الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَصْحَابُهُ يَأْكُلُونَ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam aur Aap ke Sahaba Karam Razi Allah anhum ki khoraak ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5416
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما شبع آل محمد صلى الله عليه وسلم منذ قدم المدينة من طعام البر ثلاث ليال تباعا حتى قبض".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne bayan kiya , in se Mansoor ne , in se Ibrahim Nakhai ne , in se Aswad bin Yazid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Madinah Hijrat karne ke baad Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi barabar teen din tak gehoon ki roti pait bhar kar nahi khayi yahan tak ke Aap duniya se tashreef le gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّلْبِينَةِ:
Talbina yani hareera ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5417
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، انها كانت إذا مات الميت من اهلها، فاجتمع لذلك النساء، ثم تفرقن إلا اهلها وخاصتها امرت ببرمة من تلبينة، فطبخت ثم صنع ثريد، فصبت التلبينة عليها، ثم قالت: كلن منها، فإني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" التلبينة مجمة لفؤاد المريض تذهب ببعض الحزن".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Aqeel bin Khalid ne , in se Ibn Shihab Zuhri ne , in se Urwah ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne ke jab kisi ghar mein kisi ki wafat ho jati aur is ki wajah se auratein jama hotien aur phir woh chali jaatiien . Sirf ghar wale aur khaas khaas auratein reh jaatiien to Aap haandi mein talbeenah pakaane ka hukm detien . Woh pakaya jata phir sareed banaya jata aur talbeenah is par dala jata . Phir Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha farmatiien ke usay khao kyunke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Aap salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke talbeenah mareez ke dil ko taskeen deta hai aur is ka gham door karta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الثَّرِيدِ:
Thareed ke bayaan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5418
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة الجملي، عن مرة الهمداني، عن ابي موسى الاشعري، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كمل من الرجال كثير، ولم يكمل من النساء إلا مريم بنت عمران وآسية امراة فرعون وفضل عائشة على النساء كفضل الثريد على سائر الطعام".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , in se Shubah ne bayan kiya , in se Amr bin Murrah Jamli ne bayan kiya , in se Murrah Hamdani ne , in se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mardon mein to bahut se kaamil huay lekin auraton mein Maryam bint Imran aur Firaun ki biwi Aasiya ke siwa aur koi kaamil nahi hua aur Aisha ki fazeelat tamam auraton par aaisi hai jaise tamam khanon par sareed ki fazeelat hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5419
حدثنا عمرو بن عون، حدثنا خالد بن عبد الله، عن ابي طوالة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" فضل عائشة على النساء كفضل الثريد على سائر الطعام".
Hum se Amr bin Aun ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Abdullah ne bayan kiya , in se Abu Tawalah ne aur in se Anas ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke auraton par Aisha ki fazeelat aaisi hai jaise tamam khanon par sareed ki fazeelat hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5420
حدثنا عبد الله بن منير، سمع ابا حاتم الاشهل بن حاتم، حدثنا ابن عون، عن ثمامة بن انس، عن انس رضي الله عنه، قال:" دخلت مع النبي صلى الله عليه وسلم على غلام له خياط، فقدم إليه قصعة فيها ثريد، قال: واقبل على عمله، قال: فجعل النبي صلى الله عليه وسلم يتتبع الدباء، قال: فجعلت اتتبعه فاضعه بين يديه، قال: فما زلت بعد احب الدباء".
Hum se Abdullah bin Munir ne bayan kiya , unhon ne Abu Hatim Ash-hal ibn Hatim se suna , in se Ibn Aun ne bayan kiya , in se Sumama bin Anas ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Aap ke ek ghulam ke paas gaya jo darzi thay . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne ek piyala pesh kiya jis mein sareed thu . Bayan kiya ke phir woh apne kaam mein lag gaye . Bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is mein se kaddu talash karne lage kaha ke phir main bhi is mein se kaddu talash kar kar ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne rakhne laga . Bayan kiya ke is ke baad se main bhi kaddu bahut pasand karta hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ شَاةٍ مَسْمُوطَةٍ وَالْكَتِفِ وَالْجَنْبِ:
Khaal samet bhuni hui bakri aur shana aur pasli ke gosht ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5421
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام بن يحيى، عن قتادة، قال: كنا ناتي انس بن مالك رضي الله عنه وخبازه قائم، قال:" كلوا فما اعلم النبي صلى الله عليه وسلم راى رغيفا مرققا حتى لحق بالله ولا راى شاة سميطا بعينه قط".
Hum se Hudbah bin Khalid ne bayan kiya , kaha hum se Hammam bin Yahya ne bayan kiya , in se Qatadah ne bayan kiya ke hum Anas razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir huay to in ki roti pakaane wala in ke paas hi khara thu . Unhon ne kaha ke khao . Main nahi jaanta ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi patli roti (chapati) dekhi ho . Yahan tak ke Aap Allah se ja mile aur na Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi musallam bhuni hui bakri dekhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5422
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن جعفر بن عمرو بن امية الضمري، عن ابيه، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يحتز من كتف شاة فاكل منها، فدعي إلى الصلاة، فقام فطرح السكين فصلى ولم يتوضا".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah ne khabar di , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Jafar bin Amr bin Umayyah Damri ne , unhein un ke walid ne , unhon ne bayan kiya ke main ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam bakri ke shaane mein se gosht kaat rahe thay , phir Aap ne is mein se khaya . Phir Aap ko namaz ke liye bulaya gaya to Aap khare ho gaye aur chhurri daal di aur namaz parhi lekin naya wuzu nahi kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا كَانَ السَّلَفُ يَدَّخِرُونَ فِي بُيُوتِهِمْ وَأَسْفَارِهِمْ مِنَ الطَّعَامِ وَاللَّحْمِ وَغَيْرِهِ:
Salaf saaliheen apne gharon mein aur safaron mein jis tarah ka khana meyasar hota aur gosht waghera mehfooz rakh liya karte the.
Show diacritics
Hadith Number: Q5423
وقالت عائشة واسماء:" صنعنا للنبي صلى الله عليه وسلم وابي بكر سفرة".
Aur Aisha razi Allahu anhuma aur Asmaa razi Allahu anhuma kehti hain ke hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr razi Allahu anhu ke liye (Makkah Mukarramah se Madinah Munawwarah ke safar e Hijrat ke liye) tosha tayyar kiya tha (jise ek dastar-khwan mein baandh diya gaya thu) .


Show diacritics
Hadith Number: 5423
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، عن ابيه، قال: قلت لعائشة:" انهى النبي صلى الله عليه وسلم ان تؤكل لحوم الاضاحي فوق ثلاث؟ قالت: ما فعله إلا في عام جاع الناس فيه، فاراد ان يطعم الغني الفقير، وإن كنا لنرفع الكراع فناكله بعد خمس عشرة، قيل: ما اضطركم إليه؟ فضحكت، قالت: ما شبع آل محمد صلى الله عليه وسلم من خبز بر مادوم ثلاثة ايام حتى لحق بالله". وقال ابن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا عبد الرحمن بن عابس بهذا.
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne , in se Abdur Rahman bin Aabis ne , in se un ke walid ne bayan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se poochha kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne teen din se zyada qurbani ka gosht khane se mana kiya hai ? Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kabhi nahi kiya . Sirf ek saal is ka hukm diya tha jis saal qahet para thu . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne chaha tha (is hukm ke zariye) ke jo maal wale hain woh (gosht mahfooz karne ke bajaye) muhtajon ko khila dein aur hum bakri ke paye mahfooz rakh lete thay aur usay pandrah pandrah din baad khate thay . In se poochha gaya ke aisa karne ke liye kiya majboori ku ? Is par Umm al-Momineen razi Allahu anha hans parrein aur farmaya Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne salan ke saath gehoon ki roti teen din tak barabar kabhi nahi khayi yahan tak ke Aap Allah se ja mile . Aur Ibn Kaseer ne bayan kiya ke hamain Sufyan ne khabar di , in se Abdur Rahman bin Aabis ne yahi hadees bayan ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5424
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن عطاء، عن جابر، قال:" كنا نتزود لحوم الهدي على عهد النبي صلى الله عليه وسلم إلى المدينة". تابعه محمد، عن ابن عيينة، وقال ابن جريج: قلت لعطاء: اقال حتى جئنا المدينة؟ قال: لا.
Mujh se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Amr ne , in se Ata ne aur in se Jabir razi Allahu anhu ne bayan kiya ke (Makkah Mukarramah se Hajj ki) qurbani ka gosht hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein Madinah Munawwarah laate thay . Is ki mutabia-t Muhammad ne ki Ibn Uyaynah ke wasta se aur Ibn Jurayj ne bayan kiya ke main ne Ata se poochha kiya Jabir razi Allahu anhu ne yeh bhi kaha thu ke yahan tak ke hum Madinah Munawwarah aa gaye ? Unhon ne kaha ke unhon ne yeh nahi kaha thu .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة