الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْوَاشِمَةِ:
Godne wali ke baare mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5945
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عون بن ابي جحيفة، قال: رايت ابي، فقال" إن النبي صلى الله عليه وسلم نهى عن ثمن الدم وثمن الكلب وآكل الربا وموكله والواشمة والمستوشمة".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Aun bin Abi Juhaifah ne bayan kiya ke main ne apne walid (Abu Juhaifah razi Allahu anhu) ko dekha, unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khoon ki qeemat, kutte ki qeemat khane se mana farmaya aur sood lene wale aur dene wale, godne wali aur gudwane wali (par lanat bheji).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُسْتَوْشِمَةِ:
Godwane wali aurat ki burai ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5946
حدثنا زهير بن حرب، حدثنا جرير، عن عمارة، عن ابي زرعة، عن ابي هريرة، قال: اتي عمر بامراة تشم، فقام، فقال: انشدكم بالله من سمع من النبي صلى الله عليه وسلم في الوشم؟ فقال ابو هريرة: فقمت، فقلت: يا امير المؤمنين انا سمعت، قال: ما سمعت؟ قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" لا تشمن ولا تستوشمن".
Hum se Zuhayr bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se Ammarah ne, in se Abu Zurah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Umar razi Allahu anhu ke paas ek aurat layi gayi jo godne ka kaam karti thi. Umar razi Allahu anhu khare ho gaye (aur is waqt maujood sahabah se) kaha main tumhein Allah ka wasta deta hoon kisi ne kuch Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se godne ke mutalliq suna hai. Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke main ne kharay ho kar arz kiya: Ameer-ul-Momineen! Main ne suna hai. Umar razi Allahu anhu ne poochha kya suna hai? Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke godne ka kaam na karo aur na gudwao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5947
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، اخبرني نافع، عن ابن عمر، قال:" لعن النبي صلى الله عليه وسلم الواصلة والمستوصلة والواشمة والمستوشمة".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed ne bayan kiya, unhein Ubaidullah ne khabar di, kaha mujhko khabar di Nafi ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne masnooi baal lagaane wali aur lagwane wali aur godne wali aur gudwane wali par lanat bheji hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5948
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الرحمن، عن سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه،" لعن الله الواشمات والمستوشمات والمتنمصات والمتفلجات للحسن المغيرات خلق الله، ما لي لا العن من لعن رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو في كتاب الله".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ur-Rahman ne bayan kiya, in se Sufyan bin Uyaynah ne, in se Mansoor ne, in se Ibrahim ne, in se Alqama ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke godne waliyon par aur gudwane waliyon par, baal ukharrne waliyon par aur khoob-surati ke liye daanton ke darmiyan kushadgi karne waliyon jo Allah ki paidaish mein tabdeeli karti hain, Allah Ta'ala ne lanat bheji hai phir main bhi kyun na in par lanat bheijoon jin par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne lanat bheji hai aur woh Kitab-ullah mein bhi maujood hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّصَاوِيرِ:
Tasweeren banane ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5949
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس، عن ابي طلحة رضي الله عنهم، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تدخل الملائكة بيتا فيه كلب ولا تصاوير"، وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عبيد الله، سمع ابن عباس، سمعت ابا طلحة، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, in se Zuhri ne, in se Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah ne, in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aur in se Abu Talha razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke rahmat ke farishte is ghar mein dakhil nahi hote jis mein kutta ya muratein hon. Aur Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Yunus bin Yazid ne, in se Ibn Shihab ne kaha ke mujhko Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah ne khabar di, unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna, woh kehte thay ke main ne Abu Talha razi Allahu anhu se suna, phir unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yahi hadees naqal ki hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عَذَابِ الْمُصَوِّرِينَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ:
Murtiyan banane walon par qiyamat ke din sab se zyada azaab ho ga.
Show diacritics
Hadith Number: 5950
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الاعمش، عن مسلم، قال: كنا مع مسروق في دار يسار بن نمير، فراى في صفته تماثيل، فقال سمعت عبد الله، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" إن اشد الناس عذابا عند الله يوم القيامة المصورون".
Hum se Humaydi Abdullah bin Zubayr ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Aamash ne bayan kiya aur in se Muslim bin Sabeeh ne bayan kiya ke hum Masrooq bin Ajda ke saath Yasar bin Numair ke ghar mein thay. Masrooq ne in ke ghar ke saibaan mein tasveerein dekhein to kaha ke main ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se suna hai, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah ke paas Qayamat ke din tasveer banane walon ko sakht se sakht-tar azab ho ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5951
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله، عن نافع، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إن الذين يصنعون هذه الصور يعذبون يوم القيامة، يقال لهم: احيوا ما خلقتم".
Hum se Ibrahim bin al-Munzhir ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Anas bin Iyaz ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ubaidullah Umri ne bayan kiya, in se Nafi ne bayan kiya aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo log yeh muratein banate hain unhein Qayamat ke din azab kiya jaye ga aur in se kaha jaye ga ke jis ko tum ne banaya hai ab is mein jaan bhi daalo.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَقْضِ الصُّوَرِ:
Tasweeron ko torne ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5952
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن عمران بن حطان، ان عائشة رضي الله عنها، حدثته ان النبي صلى الله عليه وسلم" لم يكن يترك في بيته شيئا فيه تصاليب إلا نقضه".
Hum se Maaz bin Fadala ne bayan kiya, in se Hisham Dastawai ne bayan kiya, in se Yahya bin Abi Kaseer ne, in se Imran bin Hittan ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko apne ghar mein jab bhi koi cheez aaisi milti jis par saleeb ki murat bani ho (jaise Nasara rakhte hain) to us ko torr daalte.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5953
حدثنا موسى، حدثنا عبد الواحد، حدثنا عمارة، حدثنا ابو زرعة، قال: دخلت مع ابي هريرة دارا بالمدينة، فراى اعلاها مصورا يصور، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" ومن اظلم ممن ذهب يخلق كخلقي، فليخلقوا حبة وليخلقوا ذرة"، ثم دعا بتور من ماء فغسل يديه حتى بلغ إبطه، فقلت: يا ابا هريرة اشيء سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال: منتهى الحلية.
Hum se Musa ne bayan kiya, kaha ke hum se Abd-ul-Wahid ne, kaha hum se Ammarah ne, kaha hum se Abu Zurah ne, kaha ke main Abu Hurairah razi Allahu anhu ke saath Madinah Munawwarah mein (Marwan bin Hakam ke ghar mein) gaya to unhon ne chhat par ek musawwir ko dekha jo tasveer bana raha tha, unhon ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Allah Ta'ala irshad farmata hai) is shakhs se barh kar zhahlim kaun ho ga jo meri makhlooq ki tarah paida karne chala hai agar usay yahi ghumand hai to usay chahiye ke ek dana paida kare, ek chyoonti paida kare. Phir unhon ne pani ka ek tasht mangwaya aur apne hath is mein dhoye. Jab baghal dhone lage to main ne arz kiya Abu Hurairah! Kya (baghal tak dhone ke baare mein) tum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kuch suna hai unhon ne kaha main ne jahan tak zewar pehna ja sakta hai wahan tak dhoya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا وُطِئَ مِنَ التَّصَاوِيرِ:
Agar murtiyan paaon ke tale rondi jaayen to un ke rehne mein koi qabaahat nahin hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5954
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: سمعت عبد الرحمن بن القاسم، وما بالمدينة يومئذ افضل منه، قال: سمعت ابي، قال: سمعت عائشة رضي الله عنها، قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم من سفر وقد سترت بقرام لي على سهوة لي فيها تماثيل، فلما رآه رسول الله صلى الله عليه وسلم هتكه، وقال:" اشد الناس عذابا يوم القيامة الذين يضاهون بخلق الله" قالت: فجعلناه وسادة او وسادتين.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, kaha ke main ne Abd-ur-Rahman bin Qasim se suna, in dinon Madinah Munawwarah mein in se barh kar aalim fazil naik koi aadmi nahi tha, unhon ne bayan kiya ke main ne apne walid (Qasim bin Abi Bakr) se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam safar (Ghazwa e Tabook) se tashreef laaye to main ne apne ghar ke saibaan par ek parda latka diya tha, is par tasveerein thien jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dekha to usay khainch kar phenk diya aur farmaya ke Qayamat ke din sab se zyada sakht azab mein woh log giraftar hon ge jo Allah ki makhlooq ki tarah khud bhi banate hain. Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke phir main ne phaarh kar is parda ki ek ya do toshak bana lein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة