الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الدُّعَاءِ عَلَى الْمُشْرِكِينَ:
Mushrikeen ke liye bad-dua karna.
Hadith Number: 6392
حدثنا ابن سلام، اخبرنا وكيع، عن ابن ابي خالد، قال: سمعت ابن ابي اوفى رضي الله عنهما، قال: دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم على الاحزاب، فقال:" اللهم منزل الكتاب سريع الحساب اهزم الاحزاب، اهزمهم وزلزلهم".
Hum se Ibn Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Waki ne khabar di, unhein Ibn Abi Khalid ne, kaha main ne Ibn Abi Aufa razi Allahu anhuma se suna, kaha ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne Ahzab ke liye bad-dua ki «allaahumma munzhilal-kitaabi, saree-al-hisaabi, ihzimil-ahzhaaba, ihzimhum wa zalzhilhum» ”Ae Allah! Kitab ke nazil karne wale! Hisab jaldi lene wale! Ahzab ko (mushrikeen ki jama'aton ko, Ghazwa e Ahzab mein) shikast de, unhein shikast de-de aur unhein jhanjhorh de.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6393
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام بن ابي عبد الله، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان إذا قال:" سمع الله لمن حمده في الركعة الآخرة من صلاة العشاء قنت اللهم انج عياش بن ابي ربيعة، اللهم انج الوليد بن الوليد، اللهم انج سلمة بن هشام، اللهم انج المستضعفين من المؤمنين، اللهم اشدد وطاتك على مضر، اللهم اجعلها عليهم سنين كسني يوسف".
Hum se Maaz bin Fadala ne bayan kiya, in se Hisham ne bayan kiya, in se Yahya ne, in se Abu Salamah ne bayan kiya, aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab Isha ki aakhir rakat mein (rukoo se uthte huay) «samiallaahu liman hamidah» kehte thay to dua e qunoot parhte thay «allaahumma anji ay-yaashabna abee rabee-ata, allaahumma anjil-waleedabnal-waleedi, allaahumma anji salamatabna hishaamin, allaahumma anjil-mustad-afeena minal-momineena, allaahummash-dud wa'taka ala mudara, allaahummaj-al-haa sineena ka-sineey-yusufa» ”Ae Allah! Ay-yash bin Abi Rabee-a ko najat de, Ae Allah! Waleed bin Waleed ko najat de, Ae Allah! Salama bin Hisham ko najat de, Ae Allah! Kamzor natewan momino ko najat de, Ae Allah! Ae Allah! Qabila Mudar par apni pakar ko sakht kar de, Ae Allah! Wahan aisa qahet paida kar de jaisa Yusuf alaihissalam ke zamana mein hua tha.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6394
حدثنا الحسن بن الربيع، حدثنا ابو الاحوص، عن عاصم، عن انس رضي الله عنه:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم سرية يقال لهم: القراء، فاصيبوا فما رايت النبي صلى الله عليه وسلم وجد على شيء ما وجد عليهم، فقنت شهرا في صلاة الفجر، ويقول:" إن عصية عصوا الله ورسوله".
Hum se Hasan bin Rabee ne bayan kiya, kaha hum se Abu al-Ahwas ne bayan kiya, in se Aasim ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek muhim bheji, jis mein shareek logon ko Qurraa (yani Quran Majeed ke qaari) kaha jata thu. In sab ko shaheed kar diya gaya. Main ne nahi dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi kisi cheez ka itna gham hua ho jitna Aap ko in ki shahadat ka gham hua thu. Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek mahine tak fajr ki namaz mein in ke liye bad-dua ki, Aap kehte ke Usay-yah ne Allah aur is ke Rasool ki nafarmani ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6395
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: كان اليهود يسلمون على النبي صلى الله عليه وسلم، يقولون: السام عليك، ففطنت عائشة إلى قولهم، فقالت: عليكم السام واللعنة، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" مهلا يا عائشة، إن الله يحب الرفق في الامر كله"، فقالت: يا نبي الله، اولم تسمع ما يقولون؟، قال:" اولم تسمعي اني ارد ذلك عليهم فاقول وعليكم".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham ne bayan kiya, unhein Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Urwah bin Zubayr ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Yahood Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko salam karte to kehte «as-saamu alayka» Aap ko maut aaye. Aisha razi Allahu anha in ka maqsud samajh gayiein aur jawab diya ke «alaykum-us-saamu wal-laanatu» tumhein maut aaye aur tum par lanat ho. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke thehro Aisha! Allah tamam umoor mein narmi ko pasand karta hai. Aisha razi Allahu anha ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! kiya Aap ne nahi suna yeh log kiya kehte hain? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum ne nahi suna ke main unhein kis tarah jawab deta hoon. Main kehta hoon «wa alaykum» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6396
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا الانصاري، حدثنا هشام بن حسان، حدثنا محمد بن سيرين، حدثنا عبيدة، حدثنا علي بن ابي طالب رضي الله عنه، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم يوم الخندق، فقال:" ملا الله قبورهم وبيوتهم نارا كما شغلونا عن صلاة الوسطى، حتى غابت الشمس"، وهي صلاة العصر.
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ansari ne bayan kiya, in se Hisham bin Hassan ne bayan kiya, kaha hamase Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, in se Ubaidah ne bayan kiya, kaha hamase Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Ghazwa e Khandaq ke mauqa par hum Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke saath thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah in ki qabron aur in ke gharon ko aag se bhar de. Unhon ne hamain «salaat-ul-wustaa» (Asr ki namaz) nahi parhne di jab tak ke sooraj ghuroob ho gaya aur yeh Asr ki namaz ku.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الدُّعَاءِ لِلْمُشْرِكِينَ:
Mushrikeen ki hidayat ke liye dua karna.
Hadith Number: 6397
حدثنا علي، حدثنا سفيان، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قدم الطفيل بن عمرو على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، إن دوسا قد عصت وابت، فادع الله عليها، فظن الناس انه يدعو عليهم، فقال:" اللهم اهد دوسا وات بهم".
Hum se Ali ne bayan kiya, in se Sufyan ne kaha, in se Abu al-Zinad ne, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Tufail bin Amr razi Allahu anhu Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool اللہ! Qabila Daus ne nafarmani aur sarkashi ki hai, Aap in ke liye bad-dua kijiye. Logon ne samjha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in ke liye bad-dua hi karein ge lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua ki ke ”Ae Allah! Qabila Daus ko hidayat de aur unhein (mere paas) bhej de.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yun dua karna ke "aye Allah! mere agle aur pichhle sab gunaah bakhsh de".
Hadith Number: 6398
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا عبد الملك بن صباح، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن ابن ابي موسى، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم انه كان يدعو بهذا الدعاء:" رب اغفر لي خطيئتي، وجهلي وإسرافي في امري كله، وما انت اعلم به مني، اللهم اغفر لي خطاياي، وعمدي، وجهلي، وهزلي وكل ذلك عندي، اللهم اغفر لي ما قدمت، وما اخرت، وما اسررت، وما اعلنت، انت المقدم، وانت المؤخر، وانت على كل شيء قدير"، وقال عبيد الله بن معاذ، وحدثنا ابي، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن ابي بردة بن ابي موسى، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم بنحوه.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Malik bin Sabbah ne bayan kiya, in se Shubah ne, in se Abu Ishaq ne, in se Ibn Abi Musa ne, in se un ke walid ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam yeh dua karte thay «rabbi-ghfir lee khatee-atee wa jahlee wa israafee fee amree kullihi, wa maa anta a-lamu bihi minnee, allaahum-magh-fir lee khataayaaya wa amdee wa jahlee wa hazlee, wa kullu zhaalika indee, allaahum-magh-fir lee maa qaddamtu wa maa akh-khartu wa maa asrartu wa maa a-lantu, antal-muqaddimu, wa antal-muakh-khiru, wa anta alaa kulli shay-in qadeer» ”mere Rabb! Meri khata, meri nadani aur tamam muamlat mein mere hadd se tajawuz karne mein meri maghfirat farma aur woh gunah bhi jin ko tu mujh se zyada jaanne wala hai. Ae Allah! Meri maghfirat kar, meri khatayon mein, mere bila irada aur bila irada kaamon mein aur mere hansi mazaq ke kaamon mein aur yeh sab meri hi taraf se hain. Ae Allah! Meri maghfirat kar un kaamon mein jo main kar chuka hoon aur unhein jo karoon ga aur jinhein main ne chhupaya aur jinhein main ne zhahir kiya hai, tu sab se pehle hai aur tu hi sab se baad mein hai aur tu har cheez par qudrat rakhne wala hai.“ aur Ubaidullah bin Maaz (jo Imam Bukhari rahmahullah ke shaykh hain) ne bayan kiya ke hamase mere walid ne bayan kiya kaha hamase Shubah ne bayan kiya, in se Abu Ishaq ne, in se Abu Burdah bin Abi Musa ne aur in se un ke walid ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6399
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبيد الله بن عبد المجيد، حدثنا إسرائيل، حدثنا ابو إسحاق، عن ابي بكر بن ابي موسى، عن ابي موسى الاشعري، عن النبي صلى الله عليه وسلم انه كان يدعو:" اللهم اغفر لي خطيئتي، وجهلي، وإسرافي في امري، وما انت اعلم به مني، اللهم اغفر لي هزلي، وجدي، وخطاياي، وعمدي، وكل ذلك عندي".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Ubaidullah bin Abd-ul-Majeed ne bayan kiya, kaha hum se Israeel ne bayan kiya, in se Abu Ishaq ne bayan kiya, in se Abu Bakr bin Abi Musa aur Abu Burdah ne mera khayal hai ke Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ke hawala se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam yeh dua kiya karte thay «allaahum-magh-fir lee khatee-atee wa jahlee wa israafee fee amree, wa maa anta a-lamu bihi minnee, allaahum-magh-fir lee hazlee wa jid-dee wa khataayaa wa amdee, wa kullu zhaalika indee» ”Ae Allah! Meri maghfirat farma meri khatayon mein, meri nadani mein aur meri kisi muamla mein zyadi mein, in baaton mein jin ka tu mujh se zyada jaanne wala hai. Ae Allah! Meri maghfirat kar mere hansi mazaq aur sanjidgi mein aur mere irada mein aur yeh sab kuch meri hi taraf se hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الدُّعَاءِ فِي السَّاعَةِ الَّتِي فِي يَوْمِ الْجُمُعَةِ:
Is qubooliyat ki ghari mein dua karna jo Jumma ke din aati hai.
Hadith Number: 6400
حدثنا مسدد، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، اخبرنا ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم:" في يوم الجمعة ساعة لا يوافقها مسلم وهو قائم يصلي يسال الله خيرا، إلا اعطاه"، وقال بيده، قلنا: يقللها يزهدها.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Ibrahim ne, unhein Ayub ne khabar di, unhein Muhammad ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Abu al-Qasim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Jumu'ah ke din ek aaisi ghari aati hai jis mein agar koi Musalman is haal mein pa le ke woh khada namaz parh raha ho to jo bhalayi bhi woh maange ga Allah inayat farmaye ga aur Aap ne apne hath se isharah farmaya aur hum ne is se yeh samjha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is ghari ke mukhtasar hone ki taraf isharah kar rahe hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «يُسْتَجَابُ لَنَا فِي الْيَهُودِ، وَلاَ يُسْتَجَابُ لَهُمْ فِينَا» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaan ke Yahood ke haq mein hamari (jawaabi) duayein qubool hoti hain lekin un ki koi bad-dua hamare haq mein qubool nahin hoti.
Hadith Number: 6401
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن ابن ابي مليكة، عن عائشة رضي الله عنها، ان اليهود اتوا النبي صلى الله عليه وسلم، فقالوا: السام عليك، قال:" وعليكم"، فقالت عائشة: السام عليكم، ولعنكم الله، وغضب عليكم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" مهلا يا عائشة، عليك بالرفق وإياك والعنف، او الفحش"، قالت: اولم تسمع ما قالوا؟ قال:" اولم تسمعي ما قلت رددت عليهم فيستجاب لي فيهم، ولا يستجاب لهم في".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Wahhab ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ayub ne bayan kiya, in se Ibn Abi Mulaykah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Yahood Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur kaha «as-saamu alayka» Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jawab diya «wa alaykum» lekin Aisha razi Allahu anha ne kaha «as-saamu alaykum, wa laanakum-ullaahu wa ghadhiba alaykum» Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke thehar, Aisha! Narm-khooi ikhtiyar kar aur sakhti aur bad-kalami se hamesha parhez kar. Unhon ne kaha: kiya Aap ne nahi suna ke Yahudi kiya keh rahe thay? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum ne nahi suna ke main ne unhein kiya jawab diya, main ne in ki baat unhi par lauta di aur meri in ke badle mein dua qabool ki gayi aur in ki mere baare mein qabool nahi ki gayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة