الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي الرِّقَاقِ وَأَنْ لاَ عَيْشَ إِلاَّ عَيْشُ الآخِرَةِ:
Sehat aur faraaghat ke bayaan mein. Aur Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaan ke zindagi dar-haqeeqat aakhirat hi ki zindagi hai.
Hadith Number: 6412
حدثنا المكي بن إبراهيم، اخبرنا عبد الله بن سعيد هو ابن ابي هند، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" نعمتان مغبون فيهما كثير من الناس: الصحة، والفراغ"، قال عباس العنبري: حدثنا صفوان بن عيسى، عن عبد الله بن سعيد بن ابي هند، عن ابيه، سمعت ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله.
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Saeed ne khabar di , woh Abu Hind ke sahab-zade hain , unhein in ke walid ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”do neimatein aaisi hain ke aksar log in ki qadr nahi karte , sehat aur faraghat .“ Abbas Anbari ne bayan kiya ke hum se Safwan bin Esa ne bayan kiya , in se Abdullah bin Abi Hind ne , in se in ke walid ne ke main ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se isi hadees ki tarah .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6413
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن معاوية بن قرة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اللهم لا عيش إلا عيش الآخره، فاصلح الانصار، والمهاجره".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Muawiyah bin Qurrah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «allaahumma laa aisha illaa aishul-aakhirah , fa-aslihil-ansaara wal-muhaajirah» ”Ae Allah! Aakhirat ki zindagi ke siwa aur koi zindagi nahi . Pas tu Ansar wa Muhajireen mein salah ko baqi rakh .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6414
حدثني احمد بن المقدام، حدثنا الفضيل بن سليمان، حدثنا ابو حازم، حدثنا سهل بن سعد الساعدي، كنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في الخندق وهو يحفر، ونحن ننقل التراب ويمر بنا، فقال:" اللهم لا عيش إلا عيش الآخره، فاغفر للانصار، والمهاجره"، تابعه سهل بن سعد، عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله.
Hum se Ahmad bin Miqdam ne bayan kiya , kaha hum se Fuzhail bin Sulayman ne bayan kiya , kaha hum se Abu Hazim ne bayan kiya , in se Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Ghazwa e Khandaq ke mauqa par maujood thay , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi khandaq khodte jaate thay aur hum matti ko uthate jaate aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamare qareeb se guzarte huay farmate «allaahumma laa aisha illaa aishul-aakhirah , fagh-fir lil-ansaari wal-muhaajirah» ”Ae Allah! Zindagi to bas aakhirat hi ki zindagi hai , pas tu Ansar wa Muhajireen ki maghfirat kar .“ Is riwayat ki mutabia-t Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَثَلِ الدُّنْيَا فِي الآخِرَةِ:
Aakhirat ke saamne dunya ki kya haqeeqat hai.
Hadith Number: Q6415
وقوله تعالى: انما الحياة الدنيا لعب ولهو وزينة وتفاخر بينكم وتكاثر في الاموال والاولاد كمثل غيث اعجب الكفار نباته ثم يهيج فتراه مصفرا ثم يكون حطاما وفي الآخرة عذاب شديد ومغفرة من الله ورضوان وما الحياة الدنيا إلا متاع الغرور سورة الحديد آية 20.
Is ka bayan aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Hadeed mein) farmaya ”bilashubha duniya ki zindagi mahz ek khel kood ki tarah hai aur zeenat hai aur aapas mein ek doosre par fakhr karne aur maal aulad ko barhane ki koshish ka naam hai , is ki misal is baarish ki hai jis ke sabzah ne kasht-kaaron ko bha liya hai , phir jab is kheti mein ubhaar aata hai to tum dekho ge ke woh pak kar zard ho chuka hai . Phir woh dana nikaalne ke liye raund dala jata hai (yahi haal zindagi ka hai) aur aakhirat mein kafiron ke liye sakht azab hai aur Musalmanon ke liye Allah Ta'ala ki maghfirat aur is ki khushnoodi bhi hai aur duniya ki zindagi to mahz ek dhokay ka saman hai .“
Hadith Number: 6415
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا عبد العزيز بن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" موضع سوط في الجنة خير من الدنيا وما فيها، ولغدوة في سبيل الله، او روحة خير من الدنيا وما فيها".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Abu Salamah ne bayan kiya , in se un ke walid ne aur in se Sahl razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Aap ko yeh farmate huay suna ke jannat mein ek koray jitni jagah duniya aur is mein jo kuch hai sab se behtar hai aur Allah ke raste mein subah ko ya shaam ko thora sa chalna bhi «ad-dunyaa wa maa feehaa» se behtar hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «كُنْ فِي الدُّنْيَا كَأَنَّكَ غَرِيبٌ، أَوْ عَابِرُ سَبِيلٍ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaan ke dunya mein is tarah zindagi basar karo jaise tum musafir ho ya aarzi taur par kisi raaste par chalne wale ho.
Hadith Number: 6416
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا محمد بن عبد الرحمن ابو المنذر الطفاوي، عن سليمان الاعمش، قال: حدثني مجاهد، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: اخذ رسول الله صلى الله عليه وسلم بمنكبي، فقال:" كن في الدنيا كانك غريب، او عابر سبيل"، وكان ابن عمر يقول: إذا امسيت فلا تنتظر الصباح، وإذا اصبحت فلا تنتظر المساء، وخذ من صحتك لمرضك ومن حياتك لموتك.
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Abd-ur-Rahman Abu al-Munzhir Tafaawi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Sulayman Aamash ne bayan kiya , unhon ne kaha mujh se Mujahid ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mera shana pakar kar farmaya ”duniya mein is tarah ho ja jaise tu musafir ya rasta chalne wala ho .“ Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma farmaya karte thay shaam ho jaye to subah ke muntazhir na raho aur subah ke waqt shaam ke muntazhir na raho , apni sehat ko marz se pehle ghaneemat jaano aur zindagi ko maut se pehle .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ في الأَمَلِ وَطُولِهِ:
Aarzoo ki rassi ka daraaz hona.
Hadith Number: Q6417
وقول الله تعالى: فمن زحزح عن النار وادخل الجنة فقد فاز وما الحياة الدنيا إلا متاع الغرور سورة آل عمران آية 185 وقوله: ذرهم ياكلوا ويتمتعوا ويلههم الامل فسوف يعلمون سورة الحجر آية 3، وقال علي بن ابي طالب: ارتحلت الدنيا مدبرة وارتحلت الآخرة مقبلة ولكل واحدة منهما بنون فكونوا من ابناء الآخرة ولا تكونوا من ابناء الدنيا، فإن اليوم عمل ولا حساب، وغدا حساب ولا عمل بمزحزحه بمباعده.
Aur Allah Ta'ala ne farmaya «fa-man zuhzhiha anin-naari wa udkhilal-jannata faqad faaza wa mal-hayaatud-dunyaa illaa mataa-ul-ghuroori» ”pas jo shakhs dozakh se bacha liya gaya aur jannat mein dakhil kiya gaya woh kamyab hua aur duniya ki zindagi to mahz dhokay ka saman hai .“ Aur (Surah al-Hajr) mein farmaya «zharhum ya'kuloo wa yatamattau wa yulhihimul-amalu fasaufa ya-lamoona» ”Ae Nabi! In kafiron ko chhorr ke woh khaate rahein aur maze karte rahein aur aarzoo un ko dhokay mein ghafil rakkhti rahe , pas woh anqareeb jaan lein ge jab un ko maut achanaak daboach le gi .“ Ali razi Allahu anhu ne kaha ke duniya peeth pherne wali hai aur aakhirat samne aa rahi hai . Insaanon mein duniya wa aakhirat donon ke chahne wale hain . Pas tum aakhirat ke chahne wale bano , duniya ke chahne wale na bano , kyunke aaj to kaam hi kaam hai hisab nahi hai aur kal hisab hi hisab ho ga aur amal ka waqt baqi nahi rahe ga . Surah al-Baqarah mein lafz «bi-muzuhzhihihee» bamaani «bi-mubaaidihee» hai is ke maani hatane wala .
Hadith Number: 6417
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا يحيى بن سعيد، عن سفيان، قال: حدثني ابي، عن منذر، عن ربيع بن خثيم، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: خط النبي صلى الله عليه وسلم خطا مربعا، وخط خطا في الوسط خارجا منه، وخط خططا صغارا إلى هذا الذي في الوسط من جانبه الذي في الوسط، وقال:" هذا الإنسان، وهذا اجله محيط به، او قد احاط به، وهذا الذي هو خارج امله، وهذه الخطط الصغار الاعراض، فإن اخطاه هذا نهشه هذا، وإن اخطاه هذا نهشه هذا".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne bayan kiya , kaha hum ko Yahya Qattan ne khabar di , in se Sufyan Sawri ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya , in se Munzhir bin Yala ne , in se Rabee bin Khaisam ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne chaukhta khatt khaincha . Phir is ke darmiyan ek khatt khaincha jo chaukhte ke darmiyan mein tha . Is ke baad darmiyan wale khatt ke is hisse mein jo chaukhte ke darmiyan mein tha chhote chhote bahut se khutoot khainche aur phir farmaya ke yeh insan hai aur yeh is ki maut hai jo usay ghaire huay hai aur yeh jo (beech ka) khatt bahar nikla hua hai woh is ki umeed hai aur chhote chhote khutoot is ki duniyawi mushkilat hain . Pas insan jab ek (mushkil) se bach kar nikalta hai to doosri mein phans jata hai aur doosri se nikalta hai to teesri mein phans jata hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6418
حدثنا مسلم، حدثنا همام، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس، قال: خط النبي صلى الله عليه وسلم خطوطا، فقال:" هذا الامل وهذا اجله فبينما هو كذلك إذ جاءه الخط الاقرب".
Hum se Muslim bin Ibrahim Farahidi ne bayan kiya , kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya , in se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne chand khutoot khainche aur farmaya ke yeh umeed hai aur yeh maut hai , insan isi halat (umeedon tak pahunchne ki) mein rehta hai ke qareeb wala khatt (maut) is tak pahunch jata hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ بَلَغَ سِتِّينَ سَنَةً فَقَدْ أَعْذَرَ اللَّهُ إِلَيْهِ فِي الْعُمُرِ:
Jo shakhs saath saal ki umar ko pahunch gaya to phir Allah Taala ne umar ke baare mein us ke liye uzr ka koi mauqa baqi nahin rakha.
Hadith Number: Q6419
لقوله اولم نعمركم ما يتذكر فيه من تذكر وجاءكم النذير سورة فاطر آية 37 يعني الشيب.
Kyunke Allah ne farmaya hai «awalam nu-am-mirkum maa yatazhakkaru feehi man tazhak-kara wa jaa-akum-un-nazheeru» ”kya hum ne tumhein itni umr nahi di thi ke jo shakhs is mein nasihat haasil karna chahta kar laita aur tumhare paas daraanay wala aaya , phir bhi tum ne hosh se kaam nahi liya .“