الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الصَّلاَةِ إِذَا قَدِمَ مِنْ سَفَرٍ:
Bab: Safar se wapsi par namaz parhne ke bayan mein.
Hadith Number: 443
حدثنا خلاد بن يحيى، قال: حدثنا مسعر، قال: حدثنا محارب بن دثار، عن جابر بن عبد الله، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم وهو في المسجد، قال مسعر: اراه قال: ضحى، فقال:" صل ركعتين، وكان لي عليه دين فقضاني وزادني".
Hum se Khalad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Misar ne , kaha hum se Muharib bin Dithar ne Jabir bin Abdullah ke wastay se , woh kehte hain ke mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein hazir hua . Aap salla Allahu alaihi wa sallam is waqt masjid mein tashreef farma thay . Misar ne kaha mera khayal hai ke Muharib ne chasht ka waqt bataya tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke pehle do rakat namaz parh aur mera Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam par kuch qarz tha . Jisay aap salla Allahu alaihi wa sallam ne ada kiya aur zyada hi diya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا دَخَلَ الْمَسْجِدَ فَلْيَرْكَعْ رَكْعَتَيْنِ:
Bab: Jab koi masjid mein daakhil ho to baithne se pehle do rak’at namaz parhni chahiye.
Hadith Number: 444
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن عامر بن عبد الله بن الزبير، عن عمرو بن سليم الزرقي، عن ابي قتادة السلمي، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا دخل احدكم المسجد فليركع ركعتين قبل ان يجلس".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne Aamir bin Abdullah bin Zubair se yeh khabar pehnchai , unhon ne Amr bin Sulaim Zurqi ke wastay se bayan kiya , unhon ne Abu Qatada Salmi raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs masjid mein dakhil ho to baithne se pehle do rakat namaz parh lay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَدَثِ فِي الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjid mein riyah (hawa) kharij karna.
Hadith Number: 445
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه الذي صلى فيه، ما لم يحدث تقول: اللهم اغفر له اللهم ارحمه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya ke kaha humein Malik ne Abul Zinad se , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab tak tum apne musalle par jahan tum ne namaz parhi thi , baithe raho aur riyah kharij na karo to malaika tum par barabar darood bhejte rehte hain . Kehte hain Allahumma ighfir lahu Allahumma irhamhu aye Allah! is ki maghfirat kijiye , aye Allah! is par reham kijiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بُنْيَانِ الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjid ki imarat.
Hadith Number: Q446
وقال ابو سعيد: كان سقف المسجد من جريد النخل، وامر عمر ببناء المسجد، وقال: اكن الناس من المطر وإياك ان تحمر او تصفر فتفتن الناس، وقال انس: يتباهون بها ثم لا يعمرونها إلا قليلا، وقال ابن عباس: لتزخرفنها كما زخرفت اليهود والنصارى.
Abu Saeed ne kaha ke masjid Nabwi ki chhat khajoor ki shakhon se banayi gayi thi . Umar raziyallahu anhu ne masjid ki tameer ka hukm diya aur farmaya ke mein logon ko barish se bachana chahta hun aur masjidon par surkh laal , zard rang , mat karo kyunke is se log fitna mein par jayenge . Anas raziyallahu anhu ne farmaya ke is tarah pukhta banwane se log masajid par fakhr karne lagenge . Magar un ko aabad bohot kam log karenge . Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne farmaya ke tum bhi masajid ki isi tarah zibayish karoge jis tarah yahood wa nasara ne ki .
Hadith Number: 446
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا يعقوب بن إبراهيم بن سعد، قال: حدثني ابي، عن صالح بن كيسان، قال: حدثنا نافع، ان عبد الله اخبره،" ان المسجد كان على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم مبنيا باللبن، وسقفه الجريد، وعمده خشب النخل، فلم يزد فيه ابو بكر شيئا، وزاد فيه عمر، وبناه على بنيانه في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم باللبن والجريد واعاد عمده خشبا، ثم غيره عثمان فزاد فيه زيادة كثيرة وبنى جداره بالحجارة المنقوشة والقصة وجعل عمده من حجارة منقوشة وسقفه بالساج".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim bin Saeed ne bayan kiya , unhon ne kaha mujh se mere walid Ibrahim bin Saeed ne Saleh bin Kaisan ke wastay se , hum se Nafi ne , Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ke wastay se khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke zamane mein masjid Nabwi kachi eenton se banayi gayi thi . Is ki chhat khajoor ki shakhon ki thi aur sutun isi ki kariyon ke . Abu Bakr raziyallahu anhu ne is mein kisi qisam ki zyadti nahi ki . Albatta Umar raziyallahu anhu ne isay barhaya aur is ki tameer Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ki banayi hui bunyadon ke mutabiq kachi eenton aur khajooron ki shakhon se ki aur is ke sutun bhi kariyon hi ke rakhe . Phir Usman raziyallahu anhu ne is ki imarat ko badal diya aur is mein bohot si zyadti ki . Is ki deewaren munqash pattharon aur gach se banaye . Is ke sutun bhi munqash pattharon se banwaye aur chhat sagwan se banayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعَاوُنِ فِي بِنَاءِ الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjid banane mein madad karna (yani apni jaan-o-maal se hissa lena kaar-e-sawab hai).
Hadith Number: Q447
ما كان للمشركين ان يعمروا مساجد الله شاهدين على انفسهم بالكفر اولئك حبطت اعمالهم وفي النار هم خالدون {17} إنما يعمر مساجد الله من آمن بالله واليوم الآخر واقام الصلاة وآتى الزكاة ولم يخش إلا الله فعسى اولئك ان يكونوا من المهتدين {18} سورة التوبة آية 17-18
Aur Allah Taala ka irshad hai . Mashrikeen ke liye layiq nahi ke Allah Taala ki masjidon ki tameer mein hissa len al-ayah .
Hadith Number: 447
حدثنا مسدد، قال: حدثنا عبد العزيز بن مختار، قال: حدثنا خالد الحذاء، عن عكرمة، قال لي ابن عباس ولابنه علي: انطلقا إلى ابي سعيد فاسمعا من حديثه، فانطلقنا فإذا هو في حائط يصلحه فاخذ رداءه فاحتبى، ثم انشا يحدثنا حتى اتى ذكر بناء المسجد، فقال: كنا نحمل لبنة لبنة، وعمار لبنتين لبنتين فرآه النبي صلى الله عليه وسلم فينفض التراب عنه، ويقول:" ويح عمار تقتله الفئة الباغية، يدعوهم إلى الجنة ويدعونه إلى النار"، قال: يقول عمار: اعوذ بالله من الفتن.
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdul Aziz bin Mukhtar ne bayan kiya , kaha ke hum se Khalid Haza ne Ikrama se , unhon ne bayan kiya ke mujh se aur apne sahbzaday Ali se Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne kaha ke Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ki khidmat mein jao aur un ki ahadees suno . Hum gaye . Dekha ke Abu Saeed raziyallahu anhu apne bagh ko durust kar rahe thay . Hum ko dekh kar aap ne apni chadar sambhali aur got maar kar baith gaye . Phir hum se hadees bayan karne lage . Jab masjid Nabwi ke banane ka zikr aaya to aap ne bataya ke hum to masjid ke banane mein hissa lete waqt ek ek eent uthate . Lekin Ammar do do eenten utha rahe thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne unhein dekha to un ke badan se mitti jharne lage aur farmaya , afsos! Ammar ko ek baghi jamaat qatl kare gi . Jisay Ammar jannat ki dawat denge aur woh jamaat Ammar ko jahannam ki dawat de rahi ho gi . Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ne bayan kiya ke Ammar raziyallahu anhu kehte thay ke mein fitnon se Allah ki panah mangta hun .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِسْتِعَانَةِ بِالنَّجَّارِ وَالصُّنَّاعِ فِي أَعْوَادِ الْمِنْبَرِ وَالْمَسْجِدِ:
Bab: Barhai aur karigar se masjid ki tameer mein aur mimbar ke takhton ko banwane mein madad haasil karna (ja’iz hai).
Hadith Number: 448
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا عبد العزيز، عن ابو حازم، عن سهل، قال:" بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى امراة مري غلامك النجار، يعمل لي اعوادا اجلس عليهن".
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya ke kaha hum se Abdul Aziz ne Abu Hazim ke wastay se , unhon ne Sahl raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne ek aurat ke pas ek aadmi bheja ke woh apne barhayi ghulam se kahe ke mere liye lakriyon ke takhton se minbar bana de jin par mein baitha karun .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 449
حدثنا خلاد، قال: حدثنا عبد الواحد بن ايمن، عن ابيه، عن جابر، ان امراة، قالت: يا رسول الله، الا اجعل لك شيئا تقعد عليه فإن لي غلاما نجارا، قال:" إن شئت فعملت المنبر".
Hum se Khalad bin Yahya ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahid bin Ayman ne apne walid ke wastay se bayan kiya , unhon ne Jabir bin Abdullah raziyallahu anhuma se ke ek aurat ne kaha ya Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam! kya mein aap ke liye koi aisi cheez na bana dun jis par aap salla Allahu alaihi wa sallam baitha karen . Mera ek barhayi ghulam bhi hai . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya agar tu chahe to minbar banwa de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ بَنَى مَسْجِدًا:
Bab: Jis ne masjid banayi us ke ajr-o-sawab ka bayan.
Hadith Number: 450
حدثنا يحيى بن سليمان، حدثني ابن وهب، اخبرني عمرو، ان بكيرا حدثه، ان عاصم بن عمر بن قتادة حدثه، انه سمع عبيد الله الخولاني، انه سمع عثمان بن عفان، يقول عند قول الناس فيه حين بنى مسجد الرسول صلى الله عليه وسلم: إنكم اكثرتم، وإني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من بنى مسجدا، قال بكير: حسبت انه قال: يبتغي به وجه الله بنى الله له مثله في الجنة".
Hum se Yahya bin Sulaiman ne bayan kiya unhon ne kaha ke hum se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Amr bin Harith ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Bukair bin Abdullah ne bayan kiya , un se Aasim bin Amr bin Qatada ne bayan kiya , unhon ne Ubaidullah bin Aswad Khawlani se suna , unhon ne Usman bin Affan raziyallahu anhu se suna ke masjid Nabwi ki tameer ke mutalliq logon ki baton ko sun kar aap ne farmaya ke tum logon ne bohot zyada batein ki hain . Halanke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se suna hai ke jis ne masjid banayi Bukair raawi ne kaha mera khayal hai ke aap ne yeh bhi farmaya ke is se maqsood Allah Taala ki raza ho , to Allah Taala aisa hi ek makaan jannat mein is ke liye banaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة