الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الثَّيِّبَاتِ:
Bab: Bewah auraton ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q5079
وقالت ام حبيبة: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تعرضن علي بناتكن ولا اخواتكن".
Aur Ummul Momineen Umm-e-Habiba Radi Allahu Anha ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Apni betiyan aur behnein nikah ke liye mere samne mat pesh kiya karo.“


Show diacritics
Hadith Number: 5079
حدثنا ابو النعمان، حدثنا هشيم، حدثنا سيار، عن الشعبي، عن جابر بن عبد الله، قال:" قفلنا مع النبي صلى الله عليه وسلم من غزوة فتعجلت على بعير لي قطوف، فلحقني راكب من خلفي فنخس بعيري بعنزة كانت معه، فانطلق بعيري كاجود ما انت راء من الإبل، فإذا النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: ما يعجلك؟ قلت: كنت حديث عهد بعرس، قال: بكرا ام ثيبا، قلت: ثيبا، قال: فهلا جارية تلاعبها وتلاعبك، قال: فلما ذهبنا لندخل، قال: امهلوا حتى تدخلوا ليلا اي عشاء لكي تمتشط الشعثة وتستحد المغيبة".
`Hum se Abu Nu'man ne bayan kiya, kaha hum se Hushaim ne bayan kiya, kaha hum se Sayyar bin Abi Sayyar ne bayan kiya, un se Aamir Shabi ne aur un se Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke hum Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath ek jihad se wapas ho rahe thay. Mein apne oont ko, jo sust tha tez chalane ki koshish kar raha tha. Itne mein mere peeche se ek suwar mujh se aa kar mila aur apna naiza mere oont ko chabhoo diya. Is ki wajah se mera oont tez chal para jaisa ke kisi umda qism ke oont ki chaal tum ne dekhi ho gi. Achanak Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mil gaye. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne daryaft farmaya jaldi kyun kar rahe ho? Mein ne arz kiya abhi meri shadi nayi hui hai. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne daryaft farmaya ke kanwari se ya bewa se? Mein ne arz kiya ke bewa se. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke kisi kanwari se kyun na ki tum is ke saath khel kood karte aur wo tumhare saath karti. Bayan kiya ke phir jab hum Madinah mein dakhil hone wale thay to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke thodi der thehar jao aur raat ho jaye tab dakhil ho taake pareshan balon wali kangha kar lewe aur jin ke shohar maujood nahi thay wo apne baal saaf kar lein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5080
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محارب، قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول: تزوجت، فقال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما تزوجت؟ فقلت: تزوجت ثيبا، فقال: ما لك وللعذارى ولعابها، فذكرت ذلك لعمرو بن دينار، فقال عمرو: سمعت جابر بن عبد الله، يقول: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هلا جارية تلاعبها وتلاعبك".
`Hum se Adam bin Abi Ayas ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, kaha hum se Muharib bin Disar ne bayan kiya, kaha ke mein ne Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma se suna, unhon ne arz kiya ke mein ne shadi ki to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mujh se daryaft farmaya ke kis se shadi ki hai? Mein ne arz kiya ke ek aurat se. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya kanwari se kyun na ki ke is ke saath tum khel kood karte. Muharib ne kaha ke phir mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka yeh irshad Amr bin Dinar se bayan kiya to unhon ne kaha ke mein ne Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma se suna hai. Mujh se unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka farman is tarah bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne mujh se farmaya ke tum ne kisi kanwari aurat se shadi kyun na ki ke tum is ke saath khel kood karte aur wo tumhare saath khelti.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَزْوِيجِ الصِّغَارِ مِنَ الْكِبَارِ:
Bab: Kam umr ki aurat se zyada umr wale mard ke sath shadi ka hona.
Show diacritics
Hadith Number: 5081
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، عن يزيد، عن عراك، عن عروة، ان النبي صلى الله عليه وسلم" خطب عائشة إلى ابي بكر، فقال له ابو بكر: إنما انا اخوك، فقال: انت اخي في دين الله وكتابه وهي لي حلال".
`Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne, un se Yazid bin Habib ne, un se Irak bin Malik ne aur un se Urwa ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Aisha Radi Allahu Anha se shadi ke liye Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu se kaha. Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se arz ki ke mein Aap ka bhai hoon. (to Aisha se kaise nikah karein ge) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Allah ke deen aur is ki kitab par iman lane ke rishte se tum mere bhai ho aur Aisha mere liye halal hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِلَى مَنْ يَنْكِحُ:
Bab: Kis qism ki aurat se nikah kiya jaye?
Show diacritics
Hadith Number: Q5082
واي النساء خير، وما يستحب ان يتخير لنطفه من غير إيجاب.
Aur kaun si aurat behtar hai aur mard ke liye acchi aurat ko apni nasl ke liye biwi banana behtar hai, magar yeh wajib nahi hai.


Show diacritics
Hadith Number: 5082
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خير نساء ركبن الإبل صالح نساء قريش، احناه على ولد في صغره، وارعاه على زوج في ذات يده".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shu'ba ne khabar di, un se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke oont par sawar hone wali (Arab) aurton mein behtareen aurat Quraish ki saaleh aurat hoti hai jo apne bacche se bahut zyada muhabbat karne wali aur apne shohar ke maal asbab mein is ki bahut umda nigahban o nigraan sabit hoti hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اتِّخَاذِ السَّرَارِيِّ:
Bab: Laundiyon ka rakhna kaisa hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q5083
ومن اعتق جاريته ثم تزوجها.
Aur is shakhs ka sawab jis ne apni laundi ko azad kiya aur phir is se shadi kar li.


Show diacritics
Hadith Number: 5083
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا صالح بن صالح الهمداني، حدثنا الشعبي، قال: حدثني ابو بردة، عن ابيه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ايما رجل كانت عنده وليدة فعلمها فاحسن تعليمها، وادبها فاحسن تاديبها، ثم اعتقها وتزوجها فله اجران، وايما رجل من اهل الكتاب آمن بنبيه وآمن بي فله اجران، وايما مملوك ادى حق مواليه وحق ربه فله اجران"، قال الشعبي: خذها بغير شيء قد كان الرجل يرحل فيما دونه إلى المدينة، وقال ابو بكر: عن ابي حصين، عن ابي بردة، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" اعتقها ثم اصدقها".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne, kaha hum se Salih bin Salih Hamdani ne, kaha hum se Aamir Shabi ne, kaha ke mujh se Abu Burda ne bayan kiya apne walid se, unhon ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jis shakhs ke paas laundi ho wo ise taleem de aur khoob acchi tarah de, ise adab sikhaye aur poori koshish aur mehnat ke saath sikhaye aur is ke baad ise azad kar ke is se shadi kar le to ise dohra sawab milta hai aur Ahl-e-Kitab mein se jo shakhs bhi apne Nabi par iman rakhta ho aur mujh par iman laye to ise dohra sawab milta hai aur jo gulam apne aqa ke huqooq bhi ada karta hai aur apne Rabb ke huqooq bhi ada karta hai ise dohra sawab milta hai. Aamir Shabi ne (apne shagird se is hadees ko sunane ke baad kaha ke bagair kisi mushaqqat aur mehnat ke ise seekh lo. Is se pehle talib-ilmon ko is hadees se kam ke liye bhi Madinah tak ka safar karna parta tha. Aur Abu Bakr ne bayan kiya Abu Haseen se, us ne Abu Burda se, us ne apne walid se aur unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se ke is shakhs ne baandi ko (nikah karne ke liye) azad kar diya aur yahi azadi is ka mahr muqarrar ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5084
حدثنا سعيد بن تليد، قال: اخبرني ابن وهب، قال: اخبرني جرير بن حازم، عن ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم. ح حدثنا سليمان، عن حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لم يكذب إبراهيم إلا ثلاث كذبات"، بينما إبراهيم مر بجبار ومعه سارة، فذكر الحديث فاعطاها هاجر، قالت: كف الله يد الكافر واخدمني آجر، قال ابو هريرة: فتلك امكم يا بني ماء السماء.
`Hum se Said bin Taleed ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abdullah bin Wahb ne khabar di, kaha ke mujhe Jareer bin Hazim ne khabar di, unhein Ayub Sakhtiyani ne, unhein Muhammad bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya. (Doosri sanad) Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, un se Hammad bin Zaid ne, un se Ayub Sakhtiyani ne, un se Muhammad bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Ibrahim Alaihis Salam ki zaban se teen martaba ke siwa kabhi deen mein jhoot baat nahi nikli. Ek martaba Aap ek zalim badshah ki hukumat se guzre Aap ke saath Aap ki biwi Sarah Alaihas Salam theen. Phir poora waqia bayan kiya (ke badshah ke samne) Aap ne Sarah Alaihas Salam ko apni behn (yaani deeni behn) kaha. Phir is badshah ne Sarah Alaihas Salam ko Aajar (Hajira) ko de diya. (Bibi Sarah Alaihas Salam ne Ibrahim Alaihis Salam se) kaha ke Allah Ta'ala ne kafir ke haath ko rook diya aur Aajar (Hajira) ko meri khidmat ke liye dilwa diya. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke ay aasman ke pani ke beto! yaani ay Arab walo! yahi Hajira Alaihas Salam tumhari maan hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5085
حدثنا قتيبة، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن حميد، عن انس رضي الله عنه، قال:" اقام النبي صلى الله عليه وسلم بين خيبر والمدينة ثلاثا يبنى عليه بصفية بنت حيي، فدعوت المسلمين إلى وليمته فما كان فيها من خبز ولا لحم، امر بالانطاع، فالقى فيها من التمر والاقط والسمن، فكانت وليمته، فقال: المسلمون إحدى امهات المؤمنين او مما ملكت يمينه، فقالوا: إن حجبها فهي من امهات المؤمنين، وإن لم يحجبها فهي مما ملكت يمينه، فلما ارتحل وطى لها خلفه، ومد الحجاب بينها وبين الناس".
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha ke hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya, un se Humaidi ne aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Khaibar aur Madinah ke darmiyan teen din tak qiyam kiya aur yahin Ummul Momineen Safiyya bint Huyayy Radi Allahu Anha ke saath khalwat ki. Phir mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke walima ki musalmanon ko dawat di. Is dawat-e-walima mein na to roti thi aur na gosht tha. Dastar khwan bichane ka hukm hua aur is par khajoor, paneer aur ghee rakh diya gaya aur yahi Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka walima tha. Baaz musalmanon ne poocha ke Safiyya Ummahatul Momineen mein se hain (yaani Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un se nikah kiya hai) ya laundi ki haisiyat se Aap ne un ke saath khalwat ki hai? Is par kuch logon ne kaha ke agar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم un ke liye parda ka intezam farmayein to is se sabit ho ga ke wo Ummahatul Momineen mein se hain aur agar un ke liye parda ka ahtimam na karein to is se sabit ho ga ke wo laundi ki haisiyat se Aap ke saath hain. Phir jab kooch karne ka waqt hua to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke liye apni sawari par baithne ke liye jagah banayi aur un ke liye parda dala taake logon ko wo nazar na aayein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة