الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ كَيْفَ كَانَ عَيْشُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَصْحَابِهِ، وَتَخَلِّيهِمْ مِنَ الدُّنْيَا:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam aur Aap Sallallahu alaihi wasallam ke Sahaba ke guzaraan ka bayaan aur dunya se kinara kashi ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6453
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن إسماعيل، حدثنا قيس، قال: سمعت سعدا، يقول:" إني لاول العرب رمى بسهم في سبيل الله، ورايتنا نغزو وما لنا طعام إلا ورق الحبلة وهذا السمر، وإن احدنا ليضع كما تضع الشاة ما له خلط، ثم اصبحت بنو اسد تعزرني على الإسلام خبت إذا وضل سعيي".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya , in se Ismail bin Abi Khalid ne , in se Qays ne bayan kiya , kaha ke main ne Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke main sab se pehla Arab hoon jis ne Allah ke raaste mein teer chalaye . Hum ne is haal mein waqt guzara hai ke jihad kar rahe hain aur hamare paas khane ki koi cheez hublah ke patton aur is babool ke siwa khane ke liye nahi thi aur bakri ki mangniyon ki tarah hum pakhana kiya karte thay . Ab yeh Banu Asad ke log mujhko Islam sikhla kar durust karna chahte hain phir to main bilkul bad-naseeb thehra aur mera saara kiya karaya akaarat gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6454
حدثني عثمان، حدثنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة، قالت:" ما شبع آل محمد صلى الله عليه وسلم منذ قدم المدينة من طعام بر ثلاث ليال تباعا حتى قبض".
Mujh se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya , kaha mujh se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne , in se Mansoor ne , in se Ibrahim ne , in se Aswad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke ghar walon ko Madinah aane ke baad kabhi teen din tak barabar gehoon ki roti khane ke liye nahi mili , yahan tak ki Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki rooh qabz ho gayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6455
حدثني إسحاق بن إبراهيم بن عبد الرحمن، حدثنا إسحاق هو الازرق، عن مسعر بن كدام، عن هلال الوزان، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما اكل آل محمد صلى الله عليه وسلم اكلتين في يوم إلا إحداهما تمر".
Mujh se Ishaq bin Ibrahim bin Abd-ur-Rahman Baghwawi ne bayan kiya , kaha hum se Ishaq Azraq ne bayan kiya , in se Mis-ar bin Kidam ne , in se Hilal ne , in se Urwah bin Zubayr ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke gharana ne agar kabhi ek din mein do martaba khana khaya to zaroor is mein ek waqt sirf khajoorein hoti thien .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6456
حدثني احمد ابن ابي رجاء، حدثنا النضر، عن هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة، قالت:" كان فراش رسول الله صلى الله عليه وسلم من ادم وحشوه من ليف".
Mujh se Ahmad bin Rajaa ne bayan kiya , kaha hum se Nadr ne bayan kiya , in se Hisham bin Urwah ne kaha ke mujhe mere walid ne khabar di aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka bistar chamre ka thu aur is mein khajoor ki chhaal bhari hui ku .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6457
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام بن يحيى، حدثنا قتادة، قال: كنا ناتي انس بن مالك وخبازه قائم، وقال:" كلوا فما اعلم النبي صلى الله عليه وسلم راى رغيفا مرققا حتى لحق بالله، ولا راى شاة سميطا بعينه قط".
Hum se Hudba bin Khalid ne bayan kiya , kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Qatadah ne bayan kiya kaha ke hum Anas bin Malik razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir hote , in ka naan-bai wahien maujood hota (jo rotiyaan paka paka kar deta jata) Anas razi Allahu anhu logon se kehte ke khao , main ne kabhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko patli roti khate nahi dekha aur na Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi apni aankh se samuchi bhuni hui bakri dekhi . Yahan tak ke Aap ka intiqal ho gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6458
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا هشام، اخبرني ابي، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان ياتي علينا الشهر ما نوقد فيه نارا، إنما هو التمر والماء، إلا ان نؤتى باللحيم".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , kaha hum se Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya , kaha mujhko mere walid ne khabar di aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke hamare oopar aisa mahina bhi guzar jata thu ke chulha nahi jalta thu , sirf khajoor aur pani hota thu , haan agar kabhi kisi jagah se kuch thora sa gosht aa jata to us ko bhi kha laite thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6459
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله الاويسي، حدثني ابن ابي حازم، عن ابيه، عن يزيد بن رومان، عن عروة، عن عائشة، انها قالت لعروة ابن اختي:" إن كنا لننظر إلى الهلال ثلاثة اهلة في شهرين، وما اوقدت في ابيات رسول الله صلى الله عليه وسلم نار"، فقلت: ما كان يعيشكم? قالت:" الاسودان التمر والماء، إلا انه قد كان لرسول الله صلى الله عليه وسلم جيران من الانصار كان لهم منائح، وكانوا يمنحون رسول الله صلى الله عليه وسلم من ابياتهم فيسقيناه".
Hum se Abd-ul-Aziz bin Abdullah Owaysi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya , in se un ke walid ne bayan kiya , in se Yazid bin Rooman ne bayan kiya , in se Urwah bin Zubayr ne aur in se Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya unhon ne Urwah se kaha , bete! Hum do mahinon mein teen chaand dekh laite hain aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam (ki biwiyon) ke gharon mein chulha nahi jalta thu . Main ne poochha phir Aap log zinda kis cheez par rehti thien ? Batlaya ke sirf do kaali cheezon par , khajoor aur pani . Haan , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke kuch Ansari parosi thay jin ke yahan dudhail oontniyaan thien woh apne gharon se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye doodh bhej dete aur Aap hamain wahi doodh pila dete thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6460
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا محمد بن فضيل، عن ابيه، عن عمارة، عن ابي زرعة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اللهم ارزق آل محمد قوتا".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Fuzhail ne bayan kiya , in se un ke walid ne , in se Ammarah ne , in se Abu Zurah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne dua ki «allaahum-mar-zuq aala muhammadin qootan» ”Ae Allah! Aal e Muhammad ko itni rozi de ke woh zinda reh sakein .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَصْدِ وَالْمُدَاوَمَةِ عَلَى الْعَمَلِ:
Neek amal par hameshaagi karna aur darmiyaani chaal chalna (na kami ho na zyadti).
Show diacritics
Hadith Number: 6461
حدثنا عبدان، اخبرنا ابي، عن شعبة، عن اشعث، قال: سمعت ابي، قال: سمعت مسروقا، قال: سالت عائشة رضي الله عنها اي العمل كان احب إلى النبي صلى الله عليه وسلم؟ قالت:" الدائم"، قال: قلت: فاي حين كان يقوم؟ قالت:" كان يقوم إذا سمع الصارخ".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum se hamare walid Usman bin Habla ne khabar di , unhein Shubah ne , in se Ash-as ne bayan kiya ke main ne apne walid Abu al-Shas-sa Saleem bin Aswad se suna , unhon ne bayan kiya ke main ne Masrooq se suna , kaha ke main ne Aisha razi Allahu anha se poochha , kaun si ibadat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko zyada pasand thi , farmaya ke jis par hameshagi ho sake , kaha ke main ne poochha Aap raat ko tahajjud ke liye kab uthte thay ? Batlaya ke jab murgh ki aawaz sun laite .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6462
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، انها قالت:" كان احب العمل إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم الذي يدوم عليه صاحبه".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , in se Imam Malik ne , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sab se zyada pasandida woh amal thu jis ko aadmi hamesha karta rahe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة