الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْوَصْلِ فِي الشَّعَرِ:
Baalon mein alag se banawati chotiya lagana aur dusre baal jodna.
Hadith Number: 5936
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن هشام بن عروة، عن امراته فاطمة، عن اسماء بنت ابي بكر، قالت:" لعن النبي صلى الله عليه وسلم الواصلة والمستوصلة".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ki biwi Fatima ne, in se Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne masnooi baal lagaane wali aur lagwane wali par lanat bheji hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5937
حدثني محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" لعن الله الواصلة والمستوصلة والواشمة والمستوشمة" وقال نافع: الوشم في اللثة.
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Ubaidullah Umri ne khabar di, unhein Nafi ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah ne masnooi baal jorrne waliyon par, jarrwane waliyon par, godne waliyon par aur gudwane waliyon par lanat bheji hai.“ Nafi ne kaha ke godna kabhi masooray par bhi goda jata hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5938
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عمرو بن مرة، سمعت سعيد بن المسيب، قال: قدم معاوية المدينة آخر قدمة قدمها فخطبنا، فاخرج كبة من شعر قال:" ما كنت ارى احدا يفعل هذا غير اليهود، إن النبي صلى الله عليه وسلم سماه الزور"، يعني الواصلة في الشعر.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Amr bin Murrah ne bayan kiya ke main ne Saeed bin al-Musayyab se suna, unhon ne bayan kiya ke Muawiyah razi Allahu anhu aakhri martaba Madinah Munawwarah tashreef laaye aur hamain khutba diya. Aap ne baalon ka ek guchha nikaal ke kaha ke yeh Yahudiyon ke siwa aur koi nahi karta tha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay «zoorun» yani fareebi farmaya yani jo baalon mein jorr lagaye to aisa aadmi mard ho ya aurat woh makkar hai jo apne makr o fareeb par is taur par parda daalta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُتَنَمِّصَاتِ:
Chehre par se royen ukhaarne waliyon ka bayaan.
Hadith Number: 5939
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، قال:" لعن عبد الله الواشمات والمتنمصات والمتفلجات للحسن، المغيرات خلق الله"، فقالت ام يعقوب: ما هذا؟ قال عبد الله:" وما لي لا العن من لعن رسول الله وفي كتاب الله" قالت: والله لقد قرات ما بين اللوحين فما وجدته، قال:" والله لئن قراتيه لقد وجدتيه وما آتاكم الرسول فخذوه وما نهاكم عنه فانتهوا سورة الحشر آية 7".
Hum se Ishaq bin Ibrahim bin Rahwayh ne bayan kiya, kaha hum ko Jareer ne khabar di, unhein Mansoor ne, unhein Ibrahim Nakhai ne aur in se Alqama ne ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne khoob-surati ke liye godne waliyon, chehre ke baal ukharrne waliyon aur samne ke daanton ke darmiyan kushadgi paida karne waliyon jo Allah ki paidaish mein tabdeeli karti hain, in sab par lanat bheji to Umm Yaqoob ne kaha ke yeh kya baat hui. Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha aakhir main kyun na in par lanat bheijoon jin par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne lanat bheji hai aur Kitab-ullah mein is par lanat maujood hai. Umm Yaqoob ne kaha ke Allah ki qasam! Main ne poora Quran Majeed parh dala aur kahin bhi aaisi koi aayat mujhe nahi mili. Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha: Allah ki qasam! Agar tum ne parha hota to tumhein zaroor mil jata kya tum ko yeh aayat maloom nahi «wa ma ataakum-ur-rasoolu fakhuzhoohu wa ma nahaakum anhu fantahoo» yani ”aur jo kuch Rasool tumhein dein usay le lo aur jis se bhi tumhein mana karein is se ruk jao.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَوْصُولَةِ:
Jis aurat ke baalon mein dusre ke baal jode jaayen.
Hadith Number: 5940
حدثني محمد، حدثنا عبدة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" لعن النبي صلى الله عليه وسلم الواصلة والمستوصلة والواشمة والمستوشمة".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, in se Abdah ne bayan kiya, in se Ubaidullah ne bayan kiya, in se Nafi ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne masnooi baal jorrne wali aur jarrwane wali, godne wali aur gudwane wali par lanat bheji hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5941
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا هشام، انه سمع فاطمة بنت المنذر، تقول: سمعت اسماء، قالت: سالت امراة النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، إن ابنتي اصابتها الحصبة فامرق شعرها وإني زوجتها، افاصل فيه؟ فقال:" لعن الله الواصلة والموصولة".
Hum se Imam Humaydi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne, in se Hisham bin Urwah ne bayan kiya, unhon ne Fatima bint Munzhir se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke ek aurat ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha ke ya Rasool Allah! Meri larki ko khasre ka bukhar ho gaya aur is se is ke baal jharr gaye. Main is ki shadi bhi kar chuki hoon to kya is ke masnooi baal laga doon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ne masnooi baal lagaane wali aur jis ke lagaya jaye, donon par lanat bheji hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5942
حدثني يوسف بن موسى، حدثنا الفضل بن دكين، حدثنا صخر بن جويرية، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، او قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الواشمة والموتشمة والواصلة والمستوصلة" يعني، لعن النبي صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Yunus bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fadl bin Dukain ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sakhr bin Juwayriyah ne bayan kiya, in se Nafi ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, ya (rawi ne is tarah bayan kiya ke) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”godne wali, gudwane wali, masnooi baal jorrne wali aur jarrwane wali“ yani Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in sab par lanat bheji hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5943
حدثني محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، عن ابن مسعود رضي الله عنه، قال:" لعن الله الواشمات والمتنمصات والمتفلجات للحسن، المغيرات خلق الله، ما لي لا العن من لعنه رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو في كتاب الله".
Mujh se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di, unhein Mansoor ne, unhein Ibrahim Nakhai ne, unhein Alqama ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Allah Ta'ala ne godne waliyon par aur gudwane waliyon par aur chehre ke baal ukharrne waliyon par aur khoob-surati paida karne ke liye samne ke daanton ke darmiyan kushadgi karne waliyon jo Allah ki paidaish mein tabdeeli karti hain, lanat bheji hai phir main kyun na in par lanat bheijoon jin par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne lanat bheji hai aur woh Allah ki kitab mein maujood hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْوَاشِمَةِ:
Godne wali ke baare mein.
Hadith Number: 5944
حدثني يحيى، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" العين حق، ونهى عن الوشم".
Mujh se Yahya bin Abi Basheer ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ur-Razzaq ne bayan kiya, in se Mamar ne, in se Humam ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”nazar lag jaana haq hai“ aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne godne se mana farmaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5944M
حدثني ابن بشار، حدثنا ابن مهدي، حدثنا سفيان، قال: ذكرت لعبد الرحمن بن عابس حديث منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، فقال: سمعته من ام يعقوب، عن عبد الله، مثل حديث منصور.
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Mahdi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, kaha ke main ne Abd-ur-Rahman bin Aabis se Mansoor ki hadees zikr ki jo woh Ibrahim se bayan karte thay ke in se Alqama ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya to Abd-ur-Rahman ne kaha ke main ne bhi Mansoor ki hadees ki tarah Umm Yaqoob se suna hai woh Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se bayan karti thien.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة