الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يُتَّقَى مِنْ فِتْنَةِ الْمَالِ:
Maal ke fitne se darte rehna.
Hadith Number: 6436
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن عطاء، قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لو كان لابن آدم واديان من مال لابتغى ثالثا، ولا يملا جوف ابن آدم، إلا التراب، ويتوب الله على من تاب".
Hum se Abu Aasim Nabeel ne bayan kiya , in se Ibn Jurayj ne bayan kiya , in se Ata bin Abi Rabah ne bayan kiya , kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar insan ke paas maal ki do waadiyaan hon to teesri ka khwahish-mand ho ga aur insan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur Allah is shakhs ki tauba qabool karta hai jo (dil se) sachi tauba karta hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6437
حدثني محمد، اخبرنا مخلد، اخبرنا ابن جريج، قال: سمعت عطاء، يقول: سمعت ابن عباس، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لو ان لابن آدم مثل واد مالا لاحب ان له إليه مثله، ولا يملا عين ابن آدم إلا التراب، ويتوب الله على من تاب"، قال ابن عباس: فلا ادري من القرآن هو ام لا، قال: وسمعت ابن الزبير، يقول ذلك على المنبر.
Mujh se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Makhlad ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Ata se suna , unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar insan ke paas maal (bher bakri) ki poori waadi ho to woh chahe ga ke usay waisi hi ek aur mil jaye aur insan ki aankh matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur jo Allah se tauba karta hai , woh is ki tauba qabool karta hai .“ Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke mujhe maloom nahi yeh Quran mein se hai ya nahi . Bayan kiya ke main ne Ibn Zubayr razi Allahu anhuma ko yeh mimbar par kehte suna tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6438
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عبد الرحمن بن سليمان بن الغسيل، عن عباس بن سهل بن سعد، قال: سمعت ابن الزبير على المنبر بمكة في خطبته يقول: يا ايها الناس، إن النبي صلى الله عليه وسلم كان يقول:" لو ان ابن آدم اعطي واديا ملئا من ذهب احب إليه ثانيا، ولو اعطي ثانيا احب إليه ثالثا، ولا يسد جوف ابن آدم، إلا التراب، ويتوب الله على من تاب".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Rahman bin Sulayman bin Ghusayl ne bayan kiya , in se Abbas bin Sahl bin Saad ne bayan kiya unhon ne kaha ke main ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ko Makkah Mukarramah mein mimbar par yeh kehte suna . Unhon ne apne khutba mein kaha ke Ae logo! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke agar insan ko ek waadi sona bhar ke de diya jaye to woh doosri ka khwahish-mand rahe ga agar doosri de di jaye to teesri ka khwahish-mand rahe ga aur insan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur Allah Paak is tauba qabool karta hai jo tauba kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6439
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني انس بن مالك: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لو ان لابن آدم واديا من ذهب احب ان يكون له واديان، ولن يملا فاه إلا التراب، ويتوب الله على من تاب".
Hum se Abd-ul-Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , in se Salih ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne ke mujhe Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di aur in se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar insan ke paas sone ki ek waadi ho to woh chahe ga ke do ho jayein aur is ka munh qabr ki matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur Allah is ki tauba qabool karta hai jo tauba kare .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6440
وقال لنا ابو الوليد، حدثنا حماد بن سلمة، عن ثابت، عن انس، عن ابي، قال: كنا نرى هذا من القرآن حتى نزلت: الهاكم التكاثر.
Aur hamase Abu al-Waleed ne bayan kiya , in se Hammad bin Salama ne bayan kiya , in se Sabit ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne aur in se Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne ke hum usay Quran hi mein se samajhte thay yahan tak ke aayat «al-haakum-ut-takaasuru» nazil hui .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «هَذَا الْمَالُ خَضِرَةٌ حُلْوَةٌ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaan ke yeh (dunya ka) maal sarsabz meetha hai.
Hadith Number: Q6441
وقال الله تعالى: {زين للناس حب الشهوات من النساء والبنين والقناطير المقنطرة من الذهب والفضة والخيل المسومة والانعام والحرث ذلك متاع الحياة الدنيا}. قال عمر اللهم إنا لا نستطيع إلا ان نفرح بما زينته لنا، اللهم إني اسالك ان انفقه في حقه.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Aal e Imran mein) farmaya «zhuy-yina lin-naasi hub-bush-shahawaati minan-nisaa-i wal-baneena wal-qanaateer-il-muqantarati min-azh-zhahabi wal-fiddati wal-khail-il-musawwamati wal-anaami wal-harsi zhaalika mataa-ul-hayaatid-dunyaa» ”insaanon ko khwahishat ki tarap , auraton , baal , bachon dheron sone chaandi , nishan lage huay ghoron aur chaupayon kheton mein mahboob bana di gayi hai , yeh chand roza zindagani ka sarmaya hai .“ Umar razi Allahu anhu ne kaha ke Ae Allah! Hum to siwa is ke kuch taqat hi nahi rakhte ke jis cheez se tu ne hamain zeenat bakhshi hai is par hum tab'ee taur par khush hon . Ae Allah! Main tujh se dua karta hoon ke is maal ko tu haq jagah par kharch karwana .
Hadith Number: 6441
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: سمعت الزهري، يقول: اخبرني عروة، وسعيد بن المسيب، عن حكيم بن حزام، قال: سالت النبي صلى الله عليه وسلم فاعطاني، ثم سالته فاعطاني، ثم سالته فاعطاني، ثم قال: هذا المال، وربما قال سفيان: قال لي:" يا حكيم، إن هذا المال خضرة حلوة، فمن اخذه بطيب نفس بورك له فيه، ومن اخذه بإشراف نفس لم يبارك له فيه، وكان كالذي ياكل ولا يشبع، واليد العليا خير من اليد السفلى".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , kaha ke main ne Zuhri se suna , woh kehte thay ke mujhe Urwah aur Saeed bin al-Musayyab ne khabar di , unhein Hakeem bin Hizam ne , kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se maanga to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe ata farmaya . Main ne phir maanga aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne phir ata farmaya . Main ne phir maanga aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne phir ata farmaya . Phir farmaya ke yeh maal . Aur baaz auqat Sufyan ne yun bayan kiya ke (Hakeem razi Allahu anhu ne bayan kiya) Ae Hakeem! Yeh maal sarsabz aur khush-gawar nazar aata hai pas jo shakhs usay naik-niyati se le is mein barkat hoti hai aur jo laalach ke saath leta hai to is ke maal mein barkat nahi hoti balkay woh is shakhs jaisa ho jata hai jo khaata jata hai lekin is ka pait nahi bharta aur oopar ka hath neeche ke hath se behtar hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا قَدَّمَ مِنْ مَالِهِ فَهْوَ لَهُ:
Aadmi jo Allah ki raah mein de de wahi us ka asli maal hai.
Hadith Number: 6442
حدثني عمر بن حفص، حدثني ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني إبراهيم التيمي، عن الحارث بن سويد، قال عبد الله، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ايكم مال وارثه احب إليه من ماله"، قالوا: يا رسول الله، ما منا احد إلا ماله احب إليه، قال:" فإن ماله ما قدم، ومال وارثه ما اخر".
Mujh se Umar bin Hafs ne bayan kiya , kaha mujh se mere walid ne bayan kiya , kaha hum se Aamash ne bayan kiya , kaha ke mujh se Ibrahim Taymi ne bayan kiya , in se Haris bin Suwayd ne ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum mein kaun hai jise apne maal se zyada apne waris ka maal pyaara ho .“ Sahabah ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hum mein koi aisa nahi jise maal zyada pyaara na ho . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”phir is ka maal woh hai jo us ne (maut se) pehle (Allah ke raste mein kharch) kiya aur is ke waris ka maal woh hai jo woh chhorr kar mara .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُكْثِرُونَ هُمُ الْمُقِلُّونَ:
Jo log dunya mein zyada (maaldaar) hain wahi aakhirat mein kam honge.
Hadith Number: Q6443
وقوله تعالى: من كان يريد الحياة الدنيا وزينتها نوف إليهم اعمالهم فيها وهم فيها لا يبخسون {15} اولئك الذين ليس لهم في الآخرة إلا النار وحبط ما صنعوا فيها وباطل ما كانوا يعملون {16} سورة هود آية 15-16.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Hood mein) farmaya «man kaana yureedul-hayaatad-dunyaa wa zeenatahaa nuwaf-fi ilaihim aamaalahum feehaa wa hum feehaa laa yubkhasoona , oolaa-ikal-lazheena laisa lahum fil-aakhirati illan-naaru wa habita maa san-aoo feehaa wa baatilum-maa kaanoo ya-maloona» ”jo shakhs duniya ki zindagi aur is ki zeenat ka talib hai to hum is ke tamam aamal ka badla isi duniya mein is ko bhar poor de dete hain aur is mein in ke liye kisi tarah ki kami nahi ki jaati yahi woh log hain jin ke liye aakhirat mein dozakh ke siwa aur kuch nahi hai aur jo kuch unhon ne is duniya ki zindagi mein kiya woh (aakhirat ke haq mein) bekar sabit hua aur jo kuch (apne khayal mein) woh karte hain sab bekar mahz hai .“
Hadith Number: 6443
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن عبد العزيز بن رفيع، عن زيد بن وهب، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال: خرجت ليلة من الليالي، فإذا رسول الله صلى الله عليه وسلم يمشي وحده وليس معه إنسان، قال: فظننت انه يكره ان يمشي معه احد، قال: فجعلت امشي في ظل القمر فالتفت فرآني، فقال: من هذا، قلت: ابو ذر، جعلني الله فداءك، قال: يا ابا ذر، تعاله، قال: فمشيت معه ساعة، فقال:" إن المكثرين هم المقلون يوم القيامة، إلا من اعطاه الله خيرا، فنفح فيه يمينه، وشماله، وبين يديه، ووراءه، وعمل فيه خيرا"، قال: فمشيت معه ساعة، فقال لي: اجلس ها هنا، قال: فاجلسني في قاع حوله حجارة، فقال لي:" اجلس ها هنا حتى ارجع إليك، قال: فانطلق في الحرة حتى لا اراه، فلبث عني، فاطال اللبث، ثم إني سمعته وهو مقبل وهو يقول:" وإن سرق وإن زنى"، قال: فلما جاء لم اصبر حتى قلت: يا نبي الله، جعلني الله فداءك من تكلم في جانب الحرة، ما سمعت احدا يرجع إليك شيئا، قال:" ذلك جبريل عليه السلام عرض لي في جانب الحرة، قال: بشر امتك انه من مات لا يشرك بالله شيئا، دخل الجنة، قلت: يا جبريل، وإن سرق وإن زنى قال: نعم، قال: قلت: وإن سرق، وإن زنى، قال: نعم، وإن شرب الخمر"، قال النضر، اخبرنا شعبة، حدثنا حبيب بن ابي ثابت، والاعمش، وعبد العزيز بن رفيع، حدثنا زيد بن وهب، بهذا. قال ابو عبد الله: حديث ابي صالح، عن ابي الدرداء مرسل، لا يصح إنما اردنا للمعرفة، عن ابي الدرداء، قال: مرسل ايضا لا يصح، والصحيح حديث ابي ذر، وقال: اضربوا على حديث ابي الدرداء، هذا إذا مات، قال: لا إله إلا الله عند الموت.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya , in se Abd-ul-Aziz bin Rafee ne , in se Zayd bin Wahb ne aur in se Abu Zarr Ghifari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke ek roz main bahar nikla to dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam tanha chal rahe thay aur Aap ke saath koi bhi na tha , Abu Zarr razi Allahu anhu kehte hain ke is se main samjha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam isay pasand nahi farmayein ge ke Aap ke saath is waqt koi rahe . Is liye main chaand ke saye mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke peeche peeche chalne laga . Is ke baad Aap mure to mujhe dekha aur daryaft farmaya kaun hai ? Main ne arz kiya: Abu Zarr! Allah mujhe Aap par qurban kare . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , Abu Zarr! Yahan aao . Bayan kiya ke phir main thori der tak Aap ke saath chalta raha . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo log (duniya mein) zyada maal o daulat jama kiye huay hain Qayamat ke din wahi khasare mein hon ge . Siwaye in ke jinhein Allah Ta'ala ne maal diya ho aur unhon ne usay dayein bayein , aage peeche kharch kiya ho aur usay bhale kaamon mein lagaya ho . (Abu Zarr razi Allahu anhu ne) bayan kiya ke phir thori der tak main Aap ke saath chalta raha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yahan baith jao . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe ek hamwar zameen par bitha diya jis ke charon taraf patthar thay aur farmaya ke yahan is waqt tak baithe raho jab tak main tumhare paas laut aaoon . Phir Aap pathreeli zameen ki taraf chale gaye aur nazron se ojhal ho gaye . Aap wahan rahe aur der tak wahien rahe . Phir main ne Aap se suna , Aap yeh kehte huay tashreef la rahe thay ”chahe chori ho , chahe zina ho“ Abu Zarr kehte hain ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye to mujh se sabr nahi ho saka aur main ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Allah Aap par mujhe qurban kare . Is pathreeli zameen ke kinare Aap kis se baatein kar rahe thay . Main ne to kisi doosre ko Aap se baat karte nahi dekha ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh Jibrail alaihissalam thay . Pathreeli zameen (Harrah) ke kinare woh mujh se mile aur kaha ke apni ummat ko khush-khabri suna do ke jo bhi is haal mein mare ga ke Allah ke saath kisi cheez ko shareek na thehrata ho to woh jannat mein jaye ga . Main ne arz kiya: Ae Jibrail! Khwah us ne chori ki ho , zina kiya ho ? Jibrail alaihissalam ne kaha haan , khwah us ne sharab hi pee ho . Nadr ne bayan kiya ke hamain Shubah ne khabar di (kaha) hamase Habeeb bin Abi Sabit , Aamash aur Abd-ul-Aziz bin Rafee ne bayan kiya , in se Zayd bin Wahb ne isi tarah bayan kiya . Imam Bukhari rahmahullah ne kaha Abu Salih ne jo isi baab mein Abu al-Darda se riwayat ki hai woh munqati hai (Abu Salih ne Abu al-Darda se nahi suna) aur sahih nahi hai hum ne yeh bayan kar diya taake is hadees ka haal maloom ho jaye aur sahih Abu Zarr ki hadees hai (jo oopar mazkoor hui) kisi ne Imam Bukhari rahmahullah se poochha Ata bin Yasar ne bhi to yeh hadees Abu al-Darda se riwayat ki hai . Unhon ne kaha woh bhi munqati hai aur sahih nahi hai . Aakhir sahih wahi Abu Zarr ki hadees nikli . Imam Bukhari rahmahullah ne kaha Abu al-Darda ki hadees ko chhorro (woh sanad lene ke laiq nahi hai kyunke woh munqati hai) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke Abu Zarr ki hadees ka matlab yeh hai ke marte waqt aadmi «laa ilaaha illallaahu» kahe aur tawheed par khatma ho (to woh ek na ek din zaroor jannat mein jaye ga go kitna hi gunahgar ho) . Baaz nuskhon mein yeh hai «haazhaa izhaa taaba wa qaala laa ilaaha illallaahu indal-mauti» yani Abu Zarr ki hadees is shakhs ke baare mein hai jo gunah se tauba kare aur marte waqt «laa ilaaha illallaahu» kahe .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة