الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ هَلْ يُصَلَّى عَلَى غَيْرِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Kya Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ke siwa kisi aur par durood bheja ja sakta hai?
Show diacritics
Hadith Number: Q6359
وقول الله تعالى: وصل عليهم إن صلاتك سكن لهم سورة التوبة آية 103.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Tauba mein) apne Paighambar se yun farmaya «Wa salli alaihim inna salataka sakanul lahum» yaani un par durood bhej kyunke tere durood (dua) se un ko tasalli hoti hai.


Show diacritics
Hadith Number: 6359
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، عن ابن ابي اوفى، قال: كان إذا اتى رجل النبي صلى الله عليه وسلم بصدقته، قال:" اللهم صل عليه"، فاتاه ابي بصدقته، فقال:" اللهم صل على آل ابي اوفى".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Amr bin Murra ne aur un se Ibn Abi Aufa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya jab Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas koi shakhs apni zakat le kar aata to Aap farmate «Allahumma salli alaihi» ”Ae Allah! is par apni rehmat nazil farma.“ Mere walid bhi apni zakat le kar aaye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya «Allahumma salli ala aali Abi Aufa» ”Ae Allah! Aal-e-Abi Aufa par apni rehmat nazil farma.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6360
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن عبد الله بن ابي بكر، عن ابيه، عن عمرو بن سليم الزرقي، قال: اخبرني ابو حميد الساعدي، انهم قالوا: يا رسول الله، كيف نصلي عليك؟ قال:" قولوا: اللهم صل على محمد، وازواجه، وذريته، كما صليت على آل إبراهيم، وبارك على محمد، وازواجه، وذريته، كما باركت على آل إبراهيم إنك حميد مجيد".
`Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya, un se Imam Malik ne, un se Abdullah bin Abi Bakr ne, un se un ke walid ne aur un se Amr bin Sulaim Zarqi ne bayan kiya ke hum ko Abu Humaid Sa'idi Radi Allahu Anhu ne khabar di ke sahabah ne arz kiya: ya Rasul Allah! hum Aap par kis tarah durood bhejein? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke is tarah kaho «Allahumma salli ala Muhammadin wa azwajihi wa zurriyatihi, kama sallaita ala aali Ibrahima, wa barik ala Muhammadin wa azwajihi wa zurriyatihi, kama barakta ala aali Ibrahima, innaka Hameedum Majeed» ”Ae Allah! Muhammad aur Aap ki azwaj aur Aap ki aulad par apni rehmat nazil kar jaisa ke tu ne Ibrahim aur Aal-e-Ibrahim par rehmat nazil ki aur Muhammad aur un ki azwaj aur un ki aulad par barkat nazil kar, jaisa ke tu ne Ibrahim aur Aal-e-Ibrahim par barkat nazil ki. Bilashuba tu tareef kiya gaya shan-o-azmat wala hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ آذَيْتُهُ فَاجْعَلْهُ لَهُ زَكَاةً وَرَحْمَةً» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaan ke aye Allah! agar mujh se kisi ko takleef pahunchi ho to us ke gunaahon ke liye kaffara aur rehmat bana de.
Show diacritics
Hadith Number: 6361
حدثنا احمد بن صالح، حدثنا ابن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" اللهم فايما مؤمن سببته، فاجعل ذلك له قربة إليك يوم القيامة".
`Hum se Ahmad bin Salih ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Wahab ne bayan kiya, kaha ke mujhe Yunus ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, kaha ke mujh ko Saeed bin Musayyab ne khabar di aur unhein Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne ke unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Ae Allah! mein ne jis momin ko bhi bura bhala kaha ho to is ke liye ise qayamat ke din apni qurbat ka zariya bana de.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعَوُّذِ مِنَ الْفِتَنِ:
Fitnon se Allah ki panah maangna.
Show diacritics
Hadith Number: 6362
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، سالوا رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى احفوه المسالة، فغضب فصعد المنبر، فقال:" لا تسالوني اليوم عن شيء إلا بينته لكم"، فجعلت انظر يمينا وشمالا، فإذا كل رجل لاف راسه في ثوبه يبكي، فإذا رجل كان إذا لاحى الرجال يدعى لغير ابيه، فقال: يا رسول الله، من ابي؟ قال: حذافة، ثم انشا عمر، فقال: رضينا بالله ربا، وبالإسلام دينا، وبمحمد صلى الله عليه وسلم رسولا، نعوذ بالله من الفتن، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما رايت في الخير والشر كاليوم قط، إنه صورت لي الجنة والنار حتى رايتهما وراء الحائط"، وكان قتادة يذكر عند هذا الحديث هذه الآية يايها الذين آمنوا لا تسالوا عن اشياء إن تبد لكم تسؤكم سورة المائدة آية 101.
`Hum se Hafs bin Umar Haudhi ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Dustuwai ne bayan kiya, un se Qatada ne aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke sahabah ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se sawalat kiye aur jab bahut zyada kiye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko nagawari hui, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم mimbar par tashreef laye aur farmaya ke aaj tum mujh se jo baat poochoge mein bataonga. Is waqt mein ne dayein bayein dekha to tamam sahabah sar apne kapron mein lapete hue ro rahe thay, ek sahab jin ka agar kisi se jhagda hota to unhein un ke baap ke siwa kisi aur ki taraf (tana ke taur par) mansoob kiya jata tha. Unhon ne poocha: ya Rasul Allah! mere baap kaun hain? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Huzafa. Is ke baad Umar Radi Allahu Anhu uthe aur arz kiya hum Allah se raazi hain ke hamara Rabb hai, Islam se ke wo deen hai, Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم se ke wo sacche rasool hain, hum fitno se Allah ki panah mangte hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, aaj ki tarah khair-o-shar ke maamle mein mein ne koi din nahi dekha, mere samne jannat aur dozakh ki tasveer layi gayi aur mein ne unhein deewar ke upar dekha. Qatada is hadees ko bayan karte waqt (Surah al-Maida ki) is ayat ka zikr kiya karte thay «Ya ayyuhallazeena amanoo la tas'aloo an ashya'a in tubda lakum tasu'kum» ”Ae iman walo! aisi cheezon ke mutalliq na sawal karo ke agar tumhare samne un ka jawab zahir ho jaye to tum ko bura lage.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعَوُّذِ مِنْ غَلَبَةِ الرِّجَالِ:
Dushmanon ke ghaalib aane se Allah ki panah maangna.
Show diacritics
Hadith Number: 6363
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن عمرو بن ابي عمرو مولى المطلب بن عبد الله بن حنطب، انه سمع انس بن مالك، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لابي طلحة:" التمس لنا غلاما من غلمانكم يخدمني"، فخرج بي ابو طلحة يردفني وراءه، فكنت اخدم رسول الله صلى الله عليه وسلم كلما نزل، فكنت اسمعه يكثر ان يقول:" اللهم إني اعوذ بك من الهم، والحزن، والعجز، والكسل، والبخل، والجبن وضلع الدين، وغلبة الرجال"، فلم ازل اخدمه حتى اقبلنا من خيبر، واقبل بصفية بنت حيي قد حازها، فكنت اراه يحوي وراءه بعباءة او كساء، ثم يردفها وراءه حتى إذا كنا بالصهباء صنع حيسا في نطع، ثم ارسلني فدعوت رجالا، فاكلوا وكان ذلك بناءه بها، ثم اقبل حتى إذا بدا له احد قال:" هذا جبيل يحبنا ونحبه، فلما اشرف على المدينة، قال:" اللهم إني احرم ما بين جبليها، مثل ما حرم به إبراهيم مكة، اللهم بارك لهم في مدهم وصاعهم".
`Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya, un se Amr bin Abi Amr, Muttalib bin Abdullah bin Hantab ke gulam ne bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Abu Talha Radi Allahu Anhu se farmaya ke apne yahan ke larkon mein se koi bacha talash karo jo mera kaam kar diya kare. Chunancha Abu Talha Radi Allahu Anhu mujhe apni sawari par peeche bitha kar le gaye Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم jab bhi ghar hote to mein Aap ki khidmat kiya karta tha. Mein ne suna ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم yeh dua aksar padha karte thay «Allahumma inni a'oozu bika minal hammi wal huzni, wal ajzi wal kasali, wal bukhli wal jubni, wa dala'id-daini, wa galabatir-rijal» ”Ae Allah! mein teri panah mangta hoon gham-o-alam se, aajizi-o-kamzori se aur bukhl se aur buzdili se aur qarz ke bojh se aur insaanon ke galba se.“ Mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat karta raha. Phir hum Khaibar se wapas aaye aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Umm-ul-Momineen Safiya bint Huyay Radi Allahu Anha ke sath wapas hue. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein apne liye muntakhab kiya tha. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke liye abaa ya chadar se parda kiya aur unhein apni sawari par apne peeche bithaya. Jab hum maqaam Sahba pahunche to Aap ne ek charmi dastar khwan par kuch maleeda tayyar kara ke rakhwaya phir mujhe bheja aur mein kuch sahabah ko bula laya aur sab ne ise khaya, yeh Aap ki dawat-e-walima thi. Is ke baad Aap aage badhe aur Uhud pahad dikhayi diya. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya yeh pahad hum se mohabbat karta hai aur hum is se mohabbat karte hain. Aap jab Madina Munawwara pahunche to farmaya ”Ae Allah! mein is shehar ke donon pahadon ke darmiyani ilaqa ko is tarah hurmat wala qarar deta hoon jis tarah Ibrahim Alaihissalam ne Makka ko hurmat wala qarar diya tha. Ae Allah! yahan walon ke mudd mein aur un ke saa' mein barkat ata farma.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعَوُّذِ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ:
Azaab qabr se panah maangna.
Show diacritics
Hadith Number: 6364
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا موسى بن عقبة، قال: سمعت ام خالد بنت خالد، قال: ولم اسمع احدا سمع من النبي صلى الله عليه وسلم غيرها، قالت:" سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يتعوذ من عذاب القبر".
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne, kaha hum se Musa bin Uqbah ne bayan kiya, kaha ke main ne Umm Khalid bint Khalid bin Saeed razi Allahu anhuma se suna (Musa ne) bayan kiya ke main ne kisi se nahi suna ke in ki bayan ki hui hadees se mukhtalif kisi ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna ho, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna ke Aap qabr ke azab se Allah ki panah maangte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6365
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الملك، عن مصعب، كان سعد يامر بخمس ويذكرهن عن النبي صلى الله عليه وسلم:" انه كان يامر بهن، اللهم إني اعوذ بك من البخل، واعوذ بك من الجبن، واعوذ بك ان ارد إلى ارذل العمر، واعوذ بك من فتنة الدنيا يعني فتنة الدجال، واعوذ بك من عذاب القبر".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Malik bin Umair ne bayan kiya, in se Musab bin Saad bin Abi Waqqas ne ke Saad razi Allahu anhu paanch baaton ka hukm dete thay aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se zikr karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in se panah maangne ka hukm karte thay ke «allaahumma innee aoozhu bika minal-bukhli, wa aoozhu bika minal-jubni, wa aoozhu bika an uradda ilaa arzhali-lumuri, wa aoozhu bika min fitnatid-dunya-yani fitnatid-daj-jaali-wa aoozhu bika min azhaabil-qabri» ”Ae Allah! Main teri panah maangta hoon is se ke bad-tareen burhapa mujh par aa jaye aur tujh se panah maangta hoon duniya ke fitna se, is se murad Dajjal ka fitna hai aur tujh se panah maangta hoon qabr ke azab se.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6366
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عائشة، قالت: دخلت علي عجوزان من عجز يهود المدينة، فقالتا لي: إن اهل القبور يعذبون في قبورهم، فكذبتهما ولم انعم ان اصدقهما، فخرجتا ودخل علي النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت له: يا رسول الله، إن عجوزين وذكرت له، فقال:" صدقتا إنهم يعذبون عذابا تسمعه البهائم كلها"، فما رايته بعد في صلاة، إلا تعوذ من عذاب القبر.
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya, in se Abu Wail ne, in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Madinah ke Yahudiyon ki do burhi auratein mere paas aayin aur unhon ne mujh se kaha ke qabr walon ko in ki qabr mein azab ho ga. Lekin main ne unhein jhutlaya aur in ki (baat ki) tasdeeq nahi kar saki. Phir woh donon auratein chali gayiein aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye to main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Do burhi auratein thien, phir main Aap se waqia ka zikr kiya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhon ne sahih kaha, qabr walon ko azab ho ga aur in ke azab ko tamam chaupaye sunein ge. Phir main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam har namaz mein qabr ke azab se Allah ki panah maangne lage thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعَوُّذِ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ:
Zindagi aur maut ke fitnon se Allah ki panah maangna.
Show diacritics
Hadith Number: 6367
حدثنا مسدد، حدثنا المعتمر، قال: سمعت ابي، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، يقول: كان نبي الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" اللهم إني اعوذ بك من العجز، والكسل، والجبن، والبخل، والهرم، واعوذ بك من عذاب القبر، واعوذ بك من فتنة المحيا والممات".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne bayan kiya, kaha ke main ne apne walid se suna, bayan kiya ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kaha karte thay «allaahumma innee aoozhu bika minal-ajzhi wal-kasali, wal-jubni wal-harami, wa aoozhu bika min azhaabil-qabri, wa aoozhu bika min fitnatil-mahyaa wal-mamaati» ”Ae Allah! Main teri panah maangta hoon aajizi se, susti se, buzdili se aur bahut zyada burhape se aur main teri panah maangta hoon zindagi aur maut ki aazmaishon se.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة