الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يَبْصُقْ عَنْ يَمِينِهِ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Is bare mein ke namaz mein apne daayen taraf na thookna chahiye.
Hadith Number: 412
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني قتادة، قال: سمعت انس بن مالك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:"لا يتفلن احدكم بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت رجله".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shoba ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Qatadah ne khabar di , unhon ne kaha mein ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , tum apne samne ya apni dayen taraf na thooka karo , balkay bayen taraf ya bayen qadam ke neechay thook saktay ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لِيَبْزُقْ عَنْ يَسَارِهِ أَوْ تَحْتَ قَدَمِهِ الْيُسْرَى:
Bab: Bayen taraf ya bayen paaon ke neeche thookne ke bayan mein.
Hadith Number: 413
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا قتادة، قال: سمعت انس بن مالك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن المؤمن إذا كان في الصلاة فإنما يناجي ربه، فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shoba ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mein ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya momin jab namaz mein hota hai to woh apne Rab se sargoshi karta hai . Is liye woh apne samne ya dayen taraf na thookay , haan bayen taraf ya paon ke neechay thook lay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 414
حدثنا علي، قال: حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي سعيد، ان النبي صلى الله عليه وسلم ابصر نخامة في قبلة المسجد فحكها بحصاة، ثم" نهى ان يبزق الرجل بين يديه او عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه اليسرى"، وعن الزهري، سمع حميدا، عن ابي سعيد نحوه.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne , kaha hum se Imam Zuhri ne Humaid bin Abdur Rahman se , unhon ne Abu Saeed Khudri se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne masjid ke qibla ki deewar par balgham dekha to aap salla Allahu alaihi wa sallam ne usay kankri se khurch dala . Phir farmaya ke koi shakhs samne ya dayen taraf na thookay , balkay bayen taraf ya bayen paon ke neechay thook lena chahiye . Doosri riwayat mein Zuhri se yun hai ke unhon ne Humaid bin Abdur Rahman se Abu Saeed Khudri ke wastay se isi tarah yeh hadees suni .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَفَّارَةِ الْبُزَاقِ فِي الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjid mein thookne ka kaffarah.
Hadith Number: 415
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا قتادة، قال: سمعت انس بن مالك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" البزاق في المسجد خطيئة وكفارتها دفنها".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shoba ne , kaha hum se Qatadah ne kaha ke mein ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke masjid mein thookna gunah hai aur is ka kaffara isay zameen mein chhupa dena hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ دَفْنِ النُّخَامَةِ فِي الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjid mein balgham ko mitti ke andar chhupa dena zaroori hai.
Hadith Number: 416
حدثنا إسحاق بن نصر، قال: حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، سمع ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"إذا قام احدكم إلى الصلاة فلا يبصق امامه، فإنما يناجي الله ما دام في مصلاه ولا عن يمينه، فإن عن يمينه ملكا، وليبصق عن يساره او تحت قدمه فيدفنها".
Hum se Ishaq bin Nasr ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Abdur Razzaq ne Mamar bin Rashid se , unhon ne Hammam bin Munabbih se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se suna woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se naql karte hain ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab koi shakhs namaz ke liye khara ho to samne na thookay kyunke woh jab tak apni namaz ki jagah mein hota hai to Allah Taala se sargoshi karta rehta hai aur dayen taraf bhi na thookay kyunke us taraf farishta hota hai , haan bayen taraf ya qadam ke neechay thook lay aur usay mitti mein chhupa day .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا بَدَرَهُ الْبُزَاقُ فَلْيَأْخُذْ بِطَرَفِ ثَوْبِهِ:
Bab: Jab thook ka ghalba ho to namazi apne kapre ke kinare mein thook le.
Hadith Number: 417
حدثنا مالك بن إسماعيل، قال: حدثنا زهير، قال: حدثنا حميد، عن انس، ان النبي صلى الله عليه وسلم راى نخامة في القبلة فحكها بيده، ورئي منه كراهية او رئي كراهيته لذلك، وشدته عليه، وقال:" إن احدكم إذا قام في صلاته فإنما يناجي ربه او ربه بينه وبين قبلته، فلا يبزقن في قبلته، ولكن عن يساره او تحت قدمه، ثم اخذ طرف ردائه فبزق فيه ورد بعضه على بعض، قال: او يفعل هكذا".
Hum se Malik bin Ismail ne bayan kiya , kaha ke hum se Zuhair bin Muawiyah ne , kaha hum se Humaid ne Anas bin Malik se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne qibla ki taraf deewar par balgham dekha to aap salla Allahu alaihi wa sallam ne khud usay khurch dala aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ki nakhaushi ko mehsoos kiya gaya ya raawi ne is tarah bayan kiya ke is ki wajah se aap salla Allahu alaihi wa sallam ki shadeed nagawari ko mehsoos kiya gaya . Phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jab koi shakhs namaz ke liye khara hota hai to woh apne Rab se sargoshi karta hai , ya yeh ke is ka Rab is ke aur qibla ke darmiyan hota hai . Is liye qibla ki taraf na thooka karo , balkay bayen taraf ya qadam ke neechay thook liya karo . Phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne apni chadar ka ek kona kanara liya , is mein thooka aur chadar ki ek teh ko doosri teh par pher liya aur farmaya , ya is tarah kar liya kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِظَةِ الإِمَامِ النَّاسَ فِي إِتْمَامِ الصَّلاَةِ، وَذِكْرِ الْقِبْلَةِ:
Bab: Imam logon ko ye nasihat kare ke namaz poori tarah parhen aur qiblah ka bayan.
Hadith Number: 418
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" هل ترون قبلتي ها هنا، فوالله ما يخفى علي خشوعكم، ولا ركوعكم إني لاراكم من وراء ظهري".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne Abul Zinad se khabar di , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya kya tumhara yeh khayal hai ke mera munh namaz mein qibla ki taraf hai , Allah ki qasam mujh se na tumhara khushoo chhupta hai na rukoo , mein apni peeth ke peechay se tum ko dekhta rehta hun .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 419
حدثنا يحيى بن صالح، قال: حدثنا فليح بن سليمان، عن هلال بن علي، عن انس بن مالك، قال: صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم صلاة، ثم رقي المنبر، فقال في الصلاة وفي الركوع:" إني لاراكم من ورائي كما اراكم".
Hum se Yahya bin Saleh ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Fulaih bin Sulaiman ne Hilal bin Ali se , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se , woh kehte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne humein ek martaba namaz parhayi , phir aap salla Allahu alaihi wa sallam minbar par charhay , phir namaz ke bab mein aur rukoo ke bab mein farmaya mein tumhein peechay se bhi isi tarah dekhta rehta hun jaisay ab samne se dekh raha hun .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يُقَالُ مَسْجِدُ بَنِي فُلاَنٍ:
Bab: Is bare mein ke kya yun kaha ja sakta hai ke ye masjid falan khandaan walon ki hai.
Hadith Number: 420
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم سابق بين الخيل التي اضمرت من الحفياء وامدها ثنية الوداع، وسابق بين الخيل التي لم تضمر من الثنية إلى مسجد بني زريق، وان عبد الله بن عمر كان فيمن سابق بها".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne khabar di , unhon ne Nafi ke wastay se bayan kiya , unhon ne Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne un ghoro ki jinhein jihad ke liye tayyar kiya gaya tha maqam Hafya se daur karayi , is daur ki hadd Thaniyyat al-Wada thi aur jo ghore abhi tayyar nahi hue thay un ki daur Thaniyyat al-Wada se masjid Bani Zuraiq tak karayi . Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne bhi is ghora daur mein shirkat ki thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِسْمَةِ وَتَعْلِيقِ الْقِنْوِ فِي الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjid mein maal taqseem karna aur masjid mein khajur ka khosha latkana.
Hadith Number: Q421
قال: ابو عبد الله القنو العذق والاثنان قنوان والجماعة ايضا قنوان مثل صنو وصنوان.
Imam Bukhari rahimahullah kehte hain ke qanoo ke mani arabi zuban mein azq khushah khajoor ke hain . Do ke liye qinwan aata hai aur jama ke liye bhi yahi lafz aata hai jaisay sino aur sinwan .