الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْمَسْجِدِ يَكُونُ فِي الطَّرِيقِ مِنْ غَيْرِ ضَرَرٍ بِالنَّاسِ:
Bab: Aam raaston par masjid banana jab ke kisi ko us se nuqsaan na pahunche (ja’iz hai).
Show diacritics
Hadith Number: 476
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" لم اعقل ابوي إلا وهما يدينان الدين، ولم يمر علينا يوم إلا ياتينا فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم طرفي النهار بكرة وعشية، ثم بدا لابي بكر فابتنى مسجدا بفناء داره، فكان يصلي فيه ويقرا القرآن، فيقف عليه نساء المشركين وابناؤهم يعجبون منه وينظرون إليه، وكان ابو بكر رجلا بكاء لا يملك عينيه إذا قرا القرآن، فافزع ذلك اشراف قريش من المشركين".
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne Aqeel ke wastay se bayan kiya , unhon ne Ibn Shihab Zuhri se , unhon ne kaha mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki zauja mutahhara Umm ul Momineen Aisha raziyallahu anha ne batlaya ke mein ne jab se hosh sambhala to apne maan baap ko muslim hi paya aur hum par koi din aisa nahi guzra jis mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam subah wa sham din ke dono waqt hamare ghar tashreef na laye hun . Phir Abu Bakr raziyallahu anhu ki samajh mein ek tarteeb aayi to unhon ne ghar ke samne ek masjid bana li , woh is mein namaz parhte aur Quran Majeed ki tilawat karte . Mushrikeen ki auraten aur un ke bache wahan taajjub se sunte aur khare ho jate aur aap ki taraf dekhte rehte . Abu Bakr raziyallahu anhu bare rone wale aadmi thay . Jab Quran Kareem parhte to aansuon par qabu na rehta , Quraish ke mushrik sardar is surat e haal se ghabra gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّلاَةِ فِي مَسْجِدِ السُّوقِ:
Bab: Bazaar ki masjid mein namaz parhna.
Show diacritics
Hadith Number: Q477
وصلى ابن عون في مسجد في دار يغلق عليهم الباب.
Aur Abdullah bin Awn ne ek aise ghar ki masjid mein namaz parhi jis ke darwaze aam logon par band kiye gaye thay .


Show diacritics
Hadith Number: 477
حدثنا مسدد، قال: حدثنا ابو معاوية، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"صلاة الجميع تزيد على صلاته في بيته، وصلاته في سوقه خمسا وعشرين درجة، فإن احدكم إذا توضا فاحسن واتى المسجد لا يريد إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفعه الله بها درجة وحط عنه خطيئة حتى يدخل المسجد، وإذا دخل المسجد كان في صلاة ما كانت تحبسه وتصلي يعني عليه الملائكة ما دام في مجلسه الذي يصلي فيه، اللهم اغفر له اللهم ارحمه ما لم يحدث فيه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Abu Muawiya ne Amash ke wastay se , unhon ne Abu Saleh Dhakwan se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , jamaat ke sath namaz parhne mein ghar ke andar ya bazaar dukan waghera mein namaz parhne se pachees guna sawab zyada milta hai . Kyunke jab koi shakhs tum mein se wudu kare aur is ke aadab ka lihazz rakhe phir masjid mein sirf namaz ki gharz se aaye to is ke har qadam par Allah Taala ek darja is ka buland karta hai aur ek gunah is se maaf karta hai . Is tarah woh masjid ke andar aaye ga . Masjid mein aane ke baad jab tak namaz ke intizar mein rahe ga . Isay namaz hi ki halat mein shumar kiya jaye ga aur jab tak is jagah baitha rahe ga jahan is ne namaz parhi hai to farishtay is ke liye rehmat khudawandi ki duayen karte hain Allahumma ighfir lahu , Allahumma irhamhu aye Allah! is ko bakhsh de , aye Allah! is par reham kar . Jab tak ke riyah kharij kar ke woh farishton ko takleef na de .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَشْبِيكِ الأَصَابِعِ فِي الْمَسْجِدِ وَغَيْرِهِ:
Bab: Masjid waghera mein ek haath ki ungliyan doosre haath ki ungliyon mein daakhil kar ke qainchi karna durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 478
حدثنا حامد بن عمر، عن بشر حدثنا عاصم، حدثنا واقد، عن ابيه، عن ابن عمر او ابن عمرو،" شبك النبي صلى الله عليه وسلم اصابعه".
Hum se Hamid bin Umar ne Bishr bin Mufaddal ke wastay se bayan kiya , kaha hum se Aasim bin Muhammad ne , kaha hum se Waqid bin Muhammad ne apne walid Muhammad bin Zaid ke wastay se , unhon ne Abdullah bin Umar ya Abdullah bin Amr bin Aas raziyallahu anhum se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne apni ungliyon ko ek doosre mein dakhil kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 479
حدثنا حامد بن عمر، عن بشر حدثنا عاصم، حدثنا واقد، عن ابيه، عن ابن عمر او ابن عمرو،" شبك النبي صلى الله عليه وسلم اصابعه".
Hum se Hamid bin Umar ne Bishr bin Mufaddal ke wastay se bayan kiya , kaha hum se Aasim bin Muhammad ne , kaha hum se Waqid bin Muhammad ne apne walid Muhammad bin Zaid ke wastay se , unhon ne Abdullah bin Umar ya Abdullah bin Amr bin Aas raziyallahu anhum se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne apni ungliyon ko ek doosre mein dakhil kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 480
وقال عاصم بن علي: حدثنا عاصم بن محمد، سمعت هذا الحديث من ابي فلم احفظه فقومه لي واقد، عن ابيه، قال: سمعت ابي وهو يقول: قال عبد الله قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يا عبد الله بن عمرو كيف بك إذا بقيت في حثالة من الناس بهذا.
Aur Aasim bin Ali ne kaha , hum se Aasim bin Muhammad ne bayan kiya ke mein ne is hadees ko apne walid Muhammad bin Zaid se suna . Lekin mujhe hadees yaad nahi rahi thi . To mere bhai Waqid ne is ko durusti se apne walid se riwayat kar ke mujhe bataya . Woh kehte hain ke Abdullah bin Amr bin Aas raziyallahu anhuma se Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke Abdullah bin Amr tumhara kya haal ho ga jab tum bure logon mein reh jao ge is tarah yani aap salla Allahu alaihi wa sallam ne ek hath ki ungliyan doosre hath mein kar ke dikhlayen .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 481
حدثنا خلاد بن يحيى، قال: حدثنا سفيان، عن ابي بردة بن عبد الله بن ابي بردة عن جده، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن المؤمن للمؤمن كالبنيان يشد بعضه بعضا، وشبك اصابعه".
Hum se Khalad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Thauri ne Abi Burda bin Abdullah bin Abi Burda se , unhon ne apne dada Abu Burda se , unhon ne Abu Moosa Ashari raziyallahu anhu se . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ek momin doosre momin ke liye imarat ki tarah hai ke is ka ek hissa doosre hissay ko quwwat pehnchata hai . Aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne ek hath ki ungliyon ko doosre hath ki ungliyon mein dakhil kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 482
حدثنا إسحاق، قال: حدثنا بن شميل، اخبرنا ابن عون، عن ابن سيرين، عن ابي هريرة، قال:" صلى بنا رسول الله صلى الله عليه وسلم إحدى صلاتي العشي، قال ابن سيرين: سماها ابو هريرة، ولكن نسيت انا، قال: فصلى بنا ركعتين ثم سلم، فقام إلى خشبة معروضة في المسجد فاتكا عليها كانه غضبان، ووضع يده اليمنى على اليسرى وشبك بين اصابعه، ووضع خده الايمن على ظهر كفه اليسرى، وخرجت السرعان من ابواب المسجد، فقالوا: قصرت الصلاة وفي القوم ابو بكر وعمر، فهابا ان يكلماه وفي القوم رجل في يديه طول يقال له ذو اليدين، قال: يا رسول الله، انسيت ام قصرت الصلاة؟، قال: لم انس ولم تقصر، فقال: اكما يقول ذو اليدين، فقالوا: نعم، فتقدم فصلى ما ترك، ثم سلم، ثم كبر وسجد مثل سجوده او اطول، ثم رفع راسه وكبر، ثم كبر وسجد مثل سجوده او اطول، ثم رفع راسه وكبر، فربما سالوه ثم سلم فيقول: نبئت ان عمران بن حصين، قال: ثم سلم".
Hum se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya , kaha hum se Nadr bin Shumail ne , unhon ne kaha ke humein Abdullah Ibn Awn ne khabar di , unhon ne Muhammad bin Sireen se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se , unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne humein dopahar ke baad ki do namazon mein se koi namaz parhayi . Zuhar ya Asr ki Ibn Sireen ne kaha ke Abu Hurairah raziyallahu anhu ne is ka naam to liya tha . Lekin mein bhool gaya . Abu Hurairah raziyallahu anhu ne batlaya ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne humein do rakat namaz parha kar salam pher diya . Is ke baad ek lakri ki lathi se jo masjid mein rakhi hui thi aap salla Allahu alaihi wa sallam tek laga kar khare ho gaye . Aisa maloom hota tha ke jaisay aap bohot hi khafa hain aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne apne dayen hath ko bayen hath par rakha aur un ki ungliyon ko ek doosre mein dakhil kiya aur aap ne apne dayen rukhsaar mubarak ko bayen hath ki hathaili se sahara diya . Jo log namaz parh kar jaldi nikal jaya karte thay woh masjid ke darwazon se paar ho gaye . Phir log kehne lage ke kya namaz kam kar di gayi hai . Hazireen mein Abu Bakr aur Umar raziyallahu anhuma bhi mojood thay . Lekin unhein bhi aap se bolne ki himmat na hui . Unhein mein ek shakhs thay jin ke hath lambe thay aur unhein Dhul Yadain kaha jata tha . Unhon ne poocha ya Rasool Allah! kya aap salla Allahu alaihi wa sallam bhool gaye ya namaz kam kar di gayi hai . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke na mein bhoola hun aur na namaz mein koi kami hui hai . Phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne logon se poocha . Kya Dhul Yadain sahih keh rahe hain . Hazireen bole ke ji haan! yeh sun kar aap salla Allahu alaihi wa sallam aage barhe aur baqi rakaten parhin . Phir salam phera phir takbeer kahi aur sahu ka sajda kiya . Mamool ke mutabiq ya is se bhi lamba sajda . Phir sar uthaya aur takbeer kahi . Phir takbeer kahi aur doosra sajda kiya . Mamool ke mutabiq ya is se bhi taweel phir sar uthaya aur takbeer kahi , logon ne bar bar Ibn Sireen se poocha ke kya phir salam phera to woh jawab dete ke mujhe khabar di gayi hai ke Imran bin Husain kehte thay ke phir salam phera .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَسَاجِدِ الَّتِي عَلَى طُرُقِ الْمَدِينَةِ وَالْمَوَاضِعِ الَّتِي صَلَّى فِيهَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ.:
Bab: Un masajid ka bayan jo Madinah ke raaste mein waqe’ hain aur woh jagahen jahan Rasoolullah ﷺ ne namaz ada farmayi hai.
Show diacritics
Hadith Number: 483
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، قال: حدثنا فضيل بن سليمان، قال: حدثنا موسى بن عقبة، قال:" رايت سالم بن عبد الله يتحرى اماكن من الطريق فيصلي فيها، ويحدث ان اباه كان يصلي فيها، وانه راى النبي صلى الله عليه وسلم يصلي في تلك الامكنة"، وحدثني نافع، عن ابن عمر، انه كان يصلي في تلك الامكنة، وسالت سالما فلا اعلمه إلا وافق نافعا في الامكنة كلها، إلا انهما اختلفا في مسجد بشرف الروحاء.
Hum se Muhammad bin Abi Bakr Muqaddami ne bayan kiya kaha hum se Fudail bin Sulaiman ne , kaha hum se Moosa bin Uqba ne , kaha mein ne Salim bin Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ko dekha ke woh Madina se Makka tak raste mein kai jagahon ko dhondh kar wahan namaz parhte aur kehte ke un ke walid Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma bhi un maqamat par namaz parha karte thay . Aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ko un maqamat par namaz parhte hue dekha hai aur Moosa bin Uqba ne kaha ke mujh se Nafi ne Ibn Umar raziyallahu anhuma ke mutalliq bayan kiya ke woh un maqamat par namaz parha karte thay . Aur mein ne Salim se poocha to mujhe khoob yaad hai ke unhon ne bhi Nafi ke bayan ke mutabiq hi tamam maqamat ka zikr kiya . Faqat maqam Sharaf Ruha ki masjid ke mutalliq dono ne ikhtilaf kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 484
حدثنا إبراهيم بن المنذر الحزامي، قال: حدثنا انس بن عياض، قال: حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، ان عبد الله اخبره،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان ينزل بذي الحليفة حين يعتمر وفي حجته حين حج تحت سمرة في موضع المسجد الذي بذي الحليفة، وكان إذا رجع من غزو كان في تلك الطريق او حج او عمرة هبط من بطن واد، فإذا ظهر من بطن واد اناخ بالبطحاء التي على شفير الوادي الشرقية فعرس، ثم حتى يصبح ليس عند المسجد الذي بحجارة ولا على الاكمة التي عليها المسجد كان، ثم خليج يصلي عبد الله عنده في بطنه كثب كان رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم يصلي فدحا السيل فيه بالبطحاء حتى دفن ذلك المكان الذي كان عبد الله يصلي فيه.
Hum se Ibrahim bin Al-Munzir Hizami ne bayan kiya , kaha hum se Anas bin Iyaz ne , kaha hum se Moosa bin Uqba ne Nafi se , un ko Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam jab umrah ke qasd se tashreef le gaye aur Hajjat ul-Wada ke moqa par jab hajj ke liye nikle to aap salla Allahu alaihi wa sallam ne Dhul Hulaifa mein qiyam farmaya . Dhul Hulaifa ki masjid ke qareeb aap salla Allahu alaihi wa sallam ek babul ke darakht ke neechay utray aur jab aap kisi jihad se wapas hote aur rasta Dhul Hulaifa se ho kar guzarta ya hajj ya umrah se wapasi hoti to aap wadi Atiq ke nashebi ilaqa mein utarte , phir jab wadi ke nasheeb se upar charhte to wadi ke balai kinare ke is mashriqi hissay par padao hota jahan kankriyon aur ret ka kushada nala hai . Yani Batha mein yahan aap salla Allahu alaihi wa sallam raat ko subah tak aaram farmate . Yeh maqam is masjid ke qareeb nahi hai jo pattharon ki bani hai , aap is tele par bhi nahi hote jis par masjid bani hui hai . Wahan ek gehra nala tha Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma wahi namaz parhte . Is ke nasheeb mein ret ke tele thay aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam wahan namaz parha karte thay . Kankriyon aur ret ke kushada nala ki taraf se sailab ne aa kar is jagah ke asar wa nishanat ko paat diya hai , jahan Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma namaz parha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة