الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْجَعْدِ:
Ghonghriyaale baalon ka bayaan.
Hadith Number: 5907
حدثنا ابو النعمان، حدثنا جرير بن حازم، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم ضخم اليدين والقدمين حسن الوجه لم ار بعده ولا قبله مثله، وكان بسط الكفين".
Hum se Abu al-Nuayman ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Hazim ne bayan ki, in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hath aur paon bhare huay thay. Chehra haseen o jameel tha, main ne Aap jaisa khoobsurat koi na pehle dekha aur na baad mein, Aap ki hatheliyaan kushada thien.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5908
حدثني عمرو بن علي، حدثنا معاذ بن هانئ، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن انس بن مالك، او عن رجل، عن ابي هريرة، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم ضخم القدمين حسن الوجه لم ار بعده مثله".
Hum se Amr bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Muaz bin Hani ne bayan kiya, kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah ne bayan kiya aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ya ek aadmi ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se ke unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhare huay qadmon wale thay, nihayat hi haseen o jameel, Aap jaisa khoobsurat main ne Aap ke baad kisi ko nahi dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5909
حدثني عمرو بن علي، حدثنا معاذ بن هانئ، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن انس بن مالك، او عن رجل، عن ابي هريرة، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم ضخم القدمين حسن الوجه لم ار بعده مثله".
Hum se Amr bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Muaz bin Hani ne bayan kiya, kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah ne bayan kiya aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ya ek aadmi ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se ke unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhare huay qadmon wale thay, nihayat hi haseen o jameel, Aap jaisa khoobsurat main ne Aap ke baad kisi ko nahi dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5910
Aur Hisham ne bayan kiya, in se Mamar ne, in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke qadam aur hatheliyaan bhari hui aur gudaz thien.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5911
وقال ابو هلال 9، حدثنا قتادة، عن انس، او جابر بن عبد الله،" كان النبي صلى الله عليه وسلم ضخم الكفين والقدمين لم ار بعده شبها له".
Aur Abu Hilal ne bayan kiya, in se Qatadah ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ya Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki hatheliyaan aur qadam bhare huay thay, Aap jaisa phir main ne koi khoobsurat aadmi nahi dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5912
وقال ابو هلال 9، حدثنا قتادة، عن انس، او جابر بن عبد الله،" كان النبي صلى الله عليه وسلم ضخم الكفين والقدمين لم ار بعده شبها له".
Aur Abu Hilal ne bayan kiya, in se Qatadah ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ya Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki hatheliyaan aur qadam bhare huay thay, Aap jaisa phir main ne koi khoobsurat aadmi nahi dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5913
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثني ابن ابي عدي، عن ابن عون، عن مجاهد، قال: كنا عند ابن عباس رضي الله عنهما، فذكروا الدجال، فقال" إنه مكتوب بين عينيه كافر"، وقال ابن عباس: لم اسمعه قال ذاك، ولكنه قال:" اما إبراهيم فانظروا إلى صاحبكم، واما موسى فرجل آدم جعد على جمل احمر مخطوم بخلبة، كاني انظر إليه إذ انحدر في الوادي يلبي".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, in se Ibn Aun ne aur in se Mujahid ne bayan kiya ke hum Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke paas baithe huay thay. Logon ne Dajjal ka zikr kiya aur kisi ne kaha ke is ki donon aankhon ke darmiyan lafz ”kafir“ likha ho ga. Is par Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko yeh farmate huay main ne to nahi suna albatta Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya tha ke agar tumhein Ibrahim alaihissalam ko dekhna ho to apne sahab (khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam) ko dekho (ke Aap bilkul in ke hum-shakal hain) aur Musa alaihissalam gandumi rang ke hain baal ghoun-gharyale jaise is waqt bhi main unhein dekh raha hoon ke woh is naale waadi e Azraq naami mein Labbaik kehte huay utar rahe hain in ke surkh oont ki nakeel ki rassi khajoor ki chhaal ki hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّلْبِيدِ:
Khatmi (ya gond waghera) se baalon ko jamaana.
Hadith Number: 5914
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر، قال: سمعت عمر رضي الله عنه، يقول:" من ضفر فليحلق، ولا تشبهوا بالتلبيد"، وكان ابن عمر، يقول:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم ملبدا".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne kaha ke mujhe Salim bin Abdullah ne khabar di aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Umar razi Allahu anhu se suna, unhon ne kaha ke jo shakhs sar ke baalon ko goond le (woh Hajj ya Umrah se farigh ho kar sar mundaye) aur jaise ihram mein baalon ko jama laite hain ghair ihram mein na jamao aur Ibn Umar razi Allahu anhuma kehte thay main ne to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko baal jamaate dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5915
حدثني حبان بن موسى، واحمد بن محمد، قالا: اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يهل ملبدا، يقول:" لبيك اللهم لبيك، لبيك لا شريك لك لبيك، إن الحمد والنعمة لك والملك، لا شريك لك" لا يزيد على هؤلاء الكلمات.
Mujh se Habban bin Musa aur Ahmad bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hamain Abdullah bin Mubarak ne khabar di, unhon ne kaha hum ko Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apne baal jama liye thay aur ihram ke waqt yun Aap Labbaik keh rahe thay «labbaika allahumma labbaik, labbaika la shareeka laka labbaik, innal-hamda wan-nimata laka wal-mulka la shareeka laka» in kalma-t ke oopar aur kuch Aap nahi barhate thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5916
حدثني إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر، عن حفصة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: قلت: يا رسول الله، ما شان الناس حلوا بعمرة ولم تحلل انت من عمرتك؟ قال:" إني لبدت راسي وقلدت هديي، فلا احل حتى انحر".
Mujh se Ismail bin Ibn Abi Oways ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Nafi ne, in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Hafsa razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! kiya baat hai ke log Umrah kar ke ihram khol chuke hain haalan ke Aap ne ihram nahi khola. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kyunke main ne apne sar ke baal jama liye hain aur apni hadyi (qurbani ke janwar) ke gale mein qilada daal diya hai. Is liye jab tak meri qurbani ka nahar na ho le main ihram nahi khol sakta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة