الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يُحْذَرُ مِنْ زَهْرَةِ الدُّنْيَا وَالتَّنَافُسِ فِيهَا:
Dunya ki bahaar aur ronak aur us ki rejh karne se darna.
Hadith Number: 6428
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، قال: سمعت ابا جمرة، قال: حدثني زهدم بن مضرب، قال: سمعت عمران بن حصين رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خيركم قرني، ثم الذين يلونهم، ثم الذين يلونهم"، قال عمران: فما ادري، قال النبي صلى الله عليه وسلم بعد قوله مرتين او ثلاثا، ثم يكون بعدهم قوم يشهدون، ولا يستشهدون، ويخونون ولا يؤتمنون، وينذرون ولا يفون، ويظهر فيهم السمن.
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , kaha ke main ne Abu Hamza se suna , kaha ke mujh se Zahdam bin Mudur-rib ne bayan kiya , kaha ke main ne Imran bin Husain razi Allahu anhuma se suna aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum mein sab se behtar mera zamana hai , phir in logon ka zamana hai jo is ke baad hon ge .“ Imran ne bayan kiya ke mujhe nahi maloom Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne irshad ko do martaba doharaya ya teen martaba . Phir is ke baad woh log hon ge ke woh gawahi dein ge lekin in ki gawahi qabool nahi ki jaye gi , woh khiyanat karein ge aur in par se aitmad jaata rahe ga . Woh nazr maanein ge lekin poori nahi karein ge aur in mein mutapa phail jaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6429
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خير الناس قرني، ثم الذين يلونهم، ثم الذين يلونهم، ثم يجيء من بعدهم قوم تسبق شهادتهم ايمانهم، وايمانهم شهادتهم".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum se Abu Hamza ne , in se Aamash ne , in se Ibrahim ne , in se Ubaidah ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”sab se behtar mera zamana hai , is ke baad in logon ka jo is ke baad hon ge phir jo in ke baad hon ge aur is ke baad aise log paida hon ge jo qasam se pehle gawahi dein ge kabhi gawahi se pehle qasam khayein ge .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6430
حدثني يحيى بن موسى، حدثنا وكيع، حدثنا إسماعيل، عن قيس، قال: سمعت خبابا وقد اكتوى يومئذ سبعا في بطنه، وقال:" لولا ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهانا ان ندعو بالموت لدعوت بالموت، إن اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم مضوا ولم تنقصهم الدنيا بشيء، وإنا اصبنا من الدنيا ما لا نجد له موضعا إلا التراب".
Mujh se Yahya bin Musa ne bayan kiya , kaha hum se Waki ne bayan kiya , in se Ismail bin Abi Khalid Kufi ne bayan kiya , in se Qays bin Abi Hazim ne bayan kiya ke main ne Khabbab bin al-Arat razi Allahu anhu se suna , is din in ke pait mein saat daagh lagaye gaye thay . Unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne agar hamain maut ki dua karne se mana na kiya hota to main apni maut ki dua karta . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahabah guzar gaye aur duniya ne in ke (aamal e khair mein se) kuch nahi ghata-ya aur hum ne duniya se itna kuch haasil kiya ke matti ke siwa is ki koi jagah nahi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6431
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن إسماعيل، قال: حدثني قيس، قال: اتيت خبابا: وهو يبني حائطا له فقال:" إن اصحابنا الذين مضوا لم تنقصهم الدنيا شيئا، وإنا اصبنا من بعدهم شيئا لا نجد له موضعا إلا التراب".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya , in se Ismail bin Abi Khalid ne , in se Qays bin Abi Hazim ne kaha ke main Khabbab bin al-Arat razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir hua , woh apne makan ki diwar banwa rahe thay , unhon ne kaha ke hamare saathi jo guzar gaye duniya ne in ke naik aamal mein se kuch kami nahi ki lekin in ke baad hamain itna paisa mila ke hum is ko kahan kharch karein bas is matti aur pani yani imarat mein hamain isay kharch ka mauqa mila hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6432
حدثنا محمد بن كثير، عن سفيان، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن خباب رضي الله عنه، قال:" هاجرنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم قصه".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya , in se Sufyan bin Uyaynah ne , in se Aamash ne in se Abu Wail ne aur in se Khabbab bin al-Arat razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Hijrat ki thi aur is ka qissa bayan kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّ وَعْدَ اللَّهِ حَقٌّ فَلاَ تَغُرَّنَّكُمُ الْحَيَاةُ الدُّنْيَا وَلاَ يَغُرَّنَّكُمْ بِاللَّهِ الْغَرُورُ إِنَّ الشَّيْطَانَ لَكُمْ عَدُوٌّ فَاتَّخِذُوهُ عَدُوًّا إِنَّمَا يَدْعُو حِزْبَهُ لِيَكُونُوا مِنْ أَصْحَابِ السَّعِيرِ}:
Allah Pak ka (Surat Fatir mein) farmana ke Allah ka waada haq hai pas tumhein dunya ki zindagi dhoka mein na daal de (ke aakhirat ko bhool jao) aur na koi dhoka dene wali cheez tumhein Allah se ghaafil kar de. Bilashuba shaitaan tumhara dushman hai pas tum usay apna dushman hi samjho, woh to apne giroh ko bulata hai ke woh jahannami ho jaaye.
Hadith Number: Q6433
جمعه سعر، قال مجاهد: الغرور: الشيطان.
Aayat mein «sa-eerun» ka lafz hai jis ki jama «su-urun» aati hai . Mujahid ne kaha jise Faryabi ne wasal kiya ke «ghuroorun» se shaytan murad hai .
Hadith Number: 6433
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن محمد بن إبراهيم القرشي، قال: اخبرني معاذ بن عبد الرحمن، ان حمران بن ابان، اخبره، قال: اتيت عثمان بن عفان بطهور وهو جالس على المقاعد، فتوضا فاحسن الوضوء، ثم قال: رايت النبي صلى الله عليه وسلم توضا وهو في هذا المجلس فاحسن الوضوء، ثم قال:" من توضا مثل هذا الوضوء، ثم اتى المسجد فركع ركعتين، ثم جلس غفر له ما تقدم من ذنبه، قال: وقال النبي صلى الله عليه وسلم: لا تغتروا".
Hum se Saad bin Hafs ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shayban bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya , in se Yahya ne bayan kiya , in se Muhammad bin Ibrahim Qurashi ne bayan kiya ke mujhe Maaz bin Abd-ur-Rahman ne khabar di , unhein Humran bin Abaan ne khabar di , unhon ne kaha ke main Usman razi Allahu anhu ke liye wuzu ka pani le kar aaya woh chabootre par baithe huay thay , phir unhon ne achhi tarah wuzu kiya . Is ke baad kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko isi jagah wuzu karte huay dekha tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne achhi tarah wuzu kiya , phir farmaya ke jis ne is tarah wuzu kiya aur phir masjid mein aa kar do rakat namaz parhi to is ke pichhle gunah maaf ho jaate hain . Bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par yeh bhi farmaya ke is par maghroor na ho jao .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذَهَابِ الصَّالِحِينَ:
Saaliheen ka guzar jaana.
Hadith Number: 6434
حدثني يحيى بن حماد، حدثنا ابو عوانة، عن بيان، عن قيس بن ابي حازم، عن مرداس الاسلمي، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" يذهب الصالحون الاول فالاول، ويبقى حفالة كحفالة الشعير او التمر، لا يباليهم الله بالة"، قال ابو عبد الله: يقال حفالة وحثالة.
Mujh se Yahya bin Hamad ne bayan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya , in se Bayaan bin Bishr ne , in se Qays bin Abi Hazim ne aur in se Mirdas Aslami razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”naik log yake baad deegre guzar jayein ge is ke baad jau ke bhousay ya khajoor ke kachre ki tarah kuch log duniya mein reh jayein ge jin ki Allah Paak ko kuch zhara bhi parwa na ho gi .“ Imam Bukhari rahmahullah ne kaha «hufaala-tun» aur «husaala-tun» donon ke ek maani hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُتَّقَى مِنْ فِتْنَةِ الْمَالِ:
Maal ke fitne se darte rehna.
Hadith Number: Q6435
وقول الله تعالى: إنما اموالكم واولادكم فتنة سورة التغابن آية 15.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Taghabun mein) farmaya «innamaa amwaalukum wa aulaadukum fitnatun» ”bilashubha tumhare maal o aulad tumhare liye Allah ki taraf se aazmaish hain .“
Hadith Number: 6435
حدثني يحيى بن يوسف، اخبرنا ابو بكر، عن ابي حصين، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" تعس عبد الدينار، والدرهم، والقطيفة، والخميصة، إن اعطي رضي، وإن لم يعط لم يرض".
Mujh se Yahya bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum ko Abu Bakr bin Ay-yash ne khabar di , unhein Abu Haseen (Usman bin Aasim) ne , unhein Abu Salih Zhakwan ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”dinar o dirham ke bande , umdah reshmi chadron ke bande , siyah kamli ke bande , tabah ho gaye ke agar unhein diya jaye to woh khush ho jaate hain aur agar na diya jaye to naraz rehte hain .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة