الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ قَالَ لاَ رَضَاعَ بَعْدَ حَوْلَيْنِ:
Bab: Is shakhs ki daleel jis ne kaha ke do saal ke baad phir raza’at se hurmat na hogi.
Show diacritics
Hadith Number: Q5102
لقوله تعالى: حولين كاملين لمن اراد ان يتم الرضاعة سورة البقرة آية 233، وما يحرم من قليل الرضاع وكثيره.
Kyunke Allah Ta'ala ka farman hai «haulayni kaamilayni liman araada an yutimmar-rada'ata» ”poore do saal is shakhs ke liye jo chahta ho ke raza'at poori kare aur raza'at kam ho jab bhi hurmat sabit hoti hai aur zyada ho jab bhi .“


Show diacritics
Hadith Number: 5102
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن الاشعث، عن ابيه، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل عليها وعندها رجل، فكانه تغير وجهه، كانه كره ذلك، فقالت: إنه اخي، فقال:" انظرن من إخوانكن، فإنما الرضاعة من المجاعة".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , in se Ash'as ne , un se un ke dada ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam un ke paas tashreef laye to dekha ke un ke yahan ek mard baitha hua hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ke chehre ka rang badal gaya goya ke Aap ne is ko pasand nahi farmaya Aisha razi Allahu anha ne arz kiya ya Rasool Allah! Yeh meere doodh wale bhai hain Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya dekho , soch samajh kar kaho kaun tumhara bhai hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لَبَنِ الْفَحْلِ:
Bab: Jis mard ka doodh ho woh bhi doodh peene wale par haram ho jata hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5103
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة،" ان افلح اخا ابي القعيس، جاءيستاذن عليها وهو عمها من الرضاعة، بعد ان نزل الحجاب، فابيت ان آذن له، فلما جاء رسول الله صلى الله عليه وسلم اخبرته بالذي صنعت فامرني ان آذن له".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , unhein Urwah bin Zubayr ne , aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Abu al-Quays ke bhai Aflah ne un ke yahan andar aane ki ijazat chaahi . Woh Aisha razi Allahu anha ke raza'i chacha thay (yeh waqia parda ka hukm nazil hone ke baad ka hai Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke) main ne unhein andar aane ki ijazat nahi di phir jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye to main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko un ke saath apne muamle ko bataya , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe hukm diya ke main unhein andar aane ki ijazat de doon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ شَهَادَةِ الْمُرْضِعَةِ:
Bab: Agar sirf doodh pilane wali aurat raza’at ki gawahi de.
Show diacritics
Hadith Number: 5104
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، اخبرنا ايوب، عن عبد الله بن ابي مليكة، قال: حدثني عبيد بن ابي مريم، عن عقبة بن الحارث، قال: وقد سمعته من عقبة لكني لحديث عبيد احفظ، قال:" تزوجت امراة، فجاءتنا امراة سوداء، فقالت: ارضعتكما، فاتيت النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت: تزوجت فلانة بنت فلان، فجاءتنا امراة سوداء، فقالت لي: إني قد ارضعتكما وهي كاذبة، فاعرض عني، فاتيته من قبل وجهه، قلت: إنها كاذبة، قال: كيف بها وقد زعمت انها قد ارضعتكما؟ دعها عنك، واشار إسماعيل بإصبعيه السبابة والوسطى، يحكي ايوب.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Ismail bin Ibrahim ne , kaha hum ko Ayub Sakhtiyani ne khabar di , unhein Abdullah bin Abi Mulaykah ne , kaha ke mujh se Ubaydullah bin Abi Maryam ne byaan kiya , un se Uqbah bin Haris razi Allahu anhu ne (Abdullah bin Abi Mulaykah ne) byaan kiya ke main ne yeh hadees khud Uqbah se bhi suni hai lekin mujhe Ubayd ke wasta se suni hui hadees zyada yaad hai . Uqbah bin Haris ne byaan kiya ke main ne ek aurat (Umm Yahya bin Abi Ihab) se nikah kiya . Phir ek kaali aurat aayi aur kehne lagi ke main ne tum donon (miyaan biwi) ko doodh pilaya hai . Main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya ke main ne fulaani bint falan se nikah kiya hai . Is ke baad hamare yahan ek kaali aurat aayi aur mujh se kehne lagi ke main ne tum donon ko doodh pilaya hai , haalan ke woh jhooti hai (Aap salla Allahu alaihi wasallam ko Uqbah ka yeh kehna ke woh jhooti hai nagowar guzra) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is par apna chehra mubarak pher liya . Phir main Aap ke samne aaya aur arz kiya woh aurat jhooti hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is biwi se ab kaise nikah reh sake ga jabke yeh aurat yun kehti hai ke is ne tum donon ko doodh pilaya hai , is aurat ko apne se alag kar do .“ (hadees ke rawi) Ismail bin Aliyyah ne apni shahadat aur beech ki ungli se isharah kar ke bataya ke Ayub ne is tarah isharah kar ke .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَحِلُّ مِنَ النِّسَاءِ وَمَا يَحْرُمُ:
Bab: Kaun si auratein halal hain aur kaun si haram hain.
Show diacritics
Hadith Number: Q5105
وقوله تعالى: حرمت عليكم امهاتكم وبناتكم واخواتكم وعماتكم وخالاتكم وبنات الاخ وبنات الاخت إلى آخر الآيتين إلى قوله: إن الله كان عليما حكيما سورة النساء آية 23 - 24.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Nisa mein) in ko byaan farmaya hai «hurrimat alaykum ummahatukum wa banaatukum wa akhawatukum wa ammatukum wa khaalaatukum wa banaat-ul-akhi wa banaat-ul-ukhti» ke ”haram hain tum par maayein tumhari , betiyaan tumhari , behnein tumhari , phoophiyaan tumhari , khaalaayein tumhari , bhateejiyaan tumhari , bhaanjiyaan tumhari . Beshak Allah janne wala hikmat wala hai .“ Anas bin Malik razi Allahu anhu ne kaha «wal muhsanaatu minan-nisa'i» se khawand wali auratein murad hain jo aazad hon woh bhi haram hain aur «wa ma malakat aimanukum» ka yeh matlab hai ke agar kisi ki laundi is ke ghulam ke nikah mein ho to us ko ghulam se chheen kar yani talaq dilwa kar khud apni biwi bana sakte hain aur Allah ne yeh bhi farmaya «wa la tankihoo-l-mushrikaati hatta yu'minna» ke mushrik auraton se jab tak woh iman na layein nikah na karo . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha char auratein hote huay paanchween se bhi nikah karna haram hai , jaise apni maan , beti , behen se nikah karna .


Show diacritics
Hadith Number: 5105
وقال لنا احمد بن حنبل: حدثنا يحيى بن سعيد، عن سفيان، حدثني حبيب، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، حرم من النسب سبع، ومن الصهر سبع، ثم قرا: حرمت عليكم امهاتكم سورة النساء آية 23 الآية، وجمع عبد الله بن جعفر بين ابنة علي وامراة علي، وقال ابن سيرين: لا باس به، وكرهه الحسن مرة، ثم قال: لا باس به، وجمع الحسن بن الحسن بن علي بين ابنتي عم في ليلة، وكرهه جابر بن زيد للقطيعة، وليس فيه تحريم لقوله تعالى: واحل لكم ما وراء ذلكم سورة النساء آية 24، وقال عكرمة: عن ابن عباس،" إذا زنى باخت امراته، لم تحرم عليه امراته"، ويروى عن يحيى الكندي، عن الشعبي، وابي جعفر، فيمن يلعب بالصبي، إن ادخله فيه، فلا يتزوجن امه، ويحيى هذا غير معروف ولم يتابع عليه، وقال عكرمة: عن ابن عباس:" إذا زنى بها لم تحرم عليه امراته"، ويذكر عن ابي نصر، ان ابن عباس حرمه، وابو نصر هذا لم يعرف بسماعه من ابن عباس، ويروى عن عمران بن حصين، وجابر بن زيد، والحسن، وبعض اهل العراق تحرم عليه، وقال ابو هريرة:" لا تحرم حتى يلزق بالارض يعني يجامع" وجوزه ابن المسيب، وعروة، والزهري، وقال الزهري: قال علي: لا تحرم، وهذا مرسل.
Aur Imam Ahmad bin Hanbal ne mujh se kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , unhon ne Sufyan Sawri se , kaha mujh se Habib bin Abi Sabit ne byaan kiya , unhon ne Saeed bin Jubayr se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , unhon ne kaha khoon ki roo se tum par saat rishte haram hain aur shadi ki wajah se (yani sasural ki taraf se) saat rishte bhi . Unhon ne yeh aayat parhi «hurrimat alaykum ummahatukum» aakhir tak . Aur Abdullah bin Jafar bin Abi Talib ne Ali razi Allahu anhu ki sahibzadi Zaynub aur Ali ki bi bi (Laila bint Masood) donon se nikah kiya , un ko jama kiya aur Ibn Sireen ne kaha is mein koi qabahat nahi hai aur Imam Hasan Basri ne ek baar to usay makrooh kaha phir kehne lage is mein koi qabahat nahi hai aur Hasan bin Hasan bin Ali bin Abi Talib ne apne donon chachaon (yani Muhammad bin Ali aur Amr bin Ali) ki betiyon ko ek saath mein nikah mein le liya aur Jabir bin Zayd tabiy ne is ko makrooh jaana , is khayal se ke behnon mein jalapa na paida ho magar yeh kuch haram nahi hai kyunke Allah Ta'ala ne farmaya «wa uhilla lakum ma wara'a zhaalikum» ke in ke siwa aur sab auratein tum ko halal hain . Aur Ikrimah ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se riwayat kiya ke agar kisi ne apni saali se zina kiya to is ki biwi (saali ki behen) is par haram na ho gi . Aur Yahya bin Qays Kindi se riwayat hai , unhon ne Shabi aur Jafar se , donon ne kaha agar koi shakhs liwaatat kare aur kisi launde ke dukhool kar de to ab is ki maan se nikah na kare . Aur Yahya rawi mashhoor shakhs nahi hai aur na kisi aur ne is ke saath ho kar yeh riwayat ki hai aur Ikrimah ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se riwayat ki ke agar kisi ne apni saas se zina kiya to is ki biwi is par haram na ho gi . Aur Abu Nasr ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se riwayat ki ke haram ho jaye gi aur is rawi Abu Nasr ka haal maloom nahi . Is ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna hai ya nahi (lekin Abu Zurah ne isay siqa kaha hai) aur Imran bin Husain aur Jabir bin Zayd aur Hasan Basri aur baaz Iraq walon (Imam Sawri aur Imam Abu Hanifa rahmahullah) ka yahi qaul hai ke haram ho jaye gi . Aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha haram na ho gi jab tak is ki maan (apni khush-daman) ko zameen se na laga de (yani is se jima na kare) aur Saeed bin Musayyab aur Urwah aur Zuhri ne is ke mutalliq kaha hai ke agar koi saas se zina kare tab bhi is ki beti yani zina karne wale ki biwi is par haram na ho gi (us ko rakh sakta hai) aur Zuhri ne kaha Ali razi Allahu anhu ne farmaya ke is ki joru is par haram na ho gi aur yeh riwayat munqata hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَرَبَائِبُكُمُ اللاَّتِي فِي حُجُورِكُمْ مِنْ نِسَائِكُمُ اللاَّتِي دَخَلْتُمْ بِهِنَّ}:
Bab: Allah ke is farmaan ka bayan“wa haramun alaykum banatu nisaa’ikum”.
Show diacritics
Hadith Number: Q5106
وقال ابن عباس:" الدخول والمسيس واللماس هو الجماع"، ومن قال: بنات ولدها من بناته في التحريم لقول النبي صلى الله عليه وسلم لام حبيبة:" لا تعرضن علي بناتكن ولا اخواتكن وكذلك حلائل ولد الابناء هن حلائل الابناء، وهل تسمى الربيبة وإن لم تكن في حجره" ودفع النبي صلى الله عليه وسلم ربيبة له إلى من يكفلها وسمى النبي صلى الله عليه وسلم ابن ابنته ابنا.
Aur haram hain tum par tumhari biwiyon ki larkiyaan (woh jo doosre khawand layein) jin ko tum parwarish karte ho jab in biwiyon se dukhool kar chuke ho aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke lafz «dukhoolun» aur «maseesun» aur «maasa» in sab se jima hi murad hai aur is qaul ka byaan ke joru ki aulad (maslan poti ya nawasi) bhi haram hai kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Umm Habibah razi Allahu anha se farmaya apni betiyon aur behnon ko mujh par na pesh kiya karo to betiyon mein bete ki beti (poti) aur beti ki beti (nawasi) sab aa gayin aur is tarah bahuon mein poat-bahu (pote ki biwi) aur betiyon mein bete ki betiyaan (potiyaan) aur nawasiyaan sab dakhil hain aur joru ki beti har haal mein rabibah hai khwah khawand ki parwarish mein ho ya aur kisi ke paas parwarish paati ho , har tarah se haram aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apni rabibah (Zaynub ko) jo Abu Salamah ki beti thi ek aur shakhs (Naufal Ashjai) ko paalne ke liye di aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne nawase Hasan razi Allahu anhu ko apna beta farmaya .


Show diacritics
Hadith Number: 5106
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا هشام، عن ابيه، عن زينب، عن ام حبيبة، قالت:" قلت: يا رسول الله، هل لك في بنت ابي سفيان؟ قال: فافعل ماذا؟ قلت: تنكح، قال: اتحبين؟ قلت: لست لك بمخلية واحب من شركني فيك اختي، قال: إنها لا تحل لي، قلت: بلغني انك تخطب، قال: ابنة ام سلمة، قلت: نعم، قال: لو لم تكن ربيبتي ما حلت لي، ارضعتني واباها ثويبة، فلا تعرضن علي بناتكن ولا اخواتكن"، وقال الليث: حدثنا هشام درة بنت ابي سلمة.
Hum se Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ke hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se un ke walid ne aur un se Zaynub bint Abi Salamah ne aur un se Umm Habibah razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap Abu Sufyan ki sahibzadi (Ghurrah ya Durrah ya Hamna) ko chahte hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir main is ke saath kiya karoon ga ? Main ne arz kiya ke is se Aap nikah kar lein . Farmaya kiya tum usay pasand karo gi ? Main ne arz kiya main koi tanha to hoon nahi aur main apni behen ke liye yeh pasand karti hoon ke woh bhi meere saath Aap ke talluq mein shareek ho jaye . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh meere liye halal nahi hai main ne arz kiya mujhe maloom hua hai ke Aap ne (Zaynub se) nikah ka paigham bheja hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Umm Salamah ki larki ke paas ? Main ne kaha ke ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke wah wah , agar woh meri rabibah na hoti jab bhi woh meere liye halal na hoti . Mujhe aur is ke walid Abu Salamah ko Suwayba ne doodh pilaya tha . Dekho tum aainda meere nikah ke liye apni larkiyon aur behnon ko na pesh kiya karo . Aur Layth bin Saad ne bhi is hadees ko Hisham se riwayat kiya hai is mein Abu Salamah ki beti ka naam Durrah mazkoor hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَأَنْ تَجْمَعُوا بَيْنَ الأُخْتَيْنِ إِلاَّ مَا قَدْ سَلَفَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“tum do behnon ko ek sath nikah mein jama’ karo (ye tum par haram hai) siwaye is ke jo guzar chuka (ke woh ma’af hai)”.
Show diacritics
Hadith Number: 5107
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، ان عروة بن الزبير اخبره، ان زينب بنت ابي سلمة اخبرته، انام حبيبة، قالت:" قلت: يا رسول الله، انكح اختي بنت ابي سفيان، قال: وتحبين؟ قلت: نعم، لست لك بمخلية واحب من شاركني في خير اختي، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إن ذلك لا يحل لي، قلت: يا رسول الله، فوالله إنا لنتحدث انك تريد ان تنكح درة بنت ابي سلمة، قال: بنت ام سلمة؟ فقلت: نعم، قال: فوالله لو لم تكن في حجري ما حلت لي، إنها لابنة اخي من الرضاعة، ارضعتني وابا سلمة ثويبة، فلا تعرضن علي بناتكن ولا اخواتكن".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne , unhein Urwah bin Zubayr ne khabar di aur unhein Zaynub bint Abi Salamah razi Allahu anhuma ne khabar di ke Umm Habibah razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Meri behen (Ghurrah) bint Abi Sufyan se Aap nikah kar lein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aur tumhein bhi pasand hai ? Main ne arz kiya ji haan koi main tanha to hoon nahi aur meri khwahish hai ke Aap ki bhalayi mein मेरे saath meri behen bhi shareek ho jaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh meere liye halal nahi hai . Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Allah ki qasam! Is tarah ki baatein sunne mein aati hain ke Aap Abu Salamah ki sahibzadi Durrah se nikah karna chahte hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke Umm Salamah ki larki se ? Main ne kaha ji haan . Farmaya Allah ki qasam agar woh meri parwarish mein na hoti jab bhi woh meere liye halal nahi thi kyunke woh meere raza'i bhai ki larki hai . Mujhe aur Abu Salamah ko Suwayba ne doodh pilaya tha . (is liye woh meri raza'i bhateeji ho gayi) tum log meere nikah ke liye apni larkiyon aur behnon ko na pesh kiya karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تُنْكَحُ الْمَرْأَةُ عَلَى عَمَّتِهَا:
Bab: Is bayan mein ke agar phoophee ya khalah nikah mein ho to us ki bhatiji ya bhanji ko nikah mein nahi laya ja sakta.
Show diacritics
Hadith Number: 5108
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عاصم، عن الشعبي، سمع جابرا رضي الله عنه، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان تنكح المراة على عمتها او خالتها". وقال داود، وابن عون، عن الشعبي، عن ابي هريرة.
`Hum se Abdur Rahman ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Asim ne khabar di, unhein Shabi ne aur unhon ne Jabir Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne kisi aisi aurat se nikah karne se mana kiya tha jis ki phoopi ya khala is ke nikah mein ho. Aur Dawud bin Aun ne Shabi se bayan kiya aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة