الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْحَرِيرِ لِلنِّسَاءِ:
Resham auraton ke liye jaiz hai.
Hadith Number: 5841
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثني جويرية، عن نافع، عن عبد الله، ان عمر رضي الله عنه، راى حلة سيراء تباع، فقال: يا رسول الله لو ابتعتها تلبسها للوفد إذا اتوك والجمعة، قال:" إنما يلبس هذه من لا خلاق له" وان النبي صلى الله عليه وسلم بعث بعد ذلك إلى عمر حلة سيراء حرير كساها إياه، فقال عمر: كسوتنيها، وقد سمعتك تقول فيها ما قلت، فقال:" إنما بعثت إليك لتبيعها او تكسوها".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke mujh se Juwayriyah ne bayan kiya, in se Nafi ne, in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Umar razi Allahu anhu ne reshmi dhariyon wala ek jora farokht hote dekha to arz kiya ke ya Rasool Allah! Behtar hai ke Aap usay khareed lein aur wufood se mulaqat ke waqt aur Jumu'ah ke din usay zeb-tan kiya karein. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke usay woh pehnta hai jis ka (aakhirat mein) koi hissa nahi hota. Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khud Umar razi Allahu anhu ke paas resham ki dhariyon wala ek jora hulla bheja, hadiya ke taur par. Umar razi Allahu anhu ne arz kiya Aap ne mujhe yeh jora hulla inayat farmaya hai haalan ke main khud Aap se is ke baare mein woh baat sun chuka hoon jo Aap ne farmayi thi. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne tumhein yeh kapra is liye diya hai ke usay bech do ya (auraton waghaira mein se) kisi ko pehna do.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5842
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني انس بن مالك، انه" راى على ام كلثوم عليها السلام، بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم برد حرير سيراء".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, in se Zuhri ne bayan kiya, unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki sahibzadi Umm Kulsoom razi Allahu anha ko zard dhari-dar reshmi jora pehne dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَتَجَوَّزُ مِنَ اللِّبَاسِ وَالْبُسْطِ:
Is bayaan mein ke Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam kisi libaas ya farsh ke paaband na the jaisa mil jata usi par qanaat karte.
Hadith Number: 5843
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن يحيى بن سعيد، عن عبيد بن حنين، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" لبثت سنة وانا اريد ان اسال عمر عن المراتين اللتين تظاهرتا على النبي صلى الله عليه وسلم فجعلت اهابه، فنزل يوما منزلا فدخل الاراك فلما خرج سالته، فقال: عائشة وحفصة، ثم قال: كنا في الجاهلية لا نعد النساء شيئا، فلما جاء الإسلام وذكرهن الله، راينا لهن بذلك علينا حقا من غير ان ندخلهن في شيء من امورنا، وكان بيني وبين امراتي كلام فاغلظت لي، فقلت لها: وإنك لهناك قالت: تقول: هذا لي وابنتك تؤذي النبي صلى الله عليه وسلم، فاتيت حفصة فقلت: لها إني احذرك ان تعصي الله ورسوله وتقدمت إليها في اذاه، فاتيت ام سلمة، فقلت لها، فقالت: اعجب منك يا عمر، قد دخلت في امورنا فلم يبق إلا ان تدخل بين رسول الله صلى الله عليه وسلم وازواجه فرددت، وكان رجل من الانصار إذا غاب عن رسول الله صلى الله عليه وسلم وشهدته اتيته بما يكون، وإذا غبت عن رسول الله صلى الله عليه وسلم وشهد اتاني بما يكون من رسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان من حول رسول الله صلى الله عليه وسلم قد استقام له فلم يبق إلا ملك غسان بالشام، كنا نخاف ان ياتينا فما شعرت إلا بالانصاري وهو يقول: إنه قد حدث امر قلت له: وما هو اجاء الغساني؟ قال: اعظم من ذاك، طلق رسول الله صلى الله عليه وسلم نساءه، فجئت فإذا البكاء من حجرهن كلها وإذا النبي صلى الله عليه وسلم قد صعد في مشربة له، وعلى باب المشربة وصيف، فاتيته فقلت: استاذن لي، فاذن لي، فدخلت فإذا النبي صلى الله عليه وسلم على حصير قد اثر في جنبه، وتحت راسه مرفقة من ادم حشوها ليف، وإذا اهب معلقة وقرظ، فذكرت الذي قلت لحفصة، وام سلمة والذي ردت علي ام سلمة، فضحك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلبث تسعا وعشرين ليلة ثم نزل".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne , in se Yahya bin Saeed ne , in se Ubaid bin Hunain ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main Umar razi Allahu anhu se un auraton ke baare mein jinon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke muamla mein ittafaq kar liya tha , poochne ka irada karta raha lekin un ka raub samne aa jata tha . Ek din (Makkah ke rasta mein) ek manzil par qiyam kiya aur peelu ke darakhton mein (woh qaza e hajat ke liye) tashreef le gaye . Jab qaza e hajat se farigh ho kar wapas tashreef laaye to main ne poochha unhon ne batlaya ke Aisha aur Hafsa razi Allahu anhuma hain phir kaha ke jahiliyat mein hum auraton ko koi haisiyat nahi dete thay . Jab Islam aaya aur Allah Ta'ala ne in ka zikr kiya (aur in ke huqooq) mardon par bataye tab hum ne jaana ke in ke bhi hum par kuch huqooq hain lekin ab bhi hum apne muamlat mein in ka dakheel banna pasand nahi karte thay . Mere aur meri biwi mein kuch guftagu ho gayi aur us ne teiz o tund jawab mujhe diya to main ne is se kaha achha ab naubat yahan tak pahunch gayi . Is ne kaha tum mujhe yeh kehte ho aur tumhari beti Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko bhi takleef pahunchati hai . Main (apni beti Umm al-Momineen) Hafsa ke paas aaya aur is se kaha main tujhe tanbeeh karta hoon ke Allah aur is ke Rasool ki nafarmani kare . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko takleef pahunchane ke muamla mein sab se pehle main hi Hafsa ke yahan gaya phir main Umm Salamah ke paas aaya aur in se bhi yahi baat kahi lekin unhon ne kaha ke hairat hai tum par Umar! Tum hamare muamlat mein dakheel ho gaye ho . Sirf Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam aur Aap ki azwaj ke muamlat mein dakhal dena baqi tha . (so ab woh bhi shuru kar diya) unhon ne meri baat radd kar di . Qabila Ansar ke ek sahabi thay jab woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki suhbat mein maujood na hote aur main hazir hota to tamam khabrein in se aa kar bayan karta tha aur jab main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki suhbat se ghair hazir hota aur woh maujood hote to woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke mutalliq tamam khabrein mujhe aa kar sunate thay . Aap ke charon taraf jitne (badshah waghaira) thay in sab se Aap ke talluqat theek thay . Sirf Sham ke mulk Ghassan ka hamain khauf rehta tha ke woh kahin ham par hamla na kar de . Main ne jo hosh o hawas durust kiye to wahi Ansari sahabi thay aur keh rahe thay ke ek hadsa ho gaya . Main ne kaha kya baat hui . Kya Ghassan charh aaya hai . Unhon ne kaha ke is se bhi bara hadsa ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apni azwaj ko talaq de di . Main jab (Madinah) hazir hua to tamam azwaj ke hujron se rone ki aawaz aa rahi thi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne bala-khana par chale gaye thay aur bala-khana ke darwaze par ek nau-jawan pehre-dar maujood tha main ne is ke paas pahunch kar is se kaha ke mere liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se andar hazir hone ki ijazat maang lo phir main andar gaya to Aap ek chitayi par tashreef rakhte thay jis ke nishanat Aap ke pehlu par pare huay thay aur Aap ke sar ke neeche ek chhota sa chamre ka takiya tha . Jis mein khajoor ki chhaal bhari hui thi . Chand kachi khaalein latak rahi thien aur babool ke patte thay . Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se apni in baaton ka zikr kiya jo main ne Hafsa aur Umm Salamah se kahi thien aur woh bhi jo Umm Salamah ne meri baat radd karte huay kaha tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is par muskura diye . Aap ne is bala-khana mein untees din tak qiyam kiya phir Aap wahan se neeche utar aaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5844
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، اخبرتني هند بنت الحارث، عن ام سلمة، قالت: استيقظ النبي صلى الله عليه وسلم من الليل وهو يقول:" لا إله إلا الله، ماذا انزل الليلة من الفتنة، ماذا انزل من الخزائن، من يوقظ صواحب الحجرات، كم من كاسية في الدنيا عارية يوم القيامة"، قال الزهري: وكانت هند لها ازرار في كميها بين اصابعها.
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Hisham bin Yusuf San-aani ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Mamar bin Rashid ne khabar di , unhein Zuhri ne khabar di , unhein Hind bint Haris ne khabar di aur in se Umm Salamah razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam raat ke waqt bedar huay aur kaha Allah ke siwa koi mabood nahi , kaisi kaisi balaein is raat mein nazil ho rahi hain aur kya kya rahmatein is ke khazanon se utar rahi hain . Koi hai jo in hujra waliyon ko bedar kar de . Dekho bahut si duniya mein pehnne oarhne waliyaan aakhirat mein nangi hon gi . Zuhri ne bayan kiya ke Hind apni aastinon mein ungliyon ke darmiyan ghundiyaan lagati thien , taake sirf ungliyaan khulein is se aage na khule .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُدْعَى لِمَنْ لَبِسَ ثَوْبًا جَدِيدًا:
Jo shakhs naya kapra pehne usay kya dua di jaaye.
Hadith Number: 5845
حدثنا ابو الوليد، حدثنا إسحاق بن سعيد بن عمرو بن سعيد بن العاص، قال: حدثني ابي، قال: حدثتني ام خالد بنت خالد، قالت: اتي رسول الله صلى الله عليه وسلم بثياب فيها خميصة سوداء، قال:" من ترون نكسوها هذه الخميصة" فاسكت القوم، قال:" ائتوني بام خالد"، فاتي بي النبي صلى الله عليه وسلم فالبسنيها بيده، وقال:" ابلي واخلقي" مرتين، فجعل ينظر إلى علم الخميصة ويشير بيده إلي، ويقول:" يا ام خالد هذا سنا" والسنا بلسان الحبشية: الحسن، قال إسحاق: حدثتني امراة من اهلي انها راته على ام خالد.
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Ishaq bin Saeed bin Amr bin Saeed bin Aas ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya , kaha ke mujh se Umm Khalid bint Khalid razi Allahu anha ne bayan kiya , unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas kuch kapre aaye jin mein ek kaali chadar bhi thi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhara kya khayal hai , kisay yeh chadar di jaye ? Sahabah ikraam razi Allahu anhum khamosh rahe phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Umm Khalid ko bula lao . Chunanche mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein laya gaya aur mujhe woh chadar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne hath se inayat farmayi aur farmaya der tak jeeti raho , do martaba Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Phir Aap is chadar ke naqsh o nigaar ko dekhne lage aur apne hath se meri taraf isharah kar ke farmaya Umm Khalid! «sana. wa-s-sana» yeh Habshi zaban ka lafz hai yani wah kya zeb deti hai . Ishaq bin Saeed ne bayan kiya ke mujh se mere ghar ki ek aurat ne bayan kiya kaha ke unhon ne woh chadar Umm Khalid razi Allahu anha ke paas dekhi thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّزَعْفُرِ لِلرِّجَالِ:
Mardon ke liye zafraan ke rang ka istemaal mana hai (yani badan ya kapre ko zafraan se rangna).
Hadith Number: 5846
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الوارث، عن عبد العزيز، عن انس، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يتزعفر الرجل".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Waris bin Saeed ne bayan kiya , in se Abdul Aziz ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is se mana farmaya ke koi mard zafran ke rang ka istemal kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الثَّوْبِ الْمُزَعْفَرِ:
Zafraan se ranga hua kapra pehnna mardon ke liye sakht mana hai.
Hadith Number: 5847
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يلبس المحرم ثوبا مصبوغا بورس او بزعفران".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , in se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mana kiya tha ke koi muhram wars ya zafran se ranga hua kapra pehne .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الثَّوْبِ الأَحْمَرِ:
Surkh kapra pehnne ke bayaan mein.
Hadith Number: 5848
ع) حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، سمع البراء رضي الله عنه، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم مربوعا، وقد رايته في حلة حمراء ما رايت شيئا احسن منه".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Abu Ishaq ne aur unhon ne Bara razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam miyana-qad thay aur main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko surkh joray mein dekha Aap se zyada khoobsurat koi cheez main ne nahi dekhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمِيثَرَةِ الْحَمْرَاءِ:
Surkh zeen posh ka kya hukm hai.
Hadith Number: 5849
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن اشعث، عن معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء رضي الله عنه، قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم بسبع: عيادة المريض، واتباع الجنائز، وتشميت العاطس، ونهانا عن سبع: عن لبس الحرير، والديباج، والقسي، والإستبرق، والمياثر الحمر".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Ash-as ne , in se Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin ne aur in se Bara razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hamain Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne saat cheezon ka hukm diya tha . Beemar ki iyadat ka , janaza ke peeche chalne ka , chheinkne wale ka jawab (yarhamukallah se) dene ka aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain resham , deeba , qasi , istabraq aur surkh zain-poshon ke istemal se bhi mana farmaya tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النِّعَالِ السِّبْتِيَّةِ وَغَيْرِهَا:
Saaf chamde ki jooti pehnna.
Hadith Number: 5850
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن سعيد ابي مسلمة، قال: سالت انسا،" اكان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي في نعليه؟ قال: نعم".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Hammad ne bayan kiya , in se Saeed bin Abi Muslimah ne , unhon ne kaha main ne Anas razi Allahu anhu se poochha kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jootay pehne huay namaz parhte thay ? To unhon ne kaha ke haan .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة