الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْفَرْقِ:
(Sar mein beechon beech baalon mein) maang nikaalna.
Show diacritics
Hadith Number: 5917
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا إبراهيم بن سعد، حدثنا ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يحب موافقة اهل الكتاب فيما لم يؤمر فيه، وكان اهل الكتاب يسدلون اشعارهم وكان المشركون يفرقون رءوسهم، فسدل النبي صلى الله عليه وسلم ناصيته ثم فرق بعد".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shihab ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abdullah ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko agar kisi masla mein koi hukm maloom na hota to Aap is mein Ahl e Kitab ke amal ko apnate thay. Ahl e Kitab apne sar ke baal latkaye rakhte aur mushrikeen maang nikaalte thay. Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi (Ahl e Kitab ki muwafiqat mein) pehle sar ke baal peshani ki taraf latkate lekin baad mein Aap beech mein se maang nikaalne lage.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5918
حدثنا ابو الوليد، وعبد الله بن رجاء، قالا: حدثنا شعبة، عن الحكم، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كاني انظر إلى وبيص الطيب في مفارق النبي صلى الله عليه وسلم وهو محرم" قال عبد الله: في مفرق النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abu al-Waleed aur Abdullah bin Rajaa ne bayan kiya, in donon ne kaha ke hum se Shubah ne bayan kiya, in se Hakam bin Utaybah ne, in se Ibrahim Nakhai ne, in se Aswad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya jaise main ab bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki maang mein ihram ki halat mein khushboo ki chamak dekh rahi hoon. Abdullah bin Rajaa ne (apni riwayat mein) «mafriq-in-nabiy-yi salla Allahu alaihi wasallam» (wahid ke seeghe ke saath) bayan kiya yani maangon ki jagah sirf lafz maang istemal kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الذَّوَائِبِ:
Gaisuon ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5919
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا الفضل بن عنبسة، اخبرنا هشيم، اخبرنا ابو بشر. ح وحدثنا قتيبة، حدثنا هشيم، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: بت ليلة عند ميمونة بنت الحارث خالتي، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم عندها في ليلتها، قال:" فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي من الليل، فقمت عن يساره، قال: فاخذ بذؤابتي فجعلني عن يمينه".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Fazl bin Anbasa ne bayan kiya, kaha hum ko Hushaim bin Basheer ne khabar di, kaha hum ko Abu al-Bishr Jafar ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur hum se Qutaiba bin Saeed ne kaha ke hum se Hushaim ne bayan kiya, in se Abu al-Bishr ne, in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne ek raat apni khala Umm al-Momineen Maymoonah bint Haris razi Allahu anha ke ghar guzari, Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke liye is raat unhi ke haan baari thi. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam raat ki namaz parhne kharay huay to main bhi Aap ke bayein taraf khara ho gaya. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mere sar ke baalon ki ek lat pakri aur mujhe apni dahni taraf kar diya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5919M
حدثنا عمرو بن محمد، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو بشر بهذا، وقال:" بذؤابتي او براسي".
Hum se Amr bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Hushaim ne bayan kiya, kaha hum ko Abu al-Bishr ne khabar di, phir yahi hadees naqal ki is mein yun hai ke meri choti pakar kar ya mera sar pakar kar Aap ne mujhe apne dahne jaanib kar diya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَزَعِ:
Qaza yani kuch sar mundana kuch baal rakhne ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5920
حدثني محمد، قال: اخبرني مخلد، قال: اخبرني ابن جريج، قال: اخبرني عبيد الله بن حفص، ان عمر بن نافع، اخبره عن نافع مولى عبد الله، انه سمع ابن عمر رضي الله عنهما، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ينهى عن القزع" قال عبيد الله: قلت: وما القزع؟ فاشار لنا عبيد الله قال:" إذا حلق الصبي وترك ها هنا شعرة وههنا وههنا، فاشار لنا عبيد الله إلى ناصيته وجانبي راسه" قيل لعبيد الله: فالجارية والغلام، قال: لا ادري، هكذا قال: الصبي، قال عبيد الله: وعاودته، فقال:" اما القصة والقفا للغلام فلا باس بهما، ولكن القزع ان يترك بناصيته شعر وليس في راسه غيره، وكذلك شق راسه هذا وهذا".
Mujh se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha ke mujhe Makhlad bin Yazid ne khabar di, kaha ke mujhe Ibn Jurayj ne khabar di, kaha ke mujhe Ubaidullah bin Hafs ne khabar di, unhein Amr bin Nafi ne khabar di, unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke ghulam Nafi ne ke unhon ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna, woh bayan karte thay ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Aap ne «qaza-un» se mana farmaya, Ubaidullah kehte hain ke main ne Nafi se poochha ke «qaza-un» kya hai? Phir Ubaidullah ne hamain isharah se bataya ke Nafi ne kaha ke bache ka sar mundate waqt kuch yahan chhorr de aur kuch baal wahan chhorr de. (to usay «qaza-un» kehte hain) usay Ubaidullah ne peshani aur sar ke donon kinaron ki taraf isharah kar ke hamain is ki surat batayi. Ubaidullah ne is ki tafseer yun bayan ki yani peshani par kuch baal chhorr diye jayein aur sar ke donon konon par kuch baal chhorr diye jayein. Phir Ubaidullah se poochha gaya ke is mein larka aur larki donon ka ek hi hukm hai? Farmaya ke mujhe maloom nahi. Nafi ne sirf larke ka lafz kaha thu. Ubaidullah ne bayan kiya ke main ne Amr bin Nafi se dobara is ke mutalliq poochha to unhon ne kaha ke larke ki kan-pati ya gud-di par choti ke baal agar chhorr diye jayein to koi haraj nahi hai lekin «qaza-un» yeh hai ke peshani par baal chhorr diye jayein aur baqi sab mundwaye jayein isi tarah sar ke is jaanib mein aur is jaanib mein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5921
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا عبد الله بن المثنى بن عبد الله بن انس بن مالك، حدثنا عبد الله بن دينار، عن ابن عمر،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن القزع".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdullah bin Musanna bin Abdullah bin Anas bin Malik ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne «qaza-un» se mana farmaya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَطْيِيبِ الْمَرْأَةِ زَوْجَهَا بِيَدَيْهَا:
Aurat ka apne haath se apne khaawand ko khushboo lagana.
Show diacritics
Hadith Number: 5922
حدثني احمد بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يحيى بن سعيد، اخبرنا عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" طيبت النبي صلى الله عليه وسلم بيدي لحرمه، وطيبته بمنى قبل ان يفيض".
Mujh se Ahmad bin Muhammad Marwazi ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Yahya bin Saeed Ansari ne khabar di, unhein Abd-ur-Rahman bin Qasim ne khabar di, unhein in ke walid Qasim bin Muhammad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Aap ke ihram mein rehne ke liye apne hath se khushboo lagayi main ne isi tarah (daswin tareekh ko) Mina mein tawaf e ziyarat karne se pehle apne hath se Aap ko khushboo lagayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الطِّيبِ فِي الرَّأْسِ وَاللِّحْيَةِ:
Sar aur daarhi mein khushboo lagana.
Show diacritics
Hadith Number: 5923
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا يحيى بن آدم، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن عبد الرحمن بن الاسود، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" كنت اطيب النبي صلى الله عليه وسلم باطيب ما يجد حتى اجد وبيص الطيب في راسه ولحيته".
Hum se Ishaq bin Nadr ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Adam ne bayan kiya, kaha hum se Israeel ne bayan kiya, in se Abu Ishaq ne, unhein Abd-ur-Rahman bin Aswad ne, unhein in ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sab se umdah khushboo lagaya karti thi, yahan tak ke khushboo ki chamak main Aap ke sar aur Aap ki darhi mein dekhti thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِمْتِشَاطِ:
Kanghi karna.
Show diacritics
Hadith Number: 5924
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن سهل بن سعد، ان رجلا اطلع من جحر في دار النبي صلى الله عليه وسلم والنبي صلى الله عليه وسلم يحك راسه بالمدرى، فقال:" لو علمت انك تنظر لطعنت بها في عينك، إنما جعل الإذن من قبل الابصار".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, in se Zuhri ne, in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne ke ek sahab ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke diwar ke ek surakh se ghar ke andar dekha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt apna sar kanghay se khujla rahe thay phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar mujhe maloom hota ke tum jhaank rahe ho to main tumhari aankh phorr deta are izn (ijazat) lena to is ke liye hai ke aadmi ki nazar (kisi ke) satar par na pare.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَرْجِيلِ الْحَائِضِ زَوْجَهَا:
Haiza aurat apne khaawand ke sar mein kanghi kar sakti hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5925
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كنت ارجل راس رسول الله صلى الله عليه وسلم وانا حائض"، حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، مثله.
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne khabar di, unhein Urwah bin Zubayr ne aur in se Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main halat e haiz ke bawajood Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sar mein kangha karti thi. Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Hisham ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne isi tarah yeh hadees bayan ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة