الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الصَّبْرِ عَنْ مَحَارِمِ اللَّهِ:
Allah ki haraam ki hui cheezon se bachna un se sabr kiye rehna.
Hadith Number: 6471
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا مسعر، حدثنا زياد بن علاقة، قال: سمعت المغيرة بن شعبة يقول: كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي حتى ترم او تنتفخ قدماه، فيقال له، فيقول:" افلا اكون عبدا شكورا".
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Mis-ar bin Kidam ne bayan kiya , kaha hum se Ziyad bin Ilaqa ne bayan kiya , kaha ke main ne Mugheera bin Shubah razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam itni namaz parhte ke Aap ke qadmon mein waram aa jata ya kaha ke Aap ke qadam phool jaate . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se arz ki jaati ke Aap to bakhshe huay hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate hain ke kiya main Allah ka shukr-guzar banda na banoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَمَنْ يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ}:
Jo Allah par bharosa kare ga Allah bhi us ke liye kaafi ho ga.
Hadith Number: Q6472
قال الربيع بن خثيم: من كل ما ضاق على الناس.
Rabee bin Khaisam tabi ne bayan kiya ke murad hai ke tamam insani mushkilat mein Allah par bharosa ikhtiyar kare .
Hadith Number: 6472
حدثني إسحاق، حدثنا روح بن عبادة، حدثنا شعبة، قال: سمعت حصين بن عبد الرحمن قال: كنت قاعدا عند سعيد بن جبير، فقال: عن ابن عباس: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يدخل الجنة من امتي سبعون الفا بغير حساب، هم الذين لا يسترقون، ولا يتطيرون، وعلى ربهم يتوكلون".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Rauh bin Ubadah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke main ne Haseen bin Abdullah se suna , unhon ne kaha ke main Saeed bin Jubayr ki khidmat mein baitha hua thu , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meri ummat ke sattar hazar log be-hisab jannat mein jayein ge . Yeh woh log hon ge jo jhaarh phoonk nahi karate na shugoon laite hain aur apne Rabb hi par bharosa rakhte hain .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنْ قِيلَ وَقَالَ:
Be-faida baat cheet karna mana hai.
Hadith Number: 6473
حدثنا علي بن مسلم، حدثنا هشيم، اخبرنا غير واحد منهم مغيرة، وفلان، ورجل ثالث ايضا، عن الشعبي، عن وراد كاتب المغيرة بن شعبة، ان معاوية كتب إلى المغيرة، ان اكتب إلي بحديث سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: فكتب إليه المغيرة: إني سمعته يقول عند انصرافه من الصلاة:" لا إله إلا الله، وحده لا شريك له، له الملك، وله الحمد، وهو على كل شيء قدير، ثلاث مرات، قال: وكان ينهى عن قيل وقال، وكثرة السؤال، وإضاعة المال، ومنع، وهات، وعقوق الامهات، وواد البنات"، وعن هشيم، اخبرنا عبد الملك بن عمير، قال: سمعت ورادا، يحدث هذا الحديث، عن المغيرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali bin Muslim ne bayan kiya , kaha hum se Hushaim ne bayan kiya , kaha hum ko ek se zyada kai aadmiyon ne khabar di jin mein Mugheera bin Miqsam aur falan ne (Mujalid bin Saeed , in ki riwayat ko Ibn Khuzaymah ne nikala) aur ek teesre sahab Dawood bin Abi Hind bhi hain , unhein Shabi ne , unhein Mugheera bin Shubah razi Allahu anhu ke kaatib Warrad ne ke Muawiyah razi Allahu anhu ne Mugheera ko likha ke koi hadees jo Aap ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suni ho woh mujhe likh bheijo . Rawi ne bayan kiya ke phir Mugheera razi Allahu anhu ne unhein likha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai , Aap namaz se farigh hone ke baad yeh dua parhte «laa ilaaha illallaahu wahdahoo laa shareeka lahoo lahul-mulku wa lahul-hamdu wa huwa alaa kulli shay-in qadeer» ke ”Allah ke siwa koi mabood nahi jo tanha hai is ka koi shareek nahi , badshahat usi ki hai aur tamam tareefein usi ke liye hain aur woh har cheez par qudrat rakhne wala hai .“ Yeh teen martaba parhte . Bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam be-faida baat cheet karne , zyada sawal karne , maal zhaya karne , apni cheez bacha kar rakhne aur doosron ki maangte rehne , maaon ki nafarmani karne aur larkiyon ko zinda dar-goar karne se mana farmate thay . Aur Hushaim se riwayat hai , unhein Abd-ul-Malik ibn Umair ne khabar di , kaha ke main ne Warrad se suna , woh yeh hadees Mugheera razi Allahu anhu se bayan karte thay aur woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حِفْظِ اللِّسَانِ:
Zabaan ki (ghalat baaton se) hifazat karna.
Hadith Number: Q6474
وقول النبي صلى الله عليه وسلم: من كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليقل خيرا او ليصمت، وقوله تعالى: ما يلفظ من قول إلا لديه رقيب عتيد سورة ق آية 18.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh farmana ke jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke woh achhi baat kahe ya phir chup rahe . Aur Allah Ta'ala ka yeh farmana «maa yalfizhu min qaulin illaa ladaihi raqeebun ateedun» ke ”insan jo baat bhi zaban se nikalta hai to is ke (likhne ke liye) ek chaukidaar farishta tayyar rehta hai .“
Hadith Number: 6474
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، حدثنا عمر بن علي، سمع ابا حازم، عن سهل بن سعد، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من يضمن لي ما بين لحييه، وما بين رجليه اضمن له الجنة".
Hum se Muhammad bin Abu Bakr Muqad-dami ne bayan kiya , kaha hum se Umar bin Ali ne bayan kiya , unhon ne Abu Hazim se suna , unhon ne Sahl bin Saad razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”mere liye jo shakhs donon jabron ke darmiyan ki cheez (zaban) aur donon taangon ke darmiyan ki cheez (sharmgah) ki zimma-dari de-de main is ke liye jannat ki zimma-dari deta hoon .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6475
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليقل خيرا او ليصمت، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فلا يؤذ جاره، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليكرم ضيفه".
Mujh se Abd-ul-Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , in se Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke achhi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai woh apne parosi ko takleef na pahunchaye aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne mehman ki izzat kare .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6476
حدثنا ابو الوليد، حدثنا ليث، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي شريح الخزاعي، قال: سمع اذناي، ووعاه قلبي النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الضيافة ثلاثة ايام جائزته، قيل: ما جائزته، قال: يوم وليلة، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليكرم ضيفه، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليقل خيرا او ليسكت".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hamase Saeed Muqbiri ne bayan kiya , in se Abu Shuraih Khuza'i ne bayan kiya unhon ne kaha ke mere donon kaanon ne suna hai aur mere dil ne yaad rakkha hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya thu ”mehmani teen din ki hoti hai magar jo lazmi hai woh to poori karo .“ Poochha gaya lazmi kitni hai ? Farmaya ke ek din aur ek raat aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke apne mehman ki khatir kare aur jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke achhi baat kahe warna chup rahe .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6477
حدثني إبراهيم بن حمزة، حدثني ابن ابي حازم، عن يزيد، عن محمد بن إبراهيم، عن عيسى بن طلحة بن عبيد الله التيمي، عن ابي هريرة، سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن العبد ليتكلم بالكلمة ما يتبين فيها، يزل بها في النار ابعد مما بين المشرق".
Mujh se Ibrahim bin Hamza ne bayan kiya , kaha mujh se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya , in se Yazid bin Abdullah ne , in se Muhammad bin Ibrahim ne , in se Esa bin Talha Taymi ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”banda ek baat zaban se nikalta hai aur is ke mutalliq sochta nahi (kitni kufr aur be-adbi ki baat hai) jis ki wajah se woh dozakh ke gar-rhe mein itni door gir parta hai jitna maghrib se mashriq door hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6478
حدثني عبد الله بن منير، سمع ابا النضر، حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله يعني ابن دينار، عن ابيه، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن العبد ليتكلم بالكلمة من رضوان الله لا يلقي لها بالا، يرفعه الله بها درجات، وإن العبد ليتكلم بالكلمة من سخط الله لا يلقي لها بالا، يهوي بها في جهنم".
Mujh se Abdullah bin Muneer ne bayan kiya , unhon ne Abu al-Nadr se suna , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Rahman bin Abdullah yani Ibn Dinar ne bayan kiya , in se un ke walid ne , in se Abu Salih ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”banda Allah ki raza-mandi ke liye ek baat zaban se nikalta hai usay woh koi ahmiyat nahi deta magar isi ki wajah se Allah is ke darje buland kar deta hai aur ek doosra banda ek aisa kalma zaban se nikalta hai jo Allah ki narazgi ka bais hota hai usay woh koi ahmiyat nahi deta lekin is ki wajah se woh jahannum mein chala jata hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة