الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ النِّعَالِ السِّبْتِيَّةِ وَغَيْرِهَا:
Saaf chamde ki jooti pehnna.
Show diacritics
Hadith Number: 5851
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن سعيد المقبري، عن عبيد بن جريج، انه قال لعبد الله بن عمر رضي الله عنهما:" رايتك تصنع اربعا لم ار احدا من اصحابك يصنعها، قال:" ما هي يا ابن جريج؟ قال: رايتك لا تمس من الاركان إلا اليمانيين، ورايتك تلبس النعال السبتية، ورايتك تصبغ بالصفرة، ورايتك إذا كنت بمكة اهل الناس إذا راوا الهلال ولم تهل انت، حتى كان يوم التروية، فقال له عبد الله بن عمر: اما الاركان فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يمس إلا اليمانيين، واما النعال السبتية فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يلبس النعال التي ليس فيها شعر ويتوضا فيها فانا احب ان البسها، واما الصفرة فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يصبغ بها فانا احب ان اصبغ بها، واما الإهلال فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يهل حتى تنبعث به راحلته".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya , in se Imam Malik ne , in se Muqbiri ne , in se Ubaid bin Jurayj ne ke unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se arz kiya ke main Aap ko char aaisi cheezin karte dekhta hoon jo main ne Aap ke kisi saathi ko karte nahi dekha . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha: Ibn Jurayj! Woh kya cheezin hain ? Unhon ne kaha ke main ne Aap ko dekha hai ke Aap (Khana Kaba ke) kisi kone ko tawaf mein hath nahi lagate sirf do Arkan e Yamani (yani sirf Rukn e Yamani aur Hajar e Aswad) ko chhoote hain aur main ne Aap ko dekha hai ke Aap saaf zain ke chamre ka joota pehnte hain aur main ne Aap ko dekha ke Aap apna kapra zard rang se rangte hain ya zard khizhab lagate hain aur main ne Aap ko dekha ke jab Makkah mein hote hain to sab log to Zhul-Hijjah ka chaand dekh kar ihram baandh laite hain lekin Aap ihram nahi baandhte balkay Tarwiya ke din (8 Zhul-Hijjah ko) ko ihram baandhte hain . In se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke Khana Kaba ke arkan ke mutalliq jo tum ne kaha to main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko hamesha sirf Hajar e Aswad aur Rukn e Yamani ko chhoote dekha . Saaf tari ke chamre ke jooton ke mutalliq jo tum ne poochha to main ne dekha hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam isi chamre ka joota pehnte thay jis mein baal nahi hote thay aur Aap is ko pehne huay wuzu karte thay is liye main bhi pasand karta hoon ke aisa hi joota istemal karoon . Zard rang ke mutalliq tum ne jo kaha hai to main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko is se khizhab karte ya kapre rangte dekha hai is liye main bhi is zard rang ko pasand karta hoon aur raha ihram baandhne ka masla to main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke Aap isi waqt ihram baandhte jab oont par sawar ho kar jaane lagte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5852
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يلبس المحرم ثوبا مصبوغا بزعفران او ورس وقال: من لم يجد نعلين فليلبس خفين وليقطعهما اسفل من الكعبين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhon ne kaha hamain Abdullah bin Dinar ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne muhram ko zafran ya wars se ranga hua kapra pehnne se mana farmaya tha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jise jootay na milein woh mozay hi pehan lein lekin un ko takhne ke neeche tak kaat dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5853
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من لم يكن له إزار فليلبس السراويل، ومن لم يكن له نعلان فليلبس خفين".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , in se Amr bin Dinar ne , in se Jabir bin Zayd ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ke paas ihram baandhne ke liye tehband na ho woh pajama pehan le (is ka kaatna zaroori nahi hai) aur jis ke paas jootay na hon woh mozay hi pehan le lekin takhnon ke neeche tak un ko kaat daale (jaisa ke pichhli hadees mein hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يَبْدَأُ بِالنَّعْلِ الْيُمْنَى:
Is bayaan mein ke pehnte waqt daahne paaon mein joota pehne.
Show diacritics
Hadith Number: 5854
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني اشعث بن سليم، سمعت ابي، يحدث، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يحب التيمن في طهوره وترجله وتنعله".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Ash-as bin Sulaym ne khabar di ke main ne apne walid se suna , woh Masrooq se bayan karte thay aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam taharat mein kangha karne mein aur joota pehnne mein dahni taraf se shuru karne ko pasand farmate thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يَنْزِعُ نَعْلَ الْيُسْرَى:
Is bayaan mein ke pehle baayein pair ka joota utaare baad mein daahine pair ka.
Show diacritics
Hadith Number: 5855
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إذا انتعل احدكم فليبدا باليمين، وإذا نزع فليبدا بالشمال، لتكن اليمنى اولهما تنعل وآخرهما تنزع"
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya , in se Imam Malik ne , in se Abu al-Zinad ne , in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se koi shakhs joota pehne to dayein taraf se shuru kare aur jab utaare to bayein taraf se utaare taake dahni jaanib pehnne mein awwal ho aur utaarne mein aakhir ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَمْشِي فِي نَعْلٍ وَاحِدٍ:
Is baare mein ke sirf ek paaon mein joota ho dusra pair nanga ho is tarah chalna mana hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5856
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يمشي احدكم في نعل واحدة ليحفهما جميعا او لينعلهما جميعا".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya , in se Imam Malik ne , in se Abu al-Zinad ne , in se Aaraj ne in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein koi shakhs sirf ek paon mein joota pehan kar na chale ya donon paon nanga rakkhe ya donon mein joota pehne .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِبَالاَنِ فِي نَعْلٍ وَمَنْ رَأَى قِبَالاً وَاحِدًا وَاسِعًا:
Har chappal mein do do tasma hona aur ek tasma bhi kaafi hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5857
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا همام، عن قتادة، حدثنا انس رضي الله عنه،" ان نعل النبي صلى الله عليه وسلم كان لها قبالان".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya , kaha hum se Humam ne bayan kiya , in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chappal mein do tasme thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5858
حدثني محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عيسى بن طهمان، قال: خرج إلينا انس بن مالك بنعلين لهما قبالان، فقال ثابت البناني" هذه نعل النبي صلى الله عليه وسلم".
Mujh se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Esa bin Tahman ne khabar di , bayan kiya ke Anas bin Malik razi Allahu anhu do jootay le kar hamare paas bahar aaye jis mein do tasme lage huay thay . Sabit Banani ne kaha ke yeh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke jootay hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقُبَّةِ الْحَمْرَاءِ مِنْ أَدَمٍ:
Laal chamde ka khema banana.
Show diacritics
Hadith Number: 5859
حدثنا محمد بن عرعرة، قال: حدثني عمر بن ابي زائدة، عن عون بن ابي جحيفة، عن ابيه، قال:" اتيت النبي صلى الله عليه وسلم وهو في قبة حمراء من ادم، ورايت بلالا اخذ وضوء النبي صلى الله عليه وسلم والناس يبتدرون الوضوء، فمن اصاب منه شيئا تمسح به ومن لم يصب منه شيئا اخذ من بلل يد صاحبه".
Hum se Muhammad bin Ar-ara ne bayan kiya , kaha ke mujh se Umar bin Abi Zaidah ne bayan kiya , in se Aun bin Abi Juhaifah ne aur in se un ke walid Wahb bin Abdullah Sawai razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main (Hajjat-ul-Wada ke mauqa par) khidmat e Nabwi mein hazir hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam chamre ke ek surkh khaima mein tashreef rakkhe huay thay aur main ne Bilal razi Allahu anhu ko dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke wuzu ka pani liye huay hain aur sahabah ikraam razi Allahu anhum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke wuzu ke pani ko le laine mein ek doosre ke aage barhne ki koshish kar rahe hain . Agar kisi ko kuch pani mil jata hai to woh usay apne badan par laga leta hai aur jise kuch nahi milta woh apne saathi ke hath ki tari hi ko lagaane ki koshish karta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5860
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني انس بن مالك. ح وقال الليث، حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" ارسل النبي صلى الله عليه وسلم إلى الانصار وجمعهم في قبة من ادم".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di (doosri sanad) aur Layth bin Saad ne kaha ke mujh se Yunus ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne kaha ke mujh se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ansar ko bulwaya aur unhein laal chamre ke ek khaima mein jama kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة