الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ صِفَةِ الْجَنَّةِ وَالنَّارِ:
Jannat o Jahannam ka bayaan.
Hadith Number: 6551
حدثنا معاذ بن اسد، اخبرنا الفضل بن موسى، اخبرنا الفضيل، عن ابي حازم، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما بين منكبي الكافر مسيرة ثلاثة ايام للراكب المسرع".
Hum se Maaz bin Asad ne bayan kiya , kaha hum ko Fadl bin Musa ne khabar di , kaha hum ko Fuzhail ne khabar di , unhein Hazim ne , unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kafir ke donon shanon ke darmiyan teiz chalne wale ke liye teen din ki masafat ka fasila ho ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6552
وقال إسحاق بن إبراهيم: اخبرنا المغيرة بن سلمة، حدثنا وهيب، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إن في الجنة لشجرة يسير الراكب في ظلها مائة عام لا يقطعها".
Aur Ishaq bin Ibrahim ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Mugheera bin Salama ne khabar di , unhon ne hamase Wuhaib ne bayan kiya , in se Abu Hazim ne bayan kiya , in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jannat mein ek darakht hai jis ke saye mein sawar sau saal tak chalne ke baad bhi usay tay nahi kar sake ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6553
قال ابو حازم: فحدثت به النعمان بن ابي عياش، فقال: حدثني ابو سعيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن في الجنة لشجرة يسير الراكب الجواد المضمر السريع مائة عام ما يقطعها".
Abu Hazim ne bayan kiya ke phir main ne yeh hadees Nu-man bin Abi Ay-yash se bayan ki to unhon ne kaha ke mujh se Abu Saeed razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jannat mein ek darakht ho ga jis ke saye mein umdah aur teiz raftar ghore par sawar shakhs sau saal tak chalta rahe ga aur phir bhi usay tay na kar sake ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6554
حدثنا قتيبة، حدثنا عبد العزيز، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" ليدخلن الجنة من امتي سبعون الفا او سبع مائة الف لا يدري ابو حازم، ايهما قال متماسكون آخذ بعضهم بعضا، لا يدخل اولهم حتى يدخل آخرهم، وجوههم على صورة القمر ليلة البدر".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Abu Salamah ne bayan kiya , in se Abu Hazim bin Dinar ne , in se Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meri ummat mein sattar hazar ya saat laakh aadmi jannat mein jayein ge .“ Rawi ko shak hua ke Sahl se kaun si tadaad bayan hui ku , ”(woh jannat mein is tarah dakhil hon ge ke) woh ek doosre ko thaame huay hon ge . In ka pehla abhi dakhil na hone paye ga ke jab tak aakhri bhi dakhil na ho jaye . In ke chehre choudhvein raat ke chaand ki tarah roshan hon ge .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6555
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا عبد العزيز، عن ابيه، عن سهل، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن اهل الجنة ليتراءون الغرف في الجنة كما تتراءون الكوكب في السماء".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Abu Salamah ne bayan kiya , in se un ke walid Hazim ne bayan kiya , in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jannat wale (apne oopar ke darjon ke) baala-khanon ko is tarah dekhein ge jaise tum aasman mein sitaron ko dekhte ho .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6556
قال ابي: فحدثت به النعمان بن ابي عياش، فقال: اشهد لسمعت ابا سعيد، يحدث، ويزيد فيه:" كما تراءون الكوكب الغارب في الافق الشرقي والغربي".
Rawi (Abd-ul-Aziz) ne bayan kiya ke phir main ne yeh hadees Nu-man bin Abi Ay-yash se bayan ki to unhon ne kaha ke main gawahi deta hoon ke main ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ko yeh hadees bayan karte suna aur is mein woh is lafz ka izafa karte thay ke ”jaise tum mashriqi aur maghribi kinaron mein doobte sitaron ko dekhte ho .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6557
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي عمران، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: يقول الله تعالى:" لاهون اهل النار عذابا يوم القيامة: لو ان لك ما في الارض من شيء اكنت تفتدي به"، فيقول: نعم، فيقول:" اردت منك اهون من هذا، وانت في صلب آدم، ان لا تشرك بي شيئا، فابيت إلا ان تشرك بي".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Abu Imran Jooni ne bayan kiya , kaha main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala Qayamat ke din dozakh ke sab se kam azab paane wale se poochhe ga agar tumhein roye zameen ki saari cheezin mayassar hon to kya tum un ko fidya mein (is azab se najat paane ke liye) de do ge , woh kahe ga ke haan , Allah Ta'ala farmaye ga ke main ne tum se is se bhi sahal cheez ka is waqt mutalba kiya tha jab tum Adam alaihissalam ki peeth mein thay ke mere saath kisi ko shareek na karna lekin tum ne (tawheed ka) inkar kiya aur na maana aakhir shirk hi kiya .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6558
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد، عن عمرو، عن جابر رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يخرج من النار بالشفاعة كانهم الثعارير، قلت: ما الثعارير؟ قال: الضغابيس، وكان قد سقط فمه"، فقلت لعمرو بن دينار ابا محمد: سمعت جابر بن عبد الله، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" يخرج بالشفاعة من النار"، قال: نعم.
Hum se Abu al-Nu-man Muhammad bin Fadl Sadoosi ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya , in se Amr bin Dinar ne aur in se Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kuch log dozakh se shafa'at ke zariye niklein ge goya ke «sa-a-reer» hon .“ Hammad kehte hain ke main ne Amr bin Dinar se poochha ke «sa-a-reer» kya cheez hai ? Unhon ne kaha ke is se murad chhoti kakriyaan hain aur hua yeh thu ke aakhir umr mein Amr bin Dinar ke daant gir gaye thay . Hammad kehte hain ke main ne Amr bin Dinar se kaha: Ae Abu Muhammad! (yeh Amr bin Dinar ki kuniyat hai) kya Aap ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se yeh suna hai ? Unhon ne bayan kiya ke haan main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jahannum se shafa'at ke zariye log niklein ge ? Unhon ne kaha haan beshak suna hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6559
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام، عن قتادة، حدثنا انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يخرج قوم من النار بعد ما مسهم منها سفع، فيدخلون الجنة، فيسميهم اهل الجنة: الجهنميين".
Hum se Hudba bin Khalid ne bayan kiya , kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya , in se Qatadah ne , kaha hamase Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”ek jama'at jahannum se nikle gi is ke baad ke jahannum ki aag ne un ko jala dala ho ga aur phir woh jannat mein dakhil hon ge . Ahal e jannat un ko «jahannamiy-yeena» ke naam se yaad karein ge .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6560
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا عمرو بن يحيى، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا دخل اهل الجنة الجنة، واهل النار النار، يقول الله: من كان في قلبه مثقال حبة من خردل من إيمان فاخرجوه، فيخرجون قد امتحشوا وعادوا حمما، فيلقون في نهر الحياة، فينبتون كما تنبت الحبة في حميل السيل، او قال: حمية السيل، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: الم تروا انها تنبت صفراء ملتوية".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , kaha hamase Amr bin Yahya ne bayan kiya , in se in ke walid ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab ahal e jannat jannat mein aur ahal e jahannum jahannum mein dakhil ho chukein ge to Allah Ta'ala farmaye ga ke jis ke dil mein raayi ke dane ke barabar bhi iman ho to usay dozakh se nikaal lo . Is waqt aise log nikaale jayein ge aur woh is waqt jal kar kowilay ki tarah ho gaye hon ge . Is ke baad unhein ”Nehar e Hayaat“ (zindagi bakhsh darya) mein dala jaye ga . Is waqt woh is tarah taro-taza aur shagufta ho jayein ge jis tarah saylab ki jagah par koray-karkat ka dana (isi raat ya din mein) ug aata hai ya rawi ne kaha ( «hameel-us-saili» ke bajaye) «hamiy-yat-us-saili» kaha hai . Yani jahan saylab ka zor ho aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tum ne dekha nahi ke is dane se zard rang ka lipta hua ba-raunaq pauda ugta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة