الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْخَاتَمِ لِلنِّسَاءِ:
Auraton ke liye (sone ki) angoothi pehnna jaiz hai.
Hadith Number: 5880
حدثنا ابو عاصم، اخبرنا ابن جريج، اخبرنا الحسن بن مسلم، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، شهدت العيد مع النبي صلى الله عليه وسلم،" فصلى قبل الخطبة" قال ابو عبد الله، وزاد ابن وهب، عن ابن جريج،" فاتى النساء فجعلن يلقين الفتخ والخواتيم في ثوب بلال".
Hum se Abu Aasim Nabeel ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di, unhon ne kaha hum ko Hasan bin Muslim ne khabar di, unhein Taoos ne aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke main Eid-ul-Fitr ki namaz mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath maujood tha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khutba se pehle namaz parhayi aur Ibn Wahb ne Jurayj se yeh lafz barhaye ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam auraton ke majma ki taraf gaye (aur sadqa ki targheeb dilayi) to auratein Bilal razi Allahu anhu ke kapre mein chhalle-dar angoothiyaan daalne lagein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَلاَئِدِ وَالسِّخَابِ لِلنِّسَاءِ:
Zewar ke haar aur khushboo ya mushk ke haar auratein pehn sakti hain.
Hadith Number: Q5881
يعني قلادة من طيب وسك.
Yani khushboo aur mushk ka haar.
Hadith Number: 5881
حدثنا محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن عدي بن ثابت، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" خرج النبي صلى الله عليه وسلم يوم عيد فصلى ركعتين لم يصل قبل ولا بعد، ثم اتى النساء فامرهن بالصدقة، فجعلت المراة تصدق بخرصها وسخابها".
Hum se Muhammad bin Ar-ara ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Adi bin Sabit ne, in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Eid-ul-Fitr ke din (aabadi se bahar) gaye aur do rakat namaz parhayi Aap ne is se pehle aur is ke baad koi doosri nafl namaz nahi parhi phir Aap auraton ke majma ki taraf aaye aur unhein sadqa ka hukm farmaya. Chunanche auratein apni baaliyaan aur khushboo aur mushk ke haar sadqa mein dene lagein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِعَارَةِ الْقَلاَئِدِ:
Ek aurat ka kisi dusri aurat se haar aariyatan lena.
Hadith Number: 5882
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، حدثنا عبدة، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" هلكت قلادة لاسماء، فبعث النبي صلى الله عليه وسلم في طلبها رجالا، فحضرت الصلاة وليسوا على وضوء ولم يجدوا ماء، فصلوا وهم على غير وضوء، فذكروا ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم فانزل الله آية التيمم"، زاد ابن نمير، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة استعارت من اسماء.
Hum se Ishaq bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Abdah bin Sulayman ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Asmaa razi Allahu anha ka haar (jo Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne aariyat par liya tha) gum ho gaya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay talash karne ke liye chand sahabah ko bheja isi dauran mein namaz ka waqt ho gaya aur log bila wuzu (wuzu ke baghair) thay kyunke pani bhi maujood nahi tha, is liye sab ne bila wuzu namaz parhi phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ka zikr kiya to tayammum ki aayat nazil hui. Ibn Numayr ne yeh izafa kiya, in se Hisham ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke woh haar unhon ne Asmaa se aariyatan liya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقُرْطِ:
Auraton ke liye baaliyan pehnne ka bayaan.
Hadith Number: Q5883
وقال ابن عباس،" امرهن النبي صلى الله عليه وسلم بالصدقة، فرايتهن يهوين إلى آذانهن وحلوقهن"
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne auraton ko sadqa ka hukm farmaya to main ne dekha ke in ke hath apne kaanon aur halaq ki taraf barhne lage.
Hadith Number: 5883
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي، قال: سمعت سعيدا، عن ابن عباس رضي الله عنهما،" ان النبي صلى الله عليه وسلم صلى يوم العيد ركعتين لم يصل قبلها ولا بعدها، ثم اتى النساء ومعه بلال فامرهن بالصدقة، فجعلت المراة تلقي قرطها".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha ke mujhe Adi bin Sabit ne khabar di, kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna aur unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Eid ke din do rakatein parhayien na is ke pehle koi namaz parhi aur na is ke baad phir Aap auraton ki taraf tashreef laaye, Aap ke saath Bilal razi Allahu anhu thay. Aap ne auraton ko sadqa ka hukm farmaya to woh apni baaliyaan Bilal razi Allahu anhu ki jholi mein daalne lagein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السِّخَابِ لِلصِّبْيَانِ:
Bachon ke galon mein haar latkana jaiz hai.
Hadith Number: 5884
حدثني إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، اخبرنا يحيى بن آدم، حدثنا ورقاء بن عمر، عن عبيد الله بن ابي يزيد، عن نافع بن جبير، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: كنت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في سوق من اسواق المدينة فانصرف فانصرفت، فقال:" اين لكع ثلاثا، ادع الحسن بن علي"، فقام الحسن بن علي يمشي وفي عنقه السخاب، فقال النبي صلى الله عليه وسلم بيده هكذا، فقال الحسن: بيده هكذا فالتزمه، فقال:" اللهم إني احبه فاحبه واحب من يحبه"، وقال ابو هريرة، فما كان احد احب إلي من الحسن بن علي، بعد ما قال رسول الله صلى الله عليه وسلم ما قال.
Mujh se Ishaq bin Ibrahim Hanzali ne bayan kiya, kaha hum ko Yahya bin Adam ne khabar di, kaha hum se Warqa bin Amr ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abi Yazid ne, in se Nafi bin Jubayr ne bayan kiya, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Madinah ke bazaron mein se ek bazar mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath tha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wapas huay to main phir Aap ke saath wapas hua, phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya bacha kahan hai. Yeh Aap ne teen martaba farmaya. Hasan bin Ali ko bulao. Hasan bin Ali razi Allahu anhuma aa rahe thay aur in ki gardan mein (khushboo-dar loung waghaira ka) haar para tha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna hath is tarah phailaya ke (Aap Hasan razi Allahu anhu ko gale se lagaane ke liye) aur Hasan razi Allahu anhu ne bhi apna hath phailaya aur woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se lipat gaye. Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya, Ae Allah! Main is se mohabbat karta hoon tu bhi is se mohabbat kar aur in se bhi mohabbat kar jo is se mohabbat rakhein. Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke is irshad ke baad koi shakhs bhi Hasan bin Ali razi Allahu anhuma se zyada mujhe pyaara nahi tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُتَشَبِّهُونَ بِالنِّسَاءِ، وَالْمُتَشَبِّهَاتُ بِالرِّجَالِ:
Auraton ki chaal dhaal ikhtiyar karne wale mard aur mardon ki chaal dhaal ikhtiyar karne wali auratein ind-Allah mal'oon hain.
Hadith Number: 5885
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" لعن رسول الله صلى الله عليه وسلم المتشبهين من الرجال بالنساء، والمتشبهات من النساء بالرجال"، تابعه عمرو، اخبرنا شعبة.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, in se Shubah ne bayan kiya, in se Qatadah ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne in mardon par lanat bheji jo auraton jaisa chaal-chalan ikhtiyar karein aur in auraton par lanat bheji jo mardon jaisa chaal-chalan ikhtiyar karein. Ghundar ke saath is hadees ko Amr bin Marzooq ne bhi Shubah se riwayat kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِخْرَاجِ الْمُتَشَبِّهِينَ بِالنِّسَاءِ مِنَ الْبُيُوتِ:
Zanano aur hijron ko jo auraton ki chaal dhaal ikhtiyar karte hain ghar se nikaal dena.
Hadith Number: 5886
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" لعن النبي صلى الله عليه وسلم المخنثين من الرجال والمترجلات من النساء، وقال اخرجوهم من بيوتكم" قال: فاخرج النبي صلى الله عليه وسلم فلانا، واخرج عمر فلانا.
Hum se Maaz bin Fadala ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Dastawai ne, in se Yahya bin Abi Kaseer ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mukhan-nas mardon par aur mardon ki chaal-chalan ikhtiyar karne wali auraton par lanat bheji aur farmaya ke in zanana ban-ne wale mardon ko apne gharon se bahar nikaal do. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne falan heejray ko nikala tha aur Umar razi Allahu anhu ne falan heejray ko nikala tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5887
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا زهير، حدثنا هشام بن عروة، ان عروة، اخبره، ان زينب ابنة ابي سلمة، اخبرته، ان ام سلمة، اخبرتها، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان عندها وفي البيت مخنث، فقال لعبد الله اخي ام سلمة:" يا عبد الله إن فتح الله لكم غدا الطائف فإني ادلك على بنت غيلان، فإنها تقبل باربع وتدبر بثمان"، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يدخلن هؤلاء عليكن"، قال ابو عبد الله: تقبل باربع وتدبر، يعني اربع عكن بطنها فهي تقبل بهن، وقوله: وتدبر بثمان، يعني اطراف هذه العكن الاربع، لانها محيطة بالجنبين حتى لحقت، وإنما قال: بثمان، ولم يقل بثمانية وواحد الاطراف وهو ذكر، لانه لم يقل ثمانية اطراف".
Hum se Malik bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Zuhayr ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne, unhein Urwah ne khabar di, unhein Zaynub bint Abi Salamah razi Allahu anha ne khabar di aur unhein Umm Salamah razi Allahu anha ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in ke paas tashreef rakhte thay. Ghar mein ek mukhan-nas bhi tha, us ne Umm Salamah razi Allahu anhuma ke bhai Abdullah razi Allahu anhu se kaha Abdullah! Agar kal tumhein Taif par fatah haasil ho jaye to main tumhein bint Ghaylan (Badiya naami) ko dikhlaoon ga woh jab samne aati hai to (is ke motapay ki wajah se) char salwatein dikhayi deti hain aur jab peeth pheerti hai to aath salwatein dikhayi deti hain. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ab yeh shakhs tum logon ke paas na aaya kare. Abu Abdullah (Imam Bukhari rahmahullah) ne kaha ke samne se char salwaton ka matlab yeh hai ke (motay hone ki wajah se) is ke pait mein char salwatein pari hui hain aur jab woh samne aati hai to woh dikhayi deti hain aur aath salwaton se peeche phirti hai ka mafhoom hai (aage ki) in charon salwaton ke kinare kyunke yeh donon pehluon ko ghere huay hote hain aur phir woh mil jati hain aur hadees mein «bi-samani» ka lafz hai haalan ke az ro-e qaida e nahv ke «bi-samaniyatin» hona tha kyunke murad aath atraf yani kinare hain aur «al-atraf» , «taraf» ki jama hai aur «taraf» ka lafz muzakkar hai. Magar kyunke «al-atraf» ka lafz mazkoor na tha is liye «bi-samani» bhi kehna durust hua.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة