الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ لَبِسَ جُبَّةً ضَيِّقَةَ الْكُمَّيْنِ فِي السَّفَرِ:
Jis ne safar mein tang aasteenon ka jubba pehna.
Show diacritics
Hadith Number: 5798
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، قال: حدثني ابو الضحى، قال: حدثني مسروق، قال: حدثني المغيرة بن شعبة، قال:" انطلق النبي صلى الله عليه وسلم لحاجته، ثم اقبل، فتلقيته بماء فتوضا، وعليه جبة شامية، فمضمض، واستنشق، وغسل وجهه، فذهب يخرج يديه من كميه، فكانا ضيقين، فاخرج يديه من تحت الجبة، فغسلهما ومسح براسه، وعلى خفيه".
Hum se Qays bin Hafs ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Wahid ne bayan kiya , kaha hum se Aamash ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu al-Duha ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Masrooq ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Mugheera bin Shubah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam qaza e hajat ke liye bahar tashreef le gaye phir wapas aaye to main pani le kar hazir tha . Aap ne wuzu kiya Aap Shami jubba pehne huay thay , Aap ne kulli ki aur naak mein pani dala aur apna chehra dhoya phir apni aastinein charhane lage lekin woh tang thi is liye Aap ne apne hath jubbe ke neeche se nikale aur unhein dhoya aur sar par aur mozon par masah kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ جُبَّةِ الصُّوفِ فِي الْغَزْوِ:
Laraai mein oon ka jubba pehnna.
Show diacritics
Hadith Number: 5799
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، عن عامر، عن عروة بن المغيرة، عن ابيه رضي الله عنه، قال:" كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة في سفر، فقال: امعك ماء؟ قلت: نعم، فنزل عن راحلته فمشى حتى توارى عني في سواد الليل، ثم جاء، فافرغت عليه الإداوة، فغسل وجهه ويديه، وعليه جبة من صوف، فلم يستطع ان يخرج ذراعيه منها حتى اخرجهما من اسفل الجبة، فغسل ذراعيه، ثم مسح براسه، ثم اهويت لانزع خفيه، فقال: دعهما، فإني ادخلتهما طاهرتين"، فمسح عليهما.
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Zakariya ne bayan kiya , in se Aamir ne , in se Urwah bin Mugheera ne aur in se un ke walid Mugheera razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ek raat safar mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath tha Aap ne daryaft farmaya tumhare paas pani hai ? Main ne arz kiya ke ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni sawari se utre aur chalte rahe yahan tak ke raat ki tareeki mein Aap chhup gaye phir wapas tashreef laaye to main ne bartan ka pani Aap ko istemal karaya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna chehra dhoya , hath dhoye Aap oon ka jubba pehne huay thay jis ki aastin charhani Aap ke liye dushwar thi chunanche Aap ne apne hath jubbe ke neeche se nikale aur baazuon ko (kohniyon tak) dhoya . Phir sar par masah kiya phir main barha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke mozay utar doon lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke rehne do main ne taharat ke baad unhein pehna tha chunanche Aap ne in par masah kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَبَاءِ وَفَرُّوجِ حَرِيرٍ:
Qaba aur reshmi farooj ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: Q5800
وهو القباء ويقال هو الذي له شق من خلفه.
«farauj» bhi «qaba» hi ko kehte hain . Baaz ne kaha ke «farauj» is «qaba» ko kehte hain jis mein peeche chaak hota hai .


Show diacritics
Hadith Number: 5800
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن ابن ابي مليكة، عن المسور بن مخرمة، قال:" قسم رسول الله صلى الله عليه وسلم اقبية ولم يعط مخرمة شيئا، فقال مخرمة: يا بني انطلق بنا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فانطلقت معه، فقال: ادخل فادعه لي، قال: فدعوته له، فخرج إليه وعليه قباء منها، فقال: خبات هذا لك، قال: فنظر إليه، فقال: رضي مخرمة".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Ibn Abi Mulaykah ne aur in se Miswar bin Makhrama razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne chand qabayein taqseem kiein aur Makhrama razi Allahu anhu ko kuch nahi diya to Makhrama razi Allahu anhu ne kaha bete hamain Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas le chalo chunanche main apne walid ko saath le kar chala , unhon ne mujh se kaha ke andar jao aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mera zikr kar do . Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se Makhrama razi Allahu anhu ka zikr kiya to Aap bahar tashreef laaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam unhein qabaon mein se ek qaba liye huay thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh main ne tumhare hi liye rakh chhorri thi . Miswar ne bayan kiya ke Makhrama razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf dekha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Makhrama khush ho gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5801
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن ابي الخير، عن عقبة بن عامر رضي الله عنه انه قال:" اهدي لرسول الله صلى الله عليه وسلم فروج حرير، فلبسه ثم صلى فيه، ثم انصرف فنزعه نزعا شديدا كالكاره له، ثم قال: لا ينبغي هذا للمتقين"، تابعه عبد الله بن يوسف، عن الليث، وقال غيره، فروج حرير.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Yazid bin Abi Habeeb ne , in se Abu al-Khair ne aur in se Uqbah bin Aamir razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko resham ki farauj (qaba) hadiya mein di gayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay pehna (resham ka mardon ke liye hurmat ke hukm se pehle) aur isi ko pehne huay namaz parhi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay bari teizi ke saath utar dala jaise Aap is se nagowari mehsoos karte hon phir farmaya ke yeh muttaqiyon ke liye munasib nahi hai . Is riwayat ki mutabia-t Abdullah bin Yusuf ne ki in se Layth ne aur Abdullah bin Yusuf ke alawa doosron ne kaha ke «farauj e hareer» .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْبَرَانِسِ:
Buraans yani topi pehnna.
Show diacritics
Hadith Number: 5802
وقال لي مسدد، حدثنا معتمر سمعت ابي، قال: رايت على انس برنسا اصفر من خز
Aur kaha mujh se Musaddad ne aur kaha hum se Mutamir ne ke main ne apne baap se suna , kaha unhon ne ke main ne Anas razi Allahu anhu par reshmi zard topi ko dekha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5803
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر ان رجلا، قال: يا رسول الله ما يلبس المحرم من الثياب، قال: رسول الله صلى الله عليه وسلم لا تلبسوا القمص ولا العمائم ولا السراويلات ولا البرانس ولا الخفاف إلا احد لا يجد النعلين فليلبس خفين وليقطعهما اسفل من الكعبين ولا تلبسوا من الثياب شيئا مسه زعفران ولا الورس.
Hum se Ismail ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Nafi ne bayan kiya , in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke ek shakhs ne arz kiya: ya Rasool Allah! Muhram kis tarah ka kapra pehne ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (muhram ke liye) ke qamees na pehno , na amamay , na pajamay , na burnus aur na mozay albatta agar kisi ko chappal na mile to woh (chamre ke) mozon ko takhna se neeche tak kaat kar unhein pehan sakta hai aur na koi aisa kapra pehno jis mein zafran ya wars lagaya gaya ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السَّرَاوِيلِ:
Paajaama pehnne ke baare mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5804
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من لم يجد إزارا فليلبس سراويل ومن لم يجد نعلين فليلبس خفين".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , in se Amr ne , in se Jabir bin Zayd ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (muhram ke baare mein) farmaya ”jise tehmat na mile woh pajama pehne aur jise chappal na milein woh mozay pehnein .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5805
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، عن عبد الله، قال: قام رجل، فقال: يا رسول الله ما تامرنا ان نلبس إذا احرمنا؟، قال:" لا تلبسوا القميص، والسراويل، والعمائم، والبرانس، والخفاف، إلا ان يكون رجل ليس له نعلان فليلبس الخفين اسفل من الكعبين، ولا تلبسوا شيئا من الثياب مسه زعفران، ولا ورس".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Juwayriyah ne bayan kiya , in se Nafi ne aur in se Abdullah ne bayan kiya ke ek sahab ne khare ho kar arz kiya: ya Rasool Allah! Ihram baandhne ke baad hamain kis cheez ke pehnne ka hukm hai ? Farmaya ke qamees na pehno , na pajamay , na amamay , na burnus aur na mozay pehno . Albatta agar kisi ke paas chappal na hon to woh chamre ke aise mozay pehne jo takhnon se neeche hon aur koi aisa kapra na pehno jis mein zafran aur wars laga hua ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْعَمَائِمِ:
Amame ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5806
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: سمعت الزهري، قال: اخبرني سالم، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يلبس المحرم: القميص، ولا العمامة، ولا السراويل، ولا البرنس، ولا ثوبا مسه زعفران، ولا ورس، ولا الخفين، إلا لمن لم يجد النعلين فإن لم يجدهما فليقطعهما اسفل من الكعبين".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , unhon ne kaha ke main ne Zuhri se suna , unhon ne kaha ke mujhe Salim ne khabar di , unhein in ke walid (Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma) ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke muhram qamees na pehne , na amama pehne , na pajama , na burnus aur na koi aisa kapra pehne jis mein zafran aur wars laga ho aur na mozay pehne albatta agar kisi ko chappal na milein to mozon ko takhnon ke neeche tak kaat de (phir pehne) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة