الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الصَّلاَةِ فِي الْخِفَافِ:
Bab: Moze pehne hue namaz parhna (ja’iz hai).
Hadith Number: 387
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، عن الاعمش، قال: سمعت إبراهيم يحدث، عن همام بن الحارث، قال:" رايت جرير بن عبد الله بال، ثم توضا ومسح على خفيه، ثم قام فصلى فسئل، فقال: رايت النبي صلى الله عليه وسلم صنع مثل هذا"، قال إبراهيم: فكان يعجبهم لان جريرا كان من آخر من اسلم.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne Aamash ke wasita se, us ne kaha ke main ne Ibrahim Nakhi se suna. Woh Hammam bin Haris se riwayat karte thay, unhon ne kaha ke main ne Jareer bin Abdullah Razi Allah Anhu ko dekha, unhon ne peshab kiya phir wudu kiya aur apne mozon par masah kiya. Phir khade hue aur (mozon samait) namaz padhi. Aap se jab is ke mutaliq poocha gaya, to farmaya ke main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko aisa hi karte dekha hai. Ibrahim Nakhi ne kaha ke yeh hadees logon ki nazar mein bahut pasandida thi kyunke Jareer Razi Allah Anhu aakhir mein Islam laye thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 388
حدثنا إسحاق بن نصر، قال: حدثنا ابو اسامة، عن الاعمش، عن مسلم، عن مسروق، عن المغيرة بن شعبة، قال:" وضات النبي صلى الله عليه وسلم فمسح على خفيه وصلى".
Hum se Ishaq bin Nasr ne bayan kiya ke kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya Aamash ke wasita se, unhon ne Muslim bin Sabeeh se, unhon ne Masrooq bin Ajda se, unhon ne Mughirah bin Shubah se, unhon ne kaha ke main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko wudu karaya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne mozon par masah kiya aur namaz padhi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَمْ يُتِمَّ السُّجُودَ:
Bab: Jab koi poora sajda na kare (to us ki namaz ke mutalliq kya fatwa hai?).
Hadith Number: 389
اخبرنا الصلت بن محمد، اخبرنا مهدي، عن واصل، عن ابي وائل، عن حذيفة،" راى رجلا لا يتم ركوعه ولا سجوده، فلما قضى صلاته، قال له حذيفة: ما صليت، قال: واحسبه، قال: لو مت مت على غير سنة محمد صلى الله عليه وسلم".
Humein Salt bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Mahdi bin Maimun ne Wasil ke wasita se, woh Abu Wail Shaqeeq bin Salamah se, woh Huzaifa Razi Allah Anhu se ke unhon ne ek shakhs ko dekha jo ruku aur sajda poori tarah nahi karta tha. Jab us ne apni namaz poori kar li to Huzaifa Razi Allah Anhu ne farmaya ke tum ne namaz hi nahi padhi. Abu Wail rawi ne kaha, main khayal karta hoon ke Huzaifa Razi Allah Anhu ne yeh bhi farmaya ke agar tu aisi hi namaz par mar jata to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat par nahi marta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يُبْدِي ضَبْعَيْهِ وَيُجَافِي فِي السُّجُودِ:
Bab: Sajde mein apni baghlon ko khuli rakhe aur apni pasliyon se (har do kahniyon ko) juda rakhe.
Hadith Number: 390
اخبرنا يحيى بن بكير، حدثنا بكر بن مضر، عن جعفر، عن ابن هرمز، عن عبد الله بن مالك ابن بحينة،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان إذا صلى فرج بين يديه حتى يبدو بياض إبطيه"، وقال الليث: حدثني جعفر بن ربيعة نحوه.
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha mujh se hadees bayan ki Bakr bin Mudar ne Jafar se, woh Ibn Hurmuz se, unhon ne Abdullah bin Malik bin Buhainah se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab namaz padhte to apne bazuon ke darmiyan is qadar kushadagi kar dete ke donon baghlon ki safaidi zahir hone lagti thi aur Laith ne yun kaha ke mujh se Jafar bin Rabia ne isi tarah hadees bayan ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ اسْتِقْبَالِ الْقِبْلَةِ:
Bab: Qiblah ki taraf munh karne ki fazilat.
Hadith Number: Q391
يستقبل باطراف رجليه. قال ابو حميد عن النبي صلى الله عليه وسلم.
(Namazi namaz mein) apne paon ki ungliyan bhi qiblay ki taraf rakkhe. Abu Humaid Razi Allah Anhu sahabi ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat ki hai.
Hadith Number: 391
حدثنا عمرو بن عباس، قال: حدثنا ابن المهدي، قال: حدثنا منصور بن سعد، عن ميمون بن سياه، عن انس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من صلى صلاتنا، واستقبل قبلتنا، واكل ذبيحتنا، فذلك المسلم الذي له ذمة الله وذمة رسوله، فلا تخفروا الله في ذمته".
Hum se Amr bin Abbas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Mahdi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mansoor bin Saad ne Maimun bin Siyah ke wasita se bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik Razi Allah Anhu se, unhon ne kaha ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, jis ne hamari tarah namaz padhi aur hamari tarah qibla ki taraf munh kiya aur hamare zabiha ko khaya to woh musalman hai jis ke liye Allah aur us ke Rasool ki panah hai. Pas tum Allah ke sath us ki di hui panah mein khiyanat na karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 392
حدثنا نعيم، قال: حدثنا ابن المبارك، عن حميد الطويل، عن انس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" امرت ان اقاتل الناس حتى يقولوا لا إله إلا الله، فإذا قالوها وصلوا صلاتنا واستقبلوا قبلتنا وذبحوا ذبيحتنا، فقد حرمت علينا دماؤهم واموالهم إلا بحقها وحسابهم على الله"،
Hum se Nuaim bin Hammad ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Ibn Mubarak ne Humaid Taweel ke wasita se, unhon ne riwayat kiya Anas bin Malik Razi Allah Anhu se ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhe hukm diya gaya hai ke main logon ke sath jung karoon yahan tak ke woh «la ilaha illa Allah» kahein. Pas jab woh is ka iqrar kar lein aur hamari tarah namaz padhne lagein aur hamare qibla ki taraf namaz mein munh karein aur hamare zabiha ko khane lagein to un ka khoon aur un ke amwal hum par haram ho gaye. Magar kisi haqq ke badle aur (batin mein) un ka hisab Allah par rahe ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 393
قال ابن ابي مريم: اخبرنا يحيى بن ايوب، حدثنا حميد، حدثنا انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال علي بن عبد الله: حدثنا خالد بن الحارث، قال: حدثنا حميد، قال: سال ميمون بن سياه انس بن مالك، قال: يا ابا حمزة، ما يحرم دم العبد وماله؟ فقال: من شهد ان لا إله إلا الله، واستقبل قبلتنا، وصلى صلاتنا، واكل ذبيحتنا، فهو المسلم له ما للمسلم وعليه ما على المسلم.
Ibn Abi Maryam ne kaha, humein Yahya bin Ayyub ne khabar di, unhon ne kaha hum se Humaid ne hadees bayan kiya, unhon ne kaha hum se Anas bin Malik Razi Allah Anhu ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se naqal kar ke hadees bayan ki. Ali bin Abdullah bin Madini ne farmaya ke hum se Khalid bin Haris ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Humaid Taweel ne bayan kiya, unhon ne kaha ke Maimun bin Siyah ne Anas bin Malik Razi Allah Anhu se poocha ke Ae Abu Hamzah! Aadmi ki jaan aur maal par ziyaadati ko kya cheezin haram karti hain? To unhon ne farmaya ke jis ne gawahi di ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur hamare qibla ki taraf munh kiya aur hamari namaz ki tarah namaz padhi aur hamare zabiha ko khaya to woh musalman hai. Phir us ke wahi huqooq hain jo aam musalmanon ke hain aur us ki wahi zimmedariyan hain jo aam musalmanon par hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِبْلَةِ أَهْلِ الْمَدِينَةِ وَأَهْلِ الشَّأْمِ وَالْمَشْرِقِ:
Bab: Madinah aur Shaam walon ke qiblah ka bayan aur mashriq ka bayan.
Hadith Number: Q394
ليس في المشرق ولا في المغرب قبلة، لقول النبي صلى الله عليه وسلم: «لا تستقبلوا القبلة بغائط او بول ولكن شرقوا او غربوا» .
Aur (Madinah aur Sham walon ka) qibla mashriq o maghrib ki taraf nahi hai. Kyunke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (khaas Ahl-e-Madinah se mutaliq aur Ahl-e-Sham bhi isi mein dakhil hain) ke pakhana peshab ke waqt qibla ki taraf rukh na karo, albatta mashriq ki taraf apna munh kar lo, ya maghrib ki taraf.
Hadith Number: 394
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا الزهري، عن عطاء بن يزيد، عن ابي ايوب الانصاري، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اتيتم الغائط فلا تستقبلوا القبلة ولا تستدبروها، ولكن شرقوا او غربوا"، قال ابو ايوب: فقدمنا الشام، فوجدنا مراحيض بنيت قبل القبلة، فننحرف ونستغفر الله تعالى، وعن الزهري، عن عطاء، قال: سمعت ابا ايوب، عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha hum se Zuhri ne Ata bin Yazid Laisi ke wasita se, unhon ne Abu Ayyub Ansari Razi Allah Anhu se ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum qazaye hajat ke liye jao to is waqt na qibla ki taraf munh karo aur na peeth karo. Balkay mashriq ya maghrib ki taraf is waqt apna munh kar liya karo. Abu Ayyub ne farmaya ke hum jab Sham mein aaye to yahan ke bait-ul-khala qibla rukh bane hue thay (jab hum qazaye hajat ke liye jate) to hum mud jate aur Allah Azzawajal se istighfar karte thay aur Zuhri ne Ata se is hadees ko isi tarah riwayat kiya. Is mein yun hai ke Ata ne kaha main ne Abu Ayyub se suna, unhon ne isi tarah Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة