الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الرِّيَاءِ وَالسُّمْعَةِ:
Riya aur shohrat talbi ki muzammat mein.
Hadith Number: 6499
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، حدثني سلمة بن كهيل. ح وحدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن سلمة، قال: سمعت جندبا، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم ولم اسمع احدا يقول، قال النبي صلى الله عليه وسلم غيره، فدنوت منه فسمعته يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من سمع، سمع الله به، ومن يرائي، يرائي الله به".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya ne bayan kiya , in se Sufyan ne , kaha mujh se Salama bin Kuhail ne bayan kiya . (Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hamase Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Salama ne bayan kiya ke main ne Jundub razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya aur main ne Aap ke siwa kisi ko yeh kehte nahi suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , chunanche main in ke qareeb pahuncha to main ne suna ke woh keh rahe thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (kisi naik kaam ke nateeja mein) jo shohrat ka talib ho Allah Ta'ala is ki bad-niyati Qayamat ke din sab ko suna de ga . Isi tarah jo koi logon ko dikhane ke liye naik kaam kare ga Allah bhi Qayamat ke din usay sab logon ko dikhla de ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ جَاهَدَ نَفْسَهُ فِي طَاعَةِ اللَّهِ:
Jo Allah ki itaa'at mein apne nafs ko dabaye us ki fazilat ka bayaan.
Hadith Number: 6500
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام، حدثنا قتادة، حدثنا انس بن مالك، عن معاذ بن جبل رضي الله عنه، قال: بينما انا رديف النبي صلى الله عليه وسلم ليس بيني وبينه إلا آخرة الرحل، فقال:" يا معاذ"، قلت: لبيك يا رسول الله وسعديك، ثم سار ساعة، ثم قال:" يا معاذ"، قلت: لبيك يا رسول الله وسعديك، ثم سار ساعة، ثم قال:" يا معاذ بن جبل"، قلت: لبيك رسول الله وسعديك، قال:" هل تدري ما حق الله على عباده؟"، قلت: الله ورسوله اعلم، قال:" حق الله على عباده: ان يعبدوه، ولا يشركوا به شيئا"، ثم سار ساعة، ثم قال:" يا معاذ بن جبل"، قلت: لبيك رسول الله وسعديك، قال:" هل تدري ما حق العباد على الله إذا فعلوه؟"، قلت: الله ورسوله اعلم، قال:" حق العباد على الله ان لا يعذبهم".
Hum se Hudba bin Khalid ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Humam bin Haris ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya aur in se Maaz bin Jabal razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki sawari par Aap ke peeche baitha hua thu . Siwa kajawa ke aakhri hissa ke mere aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke darmiyan koi cheez haail nahi ku . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , Ae Maaz! Main ne arz kiya labbaik wa sadaik , ya Rasool Allah! Phir thori der Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chalte rahe phir farmaya , Ae Maaz! Main ne arz kiya labbaik wa sadaik ya Rasool Allah! Phir thori der mazeed Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chalte rahe . Phir farmaya , Ae Maaz! Main ne arz kiya labbaik wa sadaik ya Rasool Allah! Farmaya , tumhein maloom hai ke Allah ka apne bandon par kya haq hai ? Main ne arz kiya Allah aur us ke Rasool ko zyada ilm hai . Farmaya , Allah ka bandon par yeh haq hai ke woh Allah hi ki ibadat karein aur is ke saath kisi ko shareek na thehrayein . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam thori der chalte rahe aur farmaya , Ae Maaz bin Jabal! Main ne arz kiya labbaik wa sadaik ya Rasool Allah! Farmaya , tumhein maloom hai ke jab bande yeh kar lein to in ka Allah par kya haq hai ? Main ne arz kiya Allah aur us ke Rasool ko zyada ilm hai . Farmaya ke bandon ka Allah par yeh haq hai ke woh unhein azab na de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّوَاضُعِ:
Ajzi karne ke bayaan mein.
Hadith Number: 6501
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا زهير، حدثنا حميد، عن انس رضي الله عنه، كان للنبي صلى الله عليه وسلم ناقة، قال. ح حدثني محمد، اخبرنا الفزاري، وابو خالد الاحمر، عن حميد الطويل، عن انس، قال: كانت ناقة لرسول الله صلى الله عليه وسلم تسمى العضباء، وكانت لا تسبق فجاء اعرابي على قعود له فسبقها، فاشتد ذلك على المسلمين، وقالوا: سبقت العضباء، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن حقا على الله ان لا يرفع شيئا من الدنيا إلا وضعه".
Hum se Malik bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Zubayr bin Muawiyah ne bayan kiya , kaha hum se Humayd ne bayan kiya , in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek oontni thi (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur mujh se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , kaha hum ko Fazari ne aur Abu Khalid Ahmar ne khabar di , unhein Humayd Taweel ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki ek oontni ku jis ka naam Azhbaa tha (koi janwar daur mein) is se aage nahi barh paata tha . Phir ek aarabi apne oont par sawar ho kar aaya aur woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki oontni se aage barh gaya . Musalmanon par yeh muamla bara shaaq guzra aur kehne lage ke afsos Azhbaa peeche reh gayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke Allah Ta'ala ne apne oopar yeh lazim kar liya hai ke jab duniya mein woh kisi cheez ko barhata hai to usay woh ghata-ta bhi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6502
حدثني محمد بن عثمان بن كرامة، حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، حدثني شريك بن عبد الله بن ابي نمر، عن عطاء، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إن الله قال:" من عادى لي وليا فقد آذنته بالحرب، وما تقرب إلي عبدي بشيء احب إلي مما افترضت عليه، وما يزال عبدي يتقرب إلي بالنوافل حتى احبه، فإذا احببته كنت سمعه الذي يسمع به، وبصره الذي يبصر به، ويده التي يبطش بها، ورجله التي يمشي بها، وإن سالني لاعطينه، ولئن استعاذني لاعيذنه، وما ترددت عن شيء انا فاعله ترددي عن نفس المؤمن يكره الموت، وانا اكره مساءته".
Mujh se Muhammad bin Usman ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Makhlad ne , kaha hum se Sulayman bin Bilal ne , in se Shareek bin Abdullah bin Abi Namr ne , in se Ata ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala farmata hai ke jis ne mere kisi wali se dushmani ki usay meri taraf se elaan e jang hai aur mera banda jin jin ibadaton se mera qurb haasil karta hai aur koi ibadat mujhko is se zyada pasand nahi hai jo main ne is par farz ki hai (yani faraiz mujhko bahut pasand hain jaise namaz , roza , Hajj , zakat) aur mera banda farz ada karne ke baad nafl ibadatein kar ke mujh se itna nazdeek ho jata hai ke main is se mohabbat karne lag jata hoon . Phir jab main is se mohabbat karne lag jata hoon to main is ka kaan ban jata hoon jis se woh sunta hai , is ki aankh ban jata hoon jis se woh dekhta hai , is ka hath ban jata hoon jis se woh pakarta hai , is ka paon ban jata hoon jis se woh chalta hai aur agar woh mujh se maangta hai to main usay deta hoon agar woh kisi dushman ya shaytan se meri panah maangta hai to main usay mahfooz rakkhta hoon aur main jo kaam karna chahta hoon is mein mujhe itna tarad-dud nahi hota jitna ke mujhe apne momin bande ki jaan nikaalne mein hota hai . Woh to maut ko baje takleef jismani ke pasand nahi karta aur mujhko bhi usay takleef dena bura lagta hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «بُعِثْتُ أَنَا وَالسَّاعَةَ كَهَاتَيْنِ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka irshaad ke mein aur qiyamat dono aise qareeb hain jaise yeh (kalma aur beech ki ungliyan) qareeb hain.
Hadith Number: Q6503
وما امر الساعة إلا كلمح البصر او هو اقرب إن الله على كل شيء قدير سورة النحل آية 77.
(Surah al-Nahl mein Allah Ta'ala ka irshad hai) «wa maa amrus-saa-ati illaa kalamhil-basari au huwa aqrabu innallaaha alaa kulli shay-in qadeer» ”aur Qayamat ka muamla to bas aankh jhapkne ki tarah hai ya woh is se bhi jald hai beshak Allah har cheez par qudrat rakhne wala hai .“
Hadith Number: 6503
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، حدثنا ابو حازم عن سهل، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بعثت انا والساعة هكذا"، ويشير بإصبعيه فيمد بهما.
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne bayan kiya , kaha hum se Abu Ghassan ne bayan kiya , kaha hum se Abu Hazim ne bayan kiya , in se Sahl razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main aur Qayamat itne nazdeek nazdeek bheje gaye hain aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apni do ungliyon ke isharah se (is nazdeeki ko) bataya phir in donon ko phailaya .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6504
حدثني عبد الله بن محمد هو الجعفي، حدثنا وهب بن جرير، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بعثت انا والساعة كهاتين".
Mujh se Abdullah bin Muhammad Jafi ne bayan kiya , kaha hum se Wahb bin Jareer ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Qatadah aur Abu al-Tay-yah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main aur Qayamat in donon (ungliyon) ki tarah (nazdeek nazdeek) bheje gaye hain .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6505
حدثني يحيى بن يوسف، اخبرنا ابو بكر، عن ابي حصين، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بعثت انا والساعة كهاتين"، يعني إصبعين، تابعه إسرائيل، عن ابي حصين.
Mujh se Yahya bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum ko Abu Bakr bin Ay-yash ne khabar di , unhein Abu Haseen ne , unhein Abu Salih ne , unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main aur Qayamat in do ki tarah bheje gaye hain . Aap ki murad do ungliyon se thi .“ Abu Bakr bin Ay-yash ke saath is hadees ko Israeel ne bhi Abu Haseen se riwayat kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
...
Hadith Number: 6506
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى تطلع الشمس من مغربها، فإذا طلعت فرآها الناس، آمنوا اجمعون فذلك حين لا ينفع نفسا إيمانها لم تكن آمنت من قبل او كسبت في إيمانها خيرا، ولتقومن الساعة وقد نشر الرجلان ثوبهما بينهما، فلا يتبايعانه ولا يطويانه، ولتقومن الساعة وقد انصرف الرجل بلبن لقحته فلا يطعمه، ولتقومن الساعة وهو يليط حوضه فلا يسقي فيه، ولتقومن الساعة وقد رفع احدكم اكلته إلى فيه فلا يطعمها".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hamase Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Abd-ul-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak sooraj maghrib se na nikle ga . Jab sooraj maghrib se nikle ga aur log dekh lein ge to sab iman le aayein ge , yahi woh waqt ho ga jab kisi ko is ka iman nafa nahi de ga jo is se pehle iman na laya ho ga ya jis ne iman ke baad amal e khair na kiya ho . Pas Qayamat aa jaye gi aur do aadmi kapra darmiyan mein (khareed o farokht ke liye) phailaye huay hon ge . Abhi khareed o farokht bhi nahi hui ho gi aur na unhon ne usay lapeita hi ho ga (ke Qayamat qaim ho jaye gi) aur Qayamat is haal mein qaim ho jaye gi ke ek shakhs apni oontni ka doodh le kar aa raha ho ga aur usay pee bhi nahi sake ga aur Qayamat is haal mein qaim ho jaye gi ke ek shakhs apna hauz tayyar kara raha ho ga aur is ka pani bhi na pee paye ga . Qayamat is haal mein qaim ho jaye gi ke ek shakhs apna luqma apne munh ki taraf uthaye ga aur usay khane bhi na paye ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: «مَنْ أَحَبَّ لِقَاءَ اللَّهِ أَحَبَّ اللَّهُ لِقَاءَهُ» :
Jo Allah se mulaqaat ko pasand rakhta hai Allah bhi us se milne ko pasand rakhta hai.
Hadith Number: 6507
حدثنا حجاج، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن انس، عن عبادة بن الصامت، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من احب لقاء الله، احب الله لقاءه، ومن كره لقاء الله، كره الله لقاءه"، قالت عائشة: او بعض ازواجه إنا لنكره الموت، قال:" ليس ذاك ولكن المؤمن إذا حضره الموت بشر برضوان الله وكرامته، فليس شيء احب إليه مما امامه فاحب لقاء الله واحب الله لقاءه، وإن الكافر إذا حضر بشر بعذاب الله وعقوبته، فليس شيء اكره إليه مما امامه كره لقاء الله وكره الله لقاءه"، اختصره ابو داود، وعمرو، عن شعبة، وقال سعيد، عن قتادة، عن زرارة، عن سعد، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Hajjaj ne bayan kiya , kaha hum se Humam ne , kaha hum se Qatadah ne in se Anas razi Allahu anhu ne aur in se Ubadah bin Samit razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs Allah se milne ko mahboob rakkhta hai , Allah bhi is se milne ko mahboob rakkhta hai aur jo Allah se milne ko pasand nahi karta hai Allah bhi is se milne ko pasand nahi karta .“ Aur Aisha razi Allahu anha ya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki baaz azwaj ne arz kiya ke marna to hum bhi nahi pasand karte ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ke milne se maut murad nahi hai balkay baat yeh hai ke imandar aadmi ko jab maut aati hai to usay Allah ki khushnoodi aur is ke yahan is ki izzat ki khush-khabri di jaati hai . Is waqt momin ko koi cheez is se zyada azeez nahi hoti jo is ke aage (Allah se mulaqat aur is ki raza aur jannat ke husool ke liye) hoti hai , is liye woh Allah se mulaqat ka khwahish-mand ho jata hai aur Allah bhi is ki mulaqat ko pasand karta hai aur jab kafir ki maut ka waqt qareeb aata hai to usay Allah ke azab aur is ki saza ki bisharat di jaati hai , is waqt koi cheez is ke dil mein is se zyada nagowar nahi hoti jo is ke aage hoti hai . Woh Allah se ja milne ko napasand karne lagta hai , pas Allah bhi is se milne ko napasand karta hai . Abu Dawood Tayalisi aur Amr bin Marzooq ne is hadees ko Shubah se mukhtasaran riwayat kiya hai aur Saeed bin Abi Aroobah ne bayan kiya , in se Qatadah ne , in se Zhuraara bin Abi Aufa ne , in se Saad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة