الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ الثُّومِ وَالْبُقُولِ:
Lehsun aur dusri (badboodar sabziyon jaise pyaz, mooli waghera) tarkariyon ka bayaan.
Hadith Number: Q5451
فيه: عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baare mein Ibn Umar razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat naqal ki hai .
Hadith Number: 5451
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الوارث، عن عبد العزيز، قال: قيل لانس: ما سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول في الثوم، فقال: من اكل فلا يقربن مسجدنا".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya , in se Abdul Aziz ne bayan kiya ke Anas razi Allahu anhu ne kaha main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko lehsun ke baare mein kuch kehte nahi suna . Albatta Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs (lehsun) khaye to woh hamari masjid ke qareeb na aaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5452
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا ابو صفوان عبد الله بن سعيد، اخبرنا يونس، عن ابن شهاب، قال: حدثني عطاء، ان جابر بن عبد الله رضي الله عنهما زعم، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من اكل ثوما او بصلا فليعتزلنا او ليعتزل مسجدنا".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya , kaha hum se Abu Safwan Abdullah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum ko Yunus ne khabar di , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , in se Ata ne bayan kiya ke Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma kehte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne lehsun ya piyaz khayi ho to usay chahiye ke hum se door rahe , ya yeh farmaya ke hamari masjid se door rahe .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْكَبَاثِ، وَهْوَ ثَمَرُ الأَرَاكِ:
Kabaas ka bayaan aur woh peelu ke darakht ka phal hai.
Hadith Number: 5453
حدثنا سعيد بن عفير، حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو سلمة، قال: اخبرني جابر بن عبد الله، قال:" كنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم بمر الظهران نجني الكباث، فقال: عليكم بالاسود منه فإنه ايطب، فقال: اكنت ترعى الغنم؟ قال: نعم، وهل من نبي إلا رعاها".
Hum se Saeed bin Afir ne bayan kiya , kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya , in se Yunus ne , in se Ibn Shihab ne bayan kiya unhein Abu Salamah ne khabar di , kaha ke mujhe Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne khabar di , unhon ne bayan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Maqam e Mar-uz-Zahran par thay , hum peelu tor rahe thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo khoob kala ho woh toro kyunke woh zyada lazeez hota hai . Jabir razi Allahu anhu ne arz kiya Aap ne bakriyaan charayi hain ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan aur koi Nabi aisa nahi guzra jis ne bakriyaan na charayi hon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَضْمَضَةِ بَعْدَ الطَّعَامِ:
Khana khane ke baad kulli karne ka bayaan.
Hadith Number: 5454
حدثنا علي، حدثنا سفيان، سمعت يحيى بن سعيد، عن بشير بن يسار، عن سويد بن النعمان، قال:" خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى خيبر، فلما كنا بالصهباء دعا بطعام فما اتي إلا بسويق فاكلنا فقام إلى الصلاة فتمضمض ومضمضنا".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , unhon ne Yahya bin Saeed se suna , unhon ne Basheer bin Yasar se , in se Suwayd bin Numan ne , kaha ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Khaibar rawana huay . Jab hum Maqam e Sahba par pahunche to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khana talab farmaya . Khane mein sattu ke siwa aur koi cheez nahi layi gayi , phir hum ne khana khaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kulli kar ke namaz ke liye khare ho gaye , hum ne bhi kulli ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5455
قال يحيى: سمعت بشيرا، يقول: حدثنا سويد،" خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى خيبر فلما كنا بالصهباء، قال يحيى: وهي من خيبر على روحة دعا بطعام فما اتي إلا بسويق فلكناه فاكلنا معه، ثم دعا بماء فمضمض ومضمضنا معه، ثم صلى بنا المغرب ولم يتوضا". وقال سفيان: كانك تسمعه من يحيى.
Yahya ne bayan kiya ke main ne Basheer se suna , unhon ne bayan kiya hum se Suwayd razi Allahu anhu ne bayan kiya hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Khaibar ki taraf nikle jab hum Maqam e Sahba par pahunche . Yahya ne kaha ke yeh jagah Khaibar se ek manzil ki doori par hai to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khana talab farmaya lekin sattu ke siwa aur koi cheez nahi layi gayi . Hum ne usay Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath khaya phir Aap ne hamain Maghrib ki namaz parhayi aur naya wuzu nahi kiya aur Sufyan ne kaha goya ke tum yeh hadees Yahya hi se sun rahe ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لَعْقِ الأَصَابِعِ وَمَصِّهَا قَبْلَ أَنْ تُمْسَحَ بِالْمِنْدِيلِ:
Rumaal se saaf karne se pehle ungliyon ko chaatna.
Hadith Number: 5456
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار ، عن عطاء، عن ابن عباس، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اكل احدكم فلا يمسح يده حتى يلعقها او يلعقها".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Amr bin Dinar ne , in se Ata ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab koi shakhs khana khaye to hath chaatne ya kisi ko chataane se pehle hath na ponchhe .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمِنْدِيلِ:
Rumaal ka bayaan.
Hadith Number: 5457
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثني محمد بن فليح، قال: حدثني ابي، عن سعيد بن الحارث، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما،" انه ساله عن الوضوء، مما مست النار؟ فقال: لا، قد كنا زمان النبي صلى الله عليه وسلم لا نجد مثل ذلك من الطعام إلا قليلا، فإذا نحن وجدناه لم يكن لنا مناديل إلا اكفنا وسواعدنا واقدامنا ثم نصلي ولا نتوضا".
Hum se Ibrahim bin al-Munzhir ne bayan kiya , kaha ke mujh se Muhammad bin Falih ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne , in se Saeed bin al-Haris ne aur in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Saeed bin al-Haris ne Jabir razi Allahu anhu se aaisi cheez ke (khane ke baad) jo aag par rakkhi ho wuzu ke mutalliq poochha (ke kiya aaisi cheez khane se wuzu toot jata hai ?) to unhon ne kaha ke nahi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein hamain is tarah ka khana (jo paka hua hota) bahut kam muyassar aata tha aur agar muyassar aa bhi jata tha to siwa hamari hatheliyon baazuon aur paon ke koi roomal nahi hota tha (aur hum unhi se apne hath saaf kar ke) namaz parh lete thay aur wuzu .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَقُولُ إِذَا فَرَغَ مِنْ طَعَامِهِ:
Khana khane ke baad kya dua parhni chahiye?
Hadith Number: 5458
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن ثور، عن خالد بن معدان، عن ابي امامة، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان إذا رفع مائدته، قال:" الحمد لله كثيرا طيبا مباركا فيه غير مكفي ولا مودع ولا مستغنى عنه ربنا".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Sawr ne , in se Khalid bin Madan ne aur in se Abu Umama razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne se jab khana uthaya jata to Aap yeh dua parhte «alhamdu lillahi kaseeran tayyibam-mubaarakan feehi , ghayra mukfiy-yin , wala muwadda-in wala mustaghnan anhu , rabbana» ”tamam tareefein Allah ke liye , bahut zyada pakeeza barkat wali , hum is khane ka haq poori tarah ada na kar sake aur yeh hamesha ke liye rukhwat nahi kiya gaya hai (aur yeh is liye kaha taake) is se hum ko be-parwahi ka khayal na ho , Ae hamare Rabb! .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5459
حدثنا ابو عاصم، عن ثور بن يزيد، عن خالد بن معدان، عن ابي امامة، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان" إذا فرغ من طعامه، وقال مرة: إذا رفع مائدته، قال: الحمد لله الذي كفانا واروانا غير مكفي ولا مكفور، وقال مرة: الحمد لله ربنا غير مكفي ولا مودع ولا مستغنى ربنا".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya , in se Sawr bin Zayd ne bayan kiya , in se Khalid bin Madan ne aur in se Abu Umama razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab khane se farigh hote aur ek martaba bayan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam اپنا dastar-khwan uthate yeh dua parhte «alhamdu lillahil-lazhee kafaana wa ar-waana , ghayra mukfiy-yin , wala makfoorin , wa qaala marratan alhamdu lillahi rabbana , ghayra mukfiy-yin , wala muwadda-in , wala mustaghnan , rabbana» ”tamam tareefein is Allah ke liye hain jis ne hamari kifayat ki aur hamain seerab kiya . Hum is khane ka haq poori tarah ada na kar sake warna hum is nemat ke munkir nahi hain . Aur ek martaba farmaya ”tere hi liye tamam tareefein hain Ae hamare Rabb! Is ka haq ada nahi kar sake aur na yeh hamesha ke liye rukhwat kiya gaya hai . (yeh is liye kaha taake) is se hum ko be-niyazi ka khayal na ho . Ae hamare Rabb!“ .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة