الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ أَضَافَ رَجُلاً إِلَى طَعَامٍ، وَأَقْبَلَ هُوَ عَلَى عَمَلِهِ:
Saahib-e-khana ke liye zaroori nahin hai ke mehmaan ke saath Aap bhi woh khaye.
Hadith Number: 5435
حدثني عبد الله بن منير، سمع النضر، اخبرنا ابن عون، قال: اخبرني ثمامة بن عبد الله بن انس، عن انس رضي الله عنه، قال:" كنت غلاما امشي مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فدخل رسول الله صلى الله عليه وسلم على غلام له خياط فاتاه بقصعة فيها طعام وعليه دباء، فجعل رسول الله صلى الله عليه وسلم يتتبع الدباء، قال: فلما رايت ذلك جعلت اجمعه بين يديه، قال: فاقبل الغلام على عمله"، قال انس: لا ازال احب الدباء بعد ما رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم صنع ما صنع.
Mujh se Abdullah bin Munir ne bayan kiya , unhon ne Nadr se suna , unhein Ibn Aun ne khabar di , kaha ke mujhe Sumama bin Abdullah bin Anas ne khabar di aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main nau-umr tha aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath rehta tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne ek darzi ghulam ke paas tashreef le gaye . Woh ek piyala laya jis mein khana tha aur oopar kaddu ke qatlay thay . Aap kaddu talash karne lage . Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke jab main ne yeh dekha to kaddu ke qatlay Aap ke samne jama kar ke rakhne laga . Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke (piyala Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne rakhne ke baad) ghulam apne kaam mein lag gaya . Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke isi waqt se main kaddu pasand karne laga , jab main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh amal dekha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَرَقِ:
Shorba ka bayaan.
Hadith Number: 5436
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، انه سمع انس بن مالك:" ان خياطا دعا النبي صلى الله عليه وسلم لطعام صنعه، فذهبت مع النبي صلى الله عليه وسلم، فقرب خبز شعير ومرقا فيه دباء وقديد، فرايت النبي صلى الله عليه وسلم يتتبع الدباء من حوالي القصعة، فلم ازل احب الدباء بعد يومئذ".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya , in se Imam Malik bin Anas ne , in se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ke ek darzi ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko khane ki dawat ki jo unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye tayyar kiya tha . Main bhi Aap ke saath gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne jau ki roti aur shorba pesh kiya gaya . Jis mein kaddu aur khushk gosht ke tukre thay . Main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam piyale mein charon taraf kaddu talash kar rahe thay , isi din se main bhi kaddu pasand karne laga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَدِيدِ:
Sookhe kiye hue gosht ke tukre ka bayaan.
Hadith Number: 5437
حدثنا ابو نعيم، حدثنا مالك بن انس، عن إسحاق بن عبد الله، عن انس رضي الله عنه، قال:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم اتي بمرقة فيها دباء وقديد فرايته يتتبع الدباء ياكلها".
Hum se Hakeem Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Malik bin Anas ne , in se Ishaq bin Abdullah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein shorba laya gaya . Is mein kaddu aur sookhe gosht ke tukre thay , phir main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is mein se kaddu ke qatlay talash kar kar ke kha rahe thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5438
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما فعله إلا في عام جاع الناس اراد ان يطعم الغني الفقير، وإن كنا لنرفع الكراع بعد خمس عشرة وما شبع آل محمد صلى الله عليه وسلم من خبز بر مادوم ثلاثا".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya , in se Sufyan ne bayan kiya , in se Abdur Rahman bin Aabis ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kabhi nahi kiya ke teen din se zyada gosht qurbani wala rakhne se mana farmaya ho . Sirf is saal yeh hukm diya tha jis saal qahet ki wajah se log faqay mein mubtala thay . Maqsad yeh tha ke jo log ghani hain woh gosht muhtajon ko khilayein (aur jama kar ke na rakhein) aur hum to bakri ke paye mahfooz kar ke rakh lete thay aur pandrah din baad tak (khate thay) aur Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi salan ke saath gehoon ki roti teen din tak barabar sair ho kar nahi khayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ نَاوَلَ أَوْ قَدَّمَ إِلَى صَاحِبِهِ عَلَى الْمَائِدَةِ شَيْئًا:
Jis ne ek hi dastarkhwan par koi cheez utha kar apne dusre saathi ko di ya us ke saamne rakhi.
Hadith Number: Q5439
. قال: وقال ابن المبارك: لا باس ان يناول بعضهم بعضا ولا يناول من هذه المائدة إلى مائدة اخرى.
(Imam Bukhari rahmahullah ne) kaha ke Abdullah bin al-Mubarak ne kaha ke is mein koi haraj nahi agar (ek dastar-khwan par) ek doosre ki taraf dastar-khwan ke khane barhaye lekin yeh jaiz nahi ke (mezban ki ijazat ke baghair) ek dastar-khwan se doosre dastar-khwan ki taraf koi cheez barhayi jaye .
Hadith Number: 5439
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، انه سمع انس بن مالك، يقول:" إن خياطا دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم لطعام صنعه، قال انس: فذهبت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى ذلك الطعام، فقرب إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم خبزا من شعير ومرقا فيه دباء وقديد، قال انس: فرايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يتتبع الدباء من حول الصحفة، فلم ازل احب الدباء من يومئذ". وقال ثمامة: عن انس، فجعلت اجمع الدباء بين يديه.
Hum se Ismail ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ke ek darzi ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko khane ki dawat ki jo us ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye tayyar kiya tha . Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath is dawat mein gaya . Unhon ne Aap ki khidmat mein jau ki roti aur shorba , jis mein kaddu aur khushk kiya hua gosht tha , pesh kiya . Anas razi Allahu anhu ne kaha ke main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam piyale mein charon taraf kaddu talash kar rahe hain . Isi din se main bhi kaddu pasand karne laga . Sumama ne bayan kiya aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke phir main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne kaddu ke qatlay (talash kar kar ke) ikatthe karne laga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الرُّطَبِ بِالْقِثَّاءِ:
Taaza khajoor aur kheere ek saath khana.
Hadith Number: 5440
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن عبد الله بن جعفر بن ابي طالب رضي الله عنهما، قال:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم ياكل الرطب بالقثاء".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , in se un ke walid ne aur in se Abdullah bin Jafar bin Abi Talib razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko taza khajoor kakri ke saath khate dekha hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
...
Hadith Number: 5441
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن عباس الجريري، عن ابي عثمان، قال:" تضيفت ابا هريرة سبعا فكان هو وامراته وخادمه يعتقبون الليل اثلاثا، يصلي هذا ثم يوقظ هذا، وسمعته يقول: قسم رسول الله صلى الله عليه وسلم بين اصحابه تمرا، فاصابني سبع تمرات إحداهن حشفة".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Yazid ne bayan kiya , in se Abbas Jareeri ne aur in se Abu Usman ne bayan kiya ke main Abu Hurairah razi Allahu anhu ke yahan saat din tak mehman raha , woh aur in ki biwi aur in ke khadim ne raat mein (jaagne ki) baari muqarrar kar rakkhi thi . Raat ke ek tihayi hisse mein ek sahab namaz parhte rahe phir woh doosre ko jaga dete aur main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu ko yeh kehte suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apne sahabah mein ek martaba khajoor taqseem ki aur mujhe bhi saat khajoorein dein , ek in mein kharab ku .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5441M
حدثنا محمد بن الصباح، حدثنا إسماعيل بن زكرياء، عن عاصم، عن ابي عثمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" قسم النبي صلى الله عليه وسلم بيننا تمرا، فاصابني منه خمس اربع تمرات وحشفة، ثم رايت الحشفة هي اشدهن لضرسي".
Hum se Muhammad bin Sabah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ismail bin Zakariya ne bayan kiya , in se Aasim ne , in se Abu Usman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hum mein khajoor taqseem ki paanch mujhe inayat farmayein char to achhi khajoorein thien aur ek kharab ku jo meere daanton ke liye sab se zyada sakht thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الرُّطَبِ وَالتَّمْرِ:
Taaza khajoor aur sookhi khajoor ke bayaan mein.
Hadith Number: Q5442
وقول الله تعالى: وهزي إليك بجذع النخلة تساقط عليك رطبا جنيا سورة مريم آية 25.
Aur Allah Ta'ala ka (Surah Maryam mein) Maryam alaiha-salam ko khitab «wa huz-zee ilaiki bi-jiz-in-nakhlati tusaaqit alaiki rutaban janiyy-ya» ”aur apni taraf khajoor ki shakh ko hila to tum par taza tarr khajoor girein ge .“