الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ تَزْوِيجِ الْمُعْسِرِ الَّذِي مَعَهُ الْقُرْآنُ وَالإِسْلاَمُ:
Bab: Aise tang-dast ki shadi karana jis ke paas sirf Quran Majeed aur Islam hai.
Hadith Number: 5071
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا إسماعيل، قال: حدثني قيس، عن ابن مسعود رضي الله عنه، قال:" كنا نغزو مع النبي صلى الله عليه وسلم ليس لنا نساء، فقلنا: يا رسول الله، الا نستخصي؟ فنهانا عن ذلك".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Ismail ne byaan kiya , un se Qays ne byaan kiya aur un se Ibn Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath jihad kiya karte thay aur hamare saath biwiyaan nahi thien . Is liye hum ne kaha ke ya Rasool Allah! Hum apne aap ko khasi kyun na kar lein ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne hamain is se mana farmaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ لأَخِيهِ انْظُرْ أَيَّ زَوْجَتَيَّ شِئْتَ حَتَّى أَنْزِلَ لَكَ عَنْهَا:
Bab: Kisi shakhs ka apne bhai se ye kehna ke tum meri jis biwi ko bhi pasand kar lo mein usay tumhare liye talaq de doonga.
Hadith Number: Q5072
رواه عبد الرحمن بن عوف.
Is ko Abdur Rahman bin Auf ne bhi riwayat kiya hai .
Hadith Number: 5072
حدثنا محمد بن كثير، عن سفيان، عن حميد الطويل، قال: سمعت انس بن مالك، قال: قدم عبد الرحمن بن عوف فآخى النبي صلى الله عليه وسلم بينه وبين سعد بن الربيع الانصاري، وعند الانصاري امراتان، فعرض عليه ان يناصفه اهله وماله، فقال: بارك الله لك في اهلك ومالك، دلوني على السوق، فاتى السوق فربح شيئا من اقط وشيئا من سمن، فرآه النبي صلى الله عليه وسلم بعد ايام وعليه وضر من صفرة، فقال:" مهيم يا عبد الرحمن، فقال: تزوجت انصارية، قال: فما سقت إليها، قال: وزن نواة من ذهب، قال: اولم ولو بشاة".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne, un se Humaid Taweel ne bayan kiya ke mein ne Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, bayan kiya ke Abdur Rahman bin Auf Radi Allahu Anhu (hijrat kar ke Madinah) aaye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke aur Saad bin Rabee Ansari Radi Allahu Anhu ke darmiyan bhai chara karaya. Saad Ansari Radi Allahu Anhu ke nikah mein do biwiyan theen. Unhon ne Abdur Rahman Radi Allahu Anhu se kaha ke wo un ke ahl (biwi) aur maal mein se aadhe lein. Is par Abdur Rahman ne kaha ke Allah Ta'ala aap ke ahl aur aap ke maal mein barkat de, mujhe to bazar ka rasta bata do. Chunancha aap bazar aaye aur yahan aap ne kuch paneer aur kuch ghee ki tijarat ki aur nafa kamaya. Chand dinon ke baad un par zafran ki zardi lagi hui thi. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne daryaft farmaya ke Abdur Rahman yeh kya hai? Unhon ne arz kiya ke mein ne ek Ansari khatoon se shadi kar li hai. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne daryaft farmaya ke unhein mahr mein kya diya arz kiya ke ek guthli barabar sona diya hai. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke phir walima kar agarche ek bakri hi ka ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ التَّبَتُّلِ وَالْخِصَاءِ:
Bab: Mujarrad rehna aur apne ko namard bana dena mana’ hai.
Hadith Number: 5073
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا إبراهيم بن سعد، اخبرنا ابن شهاب، سمع سعيد بن المسيب، يقول: سمعت سعد بن ابي وقاص، يقول:رد رسول الله صلى الله عليه وسلم على عثمان بن مظعون التبتل"، ولو اذن له لاختصينا.
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Shihab ne khabar di, unhon ne Said bin Musayyib se suna, wo kehte hain ke mein ne Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne «Tabattul» yaani aurton se alag rehne ki zindagi se mana farmaya tha. Agar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم unhein ijazat de dete to hum to khasi hi ho jate.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5074
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال:اخبرني سعيد بن المسيب، انه سمع سعد بن ابي وقاص، يقول:" لقد رد ذلك يعني النبي صلى الله عليه وسلم على عثمان بن مظعون، ولو اجاز له التبتل لاختصينا".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, kaha mujhe Said bin Musayyib ne khabar di aur unhon ne Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Usman bin Maz'oon Radi Allahu Anhu ko aurat se alag rehne ki ijazat nahi di thi. Agar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم unhein is ki ijazat de dete to hum bhi apne aap ko khasi bana lete.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5075
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن إسماعيل، عن قيس، قال: قال عبد الله:" كنا نغزو مع رسول الله صلى الله عليه وسلم وليس لنا شيء، فقلنا: الا نستخصي؟ فنهانا عن ذلك، ثم رخص لنا ان ننكح المراة بالثوب، ثم قرا علينا: يايها الذين آمنوا لا تحرموا طيبات ما احل الله لكم ولا تعتدوا إن الله لا يحب المعتدين سورة المائدة آية 87".
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne, un se Ismail bin Abi Khalid Bajli ne, un se Qais bin Abi Hazim ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke saath jihad ko jaya karte thay aur hamare paas rupiya na tha (ke hum shadi kar lete) is liye hum ne arz kiya hum apne ko khasi kyun na kara lein lekin Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein is se mana farmaya. Phir humein is ki ijazat de di ke hum kisi aurat se ek kapre par (ek muddat tak ke liye) nikah kar lein. Aap ne humein Quran Majeed ki yeh ayat parh kar sunayi «Ya ayyuhallazeena amanoo la tuharrimoo tayyibati ma ahallallahu lakum wala ta'tadoo innallaha la yuhibbul mu'tadeen» ke ”Iman lane walo! wo pakeeza cheezein mat haram karo jo tumhare liye Allah Ta'ala ne halal ki hain aur had se aage na barho, beshak Allah had se aage barhne walon ko pasand nahi karta.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5076
وقال اصبغ: اخبرني ابن وهب، عن يونس بن يزيد، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قلت: يا رسول الله، إني رجل شاب، وانا اخاف على نفسي العنت، ولا اجد ما اتزوج به النساء، فسكت عني، ثم قلت: مثل ذلك فسكت عني، ثم قلت: مثل ذلك فسكت عني، ثم قلت: مثل ذلك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" يا ابا هريرة جف القلم بما انت لاق فاختص على ذلك او ذر".
`Aur Asbagh ne kaha ke mujhe Ibn Wahb ne khabar di, unhein Yunus bin Yazid ne, unhein Ibn Shihab ne, unhein Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se arz kiya ke ya Rasul Allah! mein naujawan hoon aur mujhe apne par zina ka khauf rehta hai. Mere paas koi aisi cheez nahi jis par mein kisi aurat se shadi kar loon. Aap meri yeh baat sun kar khamosh rahe. Dobara mein ne apni yahi baat doharayi lekin Aap is martaba bhi khamosh rahe. Se-bara mein ne arz kiya Aap phir bhi khamosh rahe. Mein ne chauthi martaba arz kiya Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ay Abu Hurairah! jo kuch tum karo ge ise (Lauh-e-Mahfooz mein) likh kar qalam khushk ho chuka hai. Khwah ab tum khasi ho jao ya baaz raho. Yaani khasi hona bekar mahz hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نِكَاحِ الأَبْكَارِ:
Bab: Kunwariyon se nikah karne ka bayan.
Hadith Number: Q5077
وقال ابن ابي مليكة: قال ابن عباس لعائشة:" لم ينكح النبي صلى الله عليه وسلم بكرا غيرك".
Aur Ibn Abi Mulaika ne bayan kiya ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne Aisha Radi Allahu Anha se kaha ke aap ke siwa Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne kisi kanwari larki se nikah nahi kiya.
Hadith Number: 5077
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قلت:" يا رسول الله، ارايت لو نزلت واديا وفيه شجرة قد اكل منها، ووجدت شجرا لم يؤكل منها، في ايها كنت ترتع بعيرك؟ قال: في الذي لم يرتع منها، تعني ان رسول الله صلى الله عليه وسلم لم يتزوج بكرا غيرها".
`Hum se Ismail bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere bhai Abdul Hameed ne bayan kiya, un se Sulaiman bin Bilal ne, un se Hisham bin Urwa ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke mein ne arz kiya: ya Rasul Allah! farmaiye agar Aap kisi wadi mein utrein aur is mein ek darakht aisa ho jis mein oont char gaye hon aur ek darakht aisa ho jis mein se kuch bhi na khaya gaya ho to Aap apna oont in darakhton mein se kis darakht mein churayein ge? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke is darakht mein jis mein se abhi churaya nahi gaya ho. Un ka ishara is taraf tha ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke siwa kisi kanwari larki se nikah nahi kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5078
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"اريتك في المنام مرتين إذا رجل يحملك في سرقة حرير، فيقول: هذه امراتك فاكشفها، فإذا هي انت، فاقول: إن يكن هذا من عند الله يمضه".
`Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Usama ne bayan kiya, un se Hisham bin Urwa ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ay Aisha! mujhe khwab mein do martaba tum dikhayi gayeen. Ek shakhs (Jibrail) tumhari surat hareer ke ek tukre mein uthaye hue hai aur kehta hai ke yeh Aap ki biwi hai mein ne jo is kapre ko khola to is mein tum theen. Mein ne khayal kiya ke agar yeh khwab Allah ki taraf se hai to wo ise zaroor poora kar ke rahe ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة