الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا ذَكَرَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَحَضَّ عَلَى اتِّفَاقِ أَهْلِ الْعِلْمِ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7328
وعن هشام عن ابيه، ان عمر ارسل إلى عائشة ائذني لي ان ادفن مع صاحبي، فقالت: إي والله، قال: وكان الرجل إذا ارسل إليها من الصحابة، قالت: لا والله لا اوثرهم باحد ابدا".
Aur Hisham se riwayat hai, un se un ke walid ne bayan kiya ke Umar Radi Allahu Anhu ne Aisha Radi Allahu Anha ke yahan aadmi bheja ke mujhe ijazat dein ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath dafan kiya jaoon. Unhon ne kaha ke haan Allah ki qasam! mein un ko ijazat deti hoon. Rawi ne bayan kiya ke pehle jab koi sahabi un se wahan dafan hone ki ijazat mangte to wo kehla deti theen ke nahi, Allah ki qasam! mein un ke saath kisi aur ko dafan nahi hone doon gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7329
حدثنا ايوب بن سليمان، حدثنا ابو بكر بن ابي اويس، عن سليمان بن بلال، عن صالح بن كيسان، قال ابن شهاب: اخبرني انس بن مالك، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان" يصلي العصر، فياتي العوالي والشمس مرتفعة"، وزاد الليث، عن يونس وبعد العوالي اربعة اميال او ثلاثة.
`Hum se Ayub bin Salman ne bayan kiya, kaha hum se Abu Bakr bin Uwais ne bayan kiya, un se Sulaiman bin Bilal ne, un se Salih bin Kaisan ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم asr ki namaz parh kar in gaon mein jate jo Madinah ki bulandi par waqia hain wahan pahunch jate aur sooraj buland rehta. Awali Madinah ka bhi yahi hukm hai aur Laith ne bhi is hadees ko Yunus se riwayat kiya, is mein itna zyada hai ke yeh gaon Madinah se teen chaar meel par waqia hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7330
حدثنا عمرو بن زرارة، حدثنا القاسم بن مالك، عن الجعيد، سمعت السائب بن يزيد، يقول:" كان الصاع على عهد النبي صلى الله عليه وسلم مدا وثلثا بمدكم اليوم"، وقد زيد فيه سمع القاسم بن مالك الجعيد.
`Hum se Amr bin Zurara ne bayan kiya, kaha hum se Qasim bin Malik ne bayan kiya, un se Juaid ne, unhon ne Saib bin Yazid se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke zamane mein saa' tumhare waqt ki mudd se ek mudd aur ek tihayi mudd ka hota tha, phir saa' ki miqdar barh gayi yaani Umar bin Abdul Aziz ke zamana mein wo chaar mudd ka ho gaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7331
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اللهم بارك لهم في مكيالهم، وبارك لهم في صاعهم ومدهم"، يعني: اهل المدينة.
`Hum se Abdullah bin Maslama ne bayan kiya, un se Imam Malik ne, un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Allah! in Madinah walon ke paimana mein unhein barkat de aur un ke saa' aur mudd mein unhein barkat de.“ Aap صلی اللہ علیہ وسلم ki murad ahl-e-Madinah (ke saa' o mudd) se thi (Madni saa' aur mudd ko bhi tareekhi azmat hasil hai).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7332
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر،" ان اليهود جاءوا إلى النبي صلى الله عليه وسلم برجل وامراة زنيا، فامر بهما، فرجما قريبا من حيث توضع الجنائز عند المسجد".
`Hum se Ibrahim bin al-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Abu Zamra ne bayan kiya, kaha hum se Musa bin Uqba ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas Yahudi ek mard aur ek aurat ko le kar aaye jinhon ne zina kiya tha to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke liye rajm ka hukm diya aur unhein masjid ki ek jagah ke qareeb rajm kiya gaya jahan janaze rakkhe jate hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7333
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن عمرو مولى المطلب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" طلع له احد، فقال: هذا جبل يحبنا ونحبه اللهم إن إبراهيم حرم مكة، وإني احرم ما بين لابتيها"، تابعه سهل، عن النبي صلى الله عليه وسلم في احد.
`Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Muttalib ke mola Amr ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Uhud pahad Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ko (raste mein) dikhayi diya to aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh wo pahad hai jo hum se muhabbat rakhta hai aur hum is se muhabbat rakhte hain. Ae Allah! Ibrahim Alaihis Salam ne Makkah ko hurmat wala qarar diya tha aur mein Tere hukm se is ke donon pathrele kinaron ke darmiyani ilaqa ko hurmat wala qarar deta hoon. Is riwayat ki mutabi'at Sahl Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Uhud ke mutalliq ki hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7334
حدثنا ابن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، حدثني ابو حازم، عن سهل، انه كان" بين جدار المسجد مما يلي القبلة وبين المنبر ممر الشاة".
`Hum se Ibn Abi Maryam ne bayan kiya, kaha hum se Abu Gassan ne bayan kiya, kaha mujh se Abu Hazim ne bayan kiya, un se Sahl Radi Allahu Anhu ne ke Masjid-e-Nabwi ki qibla ki taraf deewar aur mimbar ke darmiyan bakriyon ke guzarne jitna fasla tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7335
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا عبد الرحمن بن مهدي، حدثنا مالك، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة، ومنبري على حوضي".
`Hum se Umar bin Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdur Rahman bin Mahdi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Malik ne bayan kiya, un se Khubaib bin Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Hafs bin Aasim ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere hujra aur mere mimbar ke darmiyan ki zameen jannat ke bagon mein se ek bagh hai aur mera yeh mimbar mere hauz par ho ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7336
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، عن عبد الله، قال:" سابق النبي صلى الله عليه وسلم بين الخيل، فارسلت التي ضمرت منها وامدها إلى الحفياء إلى ثنية الوداع والتي لم تضمر امدها ثنية الوداع إلى مسجد بني زريق وان عبد الله كان فيمن سابق".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Juwairiya ne bayan kiya, un se Nafi ne aur un se Abdullah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne ghodon ki daud karayi aur wo ghode chhode gaye jo ghod-daud ke liye tayyar kiye gaye thay to un ke daudne ka maidan maqaam-e-Hafya se Saniyyat al-Wada tak tha aur jo tayyar nahi kiye gaye thay un ke daudne ka maidan Saniyyat al-Wada se Masjid-e-Bani Zuraiq tak tha aur Abdullah Radi Allahu Anhu bhi un logon mein thay jinhon ne muqable mein hissa liya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7337
حدثنا قتيبة، عن ليث، عن نافع، عن ابن عمر. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا عيسى، وابن إدريس، وابن ابي غنية، عن ابي حيان، عن الشعبي، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" سمعت عمر على منبر النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Qutaiba ne bayan kiya, un se Laith ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne (doosri sanad) aur mujh se Ishaq ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Isa aur Ibn Idrees ne khabar di aur Ibn Abi Ganiyya ne khabar di, unhein Abu Hayyan ne, unhein Sha'bi ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Umar Radi Allahu Anhu ko Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar par (khutba dete) suna.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة