الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ في الْحَوْضِ:
Hauz Kausar ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 6590
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا الليث، عن يزيد، عن ابي الخير، عن عقبة رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم:" خرج يوما فصلى على اهل احد صلاته على الميت، ثم انصرف على المنبر، فقال: إني فرط لكم وانا شهيد عليكم، وإني والله لانظر إلى حوضي الآن، وإني اعطيت مفاتيح خزائن الارض، او مفاتيح الارض، وإني والله ما اخاف عليكم ان تشركوا بعدي، ولكن اخاف عليكم ان تنافسوا فيها".
Hum se Amr bin Khalid ne bayan kiya , kaha hum se Layth ne bayan kiya , in se Yazid ne , in se Abu al-Khair Marsad bin Abdullah ne aur in se Uqbah bin Aamir razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laaye aur Shuhada e Uhud ke liye is tarah دعا کی jis tarah may-yit ke liye janaza mein دعا کی jaati hai . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam mimbar par tashreef laaye aur farmaya ”logo! Main tum se aage jaoon ga aur tum par gawah rahoon ga aur main wallah apne hauz ki taraf is waqt bhi dekha raha hoon aur mujhe zameen ke khazanon ki kunjiyan di gayi hain ya farmaya ke zameen ki kunjiyan di gayi hain . Allah ki qasam! Main tumhare baare mein is baat se nahi darta ke tum mere baad shirk karo ge , albatta is se darta hoon ke tum duniya ke laalach mein parh kar ek doosre se hasad karne lago ge .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6591
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا حرمي بن عمارة، حدثنا شعبة، عن معبد بن خالد، انه سمع حارثة بن وهب، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم: وذكر الحوض، فقال:" كما بين المدينة، وصنعاء".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Harami bin Ammarah ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Ma'bad bin Khalid ne bayan kiya , unhon ne Harisa bin Wahb razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hauz ka zikr kiya aur farmaya ke (woh itna bada hai) jitni Madinah aur Sanaa ke darmiyan doori hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6592
وزاد ابن ابي عدي، عن شعبة، عن معبد بن خالد، عن حارثة، سمع النبي صلى الله عليه وسلم قوله: حوضه ما بين صنعاء، والمدينة، فقال له المستورد: الم تسمعه، قال الاواني: قال: لا، قال المستورد: ترى فيه الآنية مثل الكواكب.
Aur Ibn Abu Adi Muhammad bin Ibrahim ne bhi Shubah se riwayat kiya , in se Ma'bad bin Khalid ne aur in se Harisa razi Allahu anhu ne ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh irshad suna , is mein itna zyada hai ke Aap ka hauz itna lamba ho ga jitni Sanaa aur Madinah ke darmiyan doori hai . Is par Mustaurid ne kaha: kiya Aap ne bartanon wali riwayat nahi suni ? Unhon ne kaha ke nahi . Mustaurid ne kaha ke ke is mein bartan (peene ke) is tarah nazar aayein ge jis tarah aasman mein sitare nazar aate hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6593
حدثنا سعيد بن ابي مريم، عن نافع بن عمر، قال: حدثني ابن ابي مليكة، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إني على الحوض حتى انظر من يرد علي منكم، وسيؤخذ ناس دوني، فاقول: يا رب مني ومن امتي، فيقال:" هل شعرت ما عملوا بعدك، والله ما برحوا يرجعون على اعقابهم"، فكان ابن ابي مليكة، يقول: اللهم إنا نعوذ بك ان نرجع على اعقابنا او نفتن عن ديننا. اعقابكم تنكصون، ترجعون على العقب.
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne bayan kiya , in se Nafi bin Amr ne , kaha ke mujh se Ibn Abi Mulaykah ne bayan kiya , in se Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main hauz par maujood rahoon ga aur dekhoon ga ke tum mein se kaun mere paas aata hai . Phir kuch logon ko mujh se alag kar diya jaye ga . Main arz karoon ga ke Ae mere Rabb! Yeh to meere hi aadmi hain aur meri ummat ke log hain . Mujh se kaha jaye ga ke tumhein maloom bhi hai unhon ne tumhare baad kiya kaam kiye thay ? Wallah yeh musalsal ulte paon laut-te rahe . (deen e Islam se phir gaye) Ibn Abi Mulaykah (jo ke yeh hadees Asmaa se riwayat farmate hain) kaha karte thay ke Ae Allah! Hum is baat se teri panah maangte hain ke hum ulte paon (deen se) laut jayein ya apne deen ke baare mein fitna mein daal diye jayein . Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke Surah al-Mominoon mein jo Allah Ta'ala ka farman hai «a-qaabikum tan-kisoona» is ka maani bhi yahi hai ke tum deen se apni aerhiyon ke bal ulte phir gaye thay yani Islam se murtad ho gaye thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة