الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {قُلْ مَنْ حَرَّمَ زِينَةَ اللَّهِ الَّتِي أَخْرَجَ لِعِبَادِهِ}:
Allah Pak ka Surat Al-A'raaf mein farmaan "aye Rasool! keh do ke kis ne woh zeeb o zeenat ki cheezen haraam ki hain jo us ne bandon ke liye (zameen se) paida ki hain (yani umdah umdah libaas)".
Hadith Number: Q5783
وقال النبي صلى الله عليه وسلم:" كلوا، واشربوا، والبسوا، وتصدقوا في غير إسراف ولا مخيلة"، وقال ابن عباس: كل ما شئت، والبس ما شئت، ما اخطاتك اثنتان سرف او مخيلة.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”khao aur piyo aur pehno aur khairat karo lekin israf na karo aur na takabbur karo.“ Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha jo tera jee chahe (bashart-e-ke halal ho) khao aur jo tera jee chahe (mubah kapron mein se) pehan magar do baaton se zaroor bacho israf aur takabbur se.
Hadith Number: 5783
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، وعبد الله بن دينار، وزيد بن اسلم يخبرونه، عن ابن عمر رضي الله عنهما ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا ينظر الله إلى من جر ثوبه خيلاء".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne, unhon ne Nafi aur Abdullah bin Dinar aur Zayd bin Aslam se, unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala is ki taraf Qayamat ke din nazar e rahmat nahi kare ga jo apna kapra takabbur o ghuroor se zameen par ghasit kar chalta hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ جَرَّ إِزَارَهُ مِنْ غَيْرِ خُيَلاَءَ:
Agar kisi ka kapra yun hi latak jaaye takabbur ki niyat na ho to gunahgaar na ho ga.
Hadith Number: 5784
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا موسى بن عقبة، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من جر ثوبه خيلاء، لم ينظر الله إليه يوم القيامة"، قال ابو بكر: يا رسول الله إن احد شقي إزاري يسترخي إلا ان اتعاهد ذلك منه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لست ممن يصنعه خيلاء".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhayr ne bayan kiya, kaha hum se Musa bin Uqbah ne, in se Salim bin Abdullah ne aur in se in ke walid ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs takabbur ki wajah se tehband ghasit-ta hua chale ga to Allah Paak is ki taraf Qayamat ke din nazar bhi nahi kare ga.“ Abu Bakr razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mere tehmat ka ek hissa kabhi latak jata hai magar yeh ke khaas taur se is ka khayal rakkha karoon. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum in logon mein se nahi ho jo aisa takabbur se karte hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5785
حدثني محمد، اخبرنا عبد الاعلى، عن يونس، عن الحسن، عن ابي بكرة رضي الله عنه، قال: خسفت الشمس ونحن عند النبي صلى الله عليه وسلم فقام يجر ثوبه مستعجلا حتى اتى المسجد وثاب الناس فصلى ركعتين فجلي عنها، ثم اقبل علينا، وقال:" إن الشمس والقمر آيتان من آيات الله، فإذا رايتم منها شيئا فصلوا وادعوا الله حتى يكشفها".
Mujh se Baikandi Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hamain ko Abd-ul-A'la ne khabar di, unhein Yunus ne, unhein Imam Hasan Basri ne aur in se Abu Bakrah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke sooraj grahan hua to hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay. Aap jaldi mein kapra ghasit-te huay masjid mein tashreef laaye log bhi jama ho gaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do rakat namaz parhayi, grahan khatam ho gaya, tab Aap hamari taraf mutawajjo huay aur farmaya ”sooraj aur chaand Allah ki nishaniyon mein se do nishaniyaan hain is liye jab tum in nishaniyon mein se koi nishani dekho to namaz parho aur Allah se dua karo yahan tak ke woh khatam ho jaye.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّشْمِيرِ فِي الثِّيَابِ:
Kapra upar uthana.
Hadith Number: 5786
حدثني إسحاق، اخبرنا ابن شميل، اخبرنا عمر بن ابي زائدة، اخبرنا عون بن ابي جحيفة، عن ابيه ابي جحيفة، قال:" فرايت بلالا جاء بعنزة فركزها، ثم اقام الصلاة، فرايت رسول الله صلى الله عليه وسلم خرج في حلة مشمرا فصلى ركعتين إلى العنزة، ورايت الناس والدواب يمرون بين يديه من وراء العنزة".
Mujh se Ishaq bin Rahwayh ne bayan kiya, kaha hamain ko Ibn Shumayl ne khabar di, kaha hamain ko Umar bin Abi Zaidah ne khabar di, kaha hamain ko Aun bin Abi Juhaifah ne khabar di, in se in ke walid Abu Juhaifah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke phir main ne dekha ke Bilal razi Allahu anhu ek neza le kar aaye aur usay zameen mein gaarr diya phir namaz ke liye takbeer kahi gayi. Main ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ek jora pehne huay bahar tashreef laaye jise Aap ne samait rakkha tha. Phir Aap ne neza ke samne kharay ho kar do rakat namaz e Eid parhayi aur main ne dekha ke insan aur janwar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne neza ke bahar ki taraf se guzar rahe thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ فَهْوَ فِي النَّارِ:
Kapra jo takhnon se neeche ho (izaar ho ya kurta ya chogha) woh apne pehnne wale mard ko dozakh mein le jaayega jab ke woh pehnne wala mutakabbir ho.
Hadith Number: 5787
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما اسفل من الكعبين من الإزار ففي النار".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Saeed bin Abi Saeed Muqbiri ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tehband ka jo hissa takhnon se neeche latka ho woh jahannum mein ho ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ جَرَّ ثَوْبَهُ مِنَ الْخُيَلاَءِ:
Jo takabbur se apna kapra ghaseetta hua chale us ki saza ka bayaan.
Hadith Number: 5788
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا ينظر الله يوم القيامة إلى من جر إزاره بطرا".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hamain ko Imam Malik ne khabar di, unhein Abu al-Zinad ne, unhein Aaraj ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs apna tehmat ghuroor ki wajah se ghasit-ta hai, Allah Ta'ala Qayamat ke din is ki taraf dekhe ga nahi.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5789
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محمد بن زياد، قال: سمعت ابا هريرة يقول، قال النبي صلى الله عليه وسلم، او قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم، بينما رجل يمشي في حلة تعجبه نفسه مرجل جمته إذ خسف الله به فهو يتجلجل إلى يوم القيامة".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Ziyad ne bayan kiya, kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi ya (yeh bayan kiya ke) Abu al-Qasim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”(Bani Israeel mein) ek shakhs ek jora pehan kar kibr o ghuroor mein sar-mast, sar ke baalon mein kanghi kiye huay akar kar itrata ja raha tha ke Allah Ta'ala ne usay zameen mein dhansa diya ab woh Qayamat tak is mein tarapta rahe ga ya dhans-ta rahe ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5790
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عبد الرحمن بن خالد، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، ان اباه حدثه ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا رجل يجر إزاره، إذ خسف به، فهو يتجلل في الارض إلى يوم القيامة"، تابعه يونس، عن الزهري ولم يرفعه شعيب، عن الزهري.
Hum se Saeed bin Afir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Layth bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abd-ur-Rahman bin Khalid ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne, in se Salim bin Abdullah ne aur in se in ke walid ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”ek shakhs ghuroor mein apna tehmat ghasit-ta hua chal raha tha ke usay zameen mein dhansa diya gaya aur woh isi tarah Qayamat tak zameen mein dhans-ta hi rahe ga.“ Is ki mutabia-t Yunus ne Zuhri se ki hai, unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se, usay marfoo-an nahi bayan kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5790M
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا وهب بن جرير، اخبرنا ابي، عن عمه جرير بن زيد، قال: كنت مع سالم بن عبد الله بن عمر على باب داره، فقال: سمعت ابا هريرة، سمع النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, kaha hum se Wahb bin Jareer ne bayan kiya, kaha mujhko mere walid ne khabar di, in se un ke chacha Jareer bin Zayd ne bayan kiya ke main Salim bin Abdullah bin Umar ke saath in ke ghar ke darwaze par thu unhon ne bayan kiya ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se isi hadees ki tarah bayan kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة