الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ التَّيَمُّنِ فِي الأَكْلِ وَغَيْرِهِ:
Khane peene mein daahine haath ka istemaal karna.
Hadith Number: 5380
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن اشعث، عن ابيه، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: كان النبي صلى الله عليه وسلم" يحب التيمن ما استطاع في طهوره وتنعله وترجله، وكان قال بواسط قبل هذا في شانه كله".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah ne khabar di , kaha hum ko Shubah ne khabar di , unhein Ash-as ne , unhein un ke walid ne , unhein Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jahan tak mumkin hota paaki haasil karne mein , joota pehnne aur kangha karne mein dahni taraf se ibtida karte . Ash-as is hadees ka rawi jab Wasit shehar mein tha to us ne is hadees mein yun kaha tha ke har ek kaam mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam dahni taraf se ibtida karte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَكَلَ حَتَّى شَبِعَ:
Pait bhar kar khana khana durust hai.
Hadith Number: 5381
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، انه سمع انس بن مالك، يقول: قال ابو طلحة لام سليم:" لقد سمعت صوت رسول الله صلى الله عليه وسلم ضعيفا اعرف فيه الجوع، فهل عندك من شيء؟ فاخرجت اقراصا من شعير، ثم اخرجت خمارا لها، فلفت الخبز ببعضه ثم دسته تحت ثوبي وردتني ببعضه، ثم ارسلتني إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: فذهبت به فوجدت رسول الله صلى الله عليه وسلم في المسجد ومعه الناس، فقمت عليهم، فقال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم: ارسلك ابو طلحة؟ فقلت: نعم، قال: بطعام؟ قال: فقلت: نعم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم لمن معه: قوموا، فانطلق وانطلقت بين ايديهم حتى جئت ابا طلحة، فقال ابو طلحة: يا ام سليم قد جاء رسول الله صلى الله عليه وسلم بالناس وليس عندنا من الطعام ما نطعمهم، فقالت: الله ورسوله اعلم، قال: فانطلق ابو طلحة حتى لقي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاقبل ابو طلحة ورسول الله صلى الله عليه وسلم حتى دخلا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: هلمي يا ام سليم، ما عندك؟ فاتت بذلك الخبز، فامر به، ففت وعصرت ام سليم عكة لها، فادمته، ثم قال فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما شاء الله ان يقول، ثم قال: ائذن لعشرة، فاذن لهم، فاكلوا حتى شبعوا ثم خرجوا، ثم قال: ائذن لعشرة، فاذن لهم فاكلوا حتى شبعوا، ثم خرجوا، ثم قال: ائذن لعشرة، فاذن لهم فاكلوا حتى شبعوا، ثم خرجوا ثم اذن لعشرة، فاكل القوم كلهم وشبعوا والقوم ثمانون رجلا".
Hum se Ismail bin Aliyyah ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Abu Talha razi Allahu anhu ne apni biwi Umm Sulaym razi Allahu anha se kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki aawaz mein zu-f o naqahat ko mehsoos kiya hai aur maloom hota hai ke Aap faqa se hain . kiya tumhare paas koi cheez hai ? Chunanche unhon ne jau ki chand rotiyaan nikaalein , phir apna dupatta nikala aur is ke ek hisse mein rotiyon ko lapait kar mere (yani Anas razi Allahu anhu ke) kapre ke neeche chhupa diya aur ek hissa mujhe chadar ki tarah orha diya , phir mujhe Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein bheja . Bayan kiya ke main jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap ko masjid mein paya aur Aap ke saath sahabah thay . Main in sab hazrat ke samne ja kar khara ho gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke Ae Anas! Tumhein Abu Talha ne bheja ho ga . Main ne arz ki ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne poochha: khane ke saath ? Main ne arz ki , ji haan . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne sathiyon se farmaya ke khare ho jao . Chunanche Aap rawana huay . Main sab ke aage aage chalta raha . Jab Abu Talha razi Allahu anhu ke paas wapas pahuncha to unhon ne kaha: Umm Sulaym! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sahabah ko saath le kar tashreef laye hain , haalan ke hamare paas khane ka itna saman nahi jo sab ko kafi ho sake . Umm Sulaym razi Allahu anha is par bolien ke Allahaur is ka Rasool khoob jaante hain . Bayan kiya ke phir Abu Talha razi Allahu anhu (istiqbal ke liye) nikle aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mulaqat ki . Is ke baad Abu Talha razi Allahu anhu aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ghar ki taraf mutawajjo huay aur ghar mein dakhil ho gaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Umm Sulaym! Jo kuch tumhare paas hai woh yahan lao . Umm Sulaym razi Allahu anha roti laayein , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hukm diya aur is ka choora kar liya gaya . Umm Sulaym razi Allahu anhu ne apne ghee ke dabbe mein se ghee nichorr kar is ka maleeda bana liya , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua ki jo kuch Allah Ta'ala ne Aap se dua karani chahi , is ke baad farmaya ke in das das aadmiyon ko khane ke liye bula lo . Chunanche das sahabah ko bulaya . Sab ne khaya aur shikam-sair ho kar bahar chale gaye . Phir farmaya ke das ko aur bula lo , unhein bulaya gaya aur sab ne shikam-sair ho kar khaya aur bahar chale gaye . Phir Aap ne farmaya ke das sahabah ko aur bula lo , phir das sahabah ko bulaya gaya aur in logon ne bhi khoob pait bhar kar khaya aur bahar tashreef le gaye . Is ke baad phir das sahabah ko bulaya gaya is tarah tamam sahabah ne pait bhar kar khaya , is waqt assi (80) sahabah ki jama'at wahan maujood thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5382
حدثنا موسى، حدثنا معتمر، عن ابيه، قال: وحدث ابو عثمان ايضا، عن عبد الرحمن بن ابي بكر رضي الله عنهما، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم ثلاثين ومائة، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: هل مع احد منكم طعام؟ فإذا مع رجل صاع من طعام او نحوه فعجن، ثم جاء رجل مشرك مشعان طويل بغنم يسوقها، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: ابيع ام عطية، او قال: هبة، قال: لا، بل بيع، قال: فاشترى منه شاة، فصنعت، فامر نبي الله صلى الله عليه وسلم بسواد البطن يشوى وايم الله ما من الثلاثين ومائة إلا قد حز له حزة من سواد بطنها إن كان شاهدا اعطاها إياه وإن كان غائبا خباها له، ثم جعل فيها قصعتين، فاكلنا اجمعون وشبعنا وفضل في القصعتين، فحملته على البعير او كما قال".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne bayan kiya , in se un ke walid ne bayan kiya , unhon ne kaha ke Abu Usman Nahdi ne bhi bayan kiya aur in se Abdur Rahman bin Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke hum ek sau tees aadmi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tum mein se kisi ke paas khana hai . Ek sahab ne apne paas se ek saa ke qareeb aata nikala , usay goondh liya gaya , phir ek mushrik lamba taranga apni bakriyaan haankta hua idhar aa gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is se daryaft farmaya ke yeh bechne ki hain ya atiya hain ya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (atiya ke bajaye) hiba farmaya . Is shakhs ne kaha ke nahi balkay bechne ki hain . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is se ek bakri khareedi phir zibah ki gayi aur Aap ne is ki kaleji bhoone jaane ka hukm diya aur qasam Allah ki ek sau tees logon ki jama'at mein koi shakhs aisa nahi raha jise Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is bakri ki kaleji ka ek ek tukra kaat kar na diya ho magar woh maujood tha to usay wahien de diya aur agar woh maujood nahi tha to is ka hissa mahfooz rakkha , phir is bakri ke gosht ko paka kar do bare koundon mein rakkha aur hum sab ne in mein se pait bhar kar khaya phir bhi donon koundon mein khana bach gaya to main ne usay oont par laad liya . Abdur Rahman rawi ne aisa hi koi kalma kaha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5383
حدثنا مسلم، حدثنا وهيب، حدثنا منصور، عن امه، عن عائشة رضي الله عنها" توفي النبي صلى الله عليه وسلم حين شبعنا من الاسودين التمر والماء".
Hum se Muslim bin Ibrahim Qassab ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya , kaha hum se Mansoor bin Abdur Rahman ne bayan kiya , in se un ke walda (Safiya bin Shaybah) ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui , in dinon hum pani aur khajoor se sair ho jaane lage thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {لَيْسَ عَلَى الأَعْمَى حَرَجٌ} إِلَى قَوْلِهِ: {لَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ}:
Allah Taala ka (Surat An-Nur mein) farmana ke "andhe par koi harj nahin aur na langde par koi harj hai aur na mareez par koi harj, aakhir aayat "laallakum ta'aqiloon" tak.
Hadith Number: 5384
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال يحيى بن سعيد: سمعت بشير بن يسار، يقول: حدثنا سويد بن النعمان، قال:" خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى خيبر، فلما كنا بالصهباء، قال يحيى: وهي من خيبر على روحة دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم بطعام فما اتي إلا بسويق فلكناه، فاكلنا منه، ثم دعا بماء فمضمض ومضمضنا، فصلى بنا المغرب ولم يتوضا"، قال سفيان: سمعته منه عودا وبدءا.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya kaha Yahya bin Saeed Ansari ne bayan kiya , unhon ne Basheer bin Yasar se suna , kaha ke hum se Suwayd bin Numan razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Khaibar ki taraf (san 7 Hijri mein) nikle jab hum Maqam e Sahba par pahunche . Yahya ne bayan kiya ke Sahba Khaibar se dopahar ki raah par hai to is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khana talab farmaya lekin sattu ke siwa aur koi cheez nahi layi gayi , phir hum ne isi ko sookha phaank liya . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne pani talab farmaya aur kulli ki , hum ne bhi kulli ki . Is ke baad Aap ne hamain Maghrib ki namaz parhayi aur wuzu nahi kiya (Maghrib ke liye kyunke pehle se ba-wuzu thay) . Sufyan ne bayan kiya ke main ne Yahya se is hadees mein yun suna ke Aap ne na sattu khate waqt wuzu kiya na khane se farigh ho kar .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخُبْزِ الْمُرَقَّقِ وَالأَكْلِ عَلَى الْخِوَانِ وَالسُّفْرَةِ:
(Meeda ki bareek) chapatiyan khana aur khwan (dabez) aur dastarkhwan par khana.
Hadith Number: 5385
حدثنا محمد بن سنان، حدثنا همام، عن قتادة، قال: كنا عند انس وعنده خباز له، فقال:" ما اكل النبي صلى الله عليه وسلم خبزا مرققا ولا شاة مسموطة حتى لقي الله".
Hum se Muhammad bin Sinan ne bayan kiya , in se Hammam ne bayan kiya , in se Qatadah ne kaha ke hum Anas razi Allahu anhu ki khidmat mein baithe huay thay , is waqt in ka roti pakaane wala khadim bhi maujood tha . Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi chapati (maida ki roti) nahi khayi aur na sari dum-pukhta bakri khayi yahan tak ke Aap Allah se ja mile .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5386
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا معاذ بن هشام، قال: حدثني ابي، عن يونس، قال علي هو الإسكاف: عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" ما علمت النبي صلى الله عليه وسلم اكل على سكرجة قط ولا خبز له مرقق قط ولا اكل على خوان قط"، قيل لقتادة:" فعلى ما كانوا ياكلون؟ قال: على السفر".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Maaz bin Hisham ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya , in se Yunus ne , Ali bin Abdullah Madini ne kaha ke yeh Yunus Iskaaf hain (na ke Yunus bin Ubaid Basri) in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main nahi jaanta ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi tashtari rakh kar (ek waqt mukhtalif qism ka) khana khaya ho aur na kabhi Aap ne patli rotiyaan (chapatiyaan) khayein aur na kabhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne meiz par khaya . Qatadah se poochha gaya ke phir kis cheez par Aap khate thay ? Kaha ke Aap sufra (aam dastar-khwan) par khana khaya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5387
حدثنا ابن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، اخبرني حميد، انه سمع انسا، يقول:" قام النبي صلى الله عليه وسلم يبني بصفية، فدعوت المسلمين إلى وليمته امر بالانطاع فبسطت، فالقي عليها التمر والاقط والسمن"، وقال عمرو: عن انس،" بنى بها النبي صلى الله عليه وسلم ثم صنع حيسا في نطع".
Hum se Saeed bin Maryam ne bayan kiya , kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , kaha mujh ko Humayd ne khabar di aur unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Safiya razi Allahu anha se nikah ke baad un ke saath raste mein qiyam kiya aur main ne Musalmanon ko Aap ke walima ki dawat mein bulaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dastar-khwan bichhaane ka hukm diya aur woh bichhaya gaya , phir Aap ne is par khajoor , paneer aur ghee daal diya aur Amr bin Abi Amr ne kaha , in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Safiya razi Allahu anha ke saath sohbat ki , phir ek chamre ke dastar-khwan par (khajoor , ghee , paneer mila kar bana hua) halwa rakkha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5388
حدثنا محمد، اخبرنا ابو معاوية، حدثنا هشام، عن ابيه، وعن وهب بن كيسان، قال:" كان اهل الشام يعيرون ابن الزبير، يقولون: يا ابن ذات النطاقين. فقالت له اسماء: يا بني، إنهم يعيرونك بالنطاقين، هل تدري ما كان النطاقان؟ إنما كان نطاقي شققته نصفين، فاوكيت قربة رسول الله صلى الله عليه وسلم باحدهما وجعلت في سفرته آخر، قال: فكان اهل الشام إذا عيروه بالنطاقين، يقول: إيها والإله تلك شكاة ظاهر عنك عارها".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , kaha hum ko Abu Muawiyah ne khabar di , kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya , in se un ke walid ne aur Wahb bin Kaysan ne bayan kiya ke Ahl e Sham (Hajjaj bin Yusuf ke fauji) Sham ke log Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ko aar dilane ke liye kehne lage ”ya ibna zhaatin-nitaaqayni“ Ae do kamar-band wali ke bete aur un ki walda , Asmaa razi Allahu anha ne kaha , Ae bete! Yeh tumhein do kamar-band wali ki aar dilate hain , tumhein maloom hai woh kamar-band kiya thay ? Woh mera kamar-band tha jis ke main ne do tukre kar diye thay aur ek tukre se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke bartan ka munh baandha tha aur doosre se dastar-khwan banaya (is mein tosha lapaita) . Wahb ne bayan kiya ke phir jab Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ko Ahl e Sham do kamar-band wali ki aar dilate thay , to woh kehte haan . Allah ki qasam! Yeh beshak sach hai aur woh yeh misra parhte «tilka shakaatun zhahira-tun anka aaru-ha» yeh to waisa tana hai jis mein kuch aib nahi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5389
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس،" ان ام حفيد بنت الحارث بن حزن خالة ابن عباس اهدت إلى النبي صلى الله عليه وسلم سمنا واقطا واضبا، فدعا بهن، فاكلن على مائدته وتركهن النبي صلى الله عليه وسلم كالمستقذر لهن، ولو كن حراما ما اكلن على مائدة النبي صلى الله عليه وسلم ولا امر باكلهن".
Hum se Abu Nuayman ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya , in se Abu Bishr ne , in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khala Umm Hafeed bint Haris bin Huzan razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko ghee , paneer aur saahina hadiya ke taur par bheji . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne auraton ko bulaya aur unhon ne Aap ke dastar-khwan par saahina ko khaya lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay hath bhi nahi lagaya jaise Aap salla Allahu alaihi wasallam usay napasand karte hain . Lekin agar saahina haram hota to Aap ke dastar-khwan par khaya na jata aur na Aap unhein khane ke liye farmate .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة