الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ كَيْفَ الْحَشْرُ:
Hashr ki kaifiyat ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 6526
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن المغيرة بن النعمان، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: قام فينا النبي صلى الله عليه وسلم، يخطب فقال:" إنكم محشورون حفاة عراة غرلا، كما بدانا اول خلق نعيده سورة الانبياء آية 104 الآية، وإن اول الخلائق يكسى يوم القيامة إبراهيم، وإنه سيجاء برجال من امتي فيؤخذ بهم ذات الشمال، فاقول يا رب: اصحابي، فيقول: إنك لا تدري ما احدثوا بعدك، فاقول كما قال العبد الصالح: وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم إلى قوله: الحكيم سورة المائدة آية 117 - 118، قال: فيقال: إنهم لم يزالوا مرتدين على اعقابهم".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Mugheera bin Nu-man ne bayan kiya , in se Saeed bin Jubayr ne , in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamain khutba dene ke liye khare huay aur farmaya ”tum log Qayamat ke din is haal mein jama kiye jao ge ke nange paon aur nange jism ho ge . Jaisa ke Allah Ta'ala ne farmaya «kamaa bada'naa awwala khalqin nueeduhoo» ke ”jis tarah hum ne shuru mein paida kiya tha isi tarah lauta dein ge .“ Aur tamam makhlooqat mein sab se pehle jise kapra pehnaya jaye ga woh Ibrahim alaihissalam hon ge aur meri ummat ke bahut se log laaye jayein ge jin ke aamal-name bayein hath mein hon ge . Main is par kahoon ga: Ae mere Rabb! Yeh to mere saathi hain . Allah Ta'ala farmaye ga tumhein maloom nahi ke unhon ne tumhare baad kya kya nayi nayi bidaat nikali thien . Is waqt main bhi wahi kahoon ga jo naik bande (Esa alaihissalam) ne kaha «wa kuntu alaihim shaheedam-maa dumtu feehim» ke ”ya Allah! Main jab tak in mein maujood raha is waqt tak main in par gawah tha .“ Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bayan kiya ke farishte (mujh se) kahein ge ke yeh log hamesha apni aerhiyon ke bal phirte hi rahe (murtad hote rahe) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6527
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا حاتم بن ابي صغيرة، عن عبد الله بن ابي مليكة، قال: حدثني القاسم بن محمد بن ابي بكر، ان عائشة رضي الله عنها، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" تحشرون حفاة عراة غرلا"، قالت عائشة: فقلت يا رسول الله: الرجال والنساء ينظر بعضهم إلى بعض، فقال:" الامر اشد من ان يهمهم ذاك".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Haris ne bayan kiya , kaha hum se Hatim bin Abi Sagheera ne bayan kiya , in se Abdullah bin Abi Mulaykah ne bayan kiya , kaha ke mujh se Qasim bin Muhammad bin Abi Bakr ne bayan kiya aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum nange paon , nange jism , bila khatna ke uthaye jao ge .“ Aisha razi Allahu anha farmati hain ke is par main ne poochha: ya Rasool Allah! To kya mard auratein ek doosre ko dekhte hon ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is waqt muamla is se kahin zyada sakht ho ga , is ka khayal bhi koi nahi kar sake ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6528
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن عمرو بن ميمون، عن عبد الله، قال: كنا مع النبي في قبة فقال:" اترضون ان تكونوا ربع اهل الجنة؟"، قلنا: نعم، قال:" اترضون ان تكونوا ثلث اهل الجنة؟"، قلنا: نعم، قال:" اترضون ان تكونوا شطر اهل الجنة؟"، قلنا: نعم، قال:" والذي نفس محمد بيده، إني لارجو ان تكونوا نصف اهل الجنة، وذلك ان الجنة لا يدخلها إلا نفس مسلمة، وما انتم في اهل الشرك إلا كالشعرة البيضاء في جلد الثور الاسود، او كالشعرة السوداء في جلد الثور الاحمر".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Abu Ishaq ne bayan kiya , in se Amr bin Maymoon ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek khaime mein thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya tum is par raazi ho ke ahal e jannat ka ek chauthayi raho ? Hum ne kaha ke ji haan . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya tum is par raazi ho ke ahal e jannat ka tum ek tihayi raho ? Hum ne kaha ji haan . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya tum is par raazi ho ke ahal e jannat ka tum nisf raho ? Hum ne kaha ji haan . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is zaat ki qasam jis ke hath mein Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) ki jaan hai , mujhe umeed hai ke tum log (Ummat e Muslimah) ahal e jannat ka hissa hon ge aur aisa is liye ho ga ke jannat mein farman-bardar nafs ke alawa aur koi dakhil na ho ga aur tum log shirk karne walon ke darmiyan (tadaad mein) is tarah hon ge jaise siyah bail ke jism par sufaid baal hote hain ya jaise surkh ke jism par ek siyah baal ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6529
حدثنا إسماعيل، حدثني اخي، عن سليمان، عن ثور، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اول من يدعى يوم القيامة، آدم فتراءى ذريته، فيقال: هذا ابوكم آدم، فيقول: لبيك وسعديك، فيقول: اخرج بعث جهنم من ذريتك، فيقول: يا رب: كم اخرج، فيقول: اخرج من كل مائة تسعة وتسعين"، فقالوا: يا رسول الله: إذا اخذ منا من كل مائة تسعة وتسعون فماذا يبقى منا؟ قال:" إن امتي في الامم كالشعرة البيضاء في الثور الاسود".
Hum se Ismail bin Oways ne bayan kiya , kaha mujh se mere bhai ne bayan kiya , in se Sulayman ne , in se Sawr ne , in se Abu al-Ghais ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din sab se pehle Adam alaihissalam ko pukara jaye ga . Phir in ki nasl unhein dekhe gi to kaha jaye ga ke yeh tumhare buzurg dada Adam hain . (pukaarne par) woh kahein ge ke labbaik wa sadaik . Allah Ta'ala farmaye ga ke apni nasl mein se dozakh ka hissa nikaal lo . Adam alaihissalam arz karein ge Ae Parvardigar! Kitnon ko nikaaloon ? Allah Ta'ala farmaye ga feesad (ninaanway feesad dozakhi ek jannati) . Sahabah rizwan-ullaahi alaihim ne arz kiya: ya Rasool Allah! Jab hum mein sau mein ninaanway nikaal diye jayein to phir baaqi kya reh jayein ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tamam ummaton mein meri ummat itni hi tadaad mein ho gi jaise siyah bail ke jism par sufaid baal hote hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلُهُ عَزَّ وَجَلَّ: {إِنَّ زَلْزَلَةَ السَّاعَةِ شَيْءٌ عَظِيمٌ}:
Allah Taala ka irshaad qiyamat ki halchal ek bari musibat ho gi.
Show diacritics
Hadith Number: Q6530
ازفت الآزفة اقتربت الساعة.
Aur Surah al-Najm aur Surah Ambiya mein farmaya «iqtarabatis-saa-atu» ”Qayamat qareeb aa gayi .“


Show diacritics
Hadith Number: 6530
حدثني يوسف بن موسى، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي سعيد، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول الله:" يا آدم"، فيقول: لبيك وسعديك والخير في يديك، قال: يقول:" اخرج بعث النار"، قال: وما بعث النار؟ قال:" من كل الف تسع مائة وتسعة وتسعين"، فذاك حين يشيب الصغير، وتضع كل ذات حمل حملها، وترى الناس سكرى وما هم بسكرى ولكن عذاب الله شديد، فاشتد ذلك عليهم، فقالوا: يا رسول الله، اينا ذلك الرجل؟ قال: ابشروا فإن من ياجوج وماجوج الفا ومنكم رجل، ثم قال: والذي نفسي بيده، إني لاطمع ان تكونوا ثلث اهل الجنة، قال: فحمدنا الله وكبرنا، ثم قال: والذي نفسي بيده، إني لاطمع ان تكونوا شطر اهل الجنة، إن مثلكم في الامم كمثل الشعرة البيضاء في جلد الثور الاسود، او الرقمة في ذراع الحمار".
Mujh se Yusuf bin Musa Qattan ne bayan kiya , kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya , in se Aamash ne , in se Abu Salih ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala farmaye ga , Ae Adam! Adam alaihissalam kahein ge hazir hoon farman-bardar hoon aur har bhalayi tere hath mein hai . Allah Ta'ala farmaye ga jo log jahannum mein daale jayein ge unhein nikaal lo . Adam alaihissalam poochhein ge jahannum mein daale jaane wale log kitne hain ? Allah Ta'ala farmaye ga ke har ek hazar mein se nau sau ninaanway . Yahi woh waqt ho ga jab bache gham se burhay ho jayein ge aur haamila auratein apna hamal gira dein gi aur tum logon ko nasha ki halat mein dekho ge , haalan-ke woh waqeyi nasha ki halat mein na hon ge balkay Allah ka azab sakht ho ga . Sahabah ko yeh baat bahut sakht maloom hui to unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Phir hum mein se woh (khush-naseeb) shakhs kaun ho ga ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein khush-khabri ho , ek hazar Ya-jooj Ma-jooj ki qaum se hon ge . Aur tum mein se woh ek jannati ho ga phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai , mujhe umeed hai ke tum log ahal e jannat ka ek tihayi hissa ho ge . Rawi ne bayan kiya ke hum ne is par Allah ki hamd bayan ki aur is ki takbeer kahi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai mujhe umeed hai ke aadha hissa ahal e jannat ka tum log ho ge . Tumhari misal doosri ummaton ke muqabla mein aaisi hai jaise kisi siyah bail ke jism par sufaid baalon ki (mamooli tadaad) hoti hai ya woh sufaid daagh jo gadhe ke aage ke paon par hota hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {أَلاَ يَظُنُّ أُولَئِكَ أَنَّهُمْ مَبْعُوثُونَ لِيَوْمٍ عَظِيمٍ يَوْمَ يَقُومُ النَّاسُ لِرَبِّ الْعَالَمِينَ}:
Allah Taala ka farmaan "kya yeh khayal nahin karte ke yeh log phir ek azeem din ke liye uthaye jaayenge. Us din jab tamam log Rabb-ul-Aalameen ke huzoor mein khare honge".
Show diacritics
Hadith Number: Q6531
وقال ابن عباس: وتقطعت بهم الاسباب، قال: الوصلات في الدنيا.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «wa taqatta-at bihim-ul-asbaabu» ka matlab yeh hai ke duniya ke rishte naate jo yahan ek doosre se thay woh khatm ho jayein ge .


Show diacritics
Hadith Number: 6531
حدثنا إسماعيل بن ابان، حدثنا عيسى بن يونس، حدثنا ابن عون، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم" يوم يقوم الناس لرب العالمين سورة المطففين آية 6 قال: يقوم احدهم في رشحه إلى انصاف اذنيه".
Hum se Ismail bin Abaan ne bayan kiya , kaha hum se Esa bin Yunus ne bayan kiya , kaha hum se Ibn Aun ne bayan kiya , in se Nafi ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne «yauma yaqoomun-naasu li-rabbil-aalameena» ki tafseer mein farmaya ke tum mein se har koi saare jahanon ke Parvardigar ke aage khara ho ga is haal mein ke is ka pasina kaanon ki lau tak pahuncha hua ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6532
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني سليمان، عن ثور بن زيد، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يعرق الناس يوم القيامة حتى يذهب عرقهم في الارض سبعين ذراعا، ويلجمهم حتى يبلغ آذانهم".
Mujh se Abd-ul-Aziz bin Abdullah Owaysi ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Sulayman bin Bilal ne bayan kiya , in se Sawr bin Zaid ne bayan kiya , in se Abu al-Ghais ne aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din log pasine mein sharabor ho jayein ge aur halat yeh ho jaye gi ke tum mein se har kisi ka pasina zameen par sattar hath tak phail jaye ga aur munh tak pahunch kar kaanon ko chhoone lage ga .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِصَاصِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ:
Qiyamat ke din badla liya jaana.
Show diacritics
Hadith Number: Q6533
وهي الحاقة، لان فيها الثواب وحواق الامور الحقة، والحاقة واحد، والقارعة، والغاشية، والصاخة، والتغابن غبن اهل الجنة اهل النار.
Qayamat ko «haaq-qah» bhi kehte hain kyunke is din badla mile ga aur woh kaam hon ge jo sabit aur haq hain . «haq-qah» aur «haaq-qah» ke ek hi maani hain aur «qaariah» aur «ghashiyah» aur «saakh-khah» bhi Qayamat hi ko kehte hain . Isi tarah «yaum-ut-taghaabuni» bhi kyunke is din jannati kafiron ki jaidad daba lein ge .