الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الرُّطَبِ وَالتَّمْرِ:
Taaza khajoor aur sookhi khajoor ke bayaan mein.
Hadith Number: 5442
وقال محمد بن يوسف: عن سفيان، عن منصور بن صفية، حدثتني امي، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد شبعنا من الاسودين التمر والماء"
Aur Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya , in se Sufyan ne bayan kiya , in se Mansoor bin Safiya ne , in se un ki walda ne bayan kiya aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ho gayi aur hum pani aur khajoor hi se (aksar dinon mein) pait bharte rahe .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5443
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن إبراهيم بن عبد الرحمن بن عبد الله بن ابي ربيعة، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" كان بالمدينة يهودي وكان يسلفني في تمري إلى الجداد وكانت لجابر الارض التي بطريق رومة، فجلست فخلا عاما، فجاءني اليهودي عند الجداد ولم اجد منها شيئا، فجعلت استنظره إلى قابل، فيابى فاخبر بذلك النبي صلى الله عليه وسلم، فقال لاصحابه: امشوا نستنظر لجابر من اليهودي، فجاءوني في نخلي فجعل النبي صلى الله عليه وسلم يكلم اليهودي، فيقول ابا القاسم: لا انظره، فلما راى النبي صلى الله عليه وسلم قام فطاف في النخل، ثم جاءه فكلمه فابى فقمت فجئت بقليل رطب فوضعته بين يدي النبي صلى الله عليه وسلم فاكل، ثم قال: اين عريشك يا جابر؟ فاخبرته، فقال: افرش لي فيه، ففرشته فدخل فرقد ثم استيقظ فجئته بقبضة اخرى فاكل منها، ثم قام فكلم اليهودي فابى عليه فقام في الرطاب في النخل الثانية، ثم قال: يا جابر، جد واقض فوقف في الجداد فجددت منها ما قضيته وفضل منه فخرجت حتى جئت النبي صلى الله عليه وسلم فبشرته، فقال: اشهد اني رسول الله، عروش وعريش بناء". وقال ابن عباس: معروشات ما يعرش من الكروم وغير ذلك، يقال: عروشها ابنيتها.
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne bayan kiya , kaha hum se Abu Ghassan ne bayan kiya , kaha ke mujh se Abu Hazim ne bayan kiya , in se Ibrahim bin Abdur Rahman bin Abdullah bin Abi Rabia ne aur in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Madinah mein ek Yahudi tha aur woh mujhe qarz is shart par diya karta tha ke meri khajoorein tayyar hone ke waqt le le ga . Jabir razi Allahu anhu ki ek zameen Bir e Roomah ke rasta mein thi . Ek saal khajoor ke bagh mein phal nahi aaye . Phal chune jaane ka jab waqt aaya to woh Yahudi mere paas aaya lekin main ne to bagh se kuch bhi nahi tora tha . Is liye main aainda saal ke liye mohlat maangne laga lekin us ne mohlat dene se inkar kiya . Is ki khabar jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko di gayi to Aap ne apne sahabah se farmaya ke chalo , Yahudi se Jabir razi Allahu anhu ke liye hum mohlat maangein ge . Chunanche yeh sab mere bagh mein tashreef laye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is Yahudi se guftagu farmate rahe lekin woh yahi kehta raha ke Abu al-Qasim main mohlat nahi de sakta . Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh dekha to Aap khare ho gaye aur khajoor ke bagh mein charon taraf phire phir tashreef laye aur is se guftagu ki lekin us ne ab bhi inkar kiya phir main khara hua aur thori si taza khajoor la kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne rakkhi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ko tanawul farmaya phir farmaya Jabir! Tumhari jhompri kahan hai ? Main ne Aap ko bataya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is mein mere liye kuch farsh bichha do . Main ne bichha diya to Aap dakhil huay aur aaram farmaya phir bedar huay to main ek mutthi aur khajoor laya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mein se bhi tanawul farmaya phir Aap khare huay aur Yahudi se guftagu farmayi . Us ne ab bhi inkar kiya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam dobara bagh mein khare huay phir farmaya ke Jabir! Jao ab phal toro aur qarz ada kar do . Aap khajooron ke tore jaane ki jagah khare ho gaye aur main ne bagh mein se itni khajoorein tor lein jin se main ne qarz ada kar diya aur is mein se khajoorein bach bhi gayi phir main wahan se nikla aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir ho kar yeh khush-khabri sunayi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya main gawahi deta hoon ke main Allah ka Rasool hoon . Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke is hadees mein jo «aroosh» ka lafz hai «aroosh» aur «areesh» imarat ki chhat ko kehte hain . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke (Surah al-An'aam mein lafz) «ma'rooshaat» se murad angoor waghaira ki tattiyaan hain . Doosri aayat (Surah al-Baqarah) «urooshuha khaawiyatun ala» yani apni chhaton par gire huay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَكْلِ الْجُمَّارِ:
Khajoor ke darakht ka gond khana jaiz hai.
Hadith Number: 5444
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني مجاهد، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" بينا نحن عند النبي صلى الله عليه وسلم جلوس إذا اتي بجمار نخلة، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إن من الشجر لما بركته كبركة المسلم، فظننت انه يعني النخلة، فاردت ان اقول هي النخلة يا رسول الله، ثم التفت فإذا انا عاشر عشرة انا احدثهم، فسكت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: هي النخلة".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya , kaha hum se hamare walid ne bayan kiya , in se Aamash ne bayan kiya , kaha ke mujh se Mujahid ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein baithe huay thay ke khajoor ke darakht ka gaabh laya gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke baaz darakht aise hote hain jin ki barkat Musalman ki barkat ki tarah hoti hai . Main ne khayal kiya ke Aap ka isharah khajoor ke darakht ki taraf hai . Main ne soocha ke keh doon ke woh darakht khajoor ka hota hai , ya Rasool Allah! Lekin phir jo main ne murr kar dekha to majlis mein mere alawa nau aadmi aur thay aur main in mein sab se chhota tha . Is liye main khamosh raha phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh darakht khajoor ka hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْعَجْوَةِ:
Ajwa khajoor ka bayaan.
Hadith Number: 5445
حدثنا جمعة بن عبد الله، حدثنا مروان، اخبرنا هاشم بن هاشم، اخبرنا عامر بن سعد، عن ابيه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من تصبح كل يوم سبع تمرات عجوة لم يضره في ذلك اليوم سم ولا سحر".
Hum se Jumu'ah bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Marwan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Hashim bin Hashim ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Aamir bin Saad ne khabar di aur in se un ke walid Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne har din subah ke waqt saat Ajwa khajoorein kha lein , usay is din na zehar nuqsan pahuncha sake ga aur na jadoo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِرَانِ فِي التَّمْرِ:
Do khajooron ko ek saath mila kar khana.
Hadith Number: 5446
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا جبلة بن سحيم، قال:" اصابنا عام سنة مع ابن الزبير فرزقنا تمرا، فكان عبد الله بن عمر يمر بنا ونحن ناكل، ويقول: لا تقارنوا فإن النبي صلى الله عليه وسلم نهى عن القران، ثم يقول: إلا ان يستاذن الرجل اخاه"، قال شعبة: الإذن من قول ابن عمر.
Hum se Adam ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , kaha hum se Jabalah bin Suhaim ne bayan kiya , kaha ke hamain Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ke saath (jab woh Hijaz ke khaleefa thay) ek saal qahet ka samna karna para to unhon ne ration mein hamain khane ke liye khajoorein dein . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma hamare paas se guzarte aur hum khajoor khate hote to woh farmate ke do khajooron ko ek saath mila kar na khao kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do khajooron ko ek saath mila kar khane se mana kiya hai . Phir farmaya siwa is surat ke jab is ko khane wala shakhs apne saathi se (jo khane mein shareek hai) is ki ijazat le le . Shubah ne bayan kiya ke ijazat wala tukra Ibn Umar razi Allahu anhuma ka qaul hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِثَّاءِ:
Kheere khane ka bayaan.
Hadith Number: 5447
حدثني إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن ابيه، قال: سمعت عبد الله بن جعفر، قال:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم ياكل الرطب بالقثاء".
Mujh se Ismail bin Abdullah ne bayan kiya , kaha ke mujh se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , in se un ke walid ne bayan kiya aur unhon ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko khajoor ko kakri ke saath khate huay dekha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَرَكَةِ النَّخْلِ:
Khajoor ke darakht ki barkat ka bayaan.
Hadith Number: 5448
حدثنا ابو نعيم، حدثنا محمد بن طلحة، عن زبيد، عن مجاهد، قال: سمعت ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن من الشجر شجرة تكون مثل المسلم وهي النخلة".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Talha ne bayan kiya , in se Zubayd ne bayan kiya , in se Mujahid ne bayan kiya , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke darakhton mein ek darakht misl Musalman ke hai aur woh khajoor ka darakht hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ جَمْعِ اللَّوْنَيْنِ أَوِ الطَّعَامَيْنِ بِمَرَّةٍ:
Ek waqt mein do tarah ke (phal) ya do qism ke khane jama kar ke khana.
Hadith Number: 5449
حدثنا ابن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن عبد الله بن جعفر رضي الله عنهما، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم ياكل الرطب بالقثاء".
Hum se Ibn Muqatil ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Ibrahim bin Saad ne khabar di , unhein un ke walid ne aur in se Abdullah bin Jafar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko kakri ke saath khajoor khate huay dekha hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَدْخَلَ الضِّيفَانَ عَشَرَةً عَشَرَةً:
Das das mehmaanon ko ek ek baar bula kar khane par bithana.
Hadith Number: Q5450
والجلوس على الطعام عشرة عشرة.
.
Hadith Number: 5450
حدثنا الصلت بن محمد، حدثنا حماد بن زيد، عن الجعد ابي عثمان، عن انس. ح وعن هشام، عن محمد، عن انس، وعن سنان ابي ربيعة، عن انس،" ان ام سليم امه عمدت إلى مد من شعير جشته وجعلت منه خطيفة وعصرت عكة عندها، ثم بعثتني إلى النبي صلى الله عليه وسلم فاتيته وهو في اصحابه فدعوته، قال: ومن معي، فجئت، فقلت: إنه يقول ومن معي، فخرج إليه ابو طلحة، قال: يا رسول الله، إنما هو شيء صنعته ام سليم فدخل فجيء به، وقال: ادخل علي عشرة، فدخلوا فاكلوا حتى شبعوا، ثم قال: ادخل علي عشرة، فدخلوا فاكلوا حتى شبعوا، ثم قال: ادخل علي عشرة، حتى عد اربعين، ثم اكل النبي صلى الله عليه وسلم، ثم قام فجعلت انظر هل نقص منها شيء".
Hum se Salt bin Muhammad ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne , in se Jadd Abu Usman ne in se Anas razi Allahu anhu ne aur (is ki riwayat Hammad ne) Hisham se bhi ki , in se Muhammad ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne aur Sinan Abu Rabia se (bhi ki) aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke in ki walda Umm Sulaym razi Allahu anha ne ek mudd jau liya aur in se pees kar is ka «khateefa» (aate ko doodh mein mila kar pakate hain) pakaya aur in ke paas jo ghee ka dabba tha is mein is par se ghee nichorra , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein (bulane ke liye) bheja . Main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein gaya to Aap apne sahabah ke saath tashreef rakhte thay . Main ne Aap ko khana khane ke liye bulaya . Aap ne daryaft farmaya aur woh log bhi jo meere saath hain ? Chunanche main wapas aaya aur kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam to farmate hain ke jo meere saath maujood hain woh bhi chalein ge . Is par Abu Talha Aap salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Woh to ek cheez hai jo Umm Sulaym ne Aap ke liye pakayi hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye aur khana Aap ke paas laya gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke das aadmiyon ko meere paas andar bula lo . Chunanche das sahabah dakhil huay aur khana pait bhar kar khaya phir farmaya das aadmiyon ko meere paas aur bula lo . Yeh das bhi andar aaye aur pait bhar kar khaya phir farmaya aur das aadmiyon ko bula lo . Is tarah unhon ne chalis aadmiyon ka shumar kiya . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khana khaya phir Aap khare huay to main dekhne laga ke khane mein se kuch bhi kam nahi hua .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة