الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ التَّرْجِيلِ وَالتَّيَمُّنِ:
Baalon mein kanghi karna.
Hadith Number: 5926
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن اشعث بن سليم، عن ابيه، عن مسروق، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم" انه كان يعجبه التيمن ما استطاع في ترجله ووضوئه".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Ash-as bin Sulaym ne, in se un ke walid ne, in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam har kaam mein jahan tak mumkin hota dahni taraf se shuru karne ko pasand farmate thay, kangha karne aur wuzu karne mein bhi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُذْكَرُ فِي الْمِسْكِ:
Mushk ka bayaan.
Hadith Number: 5927
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل عمل ابن آدم له إلا الصوم فإنه لي وانا اجزي به، ولخلوف فم الصائم اطيب عند الله من ريح المسك".
Mujh se Abdullah bin Muhammad Hamdani ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Yusuf San-aani ne bayan kiya, kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Saeed bin al-Musayyab ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”(ke Allah Ta'ala ne farmaya) ibn e Adam ka har amal is ka hai siwa roza ke ke yeh mera hai aur main khud is ka badla doon ga aur roza-dar ke munh ke khushboo Allah ke nazdeek mushk ki khushboo se bhi barh kar hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُسْتَحَبُّ مِنَ الطِّيبِ:
Khushboo lagana mustahab hai.
Hadith Number: 5928
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن عثمان بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كنت اطيب النبي صلى الله عليه وسلم عند إحرامه باطيب ما اجد".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne bayan kiya, in se Usman bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Aap ke ihram ke waqt umdah se umdah khushboo jo mil sakti ku, woh lagati.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يَرُدَّ الطِّيبَ:
Khushboo ka pher dena mana hai.
Hadith Number: 5929
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عزرة بن ثابت الانصاري، قال: حدثني ثمامة بن عبد الله، عن انس رضي الله عنه،" انه كان لا يرد الطيب، وزعم ان النبي صلى الله عليه وسلم كان لا يرد الطيب".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Urwah bin Sabit Ansari ne bayan kiya, kaha ke mujh se Sumama bin Abdullah ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke (jab un ko) khushboo (hadiya ki jati to) Aap woh wapas nahi kiya karte thay aur kehte ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi khushboo ko wapas nahi farmaya karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الذَّرِيرَةِ:
Zareera ka bayaan.
Hadith Number: 5930
حدثنا عثمان بن الهيثم، او محمد عنه، عن ابن جريج، اخبرني عمر بن عبد الله بن عروة، سمع عروة، والقاسم، يخبران عن عائشة، قالت:" طيبت رسول الله صلى الله عليه وسلم بيدي بذريرة في حجة الوداع للحل والإحرام".
Hum se Usman bin Hushaim ne bayan kiya ya Muhammad bin Yahya Dili ne, unhein Usman bin Hushaim ne (Imam Bukhari rahmahullah ko shak hai) in se Ibn Jurayj ne unhon ne kaha mujhko Amr bin Abdullah bin Urwah bin Shehar ne khabar di, unhon ne Urwah aur Qasim donon se suna, woh donon Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha se naqal karte thay ke unhon ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Hajjat-ul-Wada ke mauqa par ihram kholne aur ihram baandhne ke waqt apne hath se zhareera (ek qism ki murakkab) khushboo lagayi thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُتَفَلِّجَاتِ لِلْحُسْنِ:
Hasn ke liye jo auratein daant kushada karayen.
Hadith Number: 5931
حدثنا عثمان، حدثنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، قال عبد الله" لعن الله الواشمات والمتنمصات والمتفلجات للحسن المغيرات خلق الله تعالى"، مالي لا العن من لعن النبي صلى الله عليه وسلم وهو في كتاب الله وما آتاكم الرسول فخذوه سورة الحشر آية 7.
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya, in se Mansoor bin Mutamir ne, in se Ibrahim Nakhai ne, in se Alqama ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Allah Ta'ala ne husn ke liye godne waliyon, gudwane waliyon par aur chehre ke baal ukharrne waliyon par aur daanton ke darmiyan kushadgi paida karne waliyon par, jo Allah ki khalqat ko badlein in sab par lanat bheji hai, main bhi kyun na in logon par lanat karoon jin par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne lanat ki hai aur is ki daleel ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki lanat khud Quran Majeed mein maujood hai. Aayat «wa maa ataakum-ur-rasoolu fakhuzhoohu» hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْوَصْلِ فِي الشَّعَرِ:
Baalon mein alag se banawati chotiya lagana aur dusre baal jodna.
Hadith Number: 5932
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن بن عوف، انه سمع معاوية بن ابي سفيان عام حج وهو على المنبر وهو يقول،" وتناول قصة من شعر كانت بيد حرسي: اين علماؤكم؟ سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم ينهى عن مثل هذه، ويقول: إنما هلكت بنو إسرائيل حين اتخذ هذه نساؤهم".
Hum se Ismail bin Abi Shaybah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne, in se Humayd bin Abd-ur-Rahman bin Auf aur unhon ne Muawiyah bin Abi Sufyan razi Allahu anhuma se Hajj ke saal mein suna woh Madinah Munawwarah mein mimbar par yeh farma rahe thay unhon ne baalon ki ek choti jo in ke chokidar ke hath mein thi le kar kaha kahan hain tumhare ulama main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Aap is tarah baal banane se mana farma rahe thay aur farma rahe thay ke Bani Israeel is waqt tabah ho gaye jab in ki auraton ne is tarah apne baal sanwarne shuru kar diye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5933
وقال ابن ابي شيبة، حدثنا يونس بن محمد، حدثنا فليح، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لعن الله الواصلة والمستوصلة والواشمة والمستوشمة".
Aur Ibn Abi Shaybah ne bayan kiya, in se Yunus bin Muhammad ne bayan kiya, in se Falih ne bayan kiya, in se Zayd bin Aslam ne, in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”sar ke qudrati baalon mein masnooi baal lagaane waliyon par aur lagwane waliyon par aur godne waliyon par aur gudwane waliyon par Allah ne lanat bheji hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5934
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، قال: سمعت الحسن بن مسلم بن يناق، يحدث عن صفية بنت شيبة، عن عائشة رضي الله عنها، ان جارية من الانصار تزوجت، وانها مرضت فتمعط شعرها، فارادوا ان يصلوها، فسالوا النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" لعن الله الواصلة والمستوصلة"، تابعه ابن إسحاق، عن ابان بن صالح، عن الحسن، عن صفية، عن عائشة.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Amr bin Murrah ne bayan kiya ke main ne Hasan bin Muslim bin Niyaaq se suna, woh Safiyyah bint Shaybah se bayan karte thay aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Ansar ki ek larki ne shadi ki. Is ke baad woh beemar ho gayi aur is ke sar ke baal jharr gaye, is ke ghar walon ne chaha ke is ke baalon mein masnooi baal laga dein. Is liye unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq poochha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne masnooi baal jorrne wali aur jarrwane wali donon par lanat bheji hai. Shubah ke saath is hadees ko Muhammad bin Ishaq ne bhi Aban bin Salih se, unhon ne Hasan bin Muslim se, unhon ne Safiyyah se, unhon ne Aisha razi Allahu anha se riwayat kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5935
حدثني احمد بن المقدام، حدثنا فضيل بن سليمان، حدثنا منصور بن عبد الرحمن، قال: حدثتني امي، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، ان امراة جاءت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: إني انكحت ابنتي ثم اصابها شكوى فتمرق راسها وزوجها يستحثني بها، افاصل راسها؟" فسب رسول الله صلى الله عليه وسلم الواصلة والمستوصلة".
Mujh se Ahmad bin Miqdam ne bayan kiya, kaha hum se Fazl bin Sulayman ne bayan kiya, kaha hum se Mansoor bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya, kaha ke mujh se meri walda Safiyyah bint Shaybah ne bayan kiya, in se Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke ek khatoon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien aur kaha ke main ne apni larki ki shadi ki hai is ke baad woh beemar ho gayi aur is ke sar ke baal jharr gaye aur is ka shohar mujh par is ke muamla mein zor deta hai. kiya main is ke sar mein masnooi baal laga doon? Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne masnooi baal jorrne waliyon aur jarrwane waliyon ko bura kaha, in par lanat bheji.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة