara murad hain? Farmaya phir aur kaun.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِثْمِ مَنْ دَعَا إِلَى ضَلاَلَةٍ أَوْ سَنَّ سُنَّةً سَيِّئَةً:
Is ka gunaah jo kisi gumraahi ki taraf bulaye ya koi buri rasm qaim kare.
Hadith Number: Q7321
لقول الله تعالى: ومن اوزار الذين يضلونهم بغير علم سورة النحل آية 25.
Allah Ta'ala ke farman «Wa min auzarillazeena yuzilloonahum» ilkh, ki roshni mein yaani Allah Ta'ala ne (Surah al-Nahl mein) farmaya ”In logon ka bhi bojh uthayein ge jis ko be-ilmi ki wajah se gumrah kar rahe hain.“
Hadith Number: 7321
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الاعمش، عن عبد الله بن مرة، عن مسروق، عن عبد الله، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليس من نفس تقتل ظلما إلا كان على ابن آدم الاول كفل منها"، وربما قال سفيان: من دمها لانه اول من سن القتل اولا.
`Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha hum se A'mash ne, un se Abdullah bin Marwa ne, un se Masrooq ne aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jo shakhs bhi zulm ke saath qatl kiya jaye ga is ke (gunah ka) ek hissa Adam Alaihis Salam ke pehle bete (Qabil) par bhi pade ga.“ Baaz auqat Sufyan ne is tarah bayan kiya ke ”is ke khoon ka“ kyunke usi ne sab se pehle na-haqq khoon ki buri rasm qaim ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا ذَكَرَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَحَضَّ عَلَى اتِّفَاقِ أَهْلِ الْعِلْمِ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Hadith Number: Q7322
وما اجمع عليه الحرمان مكة، والمدينة، وما كان بها من مشاهد النبي صلى الله عليه وسلم والمهاجرين، والانصار، ومصلى النبي صلى الله عليه وسلم والمنبر والقبر.
Aur Madinah mein jo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم aur Muhajireen aur Ansar ke mutabarrak maqamat hain aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke namaz parhne ki jagah aur mimbar aur Aap ki qabr shareef ka bayan.
Hadith Number: 7322
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن محمد بن المنكدر، عن جابر بن عبد الله السلمي،" ان اعرابيا بايع رسول الله صلى الله عليه وسلم على الإسلام، فاصاب الاعرابي وعك بالمدينة، فجاء الاعرابي إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، اقلني بيعتي، فابى رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم جاءه، فقال: اقلني بيعتي فابى، ثم جاءه، فقال: اقلني بيعتي فابى، فخرج الاعرابي، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنما المدينة كالكير تنفي خبثها وينصع طيبها".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, unhon ne Muhammad bin Munkadir se, unhon ne Jabir bin Abdullah Ansari Radi Allahu Anhu se ke ek ganwar (Qais bin Abi Hazim ya Qais bin Hazim ya aur koi) ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Islam par bai'at ki, phir Madinah mein is ko tapp aane lagi. Wo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas aaya. Kehne laga: ya Rasul Allah! meri bai'at tod dijiye. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne inkar kiya. Wo phir aaya aur kehne laga: ya Rasul Allah! meri bai'at fasakh kar dijiye. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne phir inkar kiya. Is ke baad wo Madinah se nikal kar apne jangal ko chala gaya to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Madinah lohaar ki bhatti ki tarah hai jo apni mail kuchail ko door kar deti hai aur khare pakeeza maal ko rakh leti hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7323
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا معمر، عن الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله، قال: حدثني ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كنت اقرئ عبد الرحمن بن عوف، فلما كان آخر حجة حجها عمر، فقال عبد الرحمن: بمنى لو شهدت امير المؤمنين اتاه رجل، قال: إن فلانا، يقول: لو مات امير المؤمنين لبايعنا فلانا، فقال عمر: لاقومن العشية، فاحذر هؤلاء الرهط الذين يريدون ان يغصبوهم، قلت: لا تفعل فإن الموسم يجمع رعاع الناس يغلبون على مجلسك فاخاف ان لا ينزلوها على وجهها، فيطير بها كل مطير، فامهل حتى تقدم المدينة دار الهجرة ودار السنة، فتخلص باصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم من المهاجرين، والانصار فيحفظوا مقالتك وينزلوها على وجهها، فقال: والله لاقومن به في اول مقام اقومه بالمدينة، قال ابن عباس: فقدمنا المدينة، فقال: إن الله بعث محمدا صلى الله عليه وسلم بالحق وانزل عليه الكتاب فكان فيما انزل آية الرجم".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne bayan kiya, kaha hum se Ma'mar bin Rashid ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Ubaidullah bin Abdullah ne, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein Abdur Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu ko (Quran Majeed) parhaya karta tha. Jab wo aakhri hajj aaya jo Umar Radi Allahu Anhu ne kiya tha to Abdur Rahman ne Mina mein mujh se kaha kash tum Ameerul Momineen ko aaj dekhte jab un ke paas ek shakhs aaya aur kaha ke falan shakhs kehta hai ke agar Ameerul Momineen ka intiqal ho jaye to hum falan se bai'at kar lein ge. Yeh sun kar Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein aaj se-pehar ko khade ho kar logon ko khutba sunaoon ga aur un ko daraoon ga jo (aam musalmanon ke haq ko) gasab karna chahte hain aur khud apni raye se ameer muntakhab karne ka irada rakhte hain. Mein ne arz kiya ke aap aisa na karein kyunke mausam-e-hajj mein har tarah ke na-waqif aur mamooli log jama ho jate hain. Yeh sab kasrat se aap ki majlis mein jama ho jayein ge aur mujhe darr hai ke wo aap ki baat ka sahih matlab na samajh kar kuch aur ma'ni na kar lein aur ise munh dar munh udate phirein. Is liye abhi tawaffuq kijiye. Jab aap Madine pahunche jo Dar al-Hijrat aur Dar al-Sunna hai to wahan aap ke mukhatab Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sahabah, Muhajireen o Ansar khalis aise hi log milein ge wo aap ki baat ko yaad rakhein ge aur is ka matlab bhi theek bayan karein ge. Is par Ameerul Momineen ne kaha ke wallah! mein Madinah pahunch kar jo pehla khutba doon ga is mein is ka bayan karoon ga. Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke phir hum Madine aaye to Umar Radi Allahu Anhu jumua ke din dopahar dhale baramad hue aur khutba sunaya. Unhon ne kaha: Allah Ta'ala ne Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ko saccha rasool bana kar bheja aur Aap par Quran utara, is Quran mein rajm ki ayat bhi thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7324
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد، عن ايوب، عن محمد، قال:" كنا عند ابي هريرة وعليه ثوبان ممشقان من كتان، فتمخط، فقال: بخ بخ ابو هريرة يتمخط في الكتان لقد رايتني وإني لاخر فيما بين منبر رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى حجرة عائشة مغشيا علي، فيجيء الجائي فيضع رجله على عنقي ويرى اني مجنون، وما بي من جنون ما بي، إلا الجوع".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zaid ne, un se Ayub Sakhtiyani ne, un se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya ke hum Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ke paas thay aur un ke jism par katan ke do kapre geru mein range hue thay. Unhon ne in hi kapron mein naak saaf ki aur kaha wah wah dekho Abu Hurairah katan ke kapron mein naak saaf karta hai, ab aisa maaldar ho gaya halanke mein ne apne aap ko ek zamane mein aisa paya hai ke mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar aur Aisha Radi Allahu Anha ke hujra ke darmiyan behosh ho kar gir padta tha aur guzarne wala meri gardan par yeh samajh kar paon rakhta tha ke mein pagal ho gaya hoon, halanke mujhe junoon nahi hota tha, balki sirf bhook ki wajah se meri yeh halat ho jati thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7325
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، قال: سئل ابن عباس اشهدت العيد مع النبي صلى الله عليه وسلم، قال: نعم، ولولا منزلتي منه ما شهدته من الصغر، فاتى العلم الذي عند دار كثير بن الصلت، فصلى، ثم خطب ولم يذكر اذانا ولا إقامة، ثم امر بالصدقة، فجعل النساء يشرن إلى آذانهن وحلوقهن فامر بلالا: فاتاهن، ثم رجع إلى النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Sauri ne khabar di, un se Abdur Rahman bin Aabis ne bayan kiya, kaha ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se poocha gaya ke kya aap Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath eid mein gaye hain? Kaha ke haan mein is waqt kam-sin tha. Agar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se mujh ko itna nazdeek ka rishta na hota aur kam-sin na hota to aap ke saath kabhi nahi reh sakta tha. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ghar se nikal kar is nishan ke paas aaye jo Kaseer bin Salt ke makan ke paas hai aur wahan aap ne namaz-e-eid parhayi phir khutba diya. Unhon ne azan aur iqamat ka zikr nahi kiya, phir aap ne sadqa dene ka hukm diya to aurtein apne kaanon aur gardanon ki taraf haath barhane lageen zewaron ka sadqa dene ke liye, is ke baad Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Bilal Radi Allahu Anhu ko hukm farmaya, wo aaye aur sadqa mein mili hui cheezon ko le kar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas wapas gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7326
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان" ياتي قباء ماشيا وراكبا".
`Hum se Abu Nu'aim ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Quba mein tashreef late thay, kabhi paidal aur kabhi sawari par.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7327
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت لعبد الله بن الزبير:" ادفني مع صواحبي ولا تدفني مع النبي صلى الله عليه وسلم في البيت، فإني اكره ان ازكى.
`Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham bin Urwa ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne ke unhon ne Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhuma se kaha tha ke mujhe intiqal ke baad meri saukanon ke saath dafan karna. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath hujra mein dafan mat karna kyunke mein pasand nahi karti ke meri aap ki aur biwiyon se zyada paki bayan ki jaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة