الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ تَرَكَ الدَّعْوَةَ فَقَدْ عَصَى اللَّهَ وَرَسُولَهُ:
Bab: Jis kisi ne da’wat qabool karne se inkar kiya us ne Allah aur us ke Rasool ki nafarmani ki.
Hadith Number: 5177
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، انه كان يقول:" شر الطعام طعام الوليمة، يدعى لها الاغنياء ويترك الفقراء، ومن ترك الدعوة فقد عصى الله ورسوله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya, kaha hum se Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke walima ka woh khana bad-tareen khana hai jis mein sirf maldaron ko is ki taraf dawat di jaye aur muhtajon ko na khilaya jaye aur jis ne walima ki dawat qabool karne se inkar kiya us ne Allah aur us ke Rasool ki nafarmani ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَجَابَ إِلَى كُرَاعٍ:
Bab: Jis ne bakri ke khur ki da’wat ki to usay bhi qabool karna chahiye.
Hadith Number: 5178
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن ابي حازم، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لو دعيت إلى كراع لاجبت، ولو اهدي إلي كراع لقبلت".
Hum se Abdan ne byaan kiya, un se Abu Hamzah ne, un se Aamash ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar mujhe bakri ke khur ki dawat di jaye to main usay bhi qabool karoon ga aur agar mujhe woh khur bhi hadiya mein diye jayein to main usay qabool karoon ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِجَابَةِ الدَّاعِي فِي الْعُرْسِ وَغَيْرِهَا:
Bab: Har ek da’wat qabool karna shadi ki ho ya kisi aur baat ki.
Hadith Number: 5179
حدثنا علي بن عبد الله بن إبراهيم، حدثنا الحجاج بن محمد، قال: قال ابن جريج: اخبرني موسى بن عقبة، عن نافع، قال: سمعت عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اجيبوا هذه الدعوة إذا دعيتم لها"، قال: وكان عبد الله ياتي الدعوة في العرس وغير العرس وهو صائم.
Hum se Ali bin Abdullah bin Ibrahim ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Hajjaj bin Muhammad Awar ne byaan kiya, unhon ne kaha ke Ibn Jurayj ne kaha ke mujhko Musa bin Uqbah ne khabar di, unhein Nafi ne, unhon ne kaha ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is walima ki jab tumhein dawat di jaye to qabool karo. Byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma agar roze se hote jab bhi walima ki dawat ya kisi doosri dawat mein shirkat karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذَهَابِ النِّسَاءِ وَالصِّبْيَانِ إِلَى الْعُرْسِ:
Bab: Da’wat-e-shadi mein auraton aur bachchon ka bhi jana ja’iz hai.
Hadith Number: 5180
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" ابصر النبي صلى الله عليه وسلم نساء وصبيانا مقبلين من عرس، فقام ممتنا، فقال: اللهم انتم من احب الناس إلي".
Hum se Abdur Rahman bin al-Mubarak ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Suhayb ne byaan kiya, un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne auraton aur bachon ko kisi shadi se aate huay dekha to Aap salla Allahu alaihi wasallam khushi ke maarey jaldi se kharay ho gaye aur farmaya: ya Allah! (tu gawah reh) tum log sab logon se zyada mujhko mahboob ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يَرْجِعُ إِذَا رَأَى مُنْكَرًا فِي الدَّعْوَةِ:
Bab: Agar da’wat mein ja kar wahan koi kaam khilaaf-e-shara’ dekhe to laut aaye ya kya kare.
Hadith Number: Q5181
وراى ابو مسعود صورة في البيت فرجع ودعا ابن عمر ابا ايوب فراى في البيت سترا على الجدار، فقال ابن عمر:" غلبنا عليه النساء، فقال: من كنت اخشى عليه فلم اكن اخشى عليك والله لا اطعم لكم طعاما فرجع".
Aur Ibn Masood razi Allahu anhu ne (walime wale ghar mein) ek tasveer dekhi to woh wapas aa gaye. Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ek martaba Abu Ayub razi Allahu anhu ki dawat ki (Abu Ayub razi Allahu anhu ne) un ke ghar mein diwar par parda para hua dekha. Ibn Umar razi Allahu anhuma ne (mazrat karte huay) kaha ke auraton ne hamain ko majboor kar diya hai. Is par Abu Ayub razi Allahu anhu ne kaha ke aur logon ke mutalliq to mujhe is ka khatra thu lekin tumhare mutalliq mera yeh khayal nahi thu (ke tum bhi aisa karo ge) wallah! Main tumhare yahan khana nahi khaoon ga chunanche woh wapas aa gaye.
Hadith Number: 5181
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن القاسم بن محمد، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم،" انها اخبرته انها اشترت نمرقة فيها تصاوير، فلما رآها رسول الله صلى الله عليه وسلم قام على الباب فلم يدخل فعرفت في وجهه الكراهية، فقلت: يا رسول الله، اتوب إلى الله وإلى رسوله، ماذا اذنبت؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما بال هذه النمرقة؟ قالت: فقلت: اشتريتها لك لتقعد عليها وتوسدها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إن اصحاب هذه الصور يعذبون يوم القيامة ويقال لهم: احيوا ما خلقتم، وقال: إن البيت الذي فيه الصور لا تدخله الملائكة".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya, un se Nafi ne, un se Qasim bin Muhammad ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke unhon ne ek chhota sa gadda khareeda jis mein tasveerein bani hui thien. Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay dekha to darwaze par kharay ho gaye aur andar nahi aaye. Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehre par khafgi ke aasaar dekh liye aur arz kiya: ya Rasool Allah! Main Allah aur us ke Rasool se tauba karti hoon, main ne kya ghalati ki hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh gadda yahan kaise aaya? Byaan kiya ke main ne arz kiya main ne hi usay khareeda hai taake Aap is par baithein aur is par taik lagayein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke in tasveeron ke (banane walon ko) Qayamat ke din azab diya jaye ga aur in se kaha jaye ga ke jo tum ne tasveer saazi ki hai usay zinda bhi karo? Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jin gharon mein tasveerein hoti hain un mein (rahmat ke) farishte nahi aate.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِيَامِ الْمَرْأَةِ عَلَى الرِّجَالِ فِي الْعُرْسِ وَخِدْمَتِهِمْ بِالنَّفْسِ:
Bab: Shadi mein aurat mardon ka kaam kaaj khud apni zaat se kare to kaisa hai?
Hadith Number: 5182
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل، قال:" لما عرس ابو اسيد الساعدي دعا النبي صلى الله عليه وسلم واصحابه، فما صنع لهم طعاما ولا قربه إليهم إلا امراته ام اسيد بلت تمرات في تور من حجارة من الليل، فلما فرغ النبي صلى الله عليه وسلم من الطعام اماثته له، فسقته تتحفه بذلك".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya, kaha hum se Abu Ghassan Muhammad bin Mutarrif ne byaan kiya, kaha ke mujh se Abu Hazim (Salamah bin Dinar) ne byaan kiya, un se Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab Abu Usayd Saadi razi Allahu anhu ne shadi ki to unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap ke sahabah ko dawat di, is mauqa par khana in ki dulhan Umm Usayd hi ne tayyar kiya tha aur unhon ne hi mardon ke samne khana rakkha. Unhon ne patthar ke ek bare piyale mein raat ke waqt khajoorein bhigo di ku aur jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khane se farigh huay to unhon ne hi is ka sharbat banaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne (tuhfa ke taur par) peene ke liye pesh kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّقِيعِ وَالشَّرَابِ الَّذِي لاَ يُسْكِرُ فِي الْعُرْسِ:
Bab: Khajoor ka sharbat ya aur koi sharbat jis mein nasha na ho shadi mein pilana.
Hadith Number: 5183
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن القاري، عن ابي حازم، قال: سمعت سهل بن سعد،" ان ابا اسيد الساعدي دعا النبي صلى الله عليه وسلم لعرسه، فكانت امراته خادمهم يومئذ وهي العروس، فقالت: او قال: اتدرون ما انقعت لرسول الله صلى الله عليه وسلم؟ انقعت له تمرات من الليل في تور".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya, kaha hum se Yaqoob bin Abdur Rahman al-Qari ne byaan kiya, un se Abu al-Hazim ne, kaha ke main ne Sahl bin Saad razi Allahu anhu se suna ke Abu Usayd Saadi ne apni shadi ke mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dawat di. Is din in ki biwi hi sab ki khidmat kar rahi thien, haalan ke woh dulhan thien biwi ne kaha ya Sahl ne (rawi ko shak tha) ke tumhein maloom hai ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye kiya tayyar kiya tha? Main ne Aap ke liye ek bare piyale mein raat ke waqt se khajoor ka sharbat tayyar kiya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُدَارَاةِ مَعَ النِّسَاءِ:
Bab: Auraton ke sath khush-khulqi se pesh aana.
Hadith Number: Q5184
وقول النبي صلى الله عليه وسلم:" إنما المراة كالضلع".
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh farmana ke aurat pasli ki tarah hai.
Hadith Number: 5184
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" المراة كالضلع، إن اقمتها كسرتها وإن استمتعت بها استمتعت بها وفيها عوج".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya, ke hum se Imam Malik ne byaan kiya, un se Abu al-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aurat misl pasli ke hai, agar tum usay seedha karna chaho ge to torr do ge aur agar is se faida haasil karna chaho ge to is ki teerh ke saath hi faida haasil karo ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة