الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَمِنْ حَيْثُ خَرَجْتَ فَوَلِّ وَجْهَكَ شَطْرَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ وَحَيْثُمَا كُنْتُمْ} إِلَى قَوْلِهِ: {وَلَعَلَّكُمْ تَهْتَدُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap jis jagah se bhi bahar niklen, apna munh waqt-e-namaz Masjid-ul-Haram ki taraf mor liya karen aur tum log bhi jahan kahin ho apna munh us ki taraf mor liya karo” «wa la’allakum tahtadoon» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4494
حدثنا قتيبة بن سعيد , عن مالك , عن عبد الله بن دينار , عن ابن عمر , قال: بينما الناس في صلاة الصبح بقباء إذ جاءهم آت , فقال:" إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد انزل عليه الليلة وقد امر ان يستقبل الكعبة فاستقبلوها وكانت وجوههم إلى الشام فاستداروا إلى القبلة".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , un se Imam Malik ne , un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke abhi log Masjid e Quba mein subah ki namaz parh hi rahe thay ke ek aane wale sahab aaye aur kaha ke raat ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam par Quran nazil hua hai aur Aap ko Kaaba ki taraf munh karne ka hukm hua hai . Is liye Aap log bhi isi taraf munh kar lein . Woh log Sham ki taraf munh kar ke namaz parh rahe thay lekin isi waqt Kaaba ki taraf phir gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّ الصَّفَا وَالْمَرْوَةَ مِنْ شَعَائِرِ اللَّهِ فَمَنْ حَجَّ الْبَيْتَ أَوِ اعْتَمَرَ فَلاَ جُنَاحَ عَلَيْهِ أَنْ يَطَّوَّفَ بِهِمَا وَمَنْ تَطَوَّعَ خَيْرًا فَإِنَّ اللَّهَ شَاكِرٌ عَلِيمٌ}:
Bab: Ayaat ki tafseer“Safa aur Marwah beshak Allah ki yaadgaar cheezon mein se hain, pas jo koi Baitullah ka Hajj kare ya Umrah kare us par koi gunah nahi ke un donon ke darmiyan sa’ee kare aur jo koi khushi se koi neki zyada kare so Allah to bara qadr-daan, bara hi ilm rakhne wala hai”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4495
شعائر: علامات واحدتها شعيرة , وقال ابن عباس: الصفوان الحجر , ويقال: الحجارة الملس التي لا تنبت شيئا والواحدة، صفوانة بمعنى: الصفا، والصفا للجميع.
«Sha'air» ke maani alamat ke hain . Is ka wahid «Sha'irah» hai . Abdullah bin Abbas rz ne kaha ke «Safwan» aise patthar ko kehte hain jis par koi cheez na ugti ho . Wahid «Safwanah» hai . «Safahi» ke maani mein aur «Safa» jama ke liye aata hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4495
حدثنا عبد الله بن يوسف , اخبرنا مالك , عن هشام بن عروة , عن ابيه , انه قال: قلت لعائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، وانا يومئذ حديث السن:" ارايت قول الله تبارك وتعالى: إن الصفا والمروة من شعائر الله فمن حج البيت او اعتمر فلا جناح عليه ان يطوف بهما سورة البقرة آية 158، فما ارى على احد شيئا ان لا يطوف بهما، فقالت عائشة:" كلا، لو كانت كما تقول، كانت فلا جناح عليه ان لا يطوف بهما إنما انزلت هذه الآية في الانصار كانوا يهلون لمناة، وكانت مناة حذو قديد، وكانوا يتحرجون ان يطوفوا بين الصفا والمروة، فلما جاء الإسلام سالوا رسول الله صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فانزل الله إن الصفا والمروة من شعائر الله فمن حج البيت او اعتمر فلا جناح عليه ان يطوف بهما سورة البقرة آية 158.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhein Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne bayan kiya ke main ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zauja mutahira Aisha rz se pucha (in dinon mein nau-umar tha) ke Allah Tabarak wa Ta'ala ke is irshad ke baare mein aap ka kya khayal hai «Innas Safa Wal Marwata Min Sha'airillahi Faman Hajjal Baita Aw'tamara Fala Junaha Alaihi An Yattawwafa Bihima» ”Safa aur Marwah beshak Allah ki yaadgar cheezon mein se hain . Pas jo koi Baitullah ka hajj kare ya umrah kare to us par koi gunah nahi ke in donon ke darmiyan aamad-o-raft (yani sa'ee) kare .“ Mera khayal hai ke agar koi in ki sa'ee na kare to us par bhi koi gunah nahi hona chahiye . Aisha rz ne kaha ke hargiz nahi jaisa ke tumhara khayal hai . Agar masla yehi hota to phir waqayi un ke sa'ee na karne mein koi gunah na tha . Lekin yeh ayat Ansar ke baare mein nazil hui thi (Islam se pehle) Ansar Manat butt ke naam se ihram bandhte thay , yeh butt Maqam-e-Qudaid mein rakha hua tha aur Ansar Safa aur Marwah ki sa'ee ko accha nahi samajhte thay . Jab Islam aaya to unhone sa'ee ke mutaliq aap صلی اللہ علیہ وسلم se pucha: is par Allah Ta'ala ne yeh ayat nazil ki «Innas Safa Wal Marwata Min Sha'airillahi Faman Hajjal Baita Aw'tamara Fala Junaha Alaihi An Yattawwafa Bihima» ”Safa aur Marwah beshak Allah ki yaadgar cheezon mein se hain , so jo koi Baitullah ka hajj kare ya umrah kare to us par koi bhi gunah nahi ke in donon ke darmiyan (sa'ee) kare .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4496
حدثنا محمد بن يوسف , حدثنا سفيان , عن عاصم بن سليمان , قال:" سالت انس بن مالك رضي الله عنه , عن الصفا والمروة،فقال:" كنا نرى انهما من امر الجاهلية، فلما كان الإسلام امسكنا عنهما، فانزل الله تعالى: إن الصفا والمروة من شعائر الله فمن حج البيت او اعتمر فلا جناح عليه ان يطوف بهما سورة البقرة آية 158".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Aasim bin Sulayman ne byaan kiya aur unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se Safa aur Marwah ke mutalliq poocha . Unhon ne bataya ke usay hum jahiliyat ke kaamon mein se samajhte thay . Jab Islam aaya to hum in ki sayi se ruk gaye , is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «inna-ssafa wal marwata» se irshad «an yattawwafa bihima» tak . Yani beshak Safa aur Marwah Allah ki nishaniyon mein se hain . Pas in ki sayi karne mein hajj aur umrah ke dauran koi gunah nahi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَتَّخِذُ مِنْ دُونِ اللَّهِ أَنْدَادًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur kuch log aise bhi hain jo Allah ke siwa doosron ko bhi us ka shareek banaye hue hain”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4497
يعني اضدادا واحدها ند.
Lafz «Nidadan» bama'ni «Azdadan» jis ka wahid «Niddun» hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4497
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش , عن شقيق , عن عبد الله , قال النبي صلى الله عليه وسلم كلمة، وقلت اخرى، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من مات وهو يدعو من دون الله ندا دخل النار" , وقلت: انا من مات وهو لا يدعو لله ندا دخل الجنة.
Hum se Abdan ne bayan kiya , un se Abu Hamza ne , un se Aamash ne , un se Shaqiq ne aur un se Abdullah rz ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ek kalma irshad farmaya aur main ne ek aur baat kahi . Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jo shakhs is halat mein mar jaye ke woh Allah ke siwa auron ko bhi us ka shareek thehrata raha ho to woh Jahannum mein jata hai aur main ne yun kaha ke jo shakhs is halat mein mare ke Allah ka kisi ko shareek na thehrata raha to woh Jannat mein jata hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الْقِصَاصُ فِي الْقَتْلَى الْحُرُّ بِالْحُرِّ} إِلَى قَوْلِهِ: {عَذَابٌ أَلِيمٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walo! tum par maqtoolon ke bare mein badla lena farz kar diya gaya hai, azaad ke badle mein azaad aur ghulam ke badle mein ghulam”aakhir ayat «azabun aleem» tak.
Show diacritics
Hadith Number: Q4498
{عفي} ترك.
Aur «ufiya» bamaani «turika» hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4498
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان , حدثنا عمرو , قال: سمعت مجاهدا , قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: كان في بني إسرائيل القصاص ولم تكن فيهم الدية , فقال الله تعالى لهذه الامة: كتب عليكم القصاص في القتلى الحر بالحر والعبد بالعبد والانثى بالانثى فمن عفي له من اخيه شيء سورة البقرة آية 178 فالعفو ان يقبل الدية في العمد فاتباع بالمعروف واداء إليه بإحسان سورة البقرة آية 178 يتبع بالمعروف ويؤدي بإحسان ذلك تخفيف من ربكم ورحمة سورة البقرة آية 178 مما كتب على من كان قبلكم فمن اعتدى بعد ذلك فله عذاب اليم سورة البقرة آية 178 قتل بعد قبول الدية".
Hum se Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Amr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Mujahid se suna , unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke Bani Israeel mein qisas yani badla tha lekin diyat nahi thi . Is liye Allah Ta'ala ne is ummat se kaha ke ”tum par maqtoolon ke baab mein qisas farz kiya gaya , aazad ke badle mein aazad aur ghulam ke badle mein ghulam aur aurat ke badle mein aurat , haan jis kisi ko us ke fareeq e maqtool ki taraf se kuch maafi mil jaye .“ To maafi se murad yahi diyat qabool karna hai . So mutalba maqool aur narm tariqa se ho aur mutalba ko is fareeq ke paas khubi se pahunchaya jaye . Yeh tumhare Parvardigar ki taraf se riayat aur meherbani hai .“ Yani is ke muqabla mein jo tum se pehli ummaton par farz tha . ”So jo koi is ke baad bhi ziyadati kare ga , is ke liye aakhirat mein dard-naak azab ho ga .“ (ziyadati se murad yeh hai ke) diyat bhi le li aur phir is ke baad qatl bhi kar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4499
حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري , حدثنا حميد , ان انسا حدثهم , عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" كتاب الله القصاص".
Hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne bayan kiya , kaha hum se Humaidi ne bayan kiya , un se Anas bin Malik rz ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Kitab Allah ka hukm qisas ka hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4500
حدثني عبد الله بن منير , سمع عبد الله بن بكر السهمي , حدثنا حميد , عن انس: ان الربيع عمته، كسرت ثنية جارية، فطلبوا إليها العفو، فابوا فعرضوا الارش، فابوا فاتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم وابوا إلا القصاص، فامر رسول الله صلى الله عليه وسلم بالقصاص، فقال انس بن النضر: يا رسول الله , اتكسر ثنية الربيع لا، والذي بعثك بالحق لا تكسر ثنيتها , فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا انس ,كتاب الله القصاص"، فرضي القوم فعفوا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن من عباد الله من لو اقسم على الله لابره".
Mujh se Abdullah bin Muneer ne byaan kiya , kaha ke main ne Abdullah bin Bakr Sahmi se suna , un se Humayd ne byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke meri phoopi Rubayyi ne ek larki ke daant torr diye , phir is larki se logon ne maafi ki darkhwast ki lekin is larki ke qabile wale maafi dene ko tayyar nahi huay aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur qisas ke siwa aur kisi cheez par raazi nahi thay . Chunanche Aap salla Allahu alaihi wasallam ne qisas ka hukm de diya . Is par Anas bin Nadr razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Kya Rubayyi razi Allahu anha ke daant torr diye jayein ge , nahi , is zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke saath maboos kiya hai , un ke daant na torey jayein ge . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Anas! Kitab Allah ka hukm qisas ka hi hai . Phir larki wale raazi ho gaye aur unhon ne maaf kar diya . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kuch Allah ke bande aise hain ke agar woh Allah ka naam le kar qasam khayein to Allah un ki qasam poori kar hi deta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة