الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {فَإِنْ خِفْتُمْ فَرِجَالاً أَوْ رُكْبَانًا فَإِذَا أَمِنْتُمْ فَاذْكُرُوا اللَّهَ كَمَا عَلَّمَكُمْ مَا لَمْ تَكُونُوا تَعْلَمُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Agar tumhein dar ho to tum namaz paidal hi (parh liya karo) ya sawari par parh lo, phir jab tum aman mein aa jao to Allah ko yaad karo jis tarah us ne tumhein sikhaya hai jise tum jaante na the”.
Show diacritics
Hadith Number: 4535
حدثنا عبد الله بن يوسف , حدثنا مالك , عن نافع، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , كان إذا سئل عن صلاة الخوف , قال:"يتقدم الإمام وطائفة من الناس، فيصلي بهم الإمام ركعة وتكون طائفة منهم بينهم وبين العدو لم يصلوا، فإذا صلى الذين معه ركعة استاخروا مكان الذين لم يصلوا، ولا يسلمون ويتقدم الذين لم يصلوا فيصلون معه ركعة، ثم ينصرف الإمام وقد صلى ركعتين، فيقوم كل واحد من الطائفتين، فيصلون لانفسهم ركعة بعد ان ينصرف الإمام , فيكون كل واحد من الطائفتين قد صلى ركعتين، فإن كان خوف هو اشد من ذلك صلوا رجالا قياما على اقدامهم او ركبانا مستقبلي القبلة او غير مستقبليها"، قال مالك: قال نافع: لا ارى عبد الله بن عمر ذكر ذلك إلا , عن رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , un se Nafi ne ke jab Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se namaz e khauf ke mutalliq poocha jata to woh farmate ke Imam Musalmanon ki ek jama'at ko le kar khud aage barhe aur unhein ek rakat namaz parhaye . Is dauran mein Musalmanon ki doosri jama'at un ke aur dushman ke darmiyan mein rahe . Yeh log namaz mein abhi shareek na hon , phir jab Imam in logon ko ek rakat parha chuke jo pehle is ke saath thay to ab yeh log peeche hat jayein aur un ki jagah le lein , jinon ne ab tak namaz nahi parhi hai , lekin yeh log salam na pherein . Ab woh log aage barhein jinon ne namaz nahi parhi hai aur Imam unhein bhi ek rakat namaz parhaye , ab Imam do rakat parh chukne ke baad namaz se farigh ho chuka . Phir donon jama'atein (jinon ne alag alag Imam ke saath ek ek rakat namaz parhi thi) apni baqi ek ek rakat ada kar lein . Jabke Imam apni namaz se farigh ho chuka hai . Is tarah donon jama'aton ki do do rakat poori ho jayein gi . Lekin agar khauf is se bhi zyada hai to har shakhs tanha namaz parh le , paidal ho ya sawar , qibla ki taraf rukh ho ya na ho . Imam Malik ne byaan kiya , un se Nafi ne ke mujh ko yaqeen hai ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne yeh baatein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se sun kar hi byaan ki hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَالَّذِينَ يُتَوَفَّوْنَ مِنْكُمْ وَيَذَرُونَ أَزْوَاجًا}:
Bab: Ayat «wallazeena yutawaffawna minkum wa yazaroona azwaajan» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4536
حدثني عبد الله بن ابي الاسود , حدثنا حميد بن الاسود , ويزيد بن زريع , قالا: حدثنا حبيب بن الشهيد , عن ابن ابي مليكة , قال: قال ابن الزبير , قلت: لعثمان هذه الآية التي في البقرة والذين يتوفون منكم ويذرون ازواجا إلى قوله غير إخراج سورة البقرة آية 234 - 240 قد نسختها الاخرى فلم تكتبها، قال:" تدعها يا ابن اخي لا اغير شيئا منه من مكانه" , قال حميد: او نحو هذا.
Mujh se Abdullah bin Abi Aswad ne byaan kiya , kaha hum se Humayd bin Aswad aur Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha ke hum se Habib bin Shaheed ne byaan kiya , un se Ibn Abi Mulaykah ne byaan kiya ke Ibn Zubayr razi Allahu anhuma ne Usman bin Affan razi Allahu anhu se kaha ke Surah al-Baqarah ki aayat «wallazhina yutawaffauna minkum wa yazharuna azwaajan» yani ”jo log tum mein se wafat pa jayein aur biwiyan chhor jayein .“ Allah Ta'ala ke farman «ghayra ikhrajin» tak ko doosri aayat ne mansookh kar diya hai . Is ko Aap ne mus-haf mein kyun likhwaya , chhor kyun nahi diya ? Unhon ne kaha: mere bhatije! Main kisi aayat ko is ke thikane se badalne wala nahi . Yeh Humayd ne kaha ya kuch aisa hi jawab diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّ أَرِنِي كَيْفَ تُحْيِي الْمَوْتَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Us waqt ko yaad karo, jab Ibrahim Alaihis Salam ne arz kiya ke Ay mere Rab! mujhe dikha de ke Tu murdon ko kis tarah zinda kare ga”.
Show diacritics
Hadith Number: 4537
حدثنا احمد بن صالح , حدثنا ابن وهب , اخبرني يونس , عن ابن شهاب , عن ابي سلمة وسعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نحن احق بالشك من إبراهيم إذ قال: رب ارني كيف تحيي الموتى قال اولم تؤمن قال بلى ولكن ليطمئن قلبي سورة البقرة آية 260.
Hum se Ahmad bin Salih ne byaan kiya , un se Ibn Wahb ne byaan kiya , unhein Yunus ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , unhein Abu Salamah aur Saeed ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Shakk karne ka hamain Ibrahim alaihissalam se zyada haq hai , jab unhon ne arz kiya tha ke ae mere Rabb! Mujhe dikha de ke tu mardon ko kis tarah zinda kare ga , Allah ki taraf se irshad hua , kya tujh ko yaqeen nahi hai ? Arz ki yaqeen zaroor hai , lekin main ne yeh darkhwast is liye ki hai ke mere dil ko aur itminan haasil ho jaye .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {أَيَوَدُّ أَحَدُكُمْ أَنْ تَكُونَ لَهُ جَنَّةٌ} إِلَى قَوْلِهِ: {تَتَفَكَّرُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Kya tum mein se koi ye pasand karta hai ke us ka ek bagh ho”aakhir ayat «tatafakkaroon» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4538
حدثنا إبراهيم , اخبرنا هشام , عن ابن جريج , سمعت عبد الله بن ابي مليكة يحدث، عن ابن عباس، قال: وسمعت اخاه ابا بكر بن ابي مليكة يحدث , عن عبيد بن عمير , قال: قال عمر رضي الله عنه: يوما لاصحاب النبي صلى الله عليه وسلم:" فيم ترون هذه الآية نزلت ايود احدكم ان تكون له جنة سورة البقرة آية 266؟" قالوا: الله اعلم، فغضب عمر , فقال: قولوا:" نعلم او لا نعلم" , فقال ابن عباس: في نفسي منها شيء يا امير المؤمنين , قال عمر:" يا ابن اخي قل ولا تحقر نفسك" , قال ابن عباس: ضربت مثلا لعمل، قال عمر:" اي عمل"، قال ابن عباس: لعمل , قال عمر: لرجل غني يعمل بطاعة الله عز وجل، ثم بعث الله له الشيطان، فعمل بالمعاصي حتى اغرق اعماله".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne , unhon ne Abdullah bin Abi Mulaykah se suna , woh Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se byaan karte thay , Ibn Jurayj ne kaha aur main ne Ibn Abi Mulaykah ke bhai Abu Bakr bin Abi Mulaykah se bhi suna , woh Ubayd bin Umayr se riwayat karte thay ke ek din Umar razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke as-haab se daryaft kiya ke Aap log jaante ho yeh aayat kis silsile mein nazil hui hai «ayawaddu ahadukum an takoona lahu jannatun» ”kya tum mein se koi yeh pasand karta hai ke is ka ek bagh ho .“ Sab ne kaha ke Allah zyada janne wala hai . Yeh sun kar Umar razi Allahu anhu bahut khafa ho gaye aur kaha , saaf jawab dein ke Aap logon ko is silsile mein kuch maloom hai ya nahi . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne arz kiya: Ameer al-Momineen! Mere dil mein ek baat aati hai . Umar razi Allahu anhu ne farmaya: bete! Tumhein kaho aur apne ko haqeer na samajho . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne arz kiya ke is mein amal ki misal byaan ki gayi hai . Umar razi Allahu anhu ne poocha , kaise amal ki ? Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne arz kiya ke amal ki . Umar razi Allahu anhu ne kaha ke yeh ek maldar shakhs ki misal hai jo Allah ki itaat mein naik amal karta rehta hai . Phir Allah Shaytan ko is par ghalib kar deta hai , woh gunahon mein masroof ho jata hai aur is ke agle naik aamal sab gharat ho jate hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {لاَ يَسْأَلُونَ النَّاسَ إِلْحَافًا}:
Bab: Ayat ki tafseer yani“Woh logon se chimat kar nahi maangte”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4539
يقال الحف علي والح علي واحفاني بالمسالة فيحفكم: يجهدكم.
Arab log «alhafa» aur «alahha» aur «ahfani bil-mas'alati» jab kehte hain ke koi gir-gira kar peeche lag kar sawal kare . «fayuhfikum» ke maani tumhein mushaqqat mein daal de , na thaka de .


Show diacritics
Hadith Number: 4539
حدثنا ابن ابي مريم , حدثنا محمد بن جعفر , قال: حدثني شريك بن ابي نمر , ان عطاء بن يسار , وعبد الرحمن بن ابي عمرة الانصاري , قالا: سمعنا ابا هريرة رضي الله عنه , يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليس المسكين الذي ترده التمرة والتمرتان , ولا اللقمة ولا اللقمتان , إنما المسكين الذي يتعفف , واقرءوا إن شئتم"، يعني قوله لا يسالون الناس إلحافا سورة البقرة آية 273.
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Shareek bin Abi Namr ne byaan kiya , un se Ata bin Yasar aur Abdur Rahman bin Abi Amrah Ansari ne byaan kiya aur unhon ne kaha hum ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Miskeen woh nahi hai jise ek ya do khajoor , ek ya do luqme dar ba dar liye phirein , balkay miskeen woh hai jo maangne se bachta rahe aur agar tum daleel chaho to (Quran se) is aayat ko parh lo «la yas'aloona-naasa ilhaafan» ke ”woh logon se chimat kar nahi maangte .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَأَحَلَّ اللَّهُ الْبَيْعَ وَحَرَّمَ الرِّبَا}:
Bab: Ayat «wa ahallallahu al-bay’a wa harramar riba» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4540
حدثنا عمر بن حفص بن غياث , حدثنا ابي , حدثنا الاعمش، حدثنا مسلم , عن مسروق , عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" لما نزلت الآيات من آخر سورة البقرة في الربا قراها رسول الله صلى الله عليه وسلم على الناس، ثم حرم التجارة في الخمر".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se hamare walid ne byaan kiya , hum se Aamash ne byaan kiya , hum se Muslim ne byaan kiya , un se Masrooq ne aur un se Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab sood ke silsile mein Surah al-Baqarah ki aakhri aayatein nazil huien to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein parh kar logon ko sunaya aur is ke baad sharab ki tijarat bhi haram qarar payi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {يَمْحَقُ اللَّهُ الرِّبَا} يُذْهِبُهُ:
Bab: Ayat ki tafseer“Allah sood ko mitata hai aur sadaqat ko barhata hai”lafz «yamhaq» bama’ni «yuzhibu» ke hai yani mita deta hai aur door kar deta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 4541
حدثنا بشر بن خالد , اخبرنا محمد بن جعفر , عن شعبة , عن سليمان الاعمش , سمعت ابا الضحى يحدث، عن مسروق , عن عائشة , انها قالت:" لما انزلت الآيات الاواخر من سورة البقرة خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم فتلاهن في المسجد، فحرم التجارة في الخمر".
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , unhein Shubah ne , unhein Sulayman Aamash ne , unhon ne kaha ke main ne Abu al-Duha se suna , woh Masrooq se riwayat karte thay ke un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya jab Surah al-Baqarah ki aakhri aayatein nazil huien to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laye aur masjid mein unhein parh kar sunaya is ke baad sharab ki tijarat haram ho gayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَأْذَنُوا بِحَرْبٍ} فَاعْلَمُوا:
Bab: Ayat «fa’zanoo bi-harbin» ki tafseer lafz «fa’zanoo» bama’ni «fa’lamoo» hai yani jaan lo, aagah ho jao.
Show diacritics
Hadith Number: 4542
حدثني محمد بن بشار , حدثنا غندر , حدثنا شعبة , عن منصور , عن ابي الضحى، عن مسروق , عن عائشة، قالت:" لما انزلت الآيات من آخر سورة البقرة قراهن النبي صلى الله عليه وسلم عليهم في المسجد وحرم التجارة في الخمر".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab Surah al-Baqarah ki aakhri aayatein nazil huien to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein masjid mein parh kar sunaya aur sharab ki tijarat haram qarar di gayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِنْ كَانَ ذُو عُسْرَةٍ فَنَظِرَةٌ إِلَى مَيْسَرَةٍ}، {وَأَنْ تَصَدَّقُوا خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Agar maqrooz tang-dast hai to us ke liye aasani mehiya hone tak muhlat dena behtar hai aur agar tum us ka qarz maaf hi kar do to tumhare haq mein ye aur behtar hai agar tum ilm rakhte ho”.
Show diacritics
Hadith Number: 4543
وقال لنا محمد بن يوسف، عن سفيان , عن منصور، والاعمش , عن ابي الضحى , عن مسروق , عن عائشة , قالت:" لما انزلت الآيات من آخر سورة البقرة قام رسول الله صلى الله عليه وسلم فقراهن علينا، ثم حرم التجارة في الخمر".
Aur hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , un se Sufyan Sawri ne , un se Mansoor aur Aamash ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab Surah al-Baqarah ki aakhri aayat nazil hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kharay huay aur hamain parh kar sunaya phir sharab ki tijarat haram kar di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة