الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ ثِيَابِ الْخُضْرِ:
Sabz rang ke kapre pehnna.
Hadith Number: 5825
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا عبد الوهاب، اخبرنا ايوب، عن عكرمة" ان رفاعة طلق امراته فتزوجها عبد الرحمن بن الزبير القرظي، قالت عائشة: وعليها خمار اخضر فشكت إليها وارتها خضرة بجلدها، فلما جاء رسول الله صلى الله عليه وسلم والنساء ينصر بعضهن بعضا، قالت عائشة: ما رايت مثل ما يلقى المؤمنات لجلدها اشد خضرة من ثوبها، قال: وسمع انها قد اتت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجاء ومعه ابنان له من غيرها، قالت: والله ما لي إليه من ذنب إلا ان ما معه ليس باغنى عني من هذه، واخذت هدبة من ثوبها، فقال: كذبت والله يا رسول الله إني لانفضها نفض الاديم، ولكنها ناشز تريد رفاعة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: فإن كان ذلك لم تحلي له او لم تصلحي له، حتى يذوق من عسيلتك، قال: وابصر معه ابنين له، فقال بنوك هؤلاء؟ قال: نعم، قال: هذا الذي تزعمين ما تزعمين فوالله لهم اشبه به من الغراب بالغراب.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahhab bin Abd-ul-Majeed Saqafi ne, kaha hum ko Ayub Sakhtiyani ne khabar di, unhein Ikrimah ne aur unhein Rifaa razi Allahu anhu ne ke unhon ne apni biwi ko talaq de di thi. Phir un se Abd-ur-Rahman bin Zubayr Qurazi razi Allahu anhu ne nikah kar liya tha. Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke woh khatoon sabz oarhni oarhay huay thien, unhon ne Aisha razi Allahu anha se (apne shohar ki) shikayat ki aur apne jism par sabz nishanat (chot ke) dikhaye phir jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye to (jaisa ke aadat hai) Ikrimah ne bayan kiya ke auratein aapas mein ek doosre ki madad karti hain. Aisha razi Allahu anha ne (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se) kaha ke kisi iman wali aurat ka main ne is se zyada bura haal nahi dekha in ka jism in ke kapre se bhi zyada bura ho gaya hai. Bayan kiya ke in ke shohar ne bhi sun liya tha ke (in ki) biwi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas gayi hai chunanche woh bhi aa gaye aur in ke saath in ke do bache in se pehli biwi ke thay. In ki biwi ne kaha: Allah ki qasam! Mujhe in se koi aur shikayat nahi albatta in ke saath is se zyada aur kuch nahi jis se mera kuch nahi hota. Unhon ne apne kapre ka pallu pakar kar isharah kiya (yani in ke shohar kamzor hain) is par in ke shohar ne kaha: ya Rasool Allah! Wallah yeh jhoot bolti hai main to is ko (jima ke waqt) chamre ki tarah adhairh kar rakh deta hoon magar yeh shareer hai, yeh mujhe pasand nahi karti aur Rifaa ke yahan dobara jaana chahti hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke agar yeh baat hai to tumhare liye woh (Rifaa) is waqt tak halal nahi ho ga jab tak yeh (Abd-ur-Rahman doosre shohar) tumhara maza na chakh lein. Bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Abd-ur-Rahman ke saath do bache bhi dekhe to daryaft farmaya kya yeh tumhare bache hain? Unhon ne arz kiya ji haan. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: achha, is wajah se tum yeh baatein sochti ho. Allah ki qasam yeh bache in se itne hi mushaba hain jitna ke kauwa kauway se mushaba hota hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الثِّيَابِ الْبِيضِ:
Safeed kapre pehnna.
Hadith Number: 5826
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، اخبرنا محمد بن بشر، حدثنا مسعر، عن سعد بن إبراهيم، عن ابيه، عن سعد، قال:" رايت بشمال النبي صلى الله عليه وسلم ويمينه رجلين عليهما ثياب بيض يوم احد ما رايتهما قبل ولا بعد".
Hum se Ishaq bin Ibrahim Hanzali ne bayan kiya, kaha hum ko Muhammad bin Bishr ne khabar di, kaha hum se Mamar ne bayan kiya, in se Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Jang e Uhud ke mauqa par main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke dayein bayein do aadmiyon ko (jo farishte thay) dekha woh sufaid kapre pehne huay thay main ne unhein na is se pehle dekha aur na is ke baad kabhi dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5827
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، عن الحسين، عن عبد الله بن بريدة، عن يحيى بن يعمر، حدثه، ان ابا الاسود الدؤلي، حدثه ان ابا ذر رضي الله عنه حدثه، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم وعليه ثوب ابيض، وهو نائم، ثم اتيته وقد استيقظ، فقال:" ما من عبد قال لا إله إلا الله، ثم مات على ذلك، إلا دخل الجنة"، قلت: وإن زنى وإن سرق، قال:" وإن زنى وإن سرق"، قلت: وإن زنى وإن سرق، قال:" وإن زنى وإن سرق"، قلت: وإن زنى وإن سرق، قال:" وإن زنى وإن سرق"، على رغم انف ابي ذر، وكان ابو ذر إذا حدث بهذا، قال: وإن رغم انف ابي ذر، قال ابو عبد الله: هذا عند الموت او قبله، إذا تاب وندم، وقال: لا إله إلا الله غفر له.
Hum se Abu Mamar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya, in se Husain ne, in se Abdullah bin Buraydah ne, in se Yahya bin Yamar ne bayan kiya, in se Abu Aswad Dili ne bayan kiya aur in se Abu Zarr razi Allahu anhu ne bayan kiya, unhon ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap ke jism e mubarak par sufaid kapra tha aur Aap so rahe thay phir dobara hazir hua to Aap bedar ho chuke thay phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis banda ne bhi kalma «la ilaha illallah» ”Allah ke siwa koi mabood nahi“ ko maan liya aur phir isi par woh mara to jannat mein jaye ga. Main ne arz kiya chahe us ne zina kiya ho, chahe us ne chori ki ho, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke chahe us ne zina kiya ho, chahe us ne chori ki ho, main ne phir arz kiya chahe us ne zina kiya ho, chahe us ne chori ki ho. Farmaya chahe us ne zina kiya ho, chahe us ne chori ki ho. Main ne (hairat ki wajah se phir) arz kiya chahe us ne zina kiya ho ya us ne chori ki ho. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya chahe us ne zina kiya ho chahe us ne chori ki ho. Abu Zarr ki naak khak-aalood ho. Abu Zarr razi Allahu anhu baad mein jab bhi yeh hadees bayan karte to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke alfaz Abu Zarr ke «ala raghmi» ( «wa in raghima anfu Abi Zarrin») zaroor bayan karte. Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha yeh surat ke (sirf kalma se jannat mein dakhil ho ga) yeh is waqt ho gi jab maut ke waqt ya is se pehle (gunahon se) tauba ki aur kaha ke «la ilaha illallah» is ki maghfirat ho jaye gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لُبْسِ الْحَرِيرِ، وَافْتِرَاشِهِ لِلرِّجَالِ، وَقَدْرِ مَا يَجُوزُ مِنْهُ:
Resham pehnna aur mardon ka isay apne liye bichhaana aur kis had tak is ka istemaal jaiz hai.
Hadith Number: 5828
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا قتادة، قال: سمعت ابا عثمان النهدي: اتانا كتاب عمر ونحن مع عتبة بن فرقد باذربيجان" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الحرير، إلا هكذا، واشار بإصبعيه اللتين تليان الإبهام"، قال: فيما علمنا انه يعني الاعلام.
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, kaha hum se Qatadah ne, kaha ke main ne Abu Usman Nahdi se suna ke hamare paas Umar razi Allahu anhu ka maktoob (khat) aaya hum is waqt Utbah bin Farqad razi Allahu anhu ke saath Azar Baijaan mein thay (is mein likha tha) ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne resham ke istemal se (mardon ko) mana kiya hai siwa itne ke aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne angoothay ke qareeb ki apni donon ungliyon ke ishare se is ki miqdar batayi. Abu Usman Nahdi ne bayan kiya ke hamari samajh mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki murad is se (kapre waghaira resham ke) phool botay banane se thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5829
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا عاصم، عن ابي عثمان، قال: كتب إلينا عمر ونحن باذربيجان،" ان النبي صلى الله عليه وسلم نهى عن لبس الحرير إلا هكذا، وصف لنا النبي صلى الله عليه وسلم إصبعيه ورفع زهير الوسطى والسبابة".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhayr ne bayan kiya, in se Aasim ne bayan kiya, in se Abu Usman ne bayan kiya ke hamain Umar razi Allahu anhu ne likha is waqt hum Azar Baijaan mein thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne resham pehnne se mana farmaya tha siwa itne ke aur is ki wazahat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do ungliyon ke ishare se ki thi. Zuhayr (rawi e hadees) ne beech ki aur shahadat ki ungliyaan utha kar bataya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5830
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن التيمي، عن ابي عثمان، قال: كنا مع عتبة فكتب إليه عمر رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا يلبس الحرير في الدنيا إلا لم يلبس في الآخرة منه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Taymi ne bayan kiya aur in se Abu Usman ne bayan kiya ke hum Utbah razi Allahu anhu ke saath thay. Umar razi Allahu anhu ne unhein likha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”duniya mein resham jo shakhs bhi pehne ga usay aakhirat mein nahi pehnaya jaye ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5830M
حدثنا الحسن بن عمر، حدثنا معتمر، حدثنا ابي، حدثنا ابو عثمان، واشار ابو عثمان بإصبعيه المسبحة والوسطى.
Hum se Hasan bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Mamar ne, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, in se Abu Usman ne bayan kiya aur Abu Usman ne apni do ungliyon, shahadat aur darmiyani ungliyon se isharah kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5831
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن الحكم، عن ابن ابي ليلى، قال: كان حذيفة بالمداين فاستسقى، فاتاه دهقان بماء في إناء من فضة فرماه به، وقال: إني لم ارمه إلا اني نهيته فلم ينته، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الذهب والفضة والحرير والديباج هي لهم في الدنيا ولكم في الآخرة".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Hakam ne, in se Ibn Abi Layla ne bayan kiya ke Huzayfah razi Allahu anhu Madain mein thay. Unhon ne pani maanga. Ek dehati chaandi ke bartan mein pani laya. Unhon ne usay phenk diya aur kaha ke main ne sirf usay is liye phenka hai ke main is shakhs ko mana kar chuka hoon (ke chaandi ke bartan mein mujhe khana aur pani na diya karo) lekin woh nahi mana. Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke sona, chaandi, resham aur deeba in (kuffar) ke liye duniya mein hai aur tumhare (Musalmanon) ke liye aakhirat mein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5832
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، قال: سمعت انس بن مالك، قال شعبة: فقلت: اعن النبي صلى الله عليه وسلم؟ فقال شديدا: عن النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" من لبس الحرير في الدنيا فلن يلبسه في الآخرة"
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Suhayb ne bayan kiya, kaha ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, Shubah ne bayan kiya ke is par main ne poochha kya yeh riwayat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se hai? Abdul Aziz ne bayan kiya ke qat'an Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se marwi hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo mard reshmi libas duniya mein pehne ga woh aakhirat mein usay hargiz nahi pehan sake ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5833
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، قال: سمعت ابن الزبير، يخطب، يقول: قال محمد صلى الله عليه وسلم" من لبس الحرير في الدنيا لم يلبسه في الآخرة".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Sabit ne bayan kiya ke main ne Ibn Zubayr razi Allahu anhu se suna, unhon ne khutba dete huay kaha ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke jis mard ne duniya mein resham pehna woh aakhirat mein usay nahi pehan sake ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة