الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يَخْطُبُ عَلَى خِطْبَةِ أَخِيهِ، حَتَّى يَنْكِحَ أَوْ يَدَعَ:
Bab: Kisi musalman bhai ne ek aurat ko paigham bheja ho to doosra shakhs us ko paigham na bheje jab tak woh us se nikah na kare ya paigham na chhor de yani mangni tor de.
Show diacritics
Hadith Number: 5143
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن جعفر بن ربيعة، عن الاعرج، قال: قال ابو هريرة ياثر: عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إياكم والظن، فإن الظن اكذب الحديث، ولا تجسسوا، ولا تحسسوا، ولا تباغضوا، وكونوا إخوانا.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Jafar bin Rabee , un se Aaraj ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat karte hain ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bad-gumani se bachte raho kyunke bad-gumani sab se jhooti baat hai (aur logon ke raazon ki) khod kureed na kiya karo aur na (logon ki niji guftaguon ko) kaan laga kar suno , aapas mein dushmani na paida karo balkay bhai bhai ban kar raho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5144
ولا يخطب الرجل على خطبة اخيه حتى ينكح او يترك".
Aur koi shakhs apne bhai ke paigham par paigham na bheje yahan tak ke woh nikah kare ya chhor de .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَفْسِيرِ تَرْكِ الْخِطْبَةِ:
Bab: Paigham chhor dene ki wajah bayan karna.
Show diacritics
Hadith Number: 5145
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم بن عبد الله، انه سمع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يحدث،" ان عمر بن الخطاب حين تايمت حفصة، قال عمر: لقيت ابا بكر، فقلت: إن شئت انكحتك حفصة بنت عمر، فلبثت ليالي، ثم خطبها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلقيني ابو بكر، فقال: إنه لم يمنعني ان ارجع إليك فيما عرضت إلا اني قد علمت ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قد ذكرها فلم اكن لافشي سر رسول الله صلى الله عليه وسلم، ولو تركها لقبلتها". تابعه يونس، وموسى بن عقبة، وابن ابي عتيق، عن الزهري.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne , kaha ke mujhe Salim bin Abdullah ne khabar di , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna , woh byaan karte thay ke Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke meri beti Hafsa razi Allahu anha bewa huien to main Abu Bakr Siddique razi Allahu anhu se mila aur in se kaha ke agar Aap chahein to main Aap ka nikah azeeza Hafsa bint Umar razi Allahu anhuma se kar doon . Phir kuch dinon ke baad Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne in ke nikah ka paigham bheja is ke baad Abu Bakr razi Allahu anhu mujh se milay aur kaha Aap ne jo surat mere samne rakkhi thi is ka jawab main ne sirf is wajah se nahi diya tha ke mujhe maloom tha Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne in ka zikr kiya hai . Main nahi chahta ke Aap ka raaz kholoon haan Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam unhein chhor dete to main un ko qabool kar leta . Shuayb ke saath is hadees ko Yunus bin Yazid aur Musa bin Uqbah aur Muhammad bin Abi Ateeq ne bhi Zuhri se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخُطْبَةِ:
Bab: (Aqd se pehle) nikah ka khutbah parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 5146
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن زيد بن اسلم، قال: سمعت ابن عمر، يقول: جاء رجلان من المشرق فخطبا، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن من البيان سحرا".
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Zayd bin Aslam ne kaha ke main ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke do aadmi Madinah ke mashriq ki taraf se aaye , woh Musalman ho gaye aur khutba diya , nihayat faseeh o baleegh . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke baaz taqreer jadoo ki asar karti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ضَرْبِ الدُّفِّ فِي النِّكَاحِ وَالْوَلِيمَةِ:
Bab: Nikah aur waleemah ki da’wat mein daff bajana.
Show diacritics
Hadith Number: 5147
حدثنا مسدد، حدثنا بشر بن المفضل، حدثنا خالد بن ذكوان، قال: قالت الربيع بنت معوذ بن عفراء:" جاء النبي صلى الله عليه وسلم، فدخل حين بني علي، فجلس على فراشي كمجلسك مني، فجعلت جويريات لنا يضربن بالدف ويندبن من قتل من آبائي يوم بدر، إذ قالت إحداهن: وفينا نبي يعلم ما في غد، فقال: دعي هذه، وقولي بالذي كنت تقولين".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se بشر bin Mufaddal ne byaan kiya , kaha hum se Khalid bin Zhakwan ne byaan kiya , ke Rabia bint Muawwiz Ibn Afra razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye aur jab main dulhan bana kar bithaayi gayi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam andar tashreef laye aur mere bistar par baithe isi tarah jaise tum is waqt meere paas baithe huay ho . Phir hamare yahan ki kuch larkiyaan duff bajane lagein aur mere baap aur chacha jo Jang e Badr mein shaheed huay thay , in ka marsiya parhne lagein . Itne mein , in mein se ek larki ne parha , aur hum mein ek Nabi hai jo in baaton ki khabar rakhte hai jo kuch kal hone wali hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh chhor do . Is ke siwa jo kuch tum parh rahi thien woh parho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَآتُوا النِّسَاءَ صَدُقَاتِهِنَّ نِحْلَةً}:
Bab: Allah Taala ka farmaan“wa aatoo an-nisaa’a saduqaatihinna nihlatan”.
Show diacritics
Hadith Number: Q5148
وكثرة المهر، وادنى ما يجوز من الصداق، وقوله تعالى: {وآتيتم إحداهن قنطارا فلا تاخذوا منه شيئا} وقوله جل ذكره: {او تفرضوا لهن} وقال سهل قال النبي صلى الله عليه وسلم: «ولو خاتما من حديد» .
”aur auraton ko un ka mahr khush-dili se ada kar do aur mahr zyada rakhna aur kam se kam kitna mahr jaiz hai aur Allah Ta'ala ka farman (Surah Nisa mein) aur agar tum ne in auraton mein se kisi ko mahr mein dhair ka dhair diya ho , jab bhi is se wapas na lo aur Allah Ta'ala ka farman (Surah al-Baqarah mein) ya tum ne in ke liye kuch mahr ke taur par muqarrar kiya ho .“ Aur Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kuch to dhoondh kar la agarchay lohe ki ek angoothi hi sahi .


Show diacritics
Hadith Number: 5148
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عبد العزيز بن صهيب، عن انس،" ان عبد الرحمن بن عوف تزوج امراة على وزن نواة، فراى النبي صلى الله عليه وسلم بشاشة العرس فساله، فقال: إني تزوجت امراة على وزن نواة". وعن قتادة، عن انس، ان عبد الرحمن بن عوف تزوج امراة على وزن نواة من ذهب.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , in se Abdul Aziz bin Suhayb ne byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Abdur Rahman bin Auf razi Allahu anhu ne ek khatoon se ek ghulli ke wazan ke barabar (sone ke mahr par) nikah kiya . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam shadi ki khushi in mein dekhi to in se poocha . Unhon ne arz kiya ke main ne ek aurat se ek ghulli ke barabar nikah kiya hai aur Qatadah razi Allahu anhu ne Anas razi Allahu anhu se yeh riwayat is tarah naqal ki hai ke Abdur Rahman bin Auf razi Allahu anhu ne ek aurat se . Ek ghulli ke wazan ke barabar sone par nikah kiya thu .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّزْوِيجِ عَلَى الْقُرْآنِ وَبِغَيْرِ صَدَاقٍ:
Bab: Quran ki ta’leem mehr ho sakti hai is tarah agar mehr ka zikr hi na kare tab bhi nikah sahi ho jayega (aur mehr-e-mithl lazim ho ga).
Show diacritics
Hadith Number: 5149
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، سمعت ابا حازم، يقول: سمعت سهل بن سعد الساعدي، يقول:" إني لفي القوم عند رسول الله صلى الله عليه وسلم إذ قامت امراة، فقالت: يا رسول الله، إنها قد وهبت نفسها لك، فر فيها رايك؟ فلم يجبها شيئا، ثم قامت، فقالت: يا رسول الله، إنها قد وهبت نفسها لك، فر فيها رايك؟ فلم يجبها شيئا، ثم قامت الثالثة، فقالت: إنها قد وهبت نفسها لك، فر فيها رايك؟ فقام رجل، فقال: يا رسول الله، انكحنيها، قال: هل عندك من شيء؟ قال: لا، قال: اذهب فاطلب ولو خاتما من حديد، فذهب فطلب، ثم جاء، فقال: ما وجدت شيئا ولا خاتما من حديد، فقال: هل معك من القرآن شيء؟ قال: معي سورة كذا وسورة كذا، قال: اذهب فقد انكحتكها بما معك من القرآن".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha main ne Abu Hazim se suna, woh kehte thay ke main ne Sahl bin Saad Saadi se suna, unhon ne byaan kiya ke main logon ke saath Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir tha is mein ek khatoon khari huien aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Main apne aap ko Aap ke liye hiba karti hoon Aap ab jo chahein karein. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein koi jawab nahi diya. Woh phir khari hui aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Main ne apne aap ko Aap ke liye hiba kar diya hai Aap jo chahein karein. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi koi jawab nahi diya. Woh teesri martaba khari huien aur kaha ke unhon ne apne aap ko Aap salla Allahu alaihi wasallam ke liye hiba kar diya, Aap jo chahein karein. Is ke baad ek sahabi kharay huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! In ka nikah mujh se kar dijiye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se daryaft farmaya ke tumhare paas kuch hai? Unhon ne arz kiya ke nahi. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jao aur talash karo ek lohe ki angoothi bhi agar mil jaye le aao. Woh gaye aur talash kiya, phir wapas aa kar arz kiya ke main ne kuch nahi paaya, lohe ki ek angoothi bhi nahi mili. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tumhare paas kuch Quran hai? Unhon ne arz kiya ke ji haan. Mere paas falan falan surtein hain Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir jao main ne tumhara nikah in se is Quran par kiya jo tum ko yaad hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَهْرِ بِالْعُرُوضِ وَخَاتَمٍ مِنْ حَدِيدٍ:
Bab: Koi jins ya lohe ki anguthi mehr ho sakti hai go naqd rupaya na ho.
Show diacritics
Hadith Number: 5150
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن سفيان، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال لرجل:" تزوج ولو بخاتم من حديد".
Hum se Yahya ne byaan kiya, kaha hum se Waki ne byaan kiya, un se Sufyan ne un se Abu Hazim ne aur un se sahabi Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek aadmi se farmaya ke nikah kar, khwah lohe ki ek angoothi par hi ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الشُّرُوطِ فِي النِّكَاحِ:
Bab: Nikah mein jo sharten ki jayen (un ka poora karna zaroori hai).
Show diacritics
Hadith Number: Q5151
وقال المسور بن مخرمة: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم" ذكر صهرا له فاثنى عليه في مصاهرته فاحسن". قال: حدثني فصدقني ووعدني فوفى لي.
Aur Umar razi Allahu anhu ne kaha haq ka poora karna isi waqt ho ga jab shart poori ki jaye aur Miswar bin Makhramah razi Allahu anhu ne kaha main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apne ek damad (Abu al-Aas) ka zikr farmaya aur un ki tareef ki ke damadi ka haq unhon ne ada kiya jo baat kahi woh sach kahi aur jo waada kiya woh poora kiya.