الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ تُنْكَحُ الْمَرْأَةُ عَلَى عَمَّتِهَا:
Bab: Is bayan mein ke agar phoophee ya khalah nikah mein ho to us ki bhatiji ya bhanji ko nikah mein nahi laya ja sakta.
Show diacritics
Hadith Number: 5109
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يجمع بين المراة وعمتها، ولا بين المراة وخالتها".
Hum se Abdur Rahman ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah ne khabar di , kaha hum ko Aasim ne khabar di , unhein Shabi ne aur unhon ne Jabir razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kisi aaisi aurat se nikah karne se mana kiya tha jis ki phoopi ya khala is ke nikah mein ho . Aur Dawood bin Aun ne Shabi se byaan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5110
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، قال: اخبرني يونس، عن الزهري، قال: حدثني قبيصة بن ذؤيب، انه سمع ابا هريرة، يقول:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان تنكح المراة على عمتها والمراة وخالتها"، فنرى خالة ابيها بتلك المنزلة.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhein Abu al-Zinad ne , unhein Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi aurat ko is ki phoopi ya is ki khala ke saath nikah mein jama na kiya jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5111
لان عروة حدثني، عن عائشة، قالت: حرموا من الرضاعة ما يحرم من النسب.
Hum se Abdullah bin Mubarak ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah ne khabar di , kaha ke mujhe Yunus ne khabar di , unhein Zuhri ne , kaha ke mujh se Qubaysah bin Zuwayb ne byaan kiya aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , woh byaan kar rahe thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne is se mana kiya hai ke kisi aurat ko is ki phoopi ya is ki khala ke saath nikah mein jama kiya jaye (Zuhri ne kaha ke) hum samajhte hain ke aurat ke baap ki khala bhi (haram hone mein) isi darja mein hai kyunke (agli hadees dekhein) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الشِّغَارِ:
Bab: Nikah-e-shighar ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 5112
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن الشغار"، والشغار: ان يزوج الرجل ابنته على ان يزوجه الآخر ابنته ليس بينهما صداق.
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Imam Malik rahmahullah ne khabar di , unhein Nafi ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne shighar se mana farmaya hai . Shighar yeh hai ke koi shakhs apni larki ya behen ka nikah is shart ke saath kare ke woh doosra shakhs apni (beti ya behen) us ko biyah de aur kuch mahr na thehre .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ لِلْمَرْأَةِ أَنْ تَهَبَ نَفْسَهَا لأَحَدٍ:
Bab: Kya koi aurat kisi se nikah ke liye apne aap ko hibah kar sakti hai?
Show diacritics
Hadith Number: 5113
حدثنا محمد بن سلام، حدثنا ابن فضيل، حدثنا هشام، عن ابيه، قال:" كانت خولة بنت حكيم من اللائي وهبن انفسهن للنبي صلى الله عليه وسلم، فقالت عائشة: اما تستحي المراة ان تهب نفسها للرجل؟، فلما نزلت: ترجي من تشاء منهن سورة الاحزاب آية 51، قلت: يا رسول الله، ما ارى ربك إلا يسارع في هواك". رواه ابو سعيد المؤدب، ومحمد بن بشر، وعبدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة يزيد بعضهم على بعض.
Hum se Muhammad bin Salam ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Fudayl ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se un ke walid ne byaan kiya ke Khawla bint Hakeem razi Allahu anha in auraton mein se thien jinon ne apne aap ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke liye hiba kiya tha . Is par Aisha razi Allahu anha ne kaha ke ek aurat apne aap ko kisi mard ke liye hiba karte sharmati nahi . Phir jab aayat «turji-u man tashaa-u minhunna» ”Ae Paighambar! Tu apni jis biwi ko chahe peeche daal de aur jise chahe apne paas jagah de“ nazil hui to main ne kaha: ya Rasool Allah! Ab main samjhi Allah Ta'ala jald jald Aap ki khushi ko poora karta hai . Is hadees ko Abu Saeed (Muhammad bin Muslim) , Mua'ddib aur Muhammad bin Bashar aur Abdah bin Sulayman ne bhi Hisham se , unhon ne apne walid se , unhon ne Aisha razi Allahu anha se riwayat kiya hai . Ek ne doosre se kuch zyada mazmoon naqal kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نِكَاحِ الْمُحْرِمِ:
Bab: Ihram wala shakhs sirf nikah (aqd) kar sakta hai haalat-e-ihram mein apni biwi se jima’ karna ja’iz nahi hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5114
حدثنا مالك بن إسماعيل، اخبرنا ابن عيينة، اخبرنا عمرو، حدثنا جابر بن زيد، قال: انبانا ابن عباس رضي الله عنهما،" تزوج النبي صلى الله عليه وسلم وهو محرم".
Hum se Malik bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum ko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di , kaha hum ko Amr bin Dinar ne khabar di , kaha hum se Jabir bin Zayd ne byaan kiya , kaha hum ko Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (Maymoonah razi Allahu anha se) nikah kiya aur is waqt Aap ihram baandhe huay thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَهْيِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ نِكَاحِ الْمُتْعَةِ آخِرًا:
Bab: Aakhir mein Rasoolullah ﷺ ne nikah-e-mut’ah se mana’ kar diya tha (is liye ab mut’ah haram hai).
Show diacritics
Hadith Number: 5115
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا ابن عيينة، انه سمع الزهري، يقول: اخبرني الحسن بن محمد بن علي، واخوه عبد الله بن محمد،عن ابيهما، ان عليا رضي الله عنه، قال لابن عباس: إن النبي صلى الله عليه وسلم" نهى عن المتعة، وعن لحوم الحمر الاهلية زمن خيبر".
Hum se Malik bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , unhon ne Zuhri se suna , woh byaan karte thay ke mujhe Hasan bin Muhammad bin Ali aur un ke bhai Abdullah bin Muhammad bin Ali ne apne walid (Muhammad bin al-Hanafiyyah) se khabar di ke Ali razi Allahu anhu ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne muta aur paltu gadhe ke gosht se Jang e Khaibar ke zamana mein mana farmaya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5116
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي جمرة، قال: سمعت ابن عباس سئل عن متعة النساء، فرخص، فقال له مولى له: إنما ذلك في الحال الشديد، وفي النساء قلة او نحوه، فقال ابن عباس: نعم".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne byaan kiya , un se Abu Jamrah ne byaan kiya , kaha main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , in se auraton ke saath nikah e muta karne ke mutalliq sawal kiya gaya thu to unhon ne is ki ijazat di , phir un ke ek ghulam ne in se poocha ke is ki ijazat sakht majboori ya auraton ki kami ya isi jaisi suraton mein ho gi ? To Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke haan . (Note: Yeh hurmat se qabal ki baat hai baad mein har halat mein har shakhs ke liye muta haram qarar diya gaya jo Qayamat tak ke liye hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5117
حدثنا علي، حدثنا سفيان، قال عمرو، عن الحسن بن محمد، عن جابر بن عبد الله وسلمة بن الاكوع، قالا: كنا في جيش فاتانا رسول رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" إنه قد اذن لكم ان تستمتعوا فاستمتعوا".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Amr bin Dinar ne byaan kiya , un se Hasan bin Muhammad bin Ali bin Abi Talib ne aur un se Jabir bin Abdullah Ansari aur Salamah bin al-Akwa ne byaan kiya ke hum ek lashkar mein thay . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam hamare paas tashreef laye aur farmaya ke tumhein muta karne ki ijazat di gayi hai is liye tum nikah kar sakte ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5118
حدثنا علي، حدثنا سفيان، قال عمرو، عن الحسن بن محمد، عن جابر بن عبد الله وسلمة بن الاكوع، قالا: كنا في جيش فاتانا رسول رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" إنه قد اذن لكم ان تستمتعوا فاستمتعوا".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Amr bin Dinar ne byaan kiya , un se Hasan bin Muhammad bin Ali bin Abi Talib ne aur un se Jabir bin Abdullah Ansari aur Salamah bin al-Akwa ne byaan kiya ke hum ek lashkar mein thay . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam hamare paas tashreef laye aur farmaya ke tumhein muta karne ki ijazat di gayi hai is liye tum nikah kar sakte ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة