الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ وَلِكُلِّ نَبِيٍّ دَعْوَةٌ مُسْتَجَابَةٌ:
Har Nabi ki ek dua zaroor hi qubool hoti hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6304
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لكل نبي دعوة مستجابة يدعو بها، واريد ان اختبئ دعوتي شفاعة لامتي في الآخرة".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Abu al-Zinad ne , in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”har Nabi ko ek dua haasil hoti hai (jo qabool ki jaati hai) aur main chahta hoon ke main apni dua ko aakhirat mein apni ummat ki shafa'at ke liye mahfooz rakkhoon .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6305
وقال لي خليفة، قال معتمر، سمعت ابي، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل نبي سال سؤلا، او قال: لكل نبي دعوة قد دعا بها، فاستجيب فجعلت دعوتي شفاعة لامتي يوم القيامة".
Aur Mutamir ne bayan kiya , unhon ne apne walid se suna , unhon ne Anas razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har Nabi ne kuch cheezin maangien ya farmaya ke har Nabi ko ek dua di gayi jis cheez ki us ne dua maangi phir usay qabool kiya gaya lekin main ne apni dua Qayamat ke din apni ummat ki shafa'at ke liye mahfooz rakkhi hui hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَفْضَلِ الاِسْتِغْفَارِ:
Istighfaar ke liye afzal dua ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q6306
وقوله تعالى: استغفروا ربكم إنه كان غفارا {10} يرسل السماء عليكم مدرارا {11} ويمددكم باموال وبنين ويجعل لكم جنات ويجعل لكم انهارا {12} سورة نوح آية 10-12 والذين إذا فعلوا فاحشة او ظلموا انفسهم ذكروا الله فاستغفروا لذنوبهم ومن يغفر الذنوب إلا الله ولم يصروا على ما فعلوا وهم يعلمون سورة آل عمران آية 135"
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Nooh mein) farmaya «istagh-firoo rabbakum innahoo kaana ghaffaaran , yur-silis-samaa-a alaikum-midraaran , wa yum-didkum bi-amwaaliw-wa baneena wa yaj-al-lakum jannaatiw-wa yaj-al-lakum anhaaran» ”apne Rabb se bakhshish maango woh bara bakhshne wala hai tum aisa karo ge to woh aasman ke dahane khol de ga aur maal aur beton se tum ko sar-faraaz kare ga aur bagh ata farmaye ga aur neherein inayat kare ga .“ Aur (Surah Aal e Imran mein) farmaya «wal-lazheena izha fa-aloo faahishatan au zhalamoo anfusahum zhakarul-laaha fastagh-firoo li-zhunoobihim wa may-yagh-firuzh-zhunooba illallaahu wa lam yusir-roo alaa ma fa-aloo wa hum ya-lamoona» ”Bahisht in logon ke liye tayyar ki gayi hai jin se koi be-hayayi ka kaam ho jata hai ya koi gunah sar-zad hota hai to Allah Paak ko yaad kar ke apne gunahon ki bakhshish chahte hain aur Allah ke siwa kaun hai jo gunahon ko bakhshe aur woh apne bure kaamon par jaan boojh kar hat-dharmi nahi karte hain .“


Show diacritics
Hadith Number: 6306
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا الحسين، حدثنا عبد الله بن بريدة، قال: حدثني بشير بن كعب العدوي، قال: حدثني شداد بن اوس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" سيد الاستغفار ان تقول: اللهم انت ربي، لا إله إلا انت، خلقتني وانا عبدك، وانا على عهدك ووعدك ما استطعت، اعوذ بك من شر ما صنعت، ابوء لك بنعمتك علي، وابوء لك بذنبي فاغفر لي فإنه لا يغفر الذنوب إلا انت، قال: ومن قالها من النهار موقنا بها فمات من يومه قبل ان يمسي، فهو من اهل الجنة، ومن قالها من الليل وهو موقن بها فمات قبل ان يصبح، فهو من اهل الجنة".
Hum se Abu Mamar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Waris bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Husain bin Zhakwan muallim ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Buraydah ne bayan kiya in se Basheer bin Kabb Adawi ne kaha ke mujh se Shaddad bin Aus razi Allahu anhu ne bayan kiya aur in se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ke Sayyid-ul-Istighfaar (maghfirat maangne ke sab kalmaat ka sardar) yeh hai yun kahe «allaahumma anta rabbee laa ilaaha illaa anta khalaqtanee wa ana abduka wa ana alaa ahdika wa wa-dika mas-tata-tu aoozhu bika min sharri ma sana-tu aboo-u laka bi-nimatika alayya wa aboo-u bi-zhambee fagh-fir lee fa-innahoo laa yaghfiruzh-zhunooba illaa anta» ”Ae Allah! Tu mera Rabb hai, tere siwa koi mabood nahi. Tu ne hi mujhe paida kiya aur main tera hi banda hoon main apni taqat ke mutabiq tujh se kiye huay ahad aur wade par qaim hoon. In buri harkaton ke azab se jo main ne ki hain teri panah maangta hoon mujh par neimatein teri hain is ka iqrar karta hoon. Meri maghfirat kar de ke tere siwa aur koi bhi gunah nahi maaf karta.“ Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne is dua ke alfaz par yaqeen rakhte huay dil se in ko keh liya aur isi din is ka intiqal ho gaya shaam hone se pehle, to woh jannati hai aur jis ne is dua ke alfaz par yaqeen rakhte huay raat mein in ko parh liya aur phir is ka subah hone se pehle intiqal ho gaya to woh jannati hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِغْفَارِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي الْيَوْمِ وَاللَّيْلَةِ:
Din aur raat Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka istighfaar karna.
Show diacritics
Hadith Number: 6307
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، قال: قال ابو هريرة: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" والله إني لاستغفر الله واتوب إليه في اليوم اكثر من سبعين مرة".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne kaha ke mujhe Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne khabar di, unhon ne kaha ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ki qasam main din mein sattar martaba se zyada Allah se istighfaar aur is se tauba karta hoon.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّوْبَةِ:
Tawba ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q6308
قال قتادة: توبوا إلى الله توبة نصوحا الصادقة الناصحة"
Qatadah ne kaha ke «tooboo ilallaahi taubatan-nasoohan» (Surah al-Tahreem mein), «nasooh» se sachi aur ikhlas ke saath tauba karna murad hai.


Show diacritics
Hadith Number: 6308
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابو شهاب، عن الاعمش، عن عمارة بن عمير، عن الحارث بن سويد، حدثنا عبد الله بن مسعود، حديثين احدهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، والآخر عن نفسه، قال:" إن المؤمن يرى ذنوبه كانه قاعد تحت جبل يخاف ان يقع عليه، وإن الفاجر يرى ذنوبه كذباب مر على انفه"، فقال: به هكذا، قال ابو شهاب: بيده فوق انفه، ثم قال:" لله افرح بتوبة عبده من رجل نزل منزلا وبه مهلكة ومعه راحلته، عليها طعامه وشرابه فوضع راسه فنام نومة، فاستيقظ وقد ذهبت راحلته حتى إذا اشتد عليه الحر والعطش او ما شاء الله، قال: ارجع إلى مكاني فرجع فنام نومة، ثم رفع راسه فإذا راحلته عنده"، تابعه ابو عوانة، وجرير، عن الاعمش، وقال ابو اسامة، حدثنا الاعمش، حدثنا عمارة، سمعت الحارث، وقال شعبة: وابو مسلم اسمه عبيد الله كوفي قائد الاعمش، عن الاعمش، عن إبراهيم التيمي، عن الحارث بن سويد، وقال ابو معاوية: حدثنا الاعمش، عن عمارة، عن الاسود، عن عبد الله، وعن إبراهيم التيمي، عن الحارث بن سويد عن عبد الله.
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Abu Shihab ne, in se Aamash ne, in se Ammarah bin Umair ne, in se Haris bin Suwayd aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne do ahadees (bayan kiein) ek Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se aur doosri khud apni taraf se kaha ke momin apne gunahon ko aisa mehsoos karta hai jaise woh kisi pahar ke neeche baitha hai aur darta hai ke kahin woh is ke oopar na gir jaye aur bad-kar apne gunahon ko makkhi ki tarah halka samajhta hai ke woh is ke naak ke paas se guzri aur is ne apne hath se yun is taraf isharah kiya. Abu Shihab ne naak par apne hath ke isharah se is ki kaifiyat batayi phir unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki yeh hadees bayan ki. Allah Ta'ala apne banda ki tauba se is shakhs se bhi zyada khush hota hai jis ne kisi pur-khatar jagah parao kiya ho is ke saath is ki sawari bhi ho aur is par khane peene ki cheezin maujood hon. Woh sar rakh kar so gaya ho aur jab bedar hua ho to is ki sawari ghaib rahi ho. Aakhir bhook wa pyas ya jo kuch Allah ne chaha usay sakht lag jaye woh apne dil mein soche ke mujhe ab ghar wapas chala jaana chahiye aur jab woh wapas hua aur phir so gaya lekin is neend se jo sar uthaya to is ki sawari wahan khana peena liye huay samne khari hai to khayal karo us ko kis qadar khushi ho gi. Abu Shihab ke saath is hadees ko Abu Awanah aur Jareer ne bhi Aamash se riwayat kiya, aur Shubah aur Abu Muslim (Ubaidullah bin Saeed) ne is ko Aamash se riwayat kiya, unhon ne Ibrahim Taymi se, unhon ne Haris bin Suwayd se aur Abu Muawiyah ne yun kaha hamase Aamash ne bayan kiya, unhon ne Ammarah se unhon ne Aswad bin Yazid se, unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se. Aur hamase Aamash ne bayan kiya unhon ne Ibrahim Taymi se, unhon ne Haris bin Suwayd se, unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6309
حدثنا إسحاق، اخبرنا حبان، حدثنا همام، حدثنا قتادة، حدثنا انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا هدبة، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الله افرح بتوبة عبده من احدكم سقط على بعيره وقد اضله في ارض فلاة".
Hum se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum ko Habban bin Hilal ne khabar di, kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah ne bayan kiya aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hamase Hudba ne bayan kiya, kaha hum se Humam ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah ne bayan kiya, in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala apne bande ki tauba se tum mein se is shakhs se bhi zyada khush hota hai jis ka oont mayusi ke baad achanaak usay mil gaya ho haalan ke woh ek chateel maidan mein gum hua tha.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الضَّجْعِ عَلَى الشِّقِّ الأَيْمَنِ:
Daahine karwat letna.
Show diacritics
Hadith Number: 6310
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي من الليل إحدى عشرة ركعة، فإذا طلع الفجر صلى ركعتين خفيفتين، ثم اضطجع على شقه الايمن، حتى يجيء المؤذن فيؤذنه".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Urwah ne aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam raat mein (tahajjud ki) gyarah rakaat parhte thay phir jab fajr tuloo ho jati to do halki rakaat (sunnat e fajr) parhte. Is ke baad Aap dayein pehlu lait jaate aakhir moaz-zhin aata aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko ittila deta to Aap fajr ki namaz parhate.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا بَاتَ طَاهِرًا:
Wuzu kar ke sone ki fazilat.
Show diacritics
Hadith Number: 6311
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، قال: سمعت منصورا، عن سعد بن عبيدة، قال: حدثني البراء بن عازب رضي الله عنهما، قال: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اتيت مضجعك فتوضا وضوءك للصلاة، ثم اضطجع على شقك الايمن وقل: اللهم اسلمت نفسي إليك، وفوضت امري إليك، والجات ظهري إليك رهبة ورغبة إليك، لا ملجا ولا منجا منك إلا إليك، آمنت بكتابك الذي انزلت وبنبيك الذي ارسلت، فإن مت مت على الفطرة فاجعلهن آخر ما تقول"، فقلت: استذكرهن وبرسولك الذي ارسلت، قال: لا وبنبيك الذي ارسلت.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne bayan kiya, kaha ke main ne Mansoor se suna, in se Saad bin Ubaidah ne bayan kiya ke mujh se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab tu sone lage to namaz ke wuzu ki tarah wuzu kar phir dayein karwat lait ja aur yeh dua parh «allaahumma aslamtu nafsee ilaika wa fau-wadtu amree ilaika wa aljatu zhahree ilaika rahbatan wa raghbatan ilaika laa malja-a wa laa manjaa minka illaa ilaika aamantu bi-kitaabikal-lazhee anzalta wa bi-nabiy-yikal-lazhee arsalta» ”Ae Allah! Main ne apne Aap ko teri itaat mein de diya. Apna sab kuch tere supard kar diya. Apne muamlat tere hawale kar diye. Khauf ki wajah se aur teri (rahmat wa sawab ki) umeed mein koi panah-gah koi mukhli-s tere siwa nahi main teri kitab par iman laya jo tu ne nazil ki hai aur tere Nabi par jin ko tu ne bheja hai.“ Is ke baad agar tum mar gaye to fitrat (deen e Islam) par maro ge pas in kalma-t ko (raat ki) sab se aakhri baat banao jinhein tum apni zaban se ada karo (Bara bin Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya) main ne arz ki «wa bi-rasoolikal-lazhee arsalta» kehne mein kya wajah hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi «wa bi-nabiy-yikal-lazhee arsalta» kaho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة