الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الأَكْلِ مَعَ الْخَادِمِ:
Khaadim ko bhi saath mein khana khilana munasib hai.
Hadith Number: 5460
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن محمد هو ابن زياد، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اتى احدكم خادمه بطعامه فإن لم يجلسه معه فليناوله اكلة او اكلتين او لقمة او لقمتين فإنه ولي حره وعلاجه".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Muhammad ne , woh Ziyad ke sahibzade hain , kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein kisi shakhs ka khadim is ka khana laye to agar woh usay apne saath nahi bitha sakta to kam az kam ek ya do luqma is khane mein se usay khila de (kyunke) us ne (pakate waqt) is ki garmi aur tayyari ki mushaqqat bardasht ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الطَّاعِمُ الشَّاكِرُ مِثْلُ الصَّائِمِ الصَّابِرِ:
Shukr guzaar khane wala (sawab mein) saabir roza daar ki tarah hai.
Hadith Number: Q5461-2
فيه: عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم
Is masle mein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ek hadees Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat ki hai .
بَابُ الرَّجُلِ يُدْعَى إِلَى طَعَامٍ فَيَقُولُ وَهَذَا مَعِي:
Kisi shakhs ki khane ki dawat ho.
Hadith Number: Q5461
وقال انس:" إذا دخلت على مسلم لا يتهم فكل من طعامه واشرب من شرابه".
Aur doosra shakhs bhi is ke saath tufaili ho jaye to ijazat lene ke liye woh kahe ke yeh bhi meere saath aa gaya hai aur Anas razi Allahanhu ne kaha ke jab tum kisi aise Musalman ke ghar jao (jo apne deen o maal mein) ghalat kaamon se bad-naam na ho to is ka khana khao aur is ka pani piyo .
Hadith Number: 5461
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود، حدثنا ابو اسامة، حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، حدثنا ابو مسعود الانصاري، قال:" كان رجل من الانصار يكنى ابا شعيب وكان له غلام لحام، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم وهو في اصحابه فعرف الجوع في وجه النبي صلى الله عليه وسلم، فذهب إلى غلامه اللحام، فقال: اصنع لي طعاما يكفي خمسة لعلي ادعو النبي صلى الله عليه وسلم خامس خمسة، فصنع له طعيما، ثم اتاه فدعاه، فتبعهم رجل، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: يا ابا شعيب، إن رجلا تبعنا فإن شئت اذنت له وإن شئت تركته، قال: لا، بل اذنت له".
Hum se Abdullah bin Abi al-Aswad ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne , in se Aamash ne , in se Shaqeeq ne , aur in se Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne bayan kiya , unhon ne bayan kiya ke jama'at Ansar ke ek sahabi Abu Shuaib razi Allahu anhu ke naam se mashhoor thay . In ke paas ek ghulam tha jo gosht becha karta thay . Woh sahabi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki majlis mein hazir huay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne sahabah ke saath tashreef rakhte thay . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak se faqa ka andaza laga liya . Chunanche woh apne gosht-faroosh ghulam ke paas gaye aur kaha ke meere liye paanch aadmiyon ka khana tayyar kar do . Main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko char doosre aadmiyon ke saath dawat doon ga . Ghulam ne khana tayyar kar diya . Is ke baad Abu Shuaib razi Allahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein gaye aur Aap ko khane ki dawat di . In ke saath ek aur sahab bhi chalne lage to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Abu Shuaib! Yeh sahab bhi hamare saath aa gaye hain , agar tum chaho to unhein bhi ijazat de do aur agar chaho to chhor do . Unhon ne arz kiya nahi balkay main unhein bhi ijazat deta hoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا حَضَرَ الْعَشَاءُ فَلاَ يَعْجَلْ عَنْ عَشَائِهِ:
Shaam ka khana haazir ho to namaz ke liye jaldi na kare.
Hadith Number: 5462
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني جعفر بن عمرو بن امية، ان اباه عمرو بن امية اخبره، انه" راى رسول الله صلى الله عليه وسلم يحتز من كتف شاة في يده فدعي إلى الصلاة فالقاها والسكين التي كان يحتز بها ثم قام فصلى ولم يتوضا".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne aur Layth ne bayan kiya , kaha unhon ne ke mujh se Yunus ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhein Jafar bin Amr bin Umayyah razi Allahu anhu ne khabar di , unhein un ke walid Amr bin Umayyah ne khabar di ke unhon ne dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apne hath se bakri ke shaane ka gosht kaat kaat kar kha rahe thay , phir Aap ko namaz ke liye bulaya gaya to Aap gosht aur chhurri jis se Aap kaat rahe thay , chhor kar khare ho gaye aur namaz parhayi aur is namaz ke liye naya wuzu nahi kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5463
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا وضع العشاء واقيمت الصلاة فابدءوا بالعشاء". وعن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , in se Ayub ne , in se Abu Qulabah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab raat ka khana samne rakh diya gaya ho aur namaz bhi khari ho gayi ho to pehle khana khao . Aur Ayub se riwayat hai , in se Nafi ne , in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne isi ke mutabiq .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5464
وعن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، انه تعشى مرة وهو يسمع قراءة الإمام.
Aur Ayub se riwayat hai , in se Nafi ne ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ek martaba raat ka khana khaya aur is waqt Aap imam ki qirat sun rahe thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5465
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اقيمت الصلاة وحضر العشاء فابدءوا بالعشاء". قال وهيب، ويحيى بن سعيد: عن هشام: إذا وضع العشاء.
Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne bayan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab namaz khari ho chuke aur raat ka khana bhi samne ho to khana khao . Wuhaib aur Yahya bin Saeed ne bayan kiya , in se Hisham ne ke jab raat ka khana rakkha ja chuke .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {فَإِذَا طَعِمْتُمْ فَانْتَشِرُوا}:
Allah Taala ka irshaad "phir jab tum khana kha chuko to dawat wale ke ghar se uth kar chale jao".
Hadith Number: 5466
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، قال: حدثني ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، ان انسا، قال:" انا اعلم الناس بالحجاب كان ابي بن كعب يسالني عنه، اصبح رسول الله صلى الله عليه وسلم عروسا بزينب بنت جحش وكان تزوجها بالمدينة، فدعا الناس للطعام بعد ارتفاع النهار، فجلس رسول الله صلى الله عليه وسلم وجلس معه رجال بعد ما قام القوم حتى قام رسول الله صلى الله عليه وسلم فمشى ومشيت معه حتى بلغ باب حجرة عائشة ثم ظن انهم خرجوا، فرجعت معه فإذا هم جلوس مكانهم، فرجع ورجعت معه الثانية حتى بلغ باب حجرة عائشة فرجع ورجعت معه فإذا هم قد قاموا، فضرب بيني وبينه سترا وانزل الحجاب".
Mujh se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya , in se Salih ne , in se Ibn Shihab ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main parda ke hukm ke baare mein zyada jaanta hoon . Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu bhi mujh se is ke baare mein poochha karte thay . Zaynub bint Jahsh razi Allahu anhuma se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki shadi ka mauqa tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se nikah Madinah Munawwarah mein kiya thu . Din charhne ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne logon ki khane ki dawat ki thi . Aap baithe huay thay aur Aap ke saath baaz aur sahabah bhi baithe huay thay . Is waqt tak doosre log (khane se farigh ho kar) ja chuke thay . Aakhir Aap bhi khare ho gaye aur chalte rahe . Main bhi Aap ke saath chalta raha . Aap Aisha razi Allahu anha ke hujre par pahunche phir Aap ne khayal kiya ke woh log (bhi jo khane ke baad ghar baithe reh gaye thay) ja chuke hon ge (is liye Aap wapas tashreef laye) main bhi Aap ke saath wapas aaya lekin woh log ab bhi isi jagah baithe huay thay . Aap phir wapas aa gaye . Main bhi Aap ke saath dobara wapas aaya . Aap Aisha razi Allahu anha ke hujra par pahunche phir Aap wahan se wapas huay . Main bhi Aap ke saath tha . Ab woh log ja chuke thay . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne aur meere darmiyan parda latkaya aur parda ki aayat nazil hui .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة