الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ في الْحَوْضِ:
Hauz Kausar ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 6580
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني ابن وهب، عن يونس، قال ابن شهاب: حدثني انس بن مالك رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إن قدر حوضي كما بين ايلة وصنعاء من اليمن، وإن فيه من الاباريق كعدد نجوم السماء".
Hum se Saeed bin Afir ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya , in se Yunus ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”mere hauz ki lambayi itni ho gi jitni Ailah aur Yaman aur shehar Sanaa ke darmiyan ki lambayi hai . Aur wahan itni bari tadaad mein piyale hon ge jitni aasman ke sitaron ki tadaad hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6581
حدثنا ابو الوليد، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام، حدثنا قتادة، حدثنا انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينما انا اسير في الجنة، إذا انا بنهر حافتاه قباب الدر المجوف، قلت: ما هذا يا جبريل؟ قال: هذا الكوثر الذي اعطاك ربك، فإذا طينه او طيبه مسك اذفر"، شك هدبة.
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Humam ne bayan kiya , in se Qatadah ne , in se Anas razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (doosri sanad) aur hamase Hudba bin Khalid ne bayan kiya , kaha hum se Humam ne bayan kiya , kaha hamase Qatadah ne bayan kiya , kaha hamase Anas bin Malik ne bayan kiya aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bayan kiya ke main jannat mein chal raha tha ke main ek nehar par pahuncha is ke donon kinaron par khol-dar motiyon ke gumbad bane huay thay . Main ne poochha: Jibrail! Yeh kiya hai ? Unhon ne kaha yeh Kausar hai jo Aap ke Rabb ne Aap ko diya hai . Main ne dekha ke is ki khushboo ya matti teiz mushk jaisi ku . Rawi Hudba ko shak thu .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6582
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا وهيب، حدثنا عبد العزيز، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ليردن علي ناس من اصحابي الحوض حتى عرفتهم اختلجوا دوني، فاقول: اصحابي، فيقول: لا تدري ما احدثوا بعدك".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya , kaha hamase Abd-ul-Aziz ne bayan kiya , in se Anas razi Allahu anhu bayan karte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”mere kuch saathi hauz par mere samne laaye jayein ge aur main unhein pehchan loon ga lekin phir woh mere samne se hata diye jayein ge . Main is par kahoon ga ke yeh to mere saathi hain . Lekin mujh se kaha jaye ga ke Aap ko maloom nahi ke unhon ne Aap ke baad kiya kiya nayi cheezin ijaad kar li thien .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6583
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا محمد بن مطرف، حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إني فرطكم على الحوض من مر علي شرب، ومن شرب لم يظما ابدا، ليردن علي اقوام اعرفهم ويعرفوني، ثم يحال بيني وبينهم"،
Hum se Saeed bin Abu Maryam ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Mutarrif ne bayan kiya , kaha ke mujh se Abu Hazim ne , in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main apne Hauz e Kausar par tum se pehle maujood rahoon ga . Jo shakhs bhi meri taraf se guzre ga woh is ka pani piye ga aur jo is ka pani piye ga woh phir kabhi pyasa nahi ho ga aur wahan kuch aise log bhi aayein ge jinhein main pehchanoon ga aur woh mujhe pehchanein ge lekin phir unhein mere samne se hata diya jaye ga .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6584
قال ابو حازم: فسمعني النعمان بن ابي عياش، فقال: هكذا سمعت من سهل، فقلت: نعم، فقال: اشهد على ابي سعيد الخدري، لسمعته وهو يزيد فيها، فاقول: إنهم مني فيقال:" إنك لا تدري ما احدثوا بعدك"، فاقول: سحقا سحقا لمن غير بعدي، وقال ابن عباس: سحقا: بعدا، يقال: سحيق: بعيد سحقه، واسحقه: ابعده،
Abu Hazim ne bayan kiya ke yeh hadees mujh se Nu-man bin Abi Ay-yash ne suni aur kaha ke main gawahi deta hoon ke main ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se yeh hadees isi tarah suni thi aur woh is hadees mein kuch zyadi ke saath bayan karte thay . (yani yeh ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmayein ge ke) main kahoon ga ke yeh to mujh mein se hain) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha jaye ga ke Aap ko nahi maloom ke unhon ne Aap ke baad deen mein kiya kiya nayi cheezin ijaad kar li thien . Is par main kahoon ga ke door ho woh shakhs jis ne mere baad deen mein tabdeeli kar li thi . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke «suhqan» bamaani «budan» hai , «saheequn» yani «baeedun» , «as-haquhoo» yani «aba-duhoo» .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6585
وقال احمد بن شبيب بن سعيد الحبطي: حدثنا ابي، عن يونس، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة، انه كان يحدث ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يرد علي يوم القيامة رهط من اصحابي، فيحلئون عن الحوض، فاقول: يا رب، اصحابي، فيقول:" إنك لا علم لك بما احدثوا بعدك، إنهم ارتدوا على ادبارهم القهقرى".
Ahmad bin Shabeeb bin Saeed Habti ne bayan kiya , in se in ke walid ne bayan kiya , in se Yunus ne , in se Ibn Shihab ne , in se Saeed bin al-Musayyab ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke woh bayan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din mere sahabah mein se ek jama'at mujh par pesh ki jaye gi . Phir woh hauz se door kar diye jayein ge . Main arz karoon ga: Ae mere Rabb! Yeh to mere sahabah hain . Allah Ta'ala farmaye ga ke tumhein maloom nahi ke unhon ne tumhare baad kiya kiya nayi cheezin gharh li thien ? Yeh log (deen se) ulte qadmon wapas laut gaye thay .“ (Doosri sanad) Shuayb bin Abi Hamza ne bayan kiya , in se Zuhri ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawale se «fayujlauna» (bajaye «fayu-hal-la-oona») ke bayan karte thay . Aur Aqeel «fayu-hal-la-oona» bayan karte thay aur Zhubaydi ne bayan kiya , in se Zuhri ne , in se Muhammad bin Ali ne , in se Ubaidullah bin Abi Rafi ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6586
حدثنا احمد بن صالح، حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، انه كان يحدث، عن اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يرد على الحوض رجال من اصحابي فيحلئون عنه، فاقول: يا رب، اصحابي، فيقول: إنك لا علم لك بما احدثوا بعدك، إنهم ارتدوا على ادبارهم القهقرى"، وقال شعيب، عن الزهري، كان ابو هريرة، يحدث، عن النبي صلى الله عليه وسلم: فيجلون، وقال عقيل: فيحلئون، وقال الزبيدي، عن الزهري، عن محمد بن علي، عن عبيد الله بن ابي رافع، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ahmad bin Salih ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Yunus ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , unhein Ibn al-Musayyab ne , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahabah se riwayat karte thay ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”hauz par mere sahabah ki ek jama'at aaye gi . Phir unhein is se door kar diya jaye ga . Main arz karoon ga mere Rabb! Yeh to mere sahabah hain . Allah Ta'ala farmaye ga ke tumhein maloom nahi ke unhon ne tumhare baad kiya kiya nayi cheezin ijaad kar li thien , yeh ulte paon (Islam se) wapas laut gaye thay .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6587
حدثنا إبراهيم بن المنذر الحزامي، حدثنا محمد بن فليح، حدثنا ابي، قال: حدثني هلال بن علي، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا قائم إذا زمرة حتى إذا عرفتهم خرج رجل من بيني وبينهم، فقال: هلم، فقلت: اين؟ قال: إلى النار، والله قلت: وما شانهم؟ قال: إنهم ارتدوا بعدك على ادبارهم القهقرى، ثم إذا زمرة حتى إذا عرفتهم خرج رجل من بيني وبينهم، فقال: هلم، قلت: اين؟ قال: إلى النار، والله قلت: ما شانهم؟ قال: إنهم ارتدوا بعدك على ادبارهم القهقرى، فلا اراه يخلص منهم إلا مثل همل النعم".
Hum se Ibrahim bin al-Munzhir Hizami ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Falih ne bayan kiya , kaha hamase hamare walid ne , kaha ke mujh se Hilal ne , in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main (hauz par) khara hoon ga ke ek jama'at mere samne aaye gi aur jab main unhein pehchan loon ga to ek shakhs (farishta) mere aur in ke darmiyan se nikle ga aur in se kahe ga ke idhar aao . Main kahoon ga ke kidhar ? Woh kahe ga ke wallah jahannum ki taraf . Main kahoon ga ke in ke haalaat kya hain ? Woh kahe ga ke yeh log Aap ke baad ulte paon (deen se) wapas laut gaye thay . Phir ek aur giroh mere samne aaye ga aur jab main unhein bhi pehchan loon ga to ek shakhs (farishta) mere aur in ke darmiyan mein se nikle ga aur in se kahe ga ke idhar aao . Main poochon ga ke kahan ? To woh kahe ga , Allah ki qasam! Jahannum ki taraf . Main kahoon ga ke in ke haalaat kya hain ? Farishta kahe ga ke yeh log Aap ke baad ulte paon wapas laut gaye thay . Main samajhta hoon ke in girohon mein se ek aadmi bhi nahi bache ga . In sab ko dozakh mein le jayein ge .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6588
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة، ومنبري على حوضي".
Mujh se Ibrahim bin al-Munzhir ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hamase Anas bin Iyaz ne bayan kiya , in se Ubaidullah ne bayan kiya , in se Khubaib bin Abd-ur-Rahman ne , in se Hafs bin Aasim ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mere ghar aur mere mimbar ke darmiyan ki jagah ka jannat ke bagon mein se ek bagh hai aur mera mimbar mere hauz par hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6589
حدثنا عبدان، اخبرني اب، عن شعبة، عن عبد الملك، قال: سمعت جندبا، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" انا فرطكم على الحوض".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha mujhko mere walid ne khabar di , unhein Shubah ne , in se Abd-ul-Malik ne bayan kiya , kaha ke main ne Jundub razi Allahu anhu se suna , kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main hauz par tum se pehle maujood hoon ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة