الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الدُّعَاءِ عِنْدَ الْخَلاَءِ:
Bayt al-khala jaane ke liye kaun si dua parhni chahiye.
Hadith Number: 6322
حدثنا محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن عبد العزيز بن صهيب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا دخل الخلاء، قال:" اللهم إني اعوذ بك من الخبث والخبائث".
Hum se Muhammad bin Ar-ara ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abd-ul-Aziz bin Suhayb ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab bait-ul-khala jaate to yeh dua parhte «allaahumma innee aoozhu bika minal-khubusi wal-khabaa-isi» ”Ae Allah! Main khabeeth jinon aur jiniyon ki burayi se teri panah maangta hoon.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَقُولُ إِذَا أَصْبَحَ:
Subah ke waqt kya dua parhe.
Hadith Number: 6323
حدثنا مسدد حدثنا يزيد بن زريع حدثنا حسين حدثنا عبد الله بن بريدة عن بشير بن كعب عن شداد بن اوس عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: «سيد الاستغفار اللهم انت ربي لا إله إلا انت، خلقتني وانا عبدك، وانا على عهدك ووعدك ما استطعت، ابوء لك بنعمتك، وابوء لك بذنبي، فاغفر لي، فإنه لا يغفر الذنوب إلا انت، اعوذ بك من شر ما صنعت. إذا قال حين يمسي فمات دخل الجنة- او كان من اهل الجنة- وإذا قال حين يصبح فمات من يومه» . مثله.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Zuray ne bayan kiya, kaha hum se Husain ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Buraydah ne bayan kiya, in se Basheer bin Kabb ne aur in se Shaddad bin Aus razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sab se umdah istighfaar yeh hai «allaahumma anta rabbee laa ilaaha illaa anta khalaqtanee wa ana abduka wa ana alaa ahdika wa wa-dika mas-tata-tu aboo-u laka bi-nimatika wa aboo-u laka bi-zhambee fagh-fir lee fa-innahoo laa yaghfiruzh-zhunooba illaa anta aoozhu bika min sharri maa sana-tu» ”Ae Allah! Tu mera paalne wala hai tere siwa koi mabood nahi tu ne mujhe paida kiya aur main tera banda hoon aur main tere ahad par qaim hoon aur tere wade par. Jahan tak mujh se mumkin hai. Teri neimat ka talib ho kar teri panah mein aata hoon aur apne gunahon se teri panah chahta hoon, pas tu meri maghfirat farma kyunke tere siwa gunah aur koi nahi maaf karta. Main teri panah maangta hoon apne bure kaamon se.“ agar kisi ne raat hote hi yeh keh liya aur isi raat is ka intiqal ho gaya to woh jannat mein jaye ga. Ya (farmaya ke) woh ahal e jannat mein ho ga aur agar yeh dua subah ke waqt parhi aur isi din is ki wafat ho gayi to bhi aisa hi ho ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6324
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عبد الملك بن عمير، عن ربعي بن حراش، عن حذيفة، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا اراد ان ينام، قال: باسمك اللهم اموت واحيا، وإذا استيقظ من منامه، قال: الحمد لله الذي احيانا بعد ما اماتنا وإليه النشور".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Abd-ul-Malik bin Umair ne, in se Rabee bin Hirash ne aur in se Huzayfah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab sone ka irada karte to kehte «bi-ismika allaahumma amootu wa ahyaa» ”tere naam ke saath, Ae Allah! Main marta aur tere hi naam se jeeta hoon.“ aur jab bedar hote to yeh dua parhte «al-hamdu lillaahil-lazhee ahyaanaa ba-da maa amaatanaa wa ilaihin-nushooru» ”tamam tareefein is Allah ke liye hain jis ne hamain maut ke baad zindagi bakhshi aur isi ki taraf hamako lautna hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6325
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن منصور، عن ربعي بن حراش، عن خرشة بن الحر، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم" إذا اخذ مضجعه من الليل، قال: اللهم باسمك اموت واحيا، فإذا استيقظ، قال: الحمد لله الذي احيانا بعد ما اماتنا وإليه النشور".
Hum se Abdullah ne bayan kiya, in se Abu Hamza Muhammad bin Maymoon ne, in se Mansoor bin Mutamir ne, in se Rabee bin Hirash ne, in se Kharasha bin al-Harr ne aur in se Abu Zarr Ghifari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam raat mein apni khwab-gah par jaate to kehte «allaahumma bi-ismika amootu wa ahyaa» ”Ae Allah! Main tere hi naam se marta hoon aur tere hi naam se zinda hota hoon.“ aur jab bedar hote to farmate «al-hamdu lillaahil-lazhee ahyaanaa ba-da maa amaatanaa wa ilaihin-nushooru» ”tamam tareefein is Allah ke liye hain jis ne hamain maut ke baad zindagi bakhshi aur isi ki taraf hamako jaana hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الدُّعَاءِ فِي الصَّلاَةِ:
Namaz mein kaun si dua parhe?
Hadith Number: 6326
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا الليث، قال: حدثني يزيد، عن ابي الخير، عن عبد الله بن عمرو، عن ابي بكر الصديق رضي الله عنه انه قال للنبي صلى الله عليه وسلم: علمني دعاء ادعو به في صلاتي، قال:" قل: اللهم إني ظلمت نفسي ظلما كثيرا ولا يغفر الذنوب إلا انت، فاغفر لي مغفرة من عندك، وارحمني إنك انت الغفور الرحيم"، وقال عمرو بن الحارث، عن يزيد، عن ابي الخير، إنه سمع عبد الله بن عمرو، قال ابو بكر رضي الله عنه للنبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha hum ko Layth bin Saad ne khabar di, kaha ke mujh se Yazid bin Abi Habeeb ne bayan kiya, in se Abu al-Khair Marsad bin Abdullah ne, in se Abdullah bin Amr bin al-Aas razi Allahu anhuma ne aur in se Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ne ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke mujhe aaisi dua sikha dijiye jise main apni namaz mein parha karoon. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh kaha kar «allaahumma innee zhalamtu nafsee zhulman kaseeran wa laa yaghfiruzh-zhunooba illaa anta fagh-fir lee maghfiratam-min indika war-hamnee innaka antal-ghafoor-ur-raheem» ”Ae Allah! Main ne apni jaan par bahut zhulm kiya hai aur gunahon ko tere siwa koi maaf nahi karta pas meri maghfirat kar, aaisi maghfirat jo tere paas se ho aur mujh par raham kar bilashubha tu bara maghfirat karne wala, bara raham karne wala hai.“ aur Amr bin Haris ne bhi is hadees ko Yazid se, unhon ne Abu al-Khair se, unhon ne Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma se suna ke Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya aakhir tak.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6327
حدثنا علي، حدثنا مالك بن سعير، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة:" ولا تجهر بصلاتك، ولا تخافت بها"، انزلت في الدعاء.
Hum se Ali ne bayan kiya, kaha hum se Malik bin Suayr ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne bayan kiya, in se in ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke «wa laa taj-har bi-salaatika wa laa tukhaafit bi-haa» dua ke baare mein nazil hui (ke na bahut zor zor se aur na bilkul aahista aahista) balkay darmiyani rasta ikhtiyar karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6328
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: كنا نقول في الصلاة السلام على الله السلام على فلان، فقال لنا النبي صلى الله عليه وسلم ذات يوم:" إن الله هو السلام، فإذا قعد احدكم في الصلاة، فليقل: التحيات لله إلى قوله: الصالحين، فإذا قالها اصاب كل عبد لله في السماء والارض صالح اشهد ان لا إله إلا الله واشهد ان محمدا عبده ورسوله، ثم يتخير من الثناء ما شاء".
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mansoor bin Mutamir ne bayan kiya, in se Abu Wail ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum namaz mein yeh kaha karte thay ke Allah par salam ho, falan par salam ho. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamase ek din farmaya ke Allah khud salaam hai is liye jab tum namaz mein baitho to yeh parha karo «at-tahiy-yaatu lillaahi» irshad «as-saaliheena» tak is liye ke jab tum yeh kaho ge to aasman o zameen mein maujood Allah Tabarak wa Ta-ala ke har saaleh bande ko (yeh salam) pahunche ga. «ash-hadu al-laa ilaaha illallaahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhoo wa rasooluhoo» . Is ke baad sana mein ikhtiyar hai jo dua chaho parho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الدُّعَاءِ بَعْدَ الصَّلاَةِ:
Namaz ke baad dua karne ka bayaan.
Hadith Number: 6329
حدثني إسحاق، اخبرنا يزيد، اخبرنا ورقاء، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، قالوا: يا رسول الله، ذهب اهل الدثور بالدرجات والنعيم المقيم، قال:" كيف ذاك؟" قالوا: صلوا كما صلينا، وجاهدوا كما جاهدنا، وانفقوا من فضول اموالهم وليست لنا اموال، قال:" افلا اخبركم بامر تدركون من كان قبلكم، وتسبقون من جاء بعدكم، ولا ياتي احد بمثل ما جئتم به، إلا من جاء بمثله، تسبحون في دبر كل صلاة عشرا، وتحمدون عشرا، وتكبرون عشرا"، تابعه عبيد الله بن عمر، عن سمي، ورواه ابن عجلان، عن سمي، ورجاء بن حيوة، ورواه جرير، عن عبد العزيز بن رفيع، عن ابي صالح، عن ابي الدرداء، ورواه سهيل، عن ابيه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum ko Zaid bin Haroon ne khabar di, kaha hum ko Warqa ne khabar di, unhein Sumay ne, unhein Abu Salih Zhakwan ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke sahabah ikraam ne arz kiya: ya Rasool Allah! Maaldaar log buland darajaat aur hamesha rehne wali jannat ki neimaton ko haasil kar le gaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh kaise? Sahabah ikraam ne arz kiya jis tarah hum namaz parhte hain woh bhi parhte hain aur jis tarah hum jihad karte hain woh bhi jihad karte hain aur is ke saath woh apna zaaid maal bhi (Allah ke raste mein) kharch karte hain aur hamare paas maal nahi hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya main tumhein ek aisa amal na batlaoon jis se tum apne aage ke logon ke saath ho jao aur apne peeche aane walon se aage nikal jao aur koi shakhs itna sawab na haasil kar sake jitna tum ne kiya ho, siwa is surat ke jab ke woh bhi wahi amal kare jo tum karo ge (aur woh amal yeh hai) ke har namaz ke baad das martaba «sub-haanallaah» parha karo, das martaba «al-hamdu lillaah» parha karo aur das martaba «allaahu akbar» parha karo. Is ki riwayat Ubaidullah bin Umar ne Sumay aur Rajaa bin Haywah se ki aur is ki riwayat Jareer ne Abdul Aziz bin Rafee se ki, in se Abu Salih ne aur in se Abu al-Darda razi Allahu anhu ne. Aur is ki riwayat Suhayl ne apne walid se ki, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6330
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن منصور، عن المسيب بن رافع، عن وراد مولى المغيرة بن شعبة، قال: كتب المغيرة: إلى معاوية بن ابي سفيان: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يقول في دبر كل صلاة:" إذا سلم لا إله إلا الله، وحده لا شريك له، له الملك وله الحمد، وهو على كل شيء قدير، اللهم لا مانع لما اعطيت، ولا معطي لما منعت، ولا ينفع ذا الجد منك الجد"، وقال شعبة، عن منصور، قال: سمعت المسيب.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya, in se Mansoor ne, in se Musay-yab bin Rafi ne, in se Mugheera bin Shubah razi Allahu anhu ke mola Warrad ne bayan kiya ke Mugheera bin Shubah razi Allahu anhu ne Muawiyah bin Abi Sufyan razi Allahu anhuma ko likha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam har namaz ke baad jab salam pherte to yeh kaha karte thay «laa ilaaha illallaahu wahdahoo laa shareeka lahoo lahul-mulku wa lahul-hamdu wa huwa alaa kulli shay-in qadeer. allaahumma laa maania limaa aataita wa laa mutiya limaa mana-ta wa laa yanfau zhal-jaddi minkal-jaddu» ”Allah ke siwa koi mabood nahi woh tanha hai is ka koi shareek nahi, mulk isi ke liye hai aur isi ke liye tamam tareefein hain aur woh har cheez par qudrat rakhne wala hai. Ae Allah! Jo kuch tu ne diya hai usay koi rokne wala nahi aur jo kuch tu ne rok diya usay koi dene wala nahi aur kisi maaldaar aur naseeba-war (ko teri bargah mein) is ka maal nafa nahi pahuncha sakta.“ aur Shubah ne bayan kiya, in se Mansoor ne bayan kiya ke main ne Musay-yab razi Allahu anhu se suna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَصَلِّ عَلَيْهِمْ}:
Allah Taala ka (Surat At-Tawbah mein) farmaan "wa salli alayhim".
Hadith Number: Q6331
ومن خص اخاه بالدعاء دون نفسه وقال ابو موسى: قال النبي صلى الله عليه وسلم: اللهم اغفر لعبيد ابي عامر اللهم اغفر لعبد الله بن قيس ذنبه.
”Aur in ke liye dua kijiye.“ Aur jis ne apne Aap ko chhorr kar apne bhai ke liye dua ki is ki fazeelat ka bayan. Aur Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ae Allah! Ubaidah Abu Aamir ki maghfirat kar, Ae Allah! Abdullah bin Qays ke gunah maaf kar.“