الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walon! tum par roze farz kiye gaye hain jaisa ke un logon par farz kiye gaye the jo tum se pehle ho guzre hain taake tum mutaqqi ban jao”.
Show diacritics
Hadith Number: 4501
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن عبيد الله , قال: اخبرني نافع , عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال: كان عاشوراء يصومه اهل الجاهلية، فلما نزل رمضان , قال:" من شاء صامه ومن شاء لم يصمه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya ne bayan kiya , un se Obaidullah ne bayan kiya , unhein Nafi ne khabar di aur un se Abdullah bin Umar rz ne bayan kiya ke Ashura ke din jahiliyat mein hum roza rakhte thay lekin jab Ramazan ke roze nazil ho gaye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jis ka ji chahe Ashura ka roza rakhe aur jis ka ji chahe na rakhe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4502
حدثنا عبد الله بن محمد , حدثنا ابن عيينة , عن الزهري، عن عروة , عن عائشة رضي الله عنها: كان عاشوراء يصام قبل رمضان، فلما نزل رمضان , قال:" من شاء صام ومن شاء افطر".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Uyaynah ne byaan kiya , un se Zuhri ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Ashura ka roza Ramzan ke rozon ke hukm se pehle rakkha jata tha . Phir jab Ramzan ke rozon ka hukm nazil hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ka jee chahe Ashura ka roza rakhe aur jis ka jee chahe na rakhe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4503
حدثني محمود , اخبرنا عبيد الله , عن إسرائيل , عن منصور , عن إبراهيم , عن علقمة , عن عبد الله , قال: دخل عليه الاشعث وهو يطعم , فقال: اليوم عاشوراء , فقال:" كان يصام قبل ان ينزل رمضان، فلما نزل رمضان ترك فادن فكل".
Mujh se Mahmood ne bayan kiya , kaha hum ko Obaidullah ne khabar di , unhein Israel ne , unhein Mansoor ne , unhein Ibrahim ne , unhein Alqama ne aur un se Abdullah rz ne bayan kiya ke Ash'as un ke yahan aaye , woh is waqt khana kha rahe thay , Ash'as ne kaha ke aaj to Ashura ka din hai . Ibn Masood rz ne kaha ke in dinon mein Ashura ka roza Ramazan ke rozon ke nazil hone se pehle rakha jata tha lekin jab Ramazan ke roze ka hukm nazil hua to yeh roza chorr diya gaya . Aao tum bhi khane mein shareek ho jao .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4504
حدثني محمد بن المثنى , حدثنا يحيى , حدثنا هشام , قال: اخبرني ابي , عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان يوم عاشوراء تصومه قريش في الجاهلية، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يصومه، فلما قدم المدينة صامه وامر بصيامه، فلما نزل رمضان كان رمضان الفريضة وترك عاشوراء، فكان من شاء صامه ومن شاء لم يصمه".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Hisham ne byaan kiya , kaha ke mujhe mere walid ne khabar di aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Ashura ke din Quraysh zamana e jahiliyat mein roze rakhte thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi is din roza rakhte thay . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam Madinah tashreef laye to yahan bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is din roza rakkha aur sahabah razi Allahu anhum ko bhi is ke rakhne ka hukm diya , lekin jab Ramzan ke rozon ka hukm nazil hua to Ramzan ke roze farz ho gaye aur Ashura ke roza (ki farziyat) baqi nahi rahi . Ab jis ka jee chahe is din bhi roza rakhe aur jis ka jee chahe na rakhe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {أَيَّامًا مَعْدُودَاتٍ فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَرِيضًا أَوْ عَلَى سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِنْ أَيَّامٍ أُخَرَ وَعَلَى الَّذِينَ يُطِيقُونَهُ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ فَمَنْ تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَهُ وَأَنْ تَصُومُوا خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ye roze ginti ke chand dinon mein rakhne hain, phir tum mein se jo shakhs bimar ho ya safar mein ho us par doosre dinon ka gin rakhna hai aur jo log ise mushkil se bardasht kar saken un ke zimma fidya hai jo ek miskeen ka khana hai aur jo koi khushi khushi neki kare us ke haq mein behtar hai aur agar tum ilm rakhte ho to behtar tumhare haq mein yahi hai ke tum roze rakho”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4505
وقال عطاء: يفطر من المرض كله كما قال الله تعالى , وقال الحسن، وإبراهيم , في المرضع او الحامل: إذا خافتا على انفسهما او ولدهما تفطران، ثم تقضيان، واما الشيخ الكبير: إذا لم يطق الصيام فقد اطعم انس بعد ما كبر عاما او عامين كل يوم مسكينا خبزا ولحما، وافطر قراءة العامة يطيقونه وهو اكثر.
Ata bin Abi Rabah ne kaha ke har bemari mein roza na rakhna durust hai . Jaisa ke aam taur par Allah Ta'ala ne khud irshad farmaya hai . Aur Imam Hasan Basri aur Ibrahim Nakhai ne kaha ke doodh pilane wali ya hamil ko agar apni ya apne bete ki jaan ka khauf ho to woh iftar kar lein aur phir is ki qaza kar lein lekin burha zaif shakhs jab roza na rakh sake to woh fidya de . Anas bin Malik rz bhi jab burhe ho gaye thay to woh ek saal ya do saal Ramazan mein rozana ek miskeen ko roti aur gosht diya karte thay aur roza chorr diya tha . Aksar logon ne is ayat mein «Yutiqoohnahu» parha hai (jo «Ataqa Yutiqo» se hai) .


Show diacritics
Hadith Number: 4505
حدثني إسحاق , اخبرنا روح , حدثنا زكرياء بن إسحاق , حدثنا عمرو بن دينار , عن عطاء , سمع ابن عباس يقرا: وعلى الذين يطيقونه فدية طعام مسكين سورة البقرة آية 184 , قال ابن عباس: ليست بمنسوخة هو الشيخ الكبير والمراة الكبيرة لا يستطيعان ان يصوما، فليطعمان مكان كل يوم مسكينا.
Mujh se Ishaq ne bayan kiya , unhone kaha hum ko Rauh ne khabar di , unhone kaha hum se Zakariya bin Ishaq ne bayan kiya , unhone kaha hum se Amr bin Dinar ne bayan kiya , un se Ata ne aur unhone Abdullah bin Abbas rz se suna woh yun qiraat kar rahe thay «Wa Alallazina Yutawwaqunahu Fidyatun Ta'amu Miskeen» (tafeel se) «Fidyatun Ta'amu Miskeen» .“ Ibn Abbas rz ne kaha ke yeh ayat mansookh nahi hai . Is se murad bohat burha mard ya bohat burhi aurat hai . Jo roze ki taqat na rakhti ho , unhein chahiye ke har roze ke badle ek miskeen ko khana khila dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَمَنْ شَهِدَ مِنْكُمُ الشَّهْرَ فَلْيَصُمْهُ}:
Bab: Ayat ki tafseer mein“Pas tum mein se jo koi is mahine ko paye use chahiye ke woh mahina bhar roze rakhe”.
Show diacritics
Hadith Number: 4506
حدثنا عياش بن الوليد , حدثنا عبد الاعلى , حدثنا عبيد الله , عن نافع , عن ابن عمر رضي الله عنهما:" انه قرا: 0 فدية طعام مساكين 0 , قال: هي منسوخة".
Hum se Ayash bin Waleed ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Aala ne byaan kiya , un se Ubaydullah ne byaan kiya , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke unhon ne yun qirat ki «fidyatu» baghair tanween «taami masakeena» batlaya ke yeh aayat mansookh hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4507
حدثنا قتيبة , حدثنا بكر بن مضر , عن عمرو بن الحارث , عن بكير بن عبد الله , عن يزيد مولى سلمة بن الاكوع , عن سلمة , قال:لما نزلت وعلى الذين يطيقونه فدية طعام مسكين سورة البقرة آية 184 كان من اراد ان يفطر ويفتدي حتى نزلت الآية التي بعدها فنسختها , قال ابو عبد الله: مات بكير , قبل يزيد.
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Bakr bin Mudar ne bayan kiya , un se Amr bin Haris ne , un se Bukair bin Abdullah ne , un se Salama bin Akwa ke maula Yazid bin Abi Ubaid ne aur un se Salama bin Akwa rz ne bayan kiya ke jab yeh ayat nazil hui . «Wa Alallazina Yutiqoohnahu Fidyatun Ta'amu Miskeen» to jis ka ji chahta tha roza chorr deta tha aur is ke badle mein fidya de deta tha . Yahan tak ke is ke baad wali ayat nazil hui aur us ne pehli ayat ko mansookh kar diya . Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimaullah) ne kaha ke Bukair ka intiqal Yazid se pehle ho gaya tha . Bukair jo Yazid ke shagird thay Yazid se pehle 120 H mein mar gaye thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {أُحِلَّ لَكُمْ لَيْلَةَ الصِّيَامِ الرَّفَثُ إِلَى نِسَائِكُمْ هُنَّ لِبَاسٌ لَكُمْ وَأَنْتُمْ لِبَاسٌ لَهُنَّ عَلِمَ اللَّهُ أَنَّكُمْ كُنْتُمْ تَخْتَانُونَ أَنْفُسَكُمْ فَتَابَ عَلَيْكُمْ وَعَفَا عَنْكُمْ فَالآنَ بَاشِرُوهُنَّ وَابْتَغُوا مَا كَتَبَ اللَّهُ لَكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ja’iz kar diya gaya hai tumhare liye rozon ki raat mein apni biwiyon se mashghool hona, woh tumhare liye libas hain aur tum un ke liye libas ho, Allah ko khabar ho gayi ke tum apne ko khiyanat mein mubtala karte rehte the, pas us ne tum par rehmat se tawajjuh farma’i aur tum ko maaf kar diya, so ab tum un se milo mulao aur use talash karo, jo Allah ne tumhare liye likh diya hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4508
حدثنا عبيد الله , عن إسرائيل , عن ابي إسحاق، عن البراء. ح وحدثنا احمد بن عثمان , حدثنا شريح بن مسلمة , قال: حدثني إبراهيم بن يوسف , عن ابيه , عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه:" لما نزل صوم رمضان كانوا لا يقربون النساء رمضان كله، وكان رجال يخونون انفسهم، فانزل الله علم الله انكم كنتم تختانون انفسكم فتاب عليكم وعفا عنكم سورة البقرة آية 187".
Hum se Ubaydullah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne aur un se Bara razi Allahu anhu ne (doosri sanad) aur hum se Ahmad bin Usman ne byaan kiya , un se Shurayh bin Maslamah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibrahim bin Yusuf ne byaan ka , un se un ke walid ne , un se Abu Ishaq ne byaan kiya , unhon ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna ke jab Ramzan ke roze ka hukm nazil hua to Musalman poore Ramzan mein apni biwiyon ke qareeb nahi jate thay aur kuch logon ne apne ko khiyanat mein mubtala kar liya tha . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil farmayi «alimallahu annakum kuntum takhtanoona anfusakum fataba alaykum wa afa ankum» ”Allah ne jaan liya ke tum apne ko khiyanat mein mubtala karte rehte thay . Pas is ne tum par rahmat se tawajjo farmayi aur tum ko maaf kar diya .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَكُلُوا وَاشْرَبُوا حَتَّى يَتَبَيَّنَ لَكُمُ الْخَيْطُ الأَبْيَضُ مِنَ الْخَيْطِ الأَسْوَدِ مِنَ الْفَجْرِ ثُمَّ أَتِمُّوا الصِّيَامَ إِلَى اللَّيْلِ وَلاَ تُبَاشِرُوهُنَّ وَأَنْتُمْ عَاكِفُونَ فِي الْمَسَاجِدِ} إِلَى قَوْلِهِ: {تَتَّقُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Khao aur piyo jab tak ke tum par subh ki safed dhaari raat ki siyah dhaari se mumtaz na ho jaye, phir roze ko raat (hone) tak poora karo aur biwiyon se is haal mein sohbat na karo jab tum i’tikaf kiye ho masjidon mein”aakhir ayat «tattaqoon» tak.
Show diacritics
Hadith Number: Q4509
العاكف: المقيم.
«al-akifu al-muqeemu» .