الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لُبْسِ الْحَرِيرِ، وَافْتِرَاشِهِ لِلرِّجَالِ، وَقَدْرِ مَا يَجُوزُ مِنْهُ:
Resham pehnna aur mardon ka isay apne liye bichhaana aur kis had tak is ka istemaal jaiz hai.
Hadith Number: 5834
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة، عن ابي ذبيان خليفة بن كعب، قال: سمعت ابن الزبير، يقول: سمعت عمر، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من لبس الحرير في الدنيا لم يلبسه في الآخرة"، وقال ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، عن يزيد، قالت معاذة: اخبرتني ام عمرو بنت عبد الله، سمعت عبد الله بن الزبير، سمع عمر، سمع النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Ali bin Jadd ne bayan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Abu Zhahban Khaleefa bin Kabb ne, kaha ke main ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma se suna, kaha ke main ne Umar razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis mard ne duniya mein resham pehna woh usay aakhirat mein nahi pehan sake ga. Aur hum se Abu Mamar ne bayan kiya, in se Abd-ul-Waris ne bayan kiya, in se Yazid ne ke Muaz ne bayan kiya ke mujhe Umm Amr bint Abdullah ne khabar di, unhon ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma se suna, unhon ne Umar razi Allahu anhu se suna aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5835
حدثني محمد بن بشار، حدثنا عثمان بن عمر، حدثنا علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير، عن عمران بن حطان، قال: سالت عائشة عن الحرير، فقالت: ائت ابن عباس فسله، قال: فسالته، فقال: سل ابن عمر، قال: فسالت ابن عمر، فقال اخبرني ابو حفص، يعني عمر بن الخطاب، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إنما يلبس الحرير في الدنيا من لا خلاق له في الآخرة"، فقلت: صدق، وما كذب ابو حفص على رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال عبد الله بن رجاء: حدثنا حرب عن يحيى، حدثني عمران، وقص الحديث.
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Usman bin Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ali Mubarak ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Abi Kaseer ne bayan kiya, in se Imran bin Hittan ne bayan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se resham ke mutalliq poochha to unhon ne batlaya ke Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ke paas jao aur in se poochho. Bayan kiya ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se poochha to unhon ne bayan kiya ke mujhe Abu Hafs yani Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke duniya mein resham to wahi mard pehne ga jis ka aakhirat mein koi hissa na ho. Main ne is par kaha ke sach kaha aur Abu Hafs Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki taraf koi jhooti baat nisbat nahi kar sakte aur Abdullah bin Rajaa ne bayan kiya ke hum se Jareer ne bayan kiya, in se Yahya ne aur in se Imran ne aur poori hadees bayan ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَسِّ الْحَرِيرِ مِنْ غَيْرِ لُبْسٍ:
Bighair pehne resham sirf chhoona jaiz hai.
Hadith Number: Q5836
ويروى فيه عن الزبيدي عن الزهري عن انس عن النبي صلى الله عليه وسلم
Aur is baare mein Zubaydi se riwayat hai ke in se Zuhri ne bayan kiya, in se Anas razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo oopar mazkoor hai.
Hadith Number: 5836
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال: اهدي للنبي صلى الله عليه وسلم ثوب حرير، فجعلنا نلمسه ونتعجب منه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اتعجبون من هذا؟" قلنا، نعم، قال:" مناديل سعد بن معاذ في الجنة خير من هذا".
Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya, in se Israeel ne bayan kiya, in se Abu Ishaq ne bayan kiya aur in se Bara razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko resham ka ek kapra hadiya mein pesh hua to hum usay chhoone lage aur is ki (narmi o mulaimat par) hairat-zada ho gaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tumhein is par hairat hai. Hum ne arz kiya ji haan farmaya, jannat mein Saad bin Maaz ke roomal is se bhi achhe hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ افْتِرَاشِ الْحَرِيرِ:
Mard ke liye resham ka kapra bator farsh bichhaana mana hai.
Hadith Number: Q5837
وقال عبيدة هو كلبسه
Ubaidah ne kaha ke yeh bichhana bhi pehnne jaisa hai.
Hadith Number: 5837
حدثنا علي، حدثنا وهب بن جرير، حدثنا ابي، قال: سمعت ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابن ابي ليلى، عن حذيفة رضي الله عنه، قال:" نهانا النبي صلى الله عليه وسلم ان نشرب في آنية الذهب والفضة، وان ناكل فيها، وعن لبس الحرير والديباج وان نجلس عليه".
`Hum se Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Wahb bin Jareer ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se un ke walid ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Ibn Abi Najeeh se suna, unhon ne Mujahid se, unhon ne Ibn Abi Laila se aur un se Huzaifa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein sone aur chandi ke bartan mein peene aur khane se mana farmaya tha aur resham aur deebaj pehenne aur is par baithne se mana farmaya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لُبْسِ الْقَسِّيِّ:
Misr ka reshmi kapra pehnna mard ke liye kaisa hai.
Hadith Number: Q5838
وقال عاصم، عن ابي بردة، قال: قلت لعلي: ما القسية؟ قال:" ثياب اتتنا من الشام او من مصر مضلعة فيها حرير، وفيها امثال الاترنج والميثرة، كانت النساء تصنعه لبعولتهن مثل القطائف يصفرنها" وقال جرير، عن يزيد، في حديثه القسية" ثياب مضلعة يجاء بها من مصر فيها الحرير والميثرة جلود السباع" قال ابو عبد الله: عاصم اكثر واصح في الميثرة.
Aasim ibn Kulayb ne bayan kiya ke in se Abu Burdah ne bayan kiya ke main ne Ali razi Allahu anhu se poochha «qasi-yu» kya cheez hai? Batlaya ke yeh kapra tha jo hamare yahan (Hijaz mein) Sham ya Misr se aata tha is par chouri reshmi dhariyaan pari hoti thien aur is par turanj jaise naqsh o nigaar bane huay thay aur «maysarah» zain-posh woh kapra kehlata tha jise auratein resham se apne shoharوں ke liye banati thien. Yeh jhalar-dar chadar ki tarah hoti thi woh usay zard rang se rang deti thien jaise oarhne ke roomal hote hain aur Jareer ne bayan kiya ke in se Zayd ne bayan kiya ke «qasiyyah» woh chokhane kapre hote thay jo Misr se mangwaye jaate thay aur is mein resham mila hua hota tha aur «maysarah» darindon ke chamre ke zain-posh. Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke «maysarah» ki tafseer mein Aasim ki riwayat kasrat e turuq aur sehat ke aitbar se barhi hui hai.
Hadith Number: 5838
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا سفيان، عن اشعث بن ابي الشعثاء، حدثنا معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء بن عازب، قال:" نهانا النبي صلى الله عليه وسلم عن المياثر الحمر والقسي".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, unhein Ash-as bin Abi Shas-sa ne, in se Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin ne bayan kiya aur in se Ibn Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain surkh «maysarah» aur «qasi-yu» ke pehnne se mana farmaya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُرَخَّصُ لِلرِّجَالِ مِنَ الْحَرِيرِ لِلْحِكَّةِ:
Hadith Number: 5839
ع) حدثني محمد، اخبرنا وكيع، اخبرنا شعبة، عن قتادة، عن انس، قال:" رخص النبي صلى الله عليه وسلم للزبير، وعبد الرحمن في لبس الحرير لحكة بهما".
Hum se Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Zubayr aur Abdur Rahman razi Allahu anhuma ko kyunke unhein kharish ho gayi thi, resham pehnne ki ijazat di thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَرِيرِ لِلنِّسَاءِ:
Resham auraton ke liye jaiz hai.
Hadith Number: 5840
ع) حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة. ح وحدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عبد الملك بن ميسرة، عن زيد بن وهب، عن علي بن ابي طالب رضي الله عنه، قال:" كساني النبي صلى الله عليه وسلم حلة سيراء، فخرجت فيها فرايت الغضب في وجهه فشققتها بين نسائي".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya (doosri sanad) aur Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abd-ul-Malik bin Maysarah ne aur in se Zayd bin Wahb ne ke Ali razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe reshmi dhariyon wala ek jora, hulla inayat farmaya. Main usay pehan kar nikla to main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak par ghussa ke aasaar dekhe. Chunanche main ne is ke tukray kar ke apni azeez auraton mein baant diye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة