الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 435
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان عائشة، وعبد الله بن عباس، قالا: لما نزل برسول الله صلى الله عليه وسلم طفق يطرح خميصة له على وجهه، فإذا اغتم بها كشفها عن وجهه، فقال:" وهو كذلك، لعنة الله على اليهود والنصارى اتخذوا قبور انبيائهم مساجد يحذر ما صنعوا".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Shoaib ne khabar di Zuhri se , unhon ne kaha ke mujhe Ubaidullah bin Abdullah bin Utba ne khabar di ke Aisha aur Abdullah bin Abbas raziyallahu anhum ne bayan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam marz al-wafat mein mubtala hue to aap salla Allahu alaihi wa sallam apni chadar ko bar bar chehray par daalte . Jab kuch afaqa hota to apne mubarak chehray se chadar hata dete . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne isi iztirab wa pareshani ki halat mein farmaya , yahood wa nasara par Allah ki phitkar ho ke unhon ne apne anbiya ki qabron ko masjid bana liya . Aap salla Allahu alaihi wa sallam yeh farma kar ummat ko aise kamon se darate thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 436
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان عائشة، وعبد الله بن عباس، قالا: لما نزل برسول الله صلى الله عليه وسلم طفق يطرح خميصة له على وجهه، فإذا اغتم بها كشفها عن وجهه، فقال:" وهو كذلك، لعنة الله على اليهود والنصارى اتخذوا قبور انبيائهم مساجد يحذر ما صنعوا".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Shoaib ne khabar di Zuhri se , unhon ne kaha ke mujhe Ubaidullah bin Abdullah bin Utba ne khabar di ke Aisha aur Abdullah bin Abbas raziyallahu anhum ne bayan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam marz al-wafat mein mubtala hue to aap salla Allahu alaihi wa sallam apni chadar ko bar bar chehray par daalte . Jab kuch afaqa hota to apne mubarak chehray se chadar hata dete . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne isi iztirab wa pareshani ki halat mein farmaya , yahood wa nasara par Allah ki phitkar ho ke unhon ne apne anbiya ki qabron ko masjid bana liya . Aap salla Allahu alaihi wa sallam yeh farma kar ummat ko aise kamon se darate thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 437
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" قاتل الله اليهود اتخذوا قبور انبيائهم مساجد".
Hum se Abdullah bin Maslama ne bayan kiya , unhon ne Malik ke wastay se , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne Saeed bin Musayyab se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , yahoodiyon par Allah ki lanat ho unhon ne apne anbiya ki qabron ko masajid bana liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «جُعِلَتْ لِيَ الأَرْضُ مَسْجِدًا وَطَهُورًا» :
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka irshaad ke mere liye saari zameen par namaz parhne aur paaki haasil karne (yani tayammum karne) ki ijazat hai.
Show diacritics
Hadith Number: 438
حدثنا محمد بن سنان، قال: حدثنا هشيم، قال: حدثنا سيار هو ابو الحكم، قال: حدثنا يزيد الفقير، قال: حدثنا جابر بن عبد الله، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اعطيت خمسا لم يعطهن احد من الانبياء قبلي نصرت بالرعب مسيرة شهر، وجعلت لي الارض مسجدا وطهورا، وايما رجل من امتي ادركته الصلاة فليصل واحلت لي الغنائم، وكان النبي يبعث إلى قومه خاصة، وبعثت إلى الناس كافة، واعطيت الشفاعة".
Hum se Muhammad bin Sinan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Hushaim ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abul Hukm Siyar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yazid Faqir ne , kaha hum se Jabir bin Abdullah raziyallahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya . Mujhe paanch aisi cheezen ata ki gayi hain jo mujh se pehle anbiya ko nahi di gayi thin . (1) Ek mahine ki raah se mera raub daal kar meri madad ki gayi . (2) Mere liye tamam zameen mein namaz parhne aur paki hasil karne ki ijazat hai . Is liye meri ummat ke jis aadmi ki namaz ka waqt jahan bhi aa jaye usay wahi namaz parh leni chahiye . (3) Mere liye maal e ghanimat halal kiya gaya . (4) Pehle anbiya khas apni qomon ki hidayat ke liye bheje jate thay . Lekin mujhe duniya ke tamam insano ki hidayat ke liye bheja gaya hai . (5) Mujhe shafaat ata ki gayi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَوْمِ الْمَرْأَةِ فِي الْمَسْجِدِ:
Bab: Aurat ka masjid mein sona.
Show diacritics
Hadith Number: 439
حدثنا عبيد بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة،" ان وليدة كانت سوداء لحي من العرب فاعتقوها، فكانت معهم، قالت: فخرجت صبية لهم عليها وشاح احمر من سيور، قالت: فوضعته او وقع منها، فمرت به حدياة وهو ملقى، فحسبته لحما فخطفته، قالت: فالتمسوه فلم يجدوه، قالت: فاتهموني به، قالت: فطفقوا يفتشون حتى فتشوا قبلها، قالت: والله إني لقائمة معهم إذ مرت الحدياة فالقته، قالت: فوقع بينهم، قالت: فقلت: هذا الذي اتهمتموني به، زعمتم وانا منه بريئة وهو ذا هو، قالت: فجاءت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاسلمت، قالت عائشة: فكان لها خباء في المسجد او حفش، قالت: فكانت تاتيني فتحدث عندي، قالت: فلا تجلس عندي مجلسا إلا قالت: ويوم الوشاح من اعاجيب ربنا الا إنه من بلدة الكفر انجاني قالت عائشة: فقلت لها: ما شانك لا تقعدين معي مقعدا إلا قلت هذا؟ قالت: فحدثتني بهذا الحديث".
Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usama ne Hisham ke wastay se , unhon ne apne walid se , unhon ne Aisha raziyallahu anha se ke Arab ke kisi qabeela ki ek kali londi thi . Unhon ne isay azad kar diya tha aur woh unhein ke sath rehti thi . Is ne bayan kiya ke ek dafa un ki ek larki jo dulhan thi nahane ko nikli , is ka kamar band surkh tasmon ka tha is ne woh kamar band utar kar rakh diya ya is ke badan se gir gaya . Phir is taraf se ek cheel guzri jahan kamar band para tha . Cheel isay surkh rang ki wajah se gosht samajh kar jhapat le gayi . Baad mein qabeela walon ne isay bohot talash kiya , lekin kahin na mila . Un logon ne is ki tuhmat mujh par laga di aur meri talashi leni shuru kar di , yahan tak ke unhon ne is ki sharmgah tak ki talashi li . Is ne bayan kiya ke Allah ki qasam mein un ke sath isi halat mein khari thi ke wahi cheel aayi aur is ne un ka woh kamar band gira diya . Woh un ke samne hi gira . Mein ne isay dekh kar kaha yahi to tha jis ki tum mujh par tuhmat lagate thay . Tum logon ne mujh par is ka ilzam lagaya tha halanke mein is se pak thi . Yahi to hai woh kamar band! Is londi ne kaha ke is ke baad mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein hazir hui aur Islam layi . Aisha raziyallahu anha ne bayan kiya ke is ke liye masjid Nabwi mein ek bara kheema laga diya gaya . Ya yeh kaha ke chhota sa kheema laga diya gaya . Aisha raziyallahu anha ne bayan kiya ke woh londi mere pas aati aur mujh se batein kiya karti thi . Jab bhi woh mere pas aati to yeh zaroor kehti ke kamar band ka din hamare Rab ki ajeeb nishaniyon mein se hai . Isi ne mujhe kufr ke mulk se nijat di . Aisha raziyallahu anha farmati hain ke mein ne is se kaha , aakhir baat kya hai ? Jab bhi tum mere pas baithti ho to yeh baat zaroor kehti ho . Aap ne bayan kiya ke phir is ne mujhe yeh qissa sunaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَوْمِ الرِّجَالِ فِي الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjidon mein mardon ka sona.
Show diacritics
Hadith Number: Q440
وقال ابو قلابة: عن انس بن مالك، قدم رهط من عكل على النبي صلى الله عليه وسلم فكانوا في الصفة، وقال عبد الرحمن بن ابي بكر الصديق: كان اصحاب الصفة الفقراء.
Aur Abu Qalaba ne Anas bin Malik se naql kiya hai ke Ukl nami qabeela ke kuch log jo das se kam thay Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein aaye , woh masjid ke sayban mein thehre . Abdur Rahman bin Abi Bakr ne farmaya ke suffa mein rehne wale fuqara log thay .


Show diacritics
Hadith Number: 440
حدثنا مسدد قال: حدثنا يحيى عن عبيد الله قال: حدثني نافع قال: اخبرني عبد الله انه كان ينام وهو شاب اعزب لا اهل له في مسجد النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Musaddad ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya ne Ubaidullah ke wastay se bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh ko Nafi ne bayan kiya , kaha ke mujhe Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne khabar di ke woh apni naujawani mein jab ke un ke biwi bache nahi thay Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki masjid mein soya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 441
حدثنا قتيبة بن سعيد، قال: حدثنا عبد العزيز بن ابي حازم، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، قال:" جاء رسول الله صلى الله عليه وسلم بيت فاطمة فلم يجد عليا في البيت، فقال: اين ابن عمك؟ قالت: كان بيني وبينه شيء فغاضبني فخرج فلم يقل عندي، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم لإنسان: انظر اين هو، فجاء فقال: يا رسول الله، هو في المسجد راقد، فجاء رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو مضطجع قد سقط رداؤه عن شقه واصابه تراب، فجعل رسول الله صلى الله عليه وسلم يمسحه عنه، ويقول: قم ابا تراب، قم ابا تراب".
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Abdul Aziz bin Abi Hazim ne bayan kiya , unhon ne apne walid Abu Hazim Sahl bin Dinar se , unhon ne Sahl bin Saad raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam Fatima raziyallahu anha ke ghar tashreef laye dekha ke Ali raziyallahu anhu ghar mein mojood nahi hain . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne darayaf farmaya ke tumhare chacha ke bete kahan hain ? Unhon ne bataya ke mere aur un ke darmiyan kuch nagawari pesh aa gayi aur woh mujh par khafa ho kar kahin bahar chale gaye hain aur mere yahan qailoola bhi nahi kiya hai . Is ke baad Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne ek shakhs se kaha ke Ali raziyallahu anhu ko talash karo ke kahan hain ? Woh aaye aur bataya ke masjid mein soye hue hain . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam tashreef laye . Ali raziyallahu anhu lete hue thay , chadar aap salla Allahu alaihi wa sallam ke pehlu se gir gayi thi aur jism par mitti lag gayi thi . Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam jism se dhool jhar rahe thay aur farma rahe thay utho Abu Turab utho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 442
حدثنا يوسف بن عيسى، قال: حدثنا ابن فضيل، عن ابيه، عن ابي حازم، عن ابي هريرة، قال:" لقد رايت سبعين من اصحاب الصفة ما منهم رجل عليه رداء إما إزار وإما كساء قد ربطوا في اعناقهم، فمنها ما يبلغ نصف الساقين، ومنها ما يبلغ الكعبين فيجمعه بيده كراهية ان ترى عورته".
Hum se Yusuf bin Isa ne bayan kiya , kaha hum se Ibn Fudail ne apne walid ke wastay se , unhon ne Abu Hazim se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke aap ne farmaya ke mein ne satar Ashab e Suffa ko dekha ke un mein koi aisa na tha jis ke pas chadar ho . Faqat tehband hota , ya raat ko odhne ka kapra jinhein yeh log apni gardanon se bandh lete . Yeh kapre kisi ke aadhi pandli tak aate aur kisi ke takhno tak . Yeh hazrat un kapron ko is khayal se ke kahin sharmgah na khul jaye apne hathoon se seemte rehte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّلاَةِ إِذَا قَدِمَ مِنْ سَفَرٍ:
Bab: Safar se wapsi par namaz parhne ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: Q443
وقال كعب بن مالك: كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا قدم من سفر بدا بالمسجد فصلى فيه.
Kab bin Malik se naql hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam jab kisi safar se lot kar Madina mein tashreef late to pehle masjid mein jate aur namaz parhte .